Some poetry updates from
previous month
NETAA..................................
by
sksaini4
Zabaanee jang lad-lad kar hameN
phuslaa rahe netaa.
Samajhataa ye naheeN koi ki hamko khaa rahe netaa.
Masaail par to charchaa aajkal hotee
naheeN koi.
Faqat ik doosre ke eb hee ginwaa rahe netaa.
Kabhee is dal meN jaate haiN Kabhee us dal meN jaate
haiN.
Ilakshan meN tikit miltaa naheeN pachhtaa rahe netaa.
Safaachat jhooth kahte haiN magar ham aql ke andhe.
Dikhaakar khaab din meN hamko yooN bahkaa rahe netaa.
Click
here to give your comment
Aye raat! gavaahi do gi na? by
vb
Ye taareeki……
Ye khunk hava…………
Khaamosh kharay in pairoN ki har daal say lipta sanaata
Aur door ufaq k maathay par
Aasaar………….
PareshaaN maazi k…
Ye chaand…..?
Anjaam say Ghafil kirnoN ka ik khel zameeN ki zulfoN say
Aur zard, unaabi patoN ki …..
Aavaaz men yaadeN maazi ki.
Click
here to give your comment
Le Jana by
Lovely-Prince
Le Jana
Sahil Dil Ki
Yaadon Ki,
Kashtiyan Bhi Sath
Le Jana,
Milan Ki
Khushiyaan,
Furqat Ki Talkhiyaan
Bhi Sath Le Jana,
Woh Rang-o-Boo
Aur Sandesy,
Jo Qaid Ha!n
Kitabon Main,
Woh Khat
Woh Gulaab,
Aur Woh Titliyaan
Bhi Sath Le Jana,
Click
here to give your comment
PAANEE .....
by
zarraa
kab hai roke se bhi rukaa
paanee
beh n paayaa hua hawaa paanee
band mut’thee se ris gayaa paanee
haath phailaa diye bharaa paanee
kitne bhookhoN ki hai ghizaa* paanee
kitne beemaaroN ki dawaa paanee
wo kaheiN kya lahoo hua paanee
kab bhalaa is qadar bahaa paanee
Click
here to give your comment
जो भी कहना है आज कह दो फरदा
नहीं है ...
सब जाहिर है उनपे कुछ भी दर परदा नहीं है ...
बुत ओढ़े हुए है मखमली चादर नज़ाकत से ...
हया पर आज लेकिन आपके परदा नहीं है ...
किसी कि जान अपने शमशीर पर रखकर ...
बेशक जो हम कर रहे हैं वो सज़दा नहीं है ...
ऐसा हो कि मुलज़िम का दिल बदल जाये ...
सज़ा काटी है उसने पर वो शर्मिन्दा नहीं है ..
Click
here to give your comment
Kya hoga ??....... by
sahal
Ishq mein ho gai khata to
kya hoga.
Umer bhar ki mile saza to kya hoga.
Wo rait ka ghar bana raha hai,
guzregi jab hawa to kya hoga.
Andheron ne diya hosla jeene ka,
Ye charagh bujh gaya to kya hoga.
Zakhm raazi hi nahi bharne ke liye,
Hum karte rahe dawa to kya hoga.
Click
here to give your comment
PYAAR KI KHUSHBOO .......................... by
F.H.SIDDIQUI
KaheeN KhalaaoN se aayi hai
Yaar ki Khushboo
Dil - o - Dimaagh pe chhayi hai Pyaar ki Khushboo
Lage hai Daur - e - KhizaaN aaj Ikhtitaam pe hai
Chaman se aane lagi hai Bahaar ki Khushboo
Ghareeb - Khaane pe woh bus pahunchne waale haiN
Lagee hai dene maza Intizaar ki khushboo
Woh eik Gul hai Chaman ka , magar juda sab se
Nisaar uss pe karooN maiN Hazaar ki Khushboo
Click
here to give your comment
Bhurji..... by
Shihab
Likhne Mein Na Apna Time Waste Karta Hoon
Main To Sidhe -Sidhe Copy Paste Karta Hoon.
Dauda Te Ho Jahan . Tum Dimag Shoharat Ko
Laga Ke Wahan Dil Ko .Main Rest Karta Hoon.
Jane Kyon Pasand Nahi Aati Usko Hansi Meri
Ghiske Roz. Main To Tooth Paste Karta Hoon.
Jhuth .Ladki Kya Makhi Bhi Nahi Aati Hai Pas
Lagaa Ke Saare Body Spray . Test Karta Hoon
Click
here to give your comment
संग है उसके.................................. by
alfaaz
जिंदगी एक है पर कितने रंग है उसके
मौत भी एक है पर कितने ढंग है उसके
अंधेरा है फ़ैला चारो तरफ़
शमा एक है पर कितने उमंग है उसके
शायरी भी क्या कम है
लहर एक है पर कितने तरंग है उसके
आंसू, शबनम, जहर, लहू
शराब एक है पर कितने अंग है उसके
Click
here to give your comment
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai
toota... by
aqsh
Na jaane kyuN tere dil par kuch
asar hota nahiN
Maine toh paththaroN ko bhi dekha hai pighalte hue
Kabhi koi khwaab toota, toh
kabhi aitbaar hai toota
Teri muhabbat meiN mera dil, baar baar hai toota
Teri judaai ke in lamhoN ko, shumaar karte karte
Kabhi dekh bhi le kaise, mera sabr e intezaar hai toota
Paaya kuch bhi nahiN, teri yaadon ke daldal ke siwa
Har ek mod par bas meri, palkhon ka qaraar hai toota
Roz nikal hi jaate hain, aankhoN ke zabt aansoon
Mere chashm e nam par se, mera ikhtiyaar hai toota
Click
here to give your comment
झूठे रिश्ते निभाने से क्या
फायदा.
रेत का घर बनाने से क्या फायदा.
पल में बदले हैं वो मौसमों की तरहा,
उनको दिल में बसाने से क्या फायदा.
आईना झूठ हरगिज़ नहीं बोलता,
अपनी सूरत छुपाने से क्या फायदा.
कर सको गर किसी की मदद कीजिये,
झूठे आँसू बहाने से क्या फायदा
Click
here to give your comment
Jisse Bhi Milo Dil Se Milo by
khwahish
Ajeeb Sa Ek Pal Tha Woh,Tera Mujh Se Yuh Bichadne Ka
Zindagi Ka Falsafa Hai Yeh,Har Tajurbe Se Guzarne Ka
Yahaan Doobte Hue Ko Aakhir Kaun Bachaane Aayega Saheb..!
Log Kahenge Shukar Hai,Tamasha Khatam Hua Dubne-Ubharne Ka
Andhere Aur Ujaale Ki Kahaani MeN Fark Sirf Itnaa Hi Hai..!!
Har Naya Din Le Aata Hai Ek Umeed, Ek Mauka Phir Sawarne Ka
Main Koi Ashq Ka Qatra Nahi Jo Sar-e-Raah Giir Jaaun Kaheen
Gham-Khushi,Sukh-Dukh,Zindagi Ki Tasvir MeN Har Rang Bharne
ka
Click
here to give your comment
@shohrat by
Sheba
baat zaroorat ki chali phir
izzat kaun dekhe hai!
ghareeb maa ke chehre ki zahmat kaun dekhe hai!!
hai emaarat ke baashindo.n ko pyaar oochaai se.
sakht dopahri ,mazdoor ki mehnat kaun dekhe hai!
anaadi hi sahi , hai shahr qaazi ka betaa.
rahi pahchaan shakhsiyat ki, zehaanat kaun dekhe
hai.
main ghalib, tu faraaz, wo mir samjhe hai .
ab kis ke ghazal ki shohrat kaun dekhe hai!
Click
here to give your comment
ZINDAGI KHWAAB HAI.... by
Iftakhar
Ahmad
Zor ki pyaas hai dhoop
meN saraab hai
Zindagi khwaab hai
zindagi habaab hai
Zindagi raaz hai jab
talak hai zindagi
Ho gae jo fanaa raaz
benaqaab hai
Ayk uljhi hui dor hai
wabaal hai
PeNch hai kya kaheN
khayr laajawaab hai
Soz hai taab hai ishq
hi panaah hai
Chal chaleN chaaoN meN
tez aaftaab hai
Click
here to give your comment
Seekhna baaqi abhee hai ... by
mkv
Dard-e-dil apna chupana seekhna baaqi abhee hai
Hamsafar bin muskarana seekhna baaqi abhee hai
Ghair ki baahoN me dekheN aankhoN ko aadat nahee hai
Dil hi dil me tilmilana seekhna baaqi abhee hai
Lootkar sukh chain mera de gaye jo vo andhere
Apne ghar ko hi jalana seekhna baaqi abhee hai
KoshisheN bekaar meri sabr-o-taaqat ab naheeN hai
Click
here to give your comment
ab toh
jazba-e-aazaab hua.
mohabbat ka
ye hisaab hua.
kisee roop me.N
asardaar nahin.
angoor raha na
sharaab hua.
arrey woh
insaan bann gaya.
haadsa ek
nayaab hua.
neend bhee
mazaak kar gaee.
tere aane
ka khawaab hua.
Click
here to give your comment
shq Mein Ab Khud Se Bhi Door Ho Gaya Hun by
Rajnish.raaj
Apne Dil Ke Hanthon Majboor Ho Gaya Hun,
Ishq Mein Ab Khud Se Bhi Door Ho Gaya Hun.
Junoon Hai Aisa Mujh Par Us Ki Muhabbat Ka,
Diwana Is Shaher Mein Mashoor Ho Gaya Hun.
Use Pana Bhi Mushkil Hai Khona NaMumkin,
In Halaaton Se Ab Main Ranjur Ho Gaya Hun.
Saanson Se Bhi Jyada Mujhe Chahat Hai Us Ki,
Par Us Ki BeRukhi Se Chur-Chur Ho Gaya Hun.
Click
here to give your comment
देखिये हुज़ूर............ by
SURESH
SANGWAN
तमाम जिस्म की नज़र बना
के देखिये हुज़ूर
दुनियाँ-ए-नज़र सि नज़र
बचा के देखिये हुज़ूर
क्या
इम्तिहान-ए-ज़ब्त अगर वो सामने नहीं
रु-ब-रू दिल
पर क़ाबू रख के देखिये हुज़ूर
नुक्ताचीन् और
क्या है सिवा कसरत-ए-लफ्ज़
हाज़िर -जवाब सि
झूठ बोल के देखिये हुज़ूर
झूम ही
लेता है क़ामयाबी में हर
कोई
नाकामियों की
इज़्ज़त कर के देखिए हुज़ूर
Click
here to give your comment
हम एक मकाँ तक...... by
Satish
Shukla
इनकार मोहब्बत का
करेगा तू कहाँ तक
आएगा कभी नाम
मेरा तेरी जुबाँ तक
मिल जुल के
चलो प्यार का संसार बसाएँ
तनहा न बना
पाएँगे हम एक मकाँ तक
ये राह
मोहब्बत की, मोहब्बत का सफ़र है
इस राह पे ले
चल तू मुझे चाहे जहाँ तक
शातिर हो
बड़े प्यार की शतरंज में तुम भी
देखेंगे न
खाओगे भला मात कहाँ तक
Click
here to give your comment
Aakhiri Raat
- by
Zaif
Nikla nahi phir
maahtaab aaj ki raat..
Dam tod gaye hain
khaab aaj ki raat..
Shab-e-furqat* hai,
jal rha hai tan,
Lage barish bhi
tezaab aaj ki raat..
(* separation)
Gale lipat kar rone
laga chaand,
Hairaan pada taalaab
aaj ki raat..
Gam-e-hayaat ab saha
nahi jaata,
Mujhe maar do janaab!
Aaj ki raat..
Click
here to give your comment
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !
Some more noticeable work :
kabhi
aisaa
bhi lagta hai...... by sidra04
ik sharaabi tha mar gaya ho ga by vb
अधूरा
लफ्ज़.... by amit_prakash_meet
Ek ret ka mahal banaya tha..... by premdeep
KUCHH NA KUCHH ........ by F.H.SIDDIQUI
@aagosh by Sheba
SABHEE KE HAIN --- by zarraa
Rukh se parda hatakar.... by aqsh
Yaadon ki Amaanat... by Intezar
sawaaaaaaal..by adil bechain
aashiyanaa------------------- by marhoom
bahayaat
!!!..Ishq ka sabab..!!! by nashwani
khairmaqdum. by khamosh_aawaaz
khwa.b palkon per suhaanaa chaahe,..
by laaiba
SAANJH DHALE ------ by srishti
raj chintak
Maayus Baitha Hai Naa Jaane Aaj Kis Soch MeN
by khwahish
BAT KAR..................................
by sksaini4
Hum to nikle the kahi aur hi jaane ke liye
by Syed Mohd
Mahzar
-----/// Ek aur ilzaam sahi ///----- by
~Hriday~
Teer kitne jubaan se nikal...... by mann.mann
KABHEE GHAZLO.N KO TANHAA
CHHODDOO!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb
Zamana kia hai by admani
Umar 55 Ki. DIl Bachpan Ka... by
Shihab
HAI GHARAZ JIS KO CHAL KE AAEGA.... by Iftakhar
Ahmad
We are always open for your suggestion and feedback,
please visit Feedback
and Suggestion section to let us know your views and
suggestion.