Some poetry updates from
previous month
Tadap ke mar gaye hote............ by
sidra04
ye aarzoo thi tujhe gul ke roobaroo karte,
tere jamaal ki khushbuu ko chaar soo karte.
kisi Gulaab ka bosaa bhi le na paaye haiN,
Khud apne aap ko kaise lahoo lahoo karte.
parastish meiN agar terii hame miltii maafi,
tahajjud meiN tujhe hum yaad baa-wuzoo karte.
Qafas se chhooT bhi jaate to aur kyaa karte,
tiraa hi zikr sanam hum to koobakoo karte,
Click
here to give your comment
Gam se mera rishta... by
Aqsh
Bada hi khoob tohfa meri
wafa ka mere yaar ne diya
Bhula kar sabhi ahd e wafa lamha e intezaar diya
Gam se mera rishta, dobara kar gaye
Chhudakar mera haath, kinaara kar gaye
Bhulakar qasmeiN, saath nibhaane ki
Beech safar meiN, besahara kar gaye
Unke deed ke liye, tarasti rahi aankhein
Par woh kisi aur ko apna, nazaraa kar gaye
Click
here to give your comment
Ik aashiyaanaa hai ... by
zarraa
ab hawaa hai n aab-o-daanaa hai
bas chaman meiN ik aashiyaanaa hai
keh rahee hai sabaa bhi ab ke baras
fasl-e-gul ka naheeN thikaanaa hai
saath khushiyoN ka chand-rozaa hai
gham se rishhtaa barhaa puraanaa hai
kuchh to rehmat bhi ho chalee dushwaar
kuchh jafaaoN ka ye zamaanaa hai
Click
here to give your comment
MAAN KEE NAZR
by
sksaini4
Apne hisse kee bhee maaN
mujhko khilaa detee thee.
Khud ne khaalee hai vo waalid ko bataa detee thee.
MaiN bhatakne lgaa jab-jab bhee kabhee raste se.
Kheench kar mujhko maaN raste pe lagaa detee thee.
Meree shaitaaniyoN se hoke khafaa maaN aksar.
Peet kar meraa buraa haal banaa detee thee.
KhwaahisheN maine agar saamne maaN ke rakh dee.
Sabko manjoor vo waalid se karaa detee thee.
Mujhko jab- jab kisee ne tedhee nazar se dekhaa.
Uskee pal bhar meN vo auqaat dikhaa detee thee.
Click
here to give your comment
यूँ मिलने मिलाने
में क्या हर्ज है.
मेरे पास आने
में क्या हर्ज है.
तबस्सुम भी देता है दिल
को सुकुँ,
ज़रा मुस्कुराने में
क्या हर्ज है.
मुहब्बत भी है इक नशा
दोस्तों,
कि पीने पिलाने में
क्या हर्ज है.
कह देने से हल्का होता
है मन,
दिल की सुनाने में क्या
हर्ज है.
Click
here to give your comment
Main To Ek Khwahish Ki Tarah Hoon by
khwahish
Jaane Kaisi Kashish Hai
Uskee Yaadon Mein Khuda Jaane . . .
Uss Ka Zikr Bhi Karoon Toh Hawaayein Shor Karti
Hai......
Inn AshqoN Ne AankhoN Se
To Utar Jaana hai
Par Tu Hi Bataa Bin Tere Ab Kidhar Jaana Hai
Jee meN Aaye Woh Saza Dena Gar Yeh Jhoot Hai
Hum Bichde To Shisha-e-Dil Ne Bikhar Jaana Hai
Sab Fasaane Ek Se Lagte HaiN Yeh Jaanta Hoon Main
Par Kuch LafzoN Ne Tere Dil MeN Ghar Kar Jaana Hai
Ek Lamhe MeN Baras Jaate HaiN Gham Ke Baadal Aksar
Tu Saath Ho To Har Mushkil Raah Se Guzar Jaana Hai
Main Jaanta HuN Zindagi MeN Tabdiliyaan Bhi Aati Hi
Hai
Ishq Ka Junoon Zinda Rehta Hai,Ishq Ne Kab Mar Jaana
Hai
Click
here to give your comment
Ufaq by
Sheba
baat saaqi
se maikhaane tak chali!
ke mohabbat roothne se manaane tak
chali!!
hue faut amir-e-shahr jis
adaa pe kabhi.
ghazlo.n mein wo adaa zamaane
tak chali!
parwaaz mere zehan ki ajeeb tamanaa
liye .
zameen ko ufaq se
milaane tak chali!
khandhar
ye bataa raha rote hue
sabko.
jung-e-ishq yahaan
mitaane tak chali!
kaafila tajalliyon ka
badha jo apni taraf.
roshni raat ki phir
ujaala aane tak chali!
Click
here to give your comment
KUCHH KHWAAB BONE DO by
F.H.SIDDIQUI
Jo hota hai woh hone do
Mujhe baanhoN meiN sone do
Zara dekhooN haiN Khamm kitne
Ghani zulfoN meiN khone do
Dilaase baad meiN dena
Abhi jee bhar ke rone do
Gale milne do Dushman se
DiloN ke daagh dhone do
Click
here to give your comment
Wo ake larki by
vb
Udaas lay men, suhaag naghmay, ko gaa rahi thi, wo ake larki
Hamaray bister, say jub kitaaben, utha rahi thi, wo ake
larki
Jo hum ne phenkay, adhuray naghmay, adhuray geet or, adhuray
sapnay
Hamaray kamray, ki tokri say, utha rahi thi, wo ake larki
Wo parchiyan, jin pay sher likh kar, hum apnay table, pay
bhool jaatay
Bayaaz-e-ulfat, ki diary main, saja rahi thi, wo ake larki
Kabhi jo baaton, main baat aai, mohabbaton ki, rafaaqaton ki
Tu dil ki baton, ko saadgi say, chhupa rahi thi, wo ake
larki
Hamara sheva, tha us say larna, par us ki aadat, khamoshe
rehna
Gai ruton kay, fareb phir say, jaga rahi thi, wo ake larki
Click
here to give your comment
MOHABBAT KI SHAMMA... by
Iftakhar
Ahmad
Sab armaan dil
meN dabaae rakhe haiN
Sabhi hasratoN ko sulaae
rakhe haiN
Kabhi sochta huN k
saare ugal duN
Jo armaan dil meN dabaae
rakhe haiN
Mujhe dar hai inko hawa
lag n jaae
Ye sholay jo dil meN bujhaae
rakhe haiN
Mera dil ye khud ka hi khud raazdaaN hai
Kai raaz dil meN chupaae
rakhe haiN
Tuloo pe talaatum magar dil meN phir bhi
Mohabbat ki shamma jalaae rakhe
haiN
Click
here to give your comment
Mere Dil Ki Ho Tum Dhadkan,
Nazar Ka Noor Bhi Tum Ho
Sukoon’e’Qhalb Ho Tum Hi, Jigar Ka Khoon Bhi Tum Ho
Tumhen Sab Kuch Aata Karde Khuda Jiski Talab Tumko
Tumhare Erd Gird Kante Nahi, Bas Phool Shabnam Ho
Sada Hansti Rahen Aankhen, Sada Banchen Ye Muskayen
Kabhi Bhi Zindagani May, Nahi Ye Chasm Pur Nam Ho
Har Ek Din Eid Jaesa Ho, Deewali Jaesi Har Raaten
Baharon May Kate Jiwan Kabhi Khushiyan Na Phir Kam Ho
Click
here to give your comment
Har baar jis khayaal ne aaker rula diya
by
Ram
Saraswat
Kya yaad karein usko jo ham ne bhula diya,
har baar jis khayaal ne aaker rula diya.
Har waqt machalta rahaa maasoom ki tarah,
hamne to man ke paalne mein bhi jhula diya
Hasrat kisi bhi dil mein kaho kab nahi hotin ,
hamne to hasraton ko bhi dil mein sula dila
Zahir tha be rukhii ka sabab hamko to mager,
paigham e mohabbat unhein fir bhi khula diya
Click
here to give your comment
Zara si der meN .
by
mkv
Zara si der meN
andaaz-e-guftaguu badla
ZubaaN ke khulte hee maahaul chaar suu badla
baha ke ashk yahaN log bhool jaate haiN
badal gaye haiN sabhee par na yaar tuu badla
ragoN me daud raha dharm hai na mazhab hai
raha hai laal hamesha na ye lahoo badla
chhupa saka na nigaahoN ka dard phooloN se
hue udaas sabhee apna rang-o-buu badla
Click
here to give your comment
uSs KE lehje ki talkhee Kaa.m ker gaYee by
laaiba
dar.d ek beyja mere Naa .m kar gaYee
us ke lahje ki talkHee Kaa.m kar gaYee,...
ab koyee laf.z dil meiN utre gaa nahiN,..
jab mohabbat hi dil Khaa.m ker gaYee
chupke se ek saNaatta dil mein utra hai
khamoshi dil meiN hee Muqaa.m ker gaYee,
hij.r kee ab haWaa aisee chaLee hai ke,...
dil ke band sab hi dar or Baa.m ker gaYee
Click
here to give your comment
Mumkin nhi... by
ambalika
sharma
Ye aalam kuch is tarah se ban gaya hai,
Ye pal is tarah tham gaya hai,
Ke tujhe bhool pana mumkin nhi.
Is nigah se teri surat hatana mumkin nhi.
Ek najar vo teri seene me bas gayi hai is kadar,
Tere saae se ab nizat pana mumkin nhi.
Mere katil bta mujhe ab kya karu,
Kya karu ke tere bin jeene me koi dard na ho.
Kyunki ab is dard me jee pana mumkin nhi.
Click
here to give your comment
Sometimes,
i think,,
Why do i sleep too much,,
May be its because i am lazy..
Or may be these are ur dreams,,
Dat has driven me crazy..
Everyday, in my dreams, i see you, i feel you,,
Still i wonder, why those moments, can't come true..
When i stand, early morning, with extended arms,,
Cold breeze, just take me into da world of ur charms..
Click
here to give your comment
KHOPADIA GHOOM GAEE HAMAAR !!!!!!!!!!!!!!! by
qalb
hum bhee surr ghootaa
ke dekhe.N ge.
naakhoono.N se khujaa
ke dekhe.N ge.
hain pareshaan ganje,
yahaan OLO.N se.
hum bhee inhe.N aazmaa
ke dekhe.N ge.
hogee, GANJEE HASEENA kee bhee taarif
zarur.
ghazlo.N mein oostura ghusaa ke dekhe.N
ge.
shaayad kar le.N hume.N shaamil
saath apne.
dukhra zulfo.N ko
sunaa ke dekhe.N ge.
Click
here to give your comment
Rukhsaar-------------------- by
marhoom
bahayaat
khush-khush
sa phool jo kal khilaa tha!
rotaa
hua mujh ko wo aaj
milaa tha!
lafzo.n ki
adaaye gi mein hai kamzor bahut!
kaise
kahu.n mujh se kya gilaa
tha!
rooth
gaya akhir maiqade se aaj
saaqi !
chhotaa
saath iska jo azal se silsila tha!
unki
aamad ne phir se ek zindagi bakhshi!
hua
khamosh dil mein jo ek
zalzala tha!
kiya
qaid safeene ne uss roz jo dariya ko!
yaqeen
na ho MARHOOM wo aisa marhalaa tha!
Click
here to give your comment
छाती पर मारा कीजे by
Zaif
अब तो चाहिए है, एक पुख़्ता चारा* कीजे |
दुख, कबतक, शायरी में उतारा कीजे?
पीठ पे वार तो बुज़दिल की निशानी है,
दम हो तो सीधा छाती पर मारा कीजे |
अजब हाल है, महफ़िल रास नहीं आती,
अब तो ख़ल्वतों* ही में गुज़ारा कीजे |
हर बात में होता है अब ज़िक्र आपका,
कभी आप भी सनम! ज़िक्र हमारा कीजे |
Click
here to give your comment
जिंदा नही है
हम by
prateekagarwal
यू ही मर मर के जीने की सज़ा पाई
है हमने
इस दिल की खातिर
जखम कई खाया है हम नै
एक हमसफ़र की चहा में
खो गय कई मकाम
खुद पथर लगाकर ठोकरे
खाई है खुद हम नै
दिल भी जला और ज़ा भी जली
जल गये अरमान
ये आग अपने दामन में
खुद लगायी है हम नै
खुद के लिय खुद ही सज़ा
पाइ है हम नै
Click
here to give your comment
It is impossible to show here all those remarkable
work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry
then you may see it yourself and even share your with
community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia
Shayariadab ... !
Some more noticeable work :
KANGAN by
sksaini4
maiN bhi KORAA huN, tum bhi SAADE ho...!!
by Taish
NAZAR SE HI SAB KUCH BAYAA.N HO RAHA HAI by
Iftakhar
Ahmad
Shahnaai........... by
adil
bechain
KHWAAB SO JAATE ... by
zarraa
Le Kar Kabhi Naam Humara Muskuraaya Kijiye by
Shireen
Hakani
Khud ko aazmane ki koshish kii..... by
sahal
<>*Tu aisa paagal kyun hai ??*<>
by
*KasaK*....Dil Ki
aaj phir yaad by
vb
DHUNDLA - DHUNDLA NISHAAN BAAQI HAI by
F.H.SIDDIQUI
जलने से जादा जलाती है मोहब्बत ... by
Bishwajeet 'Musaahib'
-----/// Ehsaan ///----- by
~Hriday~
!!!..Aarzoo..!!! by
nashwani
insaan....... by
adil bechain
US SE KEHNA by
ARK333
HINGLIS-VINGLIS!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
by
qalb
palkon ko jhukaa detaa hai by
sidra04
BUDHE MAA -BAAP.......... by
soudagar
~ Jannat pana chahte hai ~by
-Rahim-
Idhar ham le ke dil meN khwaahish e deedaar
baiThe haiN. by
Ghulam Haider
Hai tum se muhabbat fir kis ki justujuu
kare.n.. by
irshad ahmed
siddiqui
ये ख्याल भी रखा जाये.... by
amit_prakash_meet
Ishq ki aag laga dena.... by
aqsh
कोई दीप जलाओ ना by
K
Gogia
We are always open for your suggestion and feedback,
please visit Feedback
and Suggestion section to let us know your views and
suggestion.