aaj ham ayesa kuch kar jaye

by hameeda on April 20, 2010, 11:22:50 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1999 times)
hameeda
Guest
as salamu ale kum
bibbo

aaj ham ayesa kuch kar jaye
rasme dunia se chal kahi jaye
tere kandhe pe rakh ke sar apna
sari duni ko ham bhula jaye
chal kahi aeyse des ham jaye
jis jagha piyar ho mohabbat ho
koi nafrat na shikayat ho jhan
har taraf phool ho bharei hon
door tak ham jhan nazar dale
piyar palta ho piyar basra ho
na koi gerr na koi  praya  ho
har taraf insaniyat ka pehra  ho
koi na jhut na koi dehshat
piyar hi piyar ki  wo dunia ho
ik duj je ko sab lgayen galle
na kisi ko kisi se dehshat ho
har zaban par sirf allah ho
har zaban par phla kalma ho
jo khuda ne kha sabhi se he
pehle insaniyat ka chehra  ho
har labbon par khi lee tabbassum ho
har kisi dil me quran basta ho
ik ho kar rhei  sabbi bhai
chahe hinndu ho ya musalma ho
piyar ki har taraf sune boli
beti babbul ki hon sabbhi bholli
biwi hon nek dil sabhi ki jhan
maa bhi sab ko piyar deti ho
bhai bhnon pe jan dete  ho
bhne sirf bhai ko  piyar karti ho
mal dolat ki na rahe chahat
sirf  insanniyat ki  qimat ho
ya khuda tu bnade aesa jahan
jis me bas piyar.piyar palta ho
karle .bibbo. kidua ye qabool
har taraf fir to  jannate nazaara ho
 
apna khyal rkhna
 
Written by
hameeda ameer
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KUCH KAMI REH NA JAYE by jasbirsingh in Shairi - E - Zindagi
kuch hasa jaye by KHILTAGULAB in Other Languages
aaj ham aesaa kuch kar jaye by hameeda in Share:Love Poetry
Aaj Hum Aisa Kuch Kar Jaye by A.sam khan in Shayri for Khumar -e- Ishq
kuch woh mujhme sanwar jaye !!! by sarfira in Shayri for Khumar -e- Ishq
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: April 21, 2010, 04:32:42 AM »
Bahut khoob Hameeda ji,very beautiful creation icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: April 21, 2010, 11:22:34 AM »
Walekum Assalam Hameeda Ji.Achhi nazm likhi hai aapne. Ismi ek khoobsurat duniya ka tasavvur aur khwab hai. Allah kare ye khwab pura ho jaaye. Lekin ye lines kuchh ajeeb hain:

maa bhi sab ko piyar deti ho (wo to apne sabhi bachho ko pyar deti hi hai)
bhne sirf bhai ko  piyar karti ho(Sirf bhai se hi kyon apne maa-baap, bhai, bahan se kyon nahi)
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: April 21, 2010, 02:30:52 PM »
Bahut khoob Hameeda ji...!!!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: April 21, 2010, 02:34:27 PM »
Bahut achchhi peshkash hai aap ki Hameeda Ji
Logged
hameeda
Guest
«Reply #5 on: March 05, 2011, 12:06:38 PM »
hi
aaj ke door mei pyaar se zyaada pese se pyaar dekhagaya he.. behnei ..bhai ..maan ..paab aap ke paas pesa nahi hei to pyaar bhi nahi miltaa sab jhagda pese shuru or pese pe khatm jis ki bhi kahaani sunenge....shukriya ji..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:06:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer