Visit eTI - etalkindia.com
eTI is Yoindia Shayriadab's sister site for all non-poetic
question and discussions. It was created so that we can
always concentrate on Poetry at YOS and non-poetic
discussions can be redirect to eTalkindia.com . You can
share your experience, help others and can even
get expert advices on eTI an any kind of topic
(excluding poetry, for that we have YOS). Hopefully like
YOS, we can also make eTI beautiful place for all
non-poetic but sensible plateform for information
exchange. So see you on etalkindia.com.
Some poetry updates from
previous month
MAUT BHEE AISEE KEE ZINDA HAIN!!
by qalb
tu meree chaahat se
paresha.n kyon hai.
insaan hoo.n iss pe hairaa.n kyon hai.
hai toh zulf,ghaneree rukhsaar pe itnee.
phir tere chehre pe khizaa.n kyon hai.
jigar-o-dimaag-o- jism saath chhod chale.
kambakht phir ye dil javaa.n kyon hai.
hain ta'daad zind.on kee jab hujoom mein.
thahraa huaa sa phir kaarvaa.n kyon hai.
haadse se waaqif nahin jo tere shahr ke log.
toh ishq-e- qalb kee itnee daasta.n kyon hai.
Click to view or comment...
Chimta chala ke mara- belan ghuma ke
mara by charchchit32
Chimta Chala Ke Mara, Belan Ghuma Ke Mara
Fir Bhi Bache Rahe To, Bhookha Sula Ke Mara
Barson Se Chal Raha Hai, Dahashat Ka Silsila Ye
Biwi Ne Zindagi Ko, Dijakh Bana ke Mara
Kaise Batayen Kitni Manhoos Wo Ghadi Thi
Ik SHer Ko hai Jisne, Shauhar Bana Ke Mara
Waise To Kam Nahin hain, Hum Bhi Yun Dillagi Mein
Us pe Nigaah Aksar Us se Bacha ke Mara
'Charchit' Ko Yun To Dikkat, Charcha Se thi Nahin Par
Biwi Ne Aashiqi ko, Mudda Bana Ke Mara
Read
more or comment..
SHAADEE KAA LADDOO. by sksaini4
Shaadee karke ye
nateejaa paa rahe.
Saat bachhoN ke pitaa kahlaa
rahe.
Ab qasam khaai n hogaa
aathwaa.
Chaarpaai chok meN bichhwaa
rahe.
Fees pee jaatee hai poree
selaree.
Ab guroodwaare meN bachhe jaa
rahe.
Mujhpe hee bachhe gaye haiN sab ke sab.
Sab sawaaloN meN sifar hee laa rahe.
Chamchaa,chimtaa aur belan ko bajaa.
Ghar meN dee je kaa mazaa ham paa rahe.
Read
more or comment..
BAGH MEIN TITLIYAN NAHEEN AAYEEN . by
F.H.SIDDIQUI
Shor barpa
hai aaj BhounroN ka ,
Bagh meiN TitliyaaN naheeN
aayeeN
Uss ne mujh ko bhula
diya shaayed ,
Arse se Hichkiyaan naheeN
aayeeN
Pahlu - e - Yaar meiN guzarti
theeN ,
Waisi phir sardiyaaN naheeN
aayeeN
Qadr - e - Azaadi jaaneiN kya ,
jinke ,
PairoN meiN BediyaaaN naheeN
aayeeN
Chup hui phadphada ke phir
Bulbul ,
Chonch meiN teeliyaaN naheeN
aayeeN
MotiyoN ko taras
gayeeN BoondeiN ,
Daam meiN seepiyaaN
naheeN aayeeN
Hanste - Hanste badal
gaye Raste ,
RishtoN meiN talkhiyaaN naheeN
aayeeN
Read
more or comment..
पेङ को सींच तो पसीने से----'परम'
by Anaarhi
दास इच्छाओं का नहीं होता !
आदमी क्या ख़ुदा नहीं होता ?
हमसफ़र मुझको अपना रहने दे,
दुश्मनो का पता नहीं होता.
जी हाँ दुश्मन भी दोस्त बन जाएं,
मुस्कुरा दो तो क्या नहीं होता.
पेङ को सींच तो पसीने से,
देख कैसे हरा नहीं होता.
मोह पगङी का छोङ देता गर,
सर ज़मीं पर पङा नहीं होता.
आइना रोज़ ही बताता है
कोइ ख़ुद से बङा नहीं होता.
Read
more or comment..
Patthar by Sheba
machalte hue
armaano.n ko sambhaal rakha hai!
kuch aise hi khud ko behaal
rakha hai!!
naa aaye nazar kisi ko
aansoo mere.
rone se pahle ye khayaal
rakha hai!
taiy shudaa taarikh pe wisaal-e-yaar
mein.
jalaa kar chiraag har saal
rakha hai!
lage poochne ab mujh se hi
sabab iska.
nigaah ne meri jo sawaal
rakha hai!
Read
more or comment..
Aksar log badal jate hain kyu.
by premdeep
Aksar log badal jate haiN kyu
chehre naye dikhate haiN kyu..
Haqekat mein jab mil nahi pate
sapne me phir ate haiN kyu....
kisi ko yun hansate hanshate
khud hi rooth jaate hain kyu...
Haarne ka gar jo dar hai itna
To dil ki bazi lagate hain kyu....
jinko nafrat thi kabhi peene se
mehkhane me nazar aate hain kyu..
bikte the kabhi jazbaat yaha par
dil ki dukaan lagate hain kyu..
hausala jab daria paar ka tha
sahil se hi laut jate hain kyu...
Click
to view or comment...
तुम जो बदले तो by samir
parimal
तुम जो बदले तो ज़माने को बदलते देखा,
भींगी पलकों पे समंदर को मचलते देखा.
जब भी दीदार ख्यालों ने किया है तेरा,
दौलते-हुस्न को अश'आर में ढलते देखा.
आसमां जैसे उतर आया शहर में तेरे,
रात कूचे में तेरे चाँद टहलते देखा.
ठोकरें खा के संभलते हैं, सुना करते थे,
ठोकरें खा के भी आशिक़ को फिसलते देखा.
बेवफा उसको कहें, गैर-मुनासिब होगा,
इश्क़ की आग में पत्थर भी उबलते देखा.
Click
to view or comment...
Sirf Tum....... ParwaaZ by
ParwaaZ
Meri tanha zindagi ko sahaara
chahiye
Mujhe bhi koi humsafar pyaara chahiye
Dil thame baithe hai ankho me hum apne
Teri jumbish e palak se ishaara chahiye
Jawani ke talatum se doobte ubharte
Thake huye manjhi ko kinaara chahiye
Bus ek badal ishq ka barse mere dil par
Khiza e dil ko bahar e nazaara chahiye
Ho jaye roshan Zindagi o Dil ka gulshan
Hum ko taqdeer ka woh sitaara chahiye
Tujhse ilteja hai ye duaa hai meri ya Rab!
Khoya tha jise maine woh dobara chahiye
Click
to view or comment...
ग़ज़ल (कृष्ण सुकुमार) by Krishna
Sukumar
इक सघन छाया तले बीते हुए
पल की तरह
ज़िन्दगी की धूप में हैं ख़्वाब
आँचल की तरह
रीत जाते हैं किसी की चाह में हम
उम्र भर
लौट जाते हैं बरस कर एक
बादल की तरह
इस क़दर झूठी दलीलों ने
हिलाया पेड़ को
टूट कर सच गिर पड़ा इक अधपके फल की तरह
इक अधूरेपन भरा एहसास है
यह ज़िन्दगी
रोज़ करते हैं वहीँ से फिर सफ़र
कल की तरह
ख़्वाब में पानी पियें तो प्यास बुझती
ही नहीं
ज़िन्दगी भी ख़ूबसूरत है इसी
छल की तरह
Click
to view or comment...
MERA LUCKNOW by mkv
Lucknow Lucknow yeh mera
Lucknow
Gomtee ke kinare basa Lucknow
AasmaaN choomtee buildinge ban gayee
Mumbai dilli (Delhi) sa dikh raha Lucknow
yun to mashhoor iskee navaabee ada
Jang e aazaadi bhee hai ladaa Lucknow
GhuNgruoN se saje khoob kothe yahaN
Geet ghazloN ka baazaar tha Lucknow
YO ki duniya ko kitne sitaare diye
Kya ‘Hasan’ kya ‘Arun’ Shukriya Lucknow
Dee hai pahchaan ghazloN ko Beghum ne jo
Fakhr se sir tera uth gaya Lucknow
Click
to view or comment...
हम न बोलेंगे मगर . by arunmishra
हम न बोलेंगे मगर, फिर भी
बुलाओ तो सही।
यूँ कि, हम रूठे हुये, हमको मनाओ तो
सही।।
नाज़ो - अंदाज़ के, सुनते हैं,
बड़े रसिया हो।
मैं भी तो जानूँ , मेरे नाज़
उठाओ तो सही।।
बात छोटी सी भी, तुम दिल पे लगा
लेते हो।
कुछ बड़ी बात न मैं, दिल से लगाओ तो सही।।
हाँ हमें हीरों के कंगन की,
तमन्ना तो है।
तुम हरे काँच की कुछ चूड़ियाँ लाओ तो सही।।
हम ‘अरुन’ फूलों को, समझेंगे फ़लक के तारे।
तुम मेरे जूड़े में, इक गजरा लगाओ तो सही।।
Any
views or comment ?
Paas Aane Ki Baat Karte Hain by
Satish
Shukla
paas aane kee baat karte haiN
Muskuraane kee baat karte haiN
loot kar adulate sukooN aakhir
kis khazaane kee baat karte haiN
dil to maaniNde saNg hai fir bhee
dil lagane kee baat karte haiN
roothne ka naheeN hai dhab jinko
wo manane kee baat karte haiN
maalo-zar ke liye faqat dekho
gidgidane kee baat karte haiN
Read
full or give comment
MUKAMMAL JAHAAN.. by Iftakhar
Ahmad
ZameeN ho
gai aasmaaN ho
gaya
Mukammal mera ab jahaaN ho
gaya
Tujhe paa ke
raushan hui zindagi
DarakhshaaN falak kehkeshaaN ho gaya
Nazeer-e-qamar ka jo charcha
chida
Tera naam mujh se bayaaN
ho gaya
Chupaaye rakha muddatoN
haal-e-dil
Wo ek roz aakhir
ayaaN ho gaya
Giraaya jo ghooNghat hai tune
sanam
Qamar baadloN meiN nihaaN
ho gaya
Usse dekh ke yak ba yak
bazm meiN
Nazar ruk gai
be-zubaaN ho gaya
Tujhe paa ke dilbar
mere ‘Iftakhar’
Chaman ho gaya aashiyaaN
ho gaya
Give
your comment to Iftakhar
Unhain husn key aasmaan pai bithhaauun?
by abdbundeli
Tumhain kis bahaaney bulaakar
manaauun?
Karuun kyaa? Puraanee gazal gungunaauun?
Jahaan unkee raanaaiyaan muskuraayen,
Wahee misraa aalaa unheen ko sunaauun!!
Padhhuun unkey shokh-o-tarab pai qaseedey;
Unhain husn key aasmaan pai bithhaauun?
Nazar sey nazar aa miley bhi to kyaa hai;
Agar wo hataa leyn, to, kaisey milaauun?
Sunaa hai, ki, wo bhuul jaayengey hamko:
‘Abd’, kaash, main bhee unhain bhuul paauun?
Post
your comments
SEEKH JAAYEGAA. by sksaini4
Abhee kamsin hai gir-gir
kar sambhalanaa seekh jaayegaa.
Parindaa hai ye apne aap
udnaa seekh jaayegaa.
Binaa hee zurm ke rahnaa
pade jisko hiraasat meN.
Rihaa hone pe ik din qatl
karnaa seekh jaayegaa.
Too zimmedaariyoN kaa bojh jis
din bhee uthaa legaa.
Usee din too bhee angaaroN pe chalnaa
seekh jaayegaa.
Tere maasoom bachhe par chalegee
jab kabhee golee.
Tabhee vahshee darindoN se too darnaa
seekh jaayegaa.Give
your views and read more
yaadan terian ni sanu jeen naio dendia..
by MOL
Kade rehndi c o akhan mure hasdi,
Aj o marjani pta ni kithe rehndi vasdi,,
Umar Lang chali tere zakhma nu sendia,,
Yaadan terian menu jeen naio dindia.......
Ena kita c pyar kise ni kita v ni hona,
Badle ch ohne dita bs ik rona,,,
Neend na ave par akhaan merian nendian,,,
Yadan terian ni c sanu jeen naio dendian.....
Bhul k khuda nu tenu rab man liya c,
Tenu tathi VA lagi c dil Ron lag piya c,
Mere khushi valia kuliyan ik ik kar k dendia,,
Yadan terian sanu jeen naio dendia.....
Give
your views and read more
Teri yaado.n ke jharokhe kabhi . by
irshad
ahmed siddiqui
Teri yaado.n ke jharokhe kabhi mujhe tanha hone nahi dete
mera wajuud baki rehta hai woh
mujhe khone nahi dete
mat daal in mehaktey huye phoolo.n
ko meri qabr par
meri ulfat se hai wasta inka ye gul mujhe sone nahi dete
katra katra girte huye teri aankho.n se ashko.n ke moti
tanhaii me.n bhi mujh ko kabhi
tanha hone nahi dete
Give
your views and read more
Tujhe Izazat Hai.. by nashwani
Chal ke sath do kadam bhale
fir chhod dena sath
tujhe izazat hai..
Ban ke iss jism ka saaya ek bar bhale fir chhod jana iss
ruh ko tanha
tujhe izazat hai..
Dekh kar hame ek bar bhale fir pher lena nazar
tujhe izazat hai..
De kar ek chandni rat bhale fir dena tohfa kai andheri
rato ka
tujhe izazat hai..
Kar ke do bate muskurahat bhari bhale fir chhod jana
gamo ka khajana
tujhe izazat hai..
Give
your views and read more
Mera Junoon Meri Khwahish Meri Waffa Ho
Tum by khwahish
Mere Dil Se jo Nikli Woh Ek Dua
Ho Tum
Meri Chaahat Ki Koi Intehaa Ho Tum
Main Kaun Hoon Kya Hoon Khabar Nahi Mujhe
Marte Hue Ke Liye Bas Koi Dawa Ho Tum
Ek Khayal Ki Tarah Hoon Jo Bikhra Pada Hai
Yeh Sach Hai Meri Awaaz Meri Sada ho Tum
Yeh Ehataraam Bhi Bahut Ke Koi Mere Saath Hai
Mera Junoon,Meri Khwahish,Meri Waffa Ho Tum
Tufaano MeN Bhi Ek Diye Ki Tarah jalta Rahe
Har kadam Par Jo Himmat De Woh Hausla Ho Tum
"Khwahish" Is Duniya MeN Akele Rehte To Mar Jaate
Meri Khushiyon Ka, Zindagi meN Falsafa Ho Tum
Give
your views and read more
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !
Some more noticeable work :
FARSH SE ARSH TAK.. by Iftakhar
Ahmad
बस्तियां जलीं होगी ... by Bishwajeet
'Musaahib'
Sanson ki jabtak ravani rahegi by Sudhir Ashq
मुझको अना ही लाई है by mamta bajpai
qurBaton mein faaSlaa bhi zarooRee hai,.
by laaiba
Naa Bhulna Hume Apna Banaane Ke Baad. by Shireen Hakani
राख़ से लिपटी हुई, सर्द सी आहें by livingbytheday
करती है धुन परेशां मुझको साज़ से .. by Bishwajeet 'Musaahib'
किश्ती...अमित प्रकाश "मीत"
by amit_prakash_meet
Tujhe zamaane se begaana kar doon. by aqsh
Apna Ghar Bachaa Na Sake,.{AS} by Azeem Aarzu
KYA POOCHH RAHE HAIN by F.H.SIDDIQUI
ये हक़ीक़त छिपा गई मुस्कान----'परम'
by Anaarhi
RUKH E JAANA PE BUDHAPA NAHI LAANA YA RAB by F.H.SIDDIQUI
We are always open for your suggestion and feedback,
please visit Feedback
and
Suggestion section to let us know your views and
suggestion.
Yoindia Stats:
Total Poetry Lovers: 47,043
Total Posts: 1350059
Latest Member :sidadams