So
how much RAU you have?
We have a small new nifty feature on Yoindia Shayariadab,
its called
Rau, you
can see it beside name of every Yoindia Shayariadab member
on topics.
So, one can get Rau if post good work, one can get Rau if
you appreciate other or teach him / help him on something at
Yoindia Shayariadab and you may get Rau simply because
someone liked your presence at Yoindia Shayariadab.
Few creations we want to
share with you...
There are so many beautiful creations on Yoindia
Shayariadab, here however we are sharing few with you. You
may Click here to see all latest
poetry
Ek
Ghazal YoIndia ke respected shayro.n k naam by Iftakhar
Ahmad
In shayaro.n ki shayari shua-e-aftab hoti hai
Duniya ki har haqeeqat inse, benaqaab hoti hai
Dolly ki bhakti, Sarfire ki bebaki ke kya kehne
Aur Hasan ki to har ghazal, pur-shabab hoti hai
Sheba se sanjidgi jhalke, Shukla
se Ishq ka khumar
Aur Qalb se samaji darindo.n ki aabru, aab aab hoti hai
Koi Husn ko chand kahta hai, to koi Ishq ko Khuda
Aur Tauseef kehta hai k zindagi, bas habab hoti hai
'Iftakhar' tareef mein har roz kaha.n se laye naye alfaz
Saini ki to har
ghazal hi, la-jawaab
hoti hai .....Click
here to give your comment or read rest of the poem.
पत्थर ही रहने दे/Patthar hee rahne de... by
sksaini4
Mubaarak ho falaq tujhko
mujhe kamtar hee rahne de.
MaiN patthar thokroN kaa hooN mujhe
patthar hee rahne de.
Badee mushkil se mil
paayee tere deedaar kee daulat.
Ise too chheen mat
mujhse ise mujh par hee rahne
de.
Vo kahtaa hai vafaa meree
maiN kahtaa hooN vafaa meree.
VafaaoN ko too
aapas meN yooN takraakar hee rahne de.
Kiyaa kuchh bhee naheeN par naam
unkaa surkhiyoN meN hai.
Bandhaa hai taaj uske
sar to uske sar hee rahne de.
Nikal kar maiN chalooN ghar se nikal kar too bhee ghar se
aa.
Chalaa aa dost banke
dushmanee ghar par hee rahne de .
Read
more or give your comment..
AANKHON
MEIN ABB NAMI NAHI HOTI by
F.H.SIDDIQUI
AankhoN meiN abb
nami naheeN hoti ,
Kaifiyat shabnami naheeN hoti
Aazmaaye Tabeeb - e - Dil saare ,
Dard - e - Dil meiN kami naheeN
hoti
Aur rahte zara Woh pahloo
meiN ,
Gar yeh Baarish thami naheeN
hoti
Baat karte jo saaf dil
say Tum ,
Lahje meiN Barhami naheeN
hoti
Achha hota agar yeh Khud -
gharzi ,
Khaslat - e - Aadmi naheeN hoti
Karna hai to sada nibhao
bhee ,
Dosti mausami naheeN hoti
Koi hastee bajuzz Khuda ke
'Hasan' ,
Baa-khuda Daaimi naheeN hoti
Click
here to see what others have to say about it..
RishtoN
Mein Faasle Aaye "Khwaish" by
khwaish
Fursatain Mile Jab Bhi Ranjishein Bhula
Dena!!!!
Kaun Jaane Saanson Ki mohalatein Kahan Tak
Hain...!!!
Dil Ka Dard AankhoN mein
Le Aaye
Yeh Kyon RishtoN mein Faasle Aaye
Sab Kuch Paakar Bhi, Phir Kho Diya.!!
Apne Haq mein Jo Kuch Faisle Aaye
Woh Dariya Jo Sabse Khamosh Tha
Aaj Ussi mein Gehre Zalzale Aaye
Click
here to read rest of the poem and also see what people are
saying about it..
क्यूँ हुई बच्चों से नादानी न पूछ by navincchaturvedi
मुश्किलें मत पूछ, आसानी न पूछ।
है बड़ा, तो बात बचकानी न पूछ ।१।
याद कर अपने लड़कपन के भी दिन।
क्यूँ हुई बच्चों से नादानी न पूछ।२।
भेड़िया क्या जाने इंसानी रिवाज़|
धूर्त से तहज़ीब के मानी न पूछ।३।
जो मुक़द्दर ने दिया कर ले कुबूल।
कर्ण! कुंती की परेशानी न पूछ ।४। ...
Click here to read it in ENGLISH script
Mere Khuloos Ko Koi Naam Na Do by javedarshad
Mere khuloos ko koi naam na do
kuin keh
Ikhlaas ke daire itne wasi hoote hain
In mein samana her bazarf ki baat nahin
Aur aazmaish mein
Main bahut choota lagne lagta hai
Her aik ke khuloos ke paimaane
Apne apne zarf ke mutabiq hoote hain
aur jab
Zarf ko meraaj ke paimane se naapta hun
To bahut choota lagne lagta hun
....
Read rest of the poem or give your comment
We have even more remarkable
work ...
It is impossible to show here all those remarkable work
we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry then you
may see it yourself and even share your with community of
many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !