Some poetry updates from
previous month
WOH MUSKURA KE JHALAK by F.H.SIDDIQUI
Woh muskura ke
jhalak kya dikha gaye
humko ,
Hansi - Hansi meiN diwana bana
gaye humko
Bana ke dard rakha thha
chhupa ke seene mein ,
Na jaane Aankh se phir
kyuun baha gaye humko
Mile na lafz jo
izhaar-e-haal-e-dil ke liye ,
Hamaare she'r hi hans kar
suna gaye humko .........
Click here to read and comment......
Ek "Maa" Hai Jo Har Haal MeN Dua Deti Hai 'Khwahish" by khwahish
Technical,
Political
Internet, RTI and Relationship Issues Community.
DEEWAANAAWAAR BAITHAA HOON.. by sksaini4
Teree maasoomiyat
ke sadqe maiN dil haar baithaaa hooN.
Huaa hai jab se teraa dil to maiN
bekaar baithaa hooN.
MileN bhee to mileN kaise samunder
beech meN gaharaa.
Ki tum us paar baithee ho to maiN is paar
baithaa hooN.
Hui hai aaj mausam aur
mere beech meN anban.
Ghataa ghanghor kea age banaa
laachaar baithaa hooN.
Thikaane par naheeN haiN hosh kuchh bechain
hai ye man.
Huaa aankhoN meN bhaareepan magar
bedaar baithaa hooN.
Click here to read more ....
Lafz lafz dard kaa samandar hai...
by mamta bajpai
Jisko dekho hisaab maaNge hai
soonee aaNkhoN se khwaab maaNge hai
charchaa uskaa galee galee pahuNchaa
husn ab to hijaab maaNge hai
uljhe uljhe sawaal haiN uske
mujhse seedhaa jawaab maaNge hai
khud kee neeyat me khot hai jiske
woh wafaa behisaab maaNge hai
barhaman khud ko kahne waalaa bhee
chhup ke boti kabaab maaNge hai
Click here to read more ......
Toofaan kay atay hi kinara ker gaya by
Farhan
Sohail
Sahara de ke be-sahara
ker gaya
Toofaan kay atay hi kinara ker gaya
chand keh ker wo bulata tha mujhay
ab aik Toota saa Sitara ker gaya
Muhabbat ne uski Khaar mujh ko ker deya
be-Ghar se ghar, pher awara ker gaya
Sanbhaal k chalnay ka irada tha mera
Janay Kahan Ghalti Dubara ker gaya
Click to read full.....
Ek chehra nikal aaya.. by
Krishna
Sukumar
अचानक बंद दीवारों से इक
रस्ता निकल आया
मैं मुद्दत बाद अपनी क़ैद से
छूटा, निकल आया
निकल आयी मेरी तन्हाईयों से
धूप ख़्वाबों की
अंधेरों में भी मेरे जिस्म का
साया निकल आया
मज़ा आया तो फिर इतना मज़ा आया
मुसीबत में
ग़मों के साथ अपनेपन का इक रिश्ता निकल
आया
Read full at YOS ......
Humara hai magar fir bhi HUMARA ho nahi
pata... by Taish
jo tujhse dil laga, ab dil lagana ho nahi pata,
ke vo jaisa bhi kehti hai maiN waisa ho nahi pata..
badi tareef sun kar maiN huN is dar par chala aaya,
fakat itna bata kyuN maiN tumhara ho nahi pata..
tumhara naam likhne ki ijazat chin gayi jab se,
jo koi sher likhta hooN to poora ho nahi pata..
mohabbat dono ko hai par na ik dooje ke ho paye
humara hai magar fir bhi humara ho nahi pata..
Read complete at YOS :.....
-----/// Main nashe mein hoon ///--
by ~Hriday~
kuch naa kaho
tum aaj ki main nashe mein hoon
ho naa jaaye pyaar kahin main
nashe mein hoon
naa samajh lenaa mujhe tum sharaabi mere
yaaron
pi nahi hai sharaab, magar main
nashe mein hoon
sharbati aakhon ke baare mein kyaa
bataaun main
doobaa hoon unhi mein, aur main nashe mein hoon
kaanpte honthon se jab kuch kahaa usne
mujh se
kho gayaa unme aur ab tak main nashe mein
hoon
apne zulfon ke baadal se
jab baarish ki usne
bheeg gayaa main, lagaa main
nashe mein hoon
-Click here to read full...
जब भी मिलो मुझसे हंसती रहा करो by
sahil ahmed
खुशियों से मेरे दिल को भरती रहा करो,
जब भी मिलो मुझसे हंसती रहा करो।
अँधेरे लूट न लें मेरी ज़िन्दगी के उजाले,
शमा बन कर हर लम्हा जलती रहा करो,
दोस्ती की है हमने, कोई जुर्म तो नही,
बेख़ौफ़ होकर साथ मेरे चलती रहा करो,
एहसास-ए तन्हाई तुम्हे हो न सकेगा,
गजलों की मेरी डायरी पढ़ती रहा करो,
जी भरता ही नही, तेरी बातों से कभी,
ख्वाबों में भी मुझसे मिलती रहा करो,
Click to read and comment on this poetry
.....
TAAR-TAAR HUYEE KHAAKI by anand mohan
TAAR TAAR HUYEE KHAKI
SHARMSAAR HUYEE KHAKI,
JO DIKHA WOHI KYA KAM HAI,
KEHNE KO RAHA KYA BAAKI?
TUJHKO KHUD TUJH SE KHATRA
KYA KAREGA PEHREDAARI,
Read full --......
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !
Some more noticeable work :
Milta Kabhi Mukammal Jahaan Nahi..!!... by
Shireen
Hakani
-----/// Pyaar karnaa chhod diyaa ///----
by ~Hriday~
KhayaloN meN Bhi tum mere ab na aao. by Aarish
EK AAINAA DUNDHALAA SAA. by sksaini4
Tumhe hum kho nahi sakte by
aqsh
सदके इक तस्वीर के मैं याद खुदा को करता हूँ
by charanjit
chandwal
दो दिलों के प्यार को मत छेडिये. by
Sudhir Ashq
Woh khud hi chalkar sambhalna seekh lega..
by Bishwajeet
'Musaahib'
नए सूरज उगाना चाहता हूँ by dksaxenabsnl
Zara Si Fursat By by J N mayyaat
Gham dadhkana vich rachya by saahill
KHUDA MIL GAYA... by Iftakhar
Ahmad
Yaar mera khafaa ho gaya by haan (Rehan
Mubarak)
We are always open for your suggestion and feedback,
please visit Feedback
and
Suggestion section to let us know your views and
suggestion.
Yoindia Stats:
Total Poetry Lovers: 45,771
Total Posts: 12,54,716
Latest Member : Ajit
Mehta