Some poetry updates from
previous month
SAARA MANZAR BANJAR LAGTA HAI. by
Iftakhar
Ahmad
Wo chaaNd bhi
uske aage kamtar lagta
hai
ChhaNd se bhi pyaara, mera
dilbar lagta hai
Jaanam teri zulfeiN, haiN ghataaeiN
saawan ki
Uss per ye tera
aaNchal, ambar lagta hai
AaNkhoN meiN teri jaadu, laboN
pe tere jaam
Ye jism damakta
tera marmar lagta
hai
Sharma ke jab mujh se, tum nazreiN jhukaati ho
Allah qasam ek
khanjar andar lagta
hai
Click
here to give your comment
DOSTEE KAISEE. by
sksaini4
Chalaa jo chhod
kar dunyaa to usse dushmanee kaisee.
HameN bhee chhod kar jaanaa
jahaaN se dostee haisee.
Mayassar jisko hansne kaa huaa ab
tak naheeN mauqaa.
Kisee bhee ese insaaN se
bataao dillagee kaisee.
Buzurgo ne kahaa maalik to sab ke
dil meN rahtaa hai.
Samajh meN ye naheeN aataa
butoN se bandagee kaisee.
Faqat kuchh jod kar misroN ko
karlee qaafiyaa bandee.
Asar dil par n ho jiskaa to
phir vo shaayree kaisee.
Click
here to give your comment
आईने अकबरी लिख रहा हूँ। (Adab) by
drpandey
आईने
अकबरी लिख रहा हूँ।
इक ग़ज़ल सामरी लिख रहा हूँ।
हाथ की कुछ लकीरों को पढ़कर,
दास्ताँ खुरदुरी लिख रहा हूँ।
मुझको दुनिया ना इल्ज़ाम देना,
मैं तेरी मसखरी लिख रहा हूँ।
वो जो सोये हैं गोशे-सनम में,
बस वही मुखबिरी लिख रहा हूँ।
तुम ना मानो यकीं पर सही है,
बात मैं मरमरी लिख रहा हूँ।
कोई मुझको सराहेगा कैसे ?
मैं तो खोटी-खरी लिख रहा हूँ।
दर्द के ज़ाम से शब गुजारी,
अब सुबह सुनहरी लिख रहा हूँ।
जंग है ये 'अदब' की ज़हां से,
आँख की किरकिरी लिख रहा हूँ।।
Click
here to give your comment
दिल में कितना गुबार रखते हैं. by
Sudhir Ashq
LAFZ HOTON PE CHAAR
RAKHTE HAIN.
DIL ME KITNAA GUBAAR RAKHTE HAIN.
WAQT PE KOI SAATH DIKHTA NAHI,
DOST WAISE HAZAAR RAKHTE HAIN.
LEKHA JOKHA HI BAN NA PAYA KABHI,
ITNA SAR PE UDHAAR RAKHTE HAIN.
YUN TO MILTE HAIN GARM JOSHI SE,
LOG DIL ME DARAAR RAKHTE HAIN.
Click
here to give your comment
Tum ko jeena faqat saher tak hai by
Syed Mohd
Mahzar
SAFAR SITARA E ARSH,JISKE DAR
TAK HAI
YE FAZILAT TO EYK GHAR TAK HAI
SHAMMA NE YE KAHA PARWANO'N SE
TUM KO JEENA FAQAT SAHER TAK HAI
NEYMATEIN DASTYAAB HAIN LEKIN
MILTA BAZAAR ME ZAHER TAK HAI
CHAO'N JIS PEYR KI HAI KHOOB GHANI
MERI MANZIL USI SHAJAR TAK HAI
TUM SE KIYA HAAL E DIL BAYAN KARO'N
SAATH TERA TO BAS SAFER TAK HAI
ZAKHM KUCH DIL ME MERE AYSE HAIN
TEES JINKI MERE JIGAR TAK HAI
Click
here to give your comment
Yaar Mera Pyaar Tum Ban Jaao..!!. by
Shireen
Hakani
Chehre Ka Nikhaar Tum Ban Jaao,
Zindagi Ki Bahaar Tum Ban Jaao..!!
Main Ban JaaoN Mohabbat Aur,
Wafaa Ka Aitbaar Tum Ban Jaao..!!
Bas Jaao Mere Har Lamhe MeiN,
Waqt Ki Raftaar Tum Ban Jaao..!!
Sun Lo DhadkanoN Ke Fasaane,
Dil Ke Raazdaar Tum Ban Jaao..!!
Naa Koi Manzil, Naa Koi Saathi,
Jeene Ki Darkaar Tum Ban Jaao..!!
Read
rest of the poem..
वह अब भी साथ है मगर हमदमी नहीं रही;. by
Taasir
siddiqui
हमारे रिश्ते में पहले सी दिलकशी नहीं रही;
वह अब भी साथ है मगर हमदमी नहीं रही;
वक़्त ने काम किया चढ़ता हुआ सूरज ढला
धुप तो अब भी है मगर तेज़ रौशनी नहीं रहीं;
ऐसा तो नहीं के दुनिया में इश्क-ओ-वफ़ा नहीं
हाँ मगर अब के लोगों में आजज़ी नहीं रही;
उफ जदीद दौर में रोज़-ऐ=क़यामात की बातें
शेख जी आप की बातों में दिलकशी नहीं रही;
मस्जिदों में भीड़ तो बोहत है नमाजियों की ,
आम है नमाज़ मगर आम बंदगी नहीं रही;
Read
full or give comments..
Tera Hi Aks Nazar Aata Hai Mujhe by
khwahish
Udaas Chehre Pe Muskurahat Si khil Jati Hai Tere Naam
se
Har Lamha Main Tujhe Yaad Karta Hoon Bade Ehteraam Se
Iss Hausla-E-Dil ko Ab Bhi yeh umeed Ke Tum Aaoge
Kaheen..!!
Palkein Bichaaye Baithe Hain,Tere Intezaar MeN Kal
Shaam se
Koi Aaena Bhi Nahi Paas ke Apne Chehre Bhi Dekh
Sakoon..!!
Log Kehte Hain Bechaini Saaf Jhalak Rahi Hai Har
Mukaam Se
Ek Teri Yaad Hai Ke Jeena Ka Sahara Ban Baitha Hai
Ab..!!
Tera Hi Aks nazar Aata Hai Mujhe,Har
Paimaan-e-Jaam Se
Utari Thi Kal Raat Ek Ajeeb Si Roshni Mere Khwaab Mein
Chand-Sitaare sab khush The, Tujhse Milne Ke Intezaam
Se
Phir Din Aaya Aur Mera Yeh Khwaab Bhi Tootha
"Khwahish"
Meri Kuch AarzueN Kuch KoshisheN Sab Reh Gaye Nakaam
Se
Click
here to give your comment
Looking myself in mirror by
Bhupinder
Kaur
I realized
A girl, reflected as lover
Having moisturized pink petals
With dash of sweetness
Mystic glance with dwelling shyness
Red apples with charming lace
A flawless face with craving grace
Silky threads with long stands
Loose band with beads of care
Fresh breeze with scent of flowers
Soft whispers with silence of hours
Beats of song with sound of waves
Pour of rain with thunder of pain
Blooming of bud with pure essence
Drawing illusions & filling presence
By single touch of yours,
Without touching my body
Simply embedding in my soul
.....................
Read
full or give comments..
ROOH AFZA NAA PUKAARO BHAAEE by
qalb
Machaa tee shor ghar mein bivee
meree.
sone na de bhari dopahar mein
bivee meree.
hai phailee khushboo chamelee
kee chaar-soo.
lagayaa hai tel
sar mein bivee meree.
guftgoo kuch nahin mohalle
mein sivaa iske.
banee rahe hamesha khabar mein
bivee meree.
bhaag gaye
chadaal-o-bhoot ghar se mere.
lage churail unkee nazar
mein bivee meree.
chale jo
phatphatee(motorcycle)neend mein uskee.
rahe phir saree raat safar
mein bivee meree.
Click
here to give your comment
AB DEKHIAY TAHERTEY HEY JA KAR NAZAR KAHAN
by
ismail
roushan
JALWAY A HUSN-E YAAR K HEIN
MUTABER KAHAN
AB DEKHEAY TAHERTI HEY
JAKER NAZAR KAHAN
SAH'RAH-E DARD MEIN HAY BHATAKNA
MERA NASEEB
SAYA JO DEY SAKAY MUJHAY AISA
SHA'JAR KAHAN
GUM HOGAY KHULOOS WO MOHABBET K
BAAM WO DER
DAYRAH WAFA KA HO JAHAN AISA HAY
GHAR KAHAN
RUK'H MORD KER WO CHAL DIYA KYUN
KER HO ESS KA GHAM
PAYA HAY KIS NAY HAAN BHALA
AISA HUNER KAHAN
DER SAY AMEER-E-SHAHER K
ROUSHAN RAHO KHAMOOSH
WARNA HAY DASTAN SITAM
MUQTASER KAHAN
Click
here to give your comment
SUN O HUME YAAD KARNE WAALE.... by hyder-e-aashuftah
hum,
shaam ki gehri chup mei
tanhai se teri baat
karte hai
dasht e maazi mei
kasdan bhatak k
taa saher wahi makaam
karte hai
sun o hume yaad karne
waale
hum bhi tujhe yaad
karte hai
dil to apna un bhuja
bhuja rehta hai
tere khayaal aake
charaag karte hai
ab hijra mei charagari
k liye
hum tasavvur pe hi
itemaat karte hai
sun o hume yaad karne
waale
hum bhi tujhe yaad
karte hai
kuch majbooria hai jo
roke hai
tere milne ka to hum
armaan karte hai
yakeen rakh hargiz hum
bewafa nai
mere pyaare hum tujhe
pyar karte hai
sun o hume yaad karne
waale
hum bhi tujhe yaad
karte hai
Click
here to give your comment
Taish- Rajbhasha Hindi... by
Taish
cheyaasath saal ke baad bhi aaj hum hain ghulam,
beta pita ko dad kehta mataji ko mom.
aadat si pad gayi hai hum ko ghulami ki subah shaam,
subah uth kar good morning kehte bhool gaye pranam.
pehle baron ke pair chute aur karte namaskar,
kahan gaya wo bharat ka pehle wala sanskar.
sahar walon ki baat choriye achuta nahi hai gaun,
bhool gaye sanskar sabhi chuta nahi koi paun.
angrez gaye,par chor gaye apni sanskriti aur bhasha,
sab ke mann me jor marti angrez ban ne ki abhilasha.
tab kaise poori hogi baapu ke mann ki aasha,
charon taraf dikhayi deti hindi ke prati nirasha ......
Read
full or give comments..
भला मासूम आसुंओं को, सजा क्या देना...
by
amitdehati
याद आ जाये गर कभी, तो मुस्करा लेना ,
भला मासूम आसुंओं को, सजा क्या देना |
मुझको मालुम हैं, यूँ ही न भुला पाओगे ,
याद-करके-बीते-लम्हों को, सदा क्या देना |
कभी हँसता कभी रोता हूँ, याद करके तुझे,
कभी तुझको भी ऐसा हो, तो ये जता देना |
तुम मुझसे नहीं मिल पाओगे, मुझको है खबर,
मगर मुझको बुलाना, चाहों तो बता देना |
Read
full or give comments..
NAYE MATLAB,NAYE AAYAAM DIYE LOGON
NE by
F.H.SIDDIQUI
Naye matlab , naye aayaam
diye logoN ne
Khaamushi ko meri sau naam
diye logoN ne
Kitne Afsaane meri zaat se
mansoob kiye
Unko man chaahe phir Anjaam
diye logoN ne
Hum ko Paagal kaha , Majnu kaha
,Deewana kaha
Ishq meiN kya na hamein
naam diye logoN ne
Apni marzi se Rah-e-Zeest bhi
tai kar na sake
Har qadam par naye
Ahkaam diye logoN ne
Read
full or give comments..
मुझसे मेरा हाल न पूछो.. by
anand mohan
मुझसे मेरा हाल न पूछो,
यारों यह सवाल ना पूछो,
जिंदा हूँ- इतना काफी है,
अगला-पिछला साल ना पूछो .
मैं रहता हूँ तन्हाई में,
मैं खुश हूँ इस रुसवाई में,
ले मैली चादर वफ़ा की मैं,
रहा ढूंढ खुदा हरजाई में .
इस चाहत की मिसाल न पूछो ,
जेहन में बसे खयाल ना पूछो ,
जिंदा हूँ- इतना काफी है,
अगला-पिछला साल ना पूछो .
Read
full or give comments..
be-zubaa.n....... by
Sheba
khaamosh-khamosh sa kaarwaa.n mila!
nazro.n se bhi
be-zubaa.n mila!!
ki
jo chaahat falak ki main ne.
tukde-tukde mein
aasmaa.n mila!
meri
talkhi mein dooba hua.
ek-ek lafz
hairaa.n mila!
shakl shaitaan
ki liye hue.
bade adab se
insaa.n mila!
Read
full or give comments..
naam------ by
marhoom
bahayaat
apni qurbat ka kuch
aisa inaam do!
ek
safar saath mere anjaam
do!
phir na
rakhoo.n qadam maikhaane kabhi!
chhoo kar
honto.n se paimaana-e-jaam do!
lahra kar
gesoo.n ko tum fiza mein!
bahaaro.n
ko bahakti hui ek shaam do!
manzil-e-maqsood
se anjaan raahi ko!
rakh kar
qadam uske rahguzar ko moqaam do!
dil-o-jigar
sabhi haara hai mohabbat mein!
rahne do
dillagi na ishq ka naam do!
nazar hi
kaafi thi samajhne ko MARHOOM!
apni
aakho.n ko na ab
ilzaam do!
Read
full or give comments..
kya shor-e-janaaza bolega ... by
zarraa
kya dood-e-chita bolega mera kya shor-e-janaaza bolega
jab khwahish thi tab chup tha dil ab be-armaaN kya bolega
jab baad-e-bahaaree ke mausam kuchh baat chalee na kaliyoN
ki
kyuN kar ke khizaaN ke shikwe meiN kya baagh bechaara bolega
jo naam bhulaane ki khaatir jaaya karte maykhaanoN meiN
wo naam chura laayee saaqee saara maykhaana bolega
patthar ki butoN meiN bhi na mile saaqee ki bhi baatoN meiN
na mile
tum sa na koyee khaamosh raha aur koyee na tum sa bolega
Click
here to give your comment
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !
Some more noticeable work :
Taish- ishq pe laagu ye KAHAAVAT nahiN
hoti...!! by
Taish
Waqt Ka Taqaaza Hai Sambhal Kar Chalo
"Khwahish" by
khwahish
tUm se phiR hUm hoNey laGee hai,.......
by
laaiba
NAARI SURAKSHA.... by
Mohammad
Touhid
Kaiku Aese Kaama Kar Raen by
Iqtedar
बेचारगी---- by
srishti
raj chintak
Tujhko salaam karlun to main chalun.. by
sahal
aata hai khayaal ab to is dil ke liye...
by
irshad
ahmed siddiqui
Apne pyaar ka sahara de do... by
aqsh
Mere hasti me hai bik jana.. by
premdeep
LA PILA DE MUJHE ABB KE JAAM AAKHRI ! by
Rehand Mubarak
Surmai shaam sa savera ho by
@Kaash
Ishq hai tujhse.. by
nashwani
VAHEE PURANAA KHEL HAI JANAB by
qalb
Tu Yaad Aa Raha Hai Phir Bhulane Ke Baad
Bhi. by
Rajnish.raaj
Aisa Nahin Hota by
cifar
Khujli..... by
Shihab
doosri kami hai tu ... by
janumanu
उतरांचल की तबाही..माँगें खुदा से दुआएँ..
by
BANSI DHAMEJA
We are always open for your suggestion and feedback,
please visit Feedback
and Suggestion section to let us know your views and
suggestion.
Tasweer boltee hai,... by laaiba
An interesting poetic thread inspired from Pictures..
khu.l nahin paayegaa ab zindagee mein dard kaa baab,
laf.z pheeke pad gaye be rang ho gayee dil ki kitab
Taish- ek KHAT khamoshiyoN se bhara...!!
Mere Zehan ki wusat me usska tasavvur jaise,meri pahunch se
door kaheen sookhi hui, sehmi hui, tanha zamee per Kuch
qatre shabnam ke,or usska ehsaas jaise Meri Shayri me rang
phoolon ke,Usski yaaden jaise mere Dil-o-dimaag ke beehad or
sunaan jangle me hawaaon ka sangeet,usske khwaab jaise kissi
marte hue shaks ko aas Zindgi ki,Isske saath Usska kabhi na
khatm ho sakne waala intzaar .. kuch na-mukammal duaaen use
paane ki,jo her rab se ki gayi thee,Inper bhi ek vaahiyaat
umeed usske aane ki jo
maasoom dil-e-nadaan khud me zabt kiye baitha hai,ye sab
Apni shaksiyat ke saath tanhayi ke andheron ki chadar me
lapete maazi ke samander ki gehrayi me bhooli bisri
khwahison ke patther ke niche dabaane ke baad Ek nayaa shaks
bann ker zamaane ki mehfilon me laut aaya ,Main andheron ka
musafir roshini me laut aaya Ek naya chehra liye ek nayi
pehchaan liye,Phir socha ki ek khat likhker ussko alvida keh
doon or apne marrne ki ittilaah keh doon,Likhne ke liye na
samander si syaahi mili or na he Baadalon ko kaagaz banaa
sakaa,kuch sitaare chaahtaa thaa lafzon ki sajaawat ke liye
wo bhi tod ker na la sakaa to phir Dher saari khaamoshi likh
ker khat me bhej di maine
.........
Click
here to give your comment