Some poetry updates from
previous month
Kar khoon apne khoon’ ka,gairon ke
waste-Beete palon ke saye by
Ram Saraswat
Koi bataye ham ko ki,
kis aur jayen hum,
Is dard- e -dil ki dastan
kis ko sunayen hum.
Har taraf dhuaan hi dhuaan
hai aaj fiza mein,
ab tum hi kaho kaise nikal,
ghar se aayen hum.
Ham kaise kahein ye
ki haqiqat kuchh aur hai,
wo dil mein dar rahe hain ,
kahin khul na jayen hum.
Jeetein hain wo to
raat din, jannat ki zindagi,
un ki balla se chaahe,
jahannum mein jayen hum.
Click
here read rest..
उम्र भर हम ये भूल करते रहे. by
Sudhir Ashq
UMR BHAR HUM YE BHOOL KARTE RAHE.
UNSE NISBAT FAZOOL KARTE RAHE.
APNA DAAMAN SAJAAYAA KANTO SE,
UNKI RAHON ME PHOOL KARTE RAHE.
DOSTI HO YA DUSHMANI KI BAAT,
JO BHI HO, BAUSOOL KARTE RAHE.
JAB TAMANNA THI AAM KHAANE KI,
BOYA KYONKAR BABOOL KARTE RAHE.
Click
here to give your comment
Bas Sirf Ek Baar Tum Mera Aitbaar Kar Lo.
by
Shireen
Hakani
Khud Ko Zaraa Sa Tum Be-Karaar Kar
Lo.
Jhootha Hi Sahi Par Mujhse Pyaar Kar Lo..!!
Tak Kar Chand Ko Raat Bhar Meri Tarah,
Tadap Kar Tum Bhi Kabhi Intezaar Kar Lo..!!
Jo Ho Jaao Tanhaa Duniya Ki Mehfil MeiN,
Chup Kar Meri Tasveer Ka Deedaar Kar Lo..!!
Keh Na Paaye YeH Honth Jo Baat Dil Ki,
AankhoN Se Un JazboN Ka Izhaar Kar Lo..!!
Click
here to give your comment
मौत रिश्तों को जब भी आती है--- by
Anaarhi
मौत रिश्तों को जब भी आती है,
एक इक डाल सूख जाती है.
ख़्वाब लथपथ पङे हैं आँखों में,
नींद ऐसे में किसको आती है.
तुम सितारों में ले के जाते हो,
ज़ीस्त वापिस ज़मीं प लाती है.
यूँ तो ठंडी है चाँदनी पर क्यूँ,
रूह दिल जिस्म सब जलाती है.
तन- इमारत ढही है कुछ ऐसे,
देख कर रूह कंपकंपाती है.
Click
here to give your comment
----/// Apni Haalat ///---- by
~Hriday~
kuch to hai
baat jo apni yeh haalat kharaab
rakhte hain
bhulaane ko unhein hum haathon mein sharaab rakhte hain
jalaa chuke hain unki har
tasveer , har khat unke, magar
kitaab mein chhipaake unkaa diyaa laal gulaab
rakhte hain
unse jo meraa rishtaa thaa
woh ab bas ek kahaani hi hai
logon ke har sawaal kaa bas yahi
hum jawaab rakhte hain
Click
here to give your comment
Aansu KHAREED laaya hooN...!! by
Taish
main bure ahche deed* laaya hooN,
aaj fir kuch umeed laaya hooN...
tumne bhi gham diye haiN tohfe meN,
maiN bhi aaNsu khareed laaya hooN...
qatl kar dena aaj sabka tum,
apne saare mureed* laaya hooN...
ishq ka sab saboot maaNgte haiN,
dastkhat ko raseed laaya hooN...
ab to ehsaash bhi naye nahiN haiN,
ho chuke jo shaheed laaya hooN...
todte waqt dil haNsi thi tum,
aur ik dil khareed laaya hooN...
Click
here to give your comment
Main Us Ko Soch lun Mujhe Manzil Dikhayi De.
by
Rajnish.raaj
Toofan Mein jaise Door Se
Shahil Dikhayi De,
Main Us Ko Soch lun Mujhe Manzil Dikhayi De.
Har Aks Mein Dikhta Hai Ab Us Ka Hi Chehra,
Aise Wo Meri Rooh Mein Shamil Dikhayi De.
Mere Jaan Se Bhi Pyaara Hai Mehboob Mera,
Us Ki Har Adaa Muhabbat Ke Kabil Dikhayi De.
Us Ke Saath Chalna Mera Naseeb Hai Ya Nahin,
Bina Us Ke Ab Jina Mujhe Mushkil Dikhayi De.
Kash Mujhe Hashil Ho Jaye Us Ki Muhabbat,
Ye Sara Jahan Mujhe Phir Haashil Dikhayi De.
Click
here to give your comment
आओ सृजन - पथ पर चलें by
srishti
raj chintak
आओ सृजन - पथ पर चलें
कुछ शब्द ढूँढे, कुछ अर्थ बुनें
कुछ पंक्ति जोड़ें, कुछ मर्म कहें
ऐसा रचें हर एक सुने
आओ सृजन - पथ पर चलें
उसकी कथा, अपनी व्यथा
कुछ अनकही, कुछ घुट रही
सब कुछ उंडेलें, कुछ ना रहे
ऐसा रचें हर एक सुने
आओ सृजन - पथ पर चलें
कभी दर्द हो, कभी प्यार हो
कभी हो खुदा, कभी यार हो
कभी प्रेरणा, कटाक्ष हो
ऐसा रचें हर एक सुने
आओ सृजन - पथ पर चलें
Click
here to give your comment
Andaaz nirala hai by
Ghulam Haider
Parde ko uThane ka, andaaz nirala hai.
Deedaar karane ka, andaaz nirala hai.
Ek husn ki devi ka, ek ishq ke paikar se,
NazroN ke milane ka, andaaz nirala hai.
Izhar e tamanna par, chehre ko wo sharma kar,
HaathoN se chhupane ka, andaaz nirala hai.
AaNkhoN se chhalakte haiN, sao jaam mohabbat ke,
Har jaam pilane ka, andaaz nirala hai.
Madhosh kiya ham ko, kis tarh se uf! tauba!,
Phir hosh meN lane ka, andaaz nirala hai.
LooTa hai hameN
Haider, qatil ki adaaoN ne,
Deewana banane ka, andaaz nirala hai.
Click
here to give your comment
कब तलक by
ramspathak
कब तलक लोगों को लूटते जाओगे ,
वो दिन कब आएगा जब पछताओगे !
जिनकी दुआओं से राजा बन बैठे हो ,
उनकी ही नज़र से एक दिन गिर जाओगे !
मंदिर मज़्जिद के नाम पे खूब लूटा ,
एक दिन वहां भी दरवाज़ा बंद पाओगे !
Click
here to give your comment
Zindagi ka Unwaan by
samir parimal
हर धड़कते दिल में इक तूफ़ान होना चाहिए,
ज़िन्दगी का कोई तो उन्वान होना चाहिए।
हक़ ख़ुदाई पर तेरा है, मानते हैं हम मगर,
अपने हिस्से भी कोई भगवान होना चाहिए।
हर घड़ी हर पल ही बनता जा रहा है जानवर,
आदमी को भी कभी इंसान होना चाहिए।
शायरी में यूँ असर आता नहीं, समझो मियां,
इश्क़ में पहले तुम्हें क़ुर्बान होना चाहिए।
नफरतों के इस जहां में जब अमन की बात हो,
हर तरफ चर्चा-ए-हिन्दोस्तान होना चाहिए।
पुरखतर राहों पे 'परिमल' चल पड़ा तो क्या हुआ?
साथ तेरे दीन और ईमान होना चाहिए।
Click
here to give your comment
Abke ruka to, iss dil ko na rok paunga..
by
nashwani
Judaa abke baras tujhse ho hi jaunga,,
Laut ke kabhi wapas, phir na aaunga,,
Awaaz na dena, sanam tujhe hai kasam,,
Abke ruka to, iss dil ko rok na paunga..
Kai bate.N adhoori hi chhor jaunga,,
Tujhko kabhi haal-e-dil na sunaunga,,
Rehna iss bhram me, daga de gaye ham,,
Apni safaai me kuchh na keh paunga..
Teri yado.N sang apna jeevan bitaunga,,
Thoda yaad to tujhe, main bhi aaunga,,
Bas yaad karke mujhko ansu na bahana,,
Unn motiyo.N ko abke chunn na paunga..
Click
here to read rest of the work..
HUNAR ......... by
sksaini4
Chhod kar maiN
anaa saath kaise chalooN saath meraa tumhe jab
gawaaraa naheeN.
MaiN to taiyaar baithaa thaa kab se sanam tumne khud
apne dil se pukaaraa naheeN.
Tod kar dil meraa aap
kahte fireN haath ismeN koi
bhee hamaaraa naheeN.
Aaj tak kyaa huaa ek bhee
haadisaa haath jismeN rahaa kuchh tumhaaraa
naheeN.
Tairne kaa hunar jaantaa thaa magar
saahiloN be bhataktaa hee maiN rah gayaa.
Vaqt toofaan banke daraataa
rahaa maine dariyaa meN khud ko
utaaraa naheeN.
Too naheeN thaa to kitne sahaare
mile unko thukraake maine badee bhool kee.
Maine sochaa ki shaayad tumhaare
binaa aur dunyaa meN koi sahaaraa
naheeN
Click
here to read rest...
NAZAR SE WAAR KARTA HAI. by
Iftakhar
Ahmad
HijaboN meiN bhi rahkar mujhse
aaNkheiN chaar karta hai
Musalsal wo mere dil pe
nazar se waar karta hai
Taqaza jins ka hai jo wo
lab se kah nahiN pata
Wo kahta hai ishaaroN se k
mujhse pyar karta hai
Kahe bin rah nahiN pata
kaha bhi to nahiN jata
Yahi to haal hota hai
jo pahli baar
karta hai
Hai dil meiN pyar jab uske to
mujhko kyuN satata hai
Jo maiN izhar karta huN
to wo inkar karta hai
Click
here to give your comment
Mausam Abhi Itna To Suhana Bhi Nahi Hai
by
Syed Mohd
Mahzar
WAPAS WO ZAMANA KABHI AANA BHI
NAHI HAI
GUZRI JO JAWANI USEY PANA BHI NAHI HAI
MAZBOOT BAHUT APNA THA RISHTA E ULFAT PER
AB TUJH SE MERA DOOR KA NAATA BHI NAHI HAI
HER RAAT MAIN DARWAZA KYON KHOL KE SOTA HOON
MALOOM HAI MUJHKO TUMHE AANA BHI NAHI HAI
BACHPAN GAYA SHABAAB GAYA PEERI HAI LEKIN
DUNIYA KO ABHI THEEK SE JAANA BHI NAHI HAI
Click
here to read rest...
SAATH APNA TO BUS SAFAR TAK HAI ' by
F.H.SIDDIQUI
Kaun kahta hai Umr
bhar tak hai ,
'Saath apna to bus Safar
tak hai'
GaaoN-GaaoN , Nagar-Nagar
tak hai ,
Baat abb phaili har Bashar
tak hai
Kaise tujh bin guzar rahi
hai Hayaat ,
Tujh ko Zaalim naheeN khabar
tak hai
Click
here to read rest...
KUTTAA....... (Mazahiya) by
sksaini4
Museebat meN
hameshaa daal kar rakkhaa hai begam ne.
Mujhe kuttaa samajh kar paal kar rakkhaa hai
begam ne.
Padosan ne mangaalee mujhse sabjee kyaa
sharaafat meN.
Ki ro-ro kar buraaa ab haal kar rakkhaa
hai begam ne.
Nikalne hee naheeN detee mujhe
ghar se hawaa khaane.
Meree aazaadee kaa din taal kar rakkhaa
hai begam ne.
Nikmmaa hooN nithllaa hooN karakter se maiN geelaa hooN.
Binaa kanghe rahooN bebaal kar
rakkhaa hai begam ne.
Click
here to read rest...
Waswasa----- by
marhoom
bahayaat
khush-khush sa phool jo kal khilaa
tha!
rotaa
hua mujh ko wo aaj
milaa tha!
lafzo.n ki
adaaye gi mein hai kamzor bahut!
kaise
kahu.n mujh se kya gilaa
tha!
rooth
gaya akhir maiqade se aaj
saaqi !
chhotaa
saath iska jo azal se silsila tha!
unki
aamad ne phir se ek zindagi bakhshi!
hua
khamosh dil mein jo ek
zalzala tha!
kiya
qaid safeene ne uss roz jo dariya ko!
yaqeen
na ho MARHOOM wo aisa marhalaa tha!
Click
here to read rest...
Zindagi Kaise Jeete HaiN Tumhe Samjhaa Raha
Hai Koi by
khwahish
Naa Jaane Kya Dil meN Apne Kuch
Chupa Raha Hai Koi
Kareeb Reh Kar Bhi Mujh Se Door Jaa Raha Hai Koi
Faasle Panap Rahe HaiN DiloN MeN Kuch Iss Kadar
Taish MeN Kiye Gaye FaisloN Ko Nibha Raha Hai Koi
Zindagi MeN Haste Hue ChehroN Ki Hi Keemat Hai..
Ashq AankhoN MeN Rakh Kar Muskura Raha Hai Koi
Kabhi Khairaat MeN Mohabbat Ki Daulat Nahi Milti
Phir Kya Soch Kar Apne Dil Ko Behlaa Raha Hai Koi
Click
here to read rest...
PYAR KE GEET GUNGUNATA REHTA HOON .. by
soudagar
aajkal main yuhin pyar ke geet
gungunata rehta hoon
jane kya soch kar akele hee muskurata rehta hoon
ishq ki raah par main chal pada hoon shayad, isiliye
phulon ke sang sang kanto.n ko bhi sehlata rehta hoon
na waqt ki koi khabar naa hee koi mujhko kaam raha
bas baithe baithe ek pari ki tasveer banata rehta hoon
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !
Some more noticeable work :
/// Ek teraa deewaanaa hai /// by
~Hriday~
Love me dil fall hota hai.. by
nashwani
Hume Log Tumhaara Kehte Hain by
Azeem Aarzu
Ek Dawa Ki Tarah Hoon Jis Ka Sab Asar Gaya
by
khwahish
Na maar baabla ve- A lovely request of
unborn baby girl child. by
Sunil
Malhotra
Chal Na Dena Kaheen Tu Ta Ta Kar by
Satish Shukla
विरह की आग में जलते हुए एक नज़ारा देखा
by
ishk ek
ibadat
Gham ke saath baser apni raat kar doon.
by
sahal
Pyaar Karne Lage by
Ruhama
Agra To Delhi by
khwahish
Naam meN mera NAAM rakhte haiN... by
Taish
Bin Tere Yon Bhi Meri... by
Iqtedar
Ya rabb meri qismat ko aise jagmaga
by
aqsh
Haq......... by
adil bechain
बिजली, आग और बिना मुंडेर की छत by
srishti
raj chintak
Bar bar priya patni ko namaskar by
nandbahu
Auron ke mahal banaata hai, per khud bhookha
so jaata hai by
Ram Saraswat
Muskuraa lo....sheba by
Sheba
ग़ज़ल by
ramspathak
Tum bewafa hona bhi chaho to hone
nahin by
premdeep
yaad by
Samaydeen
Rana
हाथों की लकीरों में तेरा नाम लिखा है by
ishk ek
ibadat
We are always open for your suggestion and feedback,
please visit Feedback
and Suggestion section to let us know your views and
suggestion.