Few creations we want to
share with you...
There are so many beautiful creations on Yoindia
Shayariadab, here however we are sharing few with you. You
may Click here to see all latest
poetry
Technical,
Political
Internet, RTI and Relationship Issues Community
Baharon
se ab tak mila kuch nahi hai By Aarish
Marasim mohabbat wafa kuch nahi hai
Usulon ke aage ana kuch nahi hai
Wahi vehshat E gham wahi dard dil ka
Meri daastan mein naya kuch nahi hai
Faqat aik naam E Khuda ke alawa
Sabhi kuch fana hai baqa kuch nahin hai
Ye duniya ye izzat ye daulat ye shohrat
Fareb E nazar ke siwa kuch nahi hai
Click
here to read rest and give your comments...
Is
dil ko diloN se milate rahiye by pankajwfs
Muskurate rahiye geet gate rahiye
Is dil ko dilon se milate rahiye
Hain khushiyan bahut yaad karne layak
Har tarah gamon ko bhulate rahiye
Har koi nahi hota humraah phir bhi
Beja kya hai haanth milate rahiye
Har shaksh ki manzil hain alag yahan
Waqt kat jayega sath nibhate rahiye
Click
here to read rest of the entry...
ISHQ KO APNE JAVIDAAN KAR DE by
F.H.SIDDIQUI
Ishq ko apne ja'vidaan kar de
Laila - majne ki daastaan kar de
Daur - e - shaffafiyat mein kya parda
Jo bhi dil mein hai sab ayaan kar de
Tod de beech ki ye deewaarein
Bas mohabbat ko darmiyaan kar de
Chaar soo aaye pyaar ki khushboo
Aisa taameer Gulistaan kar de
Click
to read rest of the work
ना रोना तुम कभी ऐ कविता.. by anand mohan
ना रोना तुम कभी ऐ कविता, यह कवि तुम्हारा कहता है,
आनंद प्रभा का मिलता है, जब रात अँधेरा रहता है.
हम थके नहीं, ना सोये ही है, उद्योग निरत है सृजन में,
हम तुम्हें ढूंढते है कविता, हर कोने में, हर कण-कण में.
कभी जो रुक जाती है लेखनी, उसका भी कुछ कारण है,
भूख, गरीबी, बेकारी का मिलता नहीं निवारण है.
Read rest of the poem and give your views..
ik diya maayus saa by ufaq
Sardiyo men dhoop khilana sa lage.
tera ghar aana bada achha lage.
Zulmato ki had hui raaten meri,
ik diya maayus sa ladata lage.
aye hawaa dheere chalo is baag men,
phool ke paikar se ik kaanta lage..........
Read more and give your comments
Kya Uss Shehar MeN Koi Pyaar Ka Maara Nahi
Mila by Khwaish
Dar-Badar Bhatakti Rahee
Kashtiyan Kinaara Nahi Mila
Apna Bana Jab Ajnabi Phir Dubaara Nahi Mila..!!!!!
Har Ek Ke Dard Ko Apna Dard Samajhta Rahaa Main
Par Khud Gira Jo Ek Baar, Koi Sahara Nahi Mila..!!!!!
Baahar Se Kuch Aur, Andar Se Kuch Aur Hi Mile Log
Samajh sakoon Jo Kisi Ko Aisa Koi Ishaara Nahi Mila
Read more and give your views....
Ishq mein Iftakhar jala hai by Iftakhar
Ahmad
Mehboob ki mujhko sada hai
pyari
Unki to har adaa hai pyari
Hoke unke ghar se aaye
Mujh ko aisi hawa hai pyari
Dekh ke unko jhoom ke barse
Mujh ko aisi ghata hai pyari
Dil mein soye pyar jaga de
Mujh ko aisi bala hai pyari
Read
rest of the poem and give your comments
MATKEE GUNAHON KEE by Masoom
Shahzada
Jo beet gayi hai wo gujar kyo
nahee jaatee.
Ulfat mere sar se utar kyo nahee jaatee.
Kya baat sirf kahne sunne ke liye hai.
Mhaanta Bharat(India) kee najar kyo nahee aatee.
Manmaaniyan kab tak kartee rahegee Sarkar(Government).
Matkee gunahoo kee aakhir bhar kyo nahee jaatee.
Kya kaan rakh ke kaheen bhool aayeN ham.
Naseehat baap kee asar kyo nahee laatee
Read more and view other's comments
Bebasee reh gayeeby S.K.Saini4
Aankh mein kuch namee reh gayee.
Tees dil mein bachi rah gayi.
Dard Aulaad dene lagee.
Parvarish Mein kamee rah gayee.
Sochne ke liye umr bhar
Ab meri bebasee rah gayee.
Read rest of the ghazal and comments..
Guru Mahima by amit_prakash_meet
Sansar hai yeh mithya, maya se rachaya hai
Samjhane jagat ko Brahm, guru roop mein aaya hai
Guru bin
kahin gya nahi kitna bhi bhatke prani
Yeh jeewan amar nahi, yeh to aani jaani,
Yeh to aani jaani
Guru gyan de swarth bin sabne batlaya hai
Samjhane jagat ko Brahm, guru
roop mein aaya hai
Read rest of the poem...
Na badle hum hain, na badle tum ho by Hriday
Wo waqt hi kuch aisa tha jo
badal gaya
Na badle hum hain, na hi badle tum ho
Hawaa ka ek jhaunka tha jo badal gaya
Na badle hum hain, na hi badle tum ho
Wo pal jo kabhi hamaare the badal gaye
ehsaas jo kabhi tumhaare the badal gaye
badalne ko to ye zamaana badal gaya
Na badle hum hain, na hi badle tum ho
Read it online and give your comments...
Sachha afsaana by
mkv
Hatao jaala nafrat ka najar pyar aayega
Tujhe manane ko, aashiq ye baar baar aayega
Subah se bhookha hai tera beta khila de jaakar
Kaisi beraham maa hai too, kab dulaar aayega
Vo jaa chukaa hai pardesh kamaane ki khaatir
Swadesh milne ko sabse, kabhee kabhaar aayega
Ik gareeb ki jindgee ka sachha afsaana hai ye
Rotiyan namak se khaanee, nahi achaar aayega
Read it online and give your comments...
We have even more remarkable
work ...
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !