Qayamat si barpa hui hai...............(NM)- Iftakhar

by Iftakhar Ahmad on May 04, 2012, 04:56:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2547 times)
Iftakhar Ahmad
Guest
Reply with quote
Dekh kaisi Qayamat si barpa hui hai aashiyano.n pe 'Iqbal'
Jo  lahu  se  taa'meer   hue   thay,  paani  se  beh  gaye

                                                         -(Sir Allama Iqbal)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
qayamat..... by Harleyboy1 in Shayri-E-Dard
~~QAYAMAT TAK~~ by ANJALI33 in Shayri for Dard -e- Judai
Qayamat kya hai... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai
qayamat by armaan92 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Suna hai k ek roz qayamat..............Iftakhar by Iftakhar Ahmad in Shairi - E - Zindagi
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: May 04, 2012, 05:05:45 PM »
Reply with quote
Waah waah.
Kya kamal ka sher share kiya h
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #2 on: May 04, 2012, 05:06:49 PM »
Reply with quote
Waah waah.
Kya kamal ka sher share kiya h..
...


Ikhtekhar bhai Agar Aapke Pass Ahmad Faraj ki Abke bichre to khawabo me mile ho..
To wo bhi share karna.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: May 04, 2012, 06:26:57 PM »
Reply with quote
Dekh kaisi Qayamat si barpa hui hai aashiyano.n pe 'Iqbal'
Jo  lahu  se  taa'meer   hue   thay,  paani  se  beh  gaye

                                                         -(Sir Allama Iqbal)

MASHAALLAH kya khoob sharing ki hai iftakhaar sahab..!
Logged
dard_e_tanhai
Guest
«Reply #4 on: May 04, 2012, 06:27:25 PM »
Reply with quote
Ab Ke Ham Bichhade To Shaayad Kabhii Khvaabon Mein Milein
Jis Tarah Suukhe Hue Phuul Kitaabon Mein Milein
Dhuundh Ujade Hue Logon Mein Vafaa Ke Motii
Ye Khazaane Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Mein Milein
[Uja.De = Desolated, Ruined; Kharaab = Bad]
Tuu Khudaa Hai Na Meraa Ishq Farishton Jaisaa
Donon Insaan Hain To Kyon Itane Hijaabon Mein Milein
[Hijaab - Veil, Here It Means Barrier]
Gam E Duniyaa Bhii Gam E Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nashaa Badataa Hai Sharaben Jo Sharaabon Mein Milein
Aaj Ham Daar Pe Khenche Gaye Jin Baaton Par
Kyaa Ajab Kal Vo Zamaane Ko Nisaabon Mein Milein
Ab Na Vo Main Huun Na Tu Hai Na Vo Maazii Hai `faraaz’,
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milein
[Maazii = Past; Saraab - Illusion, Mirage]
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: May 04, 2012, 06:41:44 PM »
Reply with quote
Maasoom Bhai, maine ye ghazal post ki hai corrections ke saath. Waise aap koi bhi ghazal, nazm ya lyrics google pe dhoondh sakte hain. Aur yahaa.n tak k aap agar google pe "Masoom Shahjada ghazals" daalein to YoIndia ka link aa jaayega aur aap apni likhi hui ghazlein padh sakte hain.

Ab Ke Hum Bichde To Shaayad Kabhi Khwaabon Mein Milen
Jis Tarah Sookhe Huye Phool Kitaabon Mein Milen

Dhoond Ujde Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milen

Gham-e-duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Behta Hai Sharaabon Mein To Sharabon Mein Milen

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To kyun Itne Hijaabon Mein Milen

Aaj hum daar pe kheenche gaye jin baaton per
Kya ajab kal wo zamaane ko nesaabon mein milen

Ab na wo Main Hoon Na Tu Hai Na Wo Maazi Hai Faraaz
Jaise Do Saaye Tamaana Ke Saraabon Mein Milen
Logged
dolly
Guest
«Reply #6 on: May 04, 2012, 07:30:23 PM »
Reply with quote
waaaahhhh waaaaaaahhh iftikharjiiii.....kya kehne...bahut khoob....bahut sundar.....Usual Smile

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause..
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: May 05, 2012, 12:57:53 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
khujli
Guest
«Reply #8 on: May 05, 2013, 01:41:52 PM »
Reply with quote
Dekh kaisi Qayamat si barpa hui hai aashiyano.n pe 'Iqbal'
Jo  lahu  se  taa'meer   hue   thay,  paani  se  beh  gaye

                                                         -(Sir Allama Iqbal) icon_salut icon_salut icon_salut



 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 03:58:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer