Ghulam Haider
Guest
|
Agarche mera sawaal dekhne meN bohot sada aour simple sa hai, Shayad koi ye bhi kahe k ye kio sawaal hua, lekin maiN aap sab se ye poochhna chahoNga ke " Mohabbat kya hai?" soch samajh kar jawaab dena hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
javedarshad
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 09, 2008, 10:41:09 PM » |
|
Aik gham ka darya hai
javed
|
|
|
Logged
|
|
|
|
javedarshad
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 09, 2008, 10:42:28 PM » |
|
Ya khalal hai deemaagh ka
javed
aur kia janna chahete hain janab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ghulam Haider
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 09, 2008, 10:46:03 PM » |
|
Aik gham ka darya hai
javed
Dekhiye jawaab dene meN kisi baat ki jaldi nahiN hai har tarah se soch kar jawaab dena hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ghulam Haider
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 09, 2008, 10:54:09 PM » |
|
Agarche mera sawaal dekhne meN bohot sada aour simple sa hai, Shayad koi ye bhi kahe k ye kio sawaal hua, lekin maiN aap sab se ye poochhna chahoNga ke " Mohabbat kya hai?" soch samajh kar jawaab dena hai. MAiN is sawaak ki wazaahat kar doN to behtar hai Jawaab kisi aik rukh se nahiN dena hai ki sirf gham ya khushi ya haNsne ya rone ki baat ki jaye. balke jawaab aisa hona chahiye jis se poori tarah mohabbat samjhi ja sake
|
|
|
Logged
|
|
|
|
javedarshad
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 09, 2008, 11:25:24 PM » |
|
Aji hazrat aaj tak duniyan mein koi bhi muhabat ki tashreeh na ker saka, koi kisi bhi aik baat per mutahid na hosaka illa aik baat ke khalal hai deemagh ka
Ger aap ke pass koi talash-e-gumshuda ke zakheera mein koi jaoher chupa hai to marhammat fermain.
javed
|
|
|
Logged
|
|
|
|
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
Rau: 14
Offline
Waqt Bitaya:49 days, 23 hours and 12 minutes.
Posts: 3125 Member Since: Dec 2003
|
|
«Reply #6 on: October 09, 2008, 11:44:21 PM » |
|
Since this topic is more suitable for Discussion hence it now belongs to "General Discussion Section". Kindly Continue..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 10, 2008, 06:36:01 AM » |
|
MAIN MOHABBAT HU
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ghulam Haider
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 10, 2008, 07:43:42 AM » |
|
Aji hazrat aaj tak duniyan mein koi bhi muhabat ki tashreeh na ker saka, koi kisi bhi aik baat per mutahid na hosaka illa aik baat ke khalal hai deemagh ka
Ger aap ke pass koi talash-e-gumshuda ke zakheera mein koi jaoher chupa hai to marhammat fermain.
javed
Mohtaram Javed Saheb Salam Alaikum! Har ba shuoor insaan ko apni zindagi meN kisi na kisi se mohabbat ho jaati hai.Aour ye zuroori nahiN k sab ke khyaalaat aik jaise hoN.Aap ne mohabbat ko jaisa paya waisa jawaab de diya.mujhe aap ke jawaab par ia'teraaz nahiN,lekin aap ye bhi na samjheN k jo maiN ne keh diya bas wo hi Theek hai, us ke alavah agar kuchh hai to wo dimaghee khalal hai. ye soch aap ke dimagh ka khala hai.abhi aap dekhiye to k doosre log kya kya kehte haiN.Insaan ko burdbaari aour tahammul se kaam lena chahiye.Har insaan ka ilm mahdood hai.lekin kis ki fikr kahaN tak jaati hai ye to baat nikalne se hi pata chalta hai. abhi aap ke paas aour bhi waqt hai aour bhi jawaab de sakte haiN aap.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 10, 2008, 07:56:08 AM » |
|
SARE MOHABBAT SAB ME MOHABBAT SAB KARTE HAIN MOHABBAT HAR EK SE TUM USKI PEHCHAN MANG RAHE HO CHUPA HAIN TUJME JAWAB TERE SAWAL KA MUJSE Q TUM MERA JAWAB MANG RAHE HO
-SG-
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tanhadil
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 10, 2008, 08:19:09 AM » |
|
YE SAWAL NAHI KHUD EK JABAB HAI MOHABBAT SAWAL NAHI YE EK KHBAB HAI JO HOTA NAHI HASIL HAR KISI KO JAMANE ME AUR JO PA LE ISE WO LAJABAB HAI ........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ghulam Haider
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 10, 2008, 08:30:55 AM » |
|
Mohtaram Javed Saheb Salam Alaikum! Har ba shuoor insaan ko apni zindagi meN kisi na kisi se mohabbat ho jaati hai.Aour ye zuroori nahiN k sab ke khyaalaat aik jaise hoN.Aap ne mohabbat ko jaisa paya waisa jawaab de diya.mujhe aap ke jawaab par ia'teraaz nahiN,lekin aap ye bhi na samjheN k jo maiN ne keh diya bas wo hi Theek hai, us ke alavah agar kuchh hai to wo dimaghee khalal hai. ye soch aap ke dimagh ka khala hai.abhi aap dekhiye to k doosre log kya kya kehte haiN.Insaan ko burdbaari aour tahammul se kaam lena chahiye.Har insaan ka ilm mahdood hai.lekin kis ki fikr kahaN tak jaati hai ye to baat nikalne se hi pata chalta hai. abhi aap ke paas aour bhi waqt hai aour bhi jawaab de sakte haiN aap.
SARE MOHABBAT SAB ME MOHABBAT SAB KARTE HAIN MOHABBAT HAR EK SE TUM USKI PEHCHAN MANG RAHE HO CHUPA HAIN TUJME JAWAB TERE SAWAL KA MUJSE Q TUM MERA JAWAB MANG RAHE HO
-SG-
MaiN ne Jawab dene par kisi ko majboor nahiN kiya hai.Aour mujhe kisi ke jawaab par koi ia'teraaz bhi nahiN hai. KyouN ke har jawaab dene wala kuchh na kuchh soch kar hi jawaab deta hai. lekin agar jawaab dene waaloN ki baatoN meN hi ikhtelaaf ho to dekhna paRega ki kis ki baat kahaN tak sahih hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sajid_ghayel
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 10, 2008, 08:36:16 AM » |
|
HAIDER SAHEB YEH KOI VIDHAN SABHA YA LOK SABAH NAHI HAIN HAR BAAT PE AAP LAMBAAAAAAAAAA SA LECTURE DENE LAGTE HAIN MAINE SHAYRI KI HAIN BAS MERI CHAR LINE AAMMMMMMMMMMMM HAIN JAISE AAPKA SAWAL EK AAMMMMMMMMMMMMM SAWAL THA ANYWAY I REGRET WRITING MY LINES FOR YOUR QUESTION AAINDA AISI GALTI NAHI HOGI. MaiN ne Jawab dene par kisi ko majboor nahiN kiya hai.Aour mujhe kisi ke jawaab par koi ia'teraaz bhi nahiN hai. KyouN ke har jawaab dene wala kuchh na kuchh soch kar hi jawaab deta hai. lekin agar jawaab dene waaloN ki baatoN meN hi ikhtelaaf ho to dekhna paRega ki kis ki baat kahaN tak sahih hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ghulam Haider
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 10, 2008, 08:53:12 AM » |
|
YE SAWAL NAHI KHUD EK JABAB HAI MOHABBAT SAWAL NAHI YE EK KHBAB HAI JO HOTA NAHI HASIL HAR KISI KO JAMANE ME AUR JO PA LE ISE WO LAJABAB HAI ........
Aap ke jawaab se Sajid Saheb ka jawaab bohot alag hai. Wo kehte haiN ki "Sare mohabbat,Sab meN mohabbat, Sab karte haiN mohabbat..." Aour aap ne kaha mohabbat sawaal nahiN ye aik khbab hai. Lekin maiN samajhta hoN k duniya meN Mohabbat ki baat to door "Allah" aour "Bhagwaan" ke baare meN bhi sawaal kar te haiN. bohot se log haiN jo bhagwaan meN vishwaas nahiN rakhte, to kya wo theek haiN? nahiN hameN un ka jawaab dena hai. aour agar ham ye keh deNge ke "Bhagwaan" khud jawaab hai, jise mil jaye to wo lajwaab hai. Aisa kehne se kya wo santusht ho sake ga? hamari baat poori tarah samajh meN aa jaye gi? Kya wo is jawaab se bhagwaan meN vishvaas karne lagega? Maan lo aik insaan ye nahiN jaanta ke "paani kya cheez hai?" aour us waqt hamare paas paani bhi nahiN hai k use dikha sakeN.to hameN use aisa jawaab dena hai ki us ki samajh meN paani aa jaaye. wo doodh, shahad, ya sharbat ko pani na samajh le.har cheez doosri cheez se alag pehchan rakhti hai.us ki aisi pehchan batani hai k sirf wo hi samajh meN aaye. aour doosri kisi cheez ka dhoka na ho.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Muhammed
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 10, 2008, 09:36:13 AM » |
|
As salamu Alaiykum wa Rehmatullahe... Janab Ghulam Haider saab.. Jee Bilkool Sahih Topic Sahih Ounwaan k Saath Suroo'a Kiya Hai aapne..
!!!!...."Muhabbat"....!!!!
Muhabbat Sabse Pahele Rab Taba'raq Va Ta'ala Ne Ki...Apne "Mehboob" Se... Mehboob Ne Muhabbat Ki Apne Rab Se... Mehboob Ne Sikhaee Muhabbat Apne Chaahne walo Ko.... Chaahne waalo Ne Usi Muhabbat se Paaya apne Rab ko... Muhabbat bani Ins ya Ouns se... Ins Ya Ouns se Bana aadmee... Isi Ouns Ya Ins Se Bana Lafz Insaan....
Qur'aan e Azeem Mei Kahaa Gaya : Va'amma Be'Nea'mti Rabbi'qa Fa'haddith.... Yaa'ne....allah ki Ne'amtoN ka Khoob Khoob Charcha karo Ya Yaad Karo Shukra Karo. Majeed Taraajeem Va Tafaasir Dekhlijiye... Beshaq LaRaib "Muhabbat" bhi Ik Ne'amateN Rab Hein...!!! Aur Khuda Ki Koi bhi Nea'mat Fuzul Maa'no Mein Istemal Nahi Ki Jaati..
Aur Koi Bhi Bandaa e Khuda Is Kaa Inkaar Nahi Kar sakta...Fir To Kalema aur Tauba bhi Laazim Hogi.
Wa-allahu Ta'ala a'alum
Jee Ghulam Haider Saab..Maaf karna agar Koi Galat Baat Ki Ho to...Waise Main kuch judaah hi Tabiyat rakhne waala hun..shariyati aur sufiyaani..Shayaraana andaaz nahi Rakhta Kataee.Ye Lafz Muhabbat ki Tashreeh Hazaro kitaabein sufyaani Jo Hai Usme Dee Hai...Aur Iska Maa'na behtar Sufi Log Hi Samaza Sakte Hai.aam Log Kassir Hai wajaaht se.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|