Aap Sab Se Mera Aik Sawaal

by Ghulam Haider on October 09, 2008, 10:31:02 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3097 times)
Ghulam Haider
Guest
«Reply #15 on: October 10, 2008, 10:04:08 AM »
As salamu Alaiykum wa Rehmatullahe...
Janab Ghulam Haider saab..
Jee Bilkool Sahih Topic Sahih Ounwaan k Saath Suroo'a Kiya Hai aapne..

!!!!...."Muhabbat"....!!!!

Muhabbat Sabse Pahele Rab Taba'raq Va Ta'ala Ne Ki...Apne "Mehboob" Se...
Mehboob Ne Muhabbat Ki Apne Rab Se...
Mehboob Ne Sikhaee Muhabbat Apne Chaahne walo Ko....
Chaahne waalo Ne Usi Muhabbat se Paaya apne Rab ko...
Muhabbat bani Ins ya Ouns se...
Ins Ya Ouns se Bana aadmee...
Isi Ouns Ya Ins Se Bana Lafz Insaan....

Qur'aan e Azeem Mei Kahaa Gaya : Va'amma Be'Nea'mti Rabbi'qa Fa'haddith....
Yaa'ne....allah ki Ne'amtoN ka Khoob Khoob Charcha karo Ya Yaad Karo Shukra Karo.
Majeed Taraajeem Va Tafaasir Dekhlijiye...
Beshaq
LaRaib
"Muhabbat" bhi Ik Ne'amateN Rab Hein...!!!
Aur
Khuda Ki Koi bhi Nea'mat Fuzul Maa'no Mein Istemal Nahi Ki Jaati..

Aur Koi Bhi Bandaa e Khuda Is Kaa Inkaar Nahi Kar sakta...Fir To Kalema aur Tauba bhi Laazim Hogi.

Wa-allahu Ta'ala a'alum

Jee Ghulam Haider Saab..Maaf karna agar Koi Galat Baat Ki Ho to...Waise Main kuch judaah hi Tabiyat rakhne waala hun..shariyati aur sufiyaani..Shayaraana andaaz nahi Rakhta Kataee.Ye Lafz Muhabbat ki Tashreeh Hazaro kitaabein sufyaani Jo Hai Usme Dee Hai...Aur Iska Maa'na behtar Sufi Log Hi Samaza Sakte Hai.aam Log Kassir Hai wajaaht se.

Alaikum Assalaam Wa rahmatullah e wa barakaathu.
yaqeenan aap ka jawaab qaabil e qadr hai ki aap ne ahaadis aour quraan se istidlaal kiya.Aour soofi mazhab ki roshni meN mohbbat par guftogoo ki.
lekin aap ne ye bayaan farmaya hai ki mohabbat kis ne shuroo' ki aour ye insaanoN tak kis tarah aai, lekin sawaal ye hai ki "mohabbat kya hai?" jis ka jawaab is tabsareh meN nazar nahiN aata. agar ye maan leN ki mohabbat allah tabarak wa ta'ala ki nea'mat hai to nea'matN to bohot si haiN, lekin un ke darmiyan farq hai.is tarah mohabbat tamaam nea'matoN ke saath mushtarik ho kar reh jaayegi. aour us ki apni koi pehchaan na rahegi. Shayad meri baat kisi had tak waazeh hai. to jawab wo hona chahiye jis se mohabbat samajh meN aaye.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Sawaal... by MøÐëRñ ÐëvDå$ in Shayri-E-Dard
Dil Ke Sawaal by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Sawaal..... by Style_guru in Shayri-E-Dard
sawaal... by mrkotians in Shayari-e-Parastish
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: October 10, 2008, 10:42:29 AM »
SARE MOHABBAT SAB ME MOHABBAT SAB KARTE HAIN MOHABBAT
HAR EK SE TUM USKI PEHCHAN MANG RAHE HO
CHUPA HAIN TUJME JAWAB TERE SAWAL KA
MUJSE Q TUM MERA JAWAB MANG RAHE HO

                               -SG-

This is an answer in itself.. And for me too, nothing more could be a better answer...

Ghulam Haidar Sahab.. Gaur farmaaiye... Usual Smile Agar hum aapse pooche ki 'Hawa' kya hai, Ya phir 'Khayaal' kya hai.. toh kya aap sahi se jawaab de paayeinge.. Shayad nahin..
Kisi ehsaas ko sirf mehsoos kiya jaa sakta hai, usey dekhna aur usey khud mein samet ke rakhna, bhala kis ke bas ki baat hai.. Muhabbat bhi ek aisa hi ehsaas hai, jo khuda ki banaayi har shai mein hota hai. Is ehsaas ko sirf mehsoos kiya jaa sakta hai, samjhna ya samjhaana toh is se bahut parey hai... Usual Smile Khud mein dhoondheinge toh khud mein hi mehsoos hogi.. Usual Smile Bus yehi farak hai, kuch log usey khud mein aur har Khuda ki banaayi nemat mein dhoondh lete hai, kuch isko samjhne mein umar bhar jadd-o-jehad karte reh jaate hai...  Is ehsaas ko samajhne ki koshish kareinge toh.. Ghoomte Reh Jaayeinge.. Giggle

Rahi baat "Bhagwaan" aur "Allah" ko jaan.ne ki.. toh, aap hi bataaiye, Woh kaun hai... Kahan milta hai, Kab milta hai, Kaise milta hai..?? Mujhse poocheinge toh jawaab milega, "Khud mein dekhiye, khud mein milega, Usey muhabbat se dekhoge tab milega.. Pyaar se bulaage toh woh jaroor sunega.. Usual Smile Muhabbat mein Khuda aur Khuda mein Muhabbat..
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: October 10, 2008, 12:16:15 PM »

haqeeqat ye hai ki insaan kisi bhi cheez ki qadr us waqt tak nahiN karta jab tak ke us ki ma'refat haasil na kar le. Misal- Agar maiN ne kabhi apne desh ke rashtra pati ko na dekha ho aour wo mujhe achanak kahiN mil jayeN to maiN shayad un ki taraf dekhoN bhi nahiN.lekin agar koi mujhe bata de to meri dil ki haalat badal jaye gi.kyoN ke ab mujhe pata chal gaya. to jis ko jis cheez ki jitni ma'refat hoti hai, us ki utni hi qadr karta hai.to mohabbat ko jitna samajh paya hai, utna hi jawab dega, utni hi uske dil meN us ki qadr hogi.Aaj mohabbat ko kuchh logoN ne badnaam kar diya. Mohabbat ke naam par khelta haiN.Mohabbat ki aaR meN na jaane kitne diloN ka khoon hota hai. Kitni aaNkheN raat din aaNsoo bahati haiN. Kitne log mohabbat ko sahih tarah se samajh sake haiN.Aour yahiN se maiN is baat ki taraf bhi isharah kar doN ke allah ya bhagwaan ka sahih gyaan kitnoN ko hai. Kitne log samaaj meN din raat chori, khooN-kharaabe,Jhoot,........tamaam buraaiyoN ki jaR bane huye haiN.To kya sab ko gyaan hai? ma'refat hai.Mohabbat jaisi qeemti nea'mat jis ka koi shai badal nahiN ban sakti, Jiske liye insaan agar apni jaan ki baazi bhi laga de to kam hai. lekin koi kisi ke saath mohabbat karta hai, aour koi use samajh bhi nahiN pata. Koi wafa karta hai koi us ka badla be wafai se deta hai.Main ye nahiN kehta ke mere saamne mohabbat ko la kar dikhao, mera maqsad sirf ye hai ke jo is qeemti cheez ko nahiN janat, is ke saath mazaaq karta hai. diloN ko toRta hai use is ka kuchh gyaan aour ilm ho jaaye.MaiN ye nahiN kehta ke mere siva mohabbat ka gyaan kisi ko nahiN hai. Balke mohabbat ko sab mehsoos karte haiN. lekin us ki qadr us ki sahih ma'refat ke baad hi mumkin hai. To allah ne insaan ko aql di hai. samajhne ki salahiyat di hai. Kisi had tak to samajh hi sakta hai. Ya bas jo cheez hawaass e khamsa "gyaanendriyoN" ki had tak hai wo hi maujood hai. us ke alavah kuchh aour samajhne k qaabil hi nahiN hai?
Yaqeenan ye sawaal itna aasaan bhi nahiN hai. Lekin itna mushkil bhi nahiN hai ke qaabil e jawaab na ban sake.to maiN ne aik aam sawaal kiya tha jis ka jawaab hai koi apni apni samajh ke mutaabiq de sakta hai. mujhe kisi ke jawaab par koi ia'teraaz nahiN hai ye baat maiN pehle bhi keh chuka hoN.Sirf mera maqsad mukhtalif aaraa ka haasil karna hai, taa k aik nateejah mail sake. Is meN kisi ko naaraaz hone ki bhi zuroorat nahiN hai. Mujhe sirf khamosh rehan chaahiye tha. lekin maiN apne sawaal ki wazahat karta raha aour sawaal mushkil hao gaya. Phir bhi jis ki samajh meN mohabbat ka jo matlab aaye wo keh sakta hai. dekhna ye hai ke itni pyaari shai jo sab ke paas hai use kitne sahih tarah se samjh paaye haiN
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: October 10, 2008, 02:12:43 PM »
Love is a basic instinct, inherent in all the living beings, that propels the ship of life through the mercurial sea of existence, that not only contains tsunamis, tempests and tornados, but the doldrums as well; yet none has ever succeeded in bringing it to an end. IT'S ETERNAL!
                                             - abd bundeli
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #19 on: October 11, 2008, 10:17:00 AM »
Love is a basic instinct, inherent in all the living beings, that propels the ship of life through the mercurial sea of existence, that not only contains tsunamis, tempests and tornados, but the doldrums as well; yet none has ever succeeded in bringing it to an end. IT'S ETERNAL!
                                             - abd bundeli
Mohtaram abdbundeli saheb maiN aap ka shukrguzaar hoN k aap ne bhi mere sawaal ka jawaab diya. Lekin mushkil ye hai ki mujhe English bhasha ka thoRa gyaan hai, jis ke sabab maiN aap ki baat poori tarah nahiN samajh saka. Agar aap is ka aasaan shabdoN meN anuvaad kar deN to mehrbaani hogi meri tarah aour doosre log bhi aap ki baat theek tarah se samajh sakeNge.Is waqt mere paas dictionary bhi nahiN hai. plz
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #20 on: October 11, 2008, 10:47:16 AM »

As salamu alaikum Ghulam Haider saab…
Qurun-e-salaasa Se hi Lafz SOOFI ka zahoor ho chukka tha…Muhaqqiq va Muarrikh Hazraato ki Is baat par Kaafi Mukhtaleef  si Ray va Riwayat Mauzud hai...Hazrat e Maula ali Se kisi ne puchha Soofi kon Hai ? Unho ne Kahaa Ye allah wale hei..Aur Ink dil aise paak saaf hai ki…Jaise koi raat ko sab kuch bhulakar so gaya..subah outha use kal ki kuch baat yaad nahi…

To YahaaN Main yak baad Digar ik kuch allah waloN Ki boli yaa’ne Soofiya e Qiraam ki Boli..Muhabbat ki boli…Unhone kya boli…Likhta hun…

MUHABBAT…………. kya hai ??   

1.   Hazrat e Khwaja Hasan Basri Radiallahun  anhu Se Puchha Gaya : Muhabbat Kya Hai??
 Al – Jawaab :  Adub aur Khidamat Ka Naam Muhabbat Hai…..!!!!
                               Aur Muhabbat k Qareeno Mein Pahela Qareena Adub Hai….!!!!

2.   Hazrat e Ba’Yazeed Bostami Radiallahu anhu Se Puchha gaya : Muhabbat Kya Hai ??
Al – Jawaab :    Tu apni Taraf Se Mehboob ke Liye Bahut Kuch Karein,,Lekin aapna
                          Bahut Kuch kiya Hua Tuze THoda Lage…….!!!!
                          Jyada Karein Thoda dekhe,,Thoda de de Bahot Nazar aaye…!!!!

3.   Kitaab Risaala e Qusheriyyah Mein Padha Tha….Yaad Nahi kiska Kaul va Irshaad Tha : Muhabbat Kya Hai ??
Al – Jawaab :     Muhabbat hote hi Nazar Badal Jaati Hai…Aur aankhein aisi ban
                           Jaati Hai ki…Mehboob ki Jafaa Bhi Wafaa Nazar Aati Hai…!!!!         
                           Balaa bhi daale To Ataa Lagti Hai….!!!!

4.   Hazrat e Junneid  Baghdadi Radiallahu anhu se Puchaa Gaya : Muhabbat Kya Hai ??
Al – Jawaab :      Mehboob Muhibb Mein Yoonh Fana Ho Jaaye…Mehboob Ki sifat
                            Chadh jaaye…aisa Jud Jaaye…Yahan Taq Ki Akhlaaq va Sifat Ek
                            Ho Jaaye…                       
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #21 on: October 11, 2008, 11:23:01 AM »

Biradar e azeez, Alaikum Assalaam wa rahmatulaah e wa barakaatohu.
Aap ne jo jawaab diya hai, wo mujhe bohot pasand aaya. Khas kar aakhri nazariya. Mujhe in saare jawabaat meN mohabbat ke mukhtalif pehloo nazar aate haiN. Ye sab k sab mafaaheem mohabbat ki wazaahat karte haiN. lekin kuchh aap ke dil meN bhi to mohabbat ka ehsaas hoga? Aap kya kehna chaheNga? Mohabbat ka wo bhi iqraar karta hai jo(la ilmi aour la shuoori ki bina par) allah ka inkaar karta hai, to aap kuchh apna khyaal bhi bayaan kareN.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #22 on: October 11, 2008, 12:25:36 PM »
aap sab ke jawaab pade achcha laga pad kar ...............

mera jawaab

hai yeh aag ka dariya
yeh thandi barf bhi hai
hai yeh gham ka saagar
yeh khushiyon ki nadi bhi hai
jab bhi chaha jaanna mohabbat k har raaz ko
dil se yeh awaaz aayi yeh khuda hai
hai yeh ek aisa karishma
samajhna mumkin nahin iska har ek panna
hai ibarat likhi huyi iski is tarah
na pad saka likhne wala ise
na woh jo ishq main ho gaya fanaa
bas sun lo agar tumne kii ha mohabbat
toh phir na poochho kissii se hai kya mohabbat
hai yeh tere liye tera mehboob hi
aur uske liye hai bas tu hi
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #23 on: October 11, 2008, 12:38:35 PM »

Wah bhi wah !
bohot pyare khyaalaat haiN, bohot pyaari bhaavnaayeN haiN aapki. aap ka jawab paRh kar bohot khushi hui ke aap mohabbat ke baare meN is tarah sochte haiN.hamesha khush raheN meri ye hi dua hai aap k liye
Logged
salil2002
Guest
«Reply #24 on: October 11, 2008, 02:27:20 PM »
thnks bade bhai
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #25 on: October 11, 2008, 02:46:24 PM »
thnks bade bhai
Aisa bol kar mujhe sharminda kyouN karte ho aap?
Ye to aap ki mohabbat hai jo aap ne apne khayaalaat ka izhaar kiya aour ye bataya ki mohabbat aap ki nazar meN kaisi hai. Aap mohabbat ko kaise mahsoos karte haiN.
Bohot 2 shukriya aap ka.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #26 on: October 11, 2008, 07:01:56 PM »
Mohtaram abdbundeli saheb maiN aap ka shukrguzaar hoN k aap ne bhi mere sawaal ka jawaab diya. Lekin mushkil ye hai ki mujhe English bhasha ka thoRa gyaan hai, jis ke sabab maiN aap ki baat poori tarah nahiN samajh saka. Agar aap is ka aasaan shabdoN meN anuvaad kar deN to mehrbaani hogi meri tarah aour doosre log bhi aap ki baat theek tarah se samajh sakeNge.Is waqt mere paas dictionary bhi nahiN hai. plz

Love is a basic instinct, inherent in all the living beings, that propels the ship of life through the mercurial sea of existence, that not only contains tsunamis, tempests and tornados, but the doldrums as well; yet none has ever succeeded in bringing it to an end. IT'S ETERNAL!
                                            - abd bundeli

Ghulam haider ji!
Kuchh alfaaz key, nazdeekee ma'aanee yeh hain:
Basic = Buniyaadee, Aadhaar-bhoot; Instinct = Jeewoun/praaniyoun ki qudratee prawrutti, Intution, innate impulse, involuntary promptings for action of animals/humans; Inherent = innate, inseparable, swaabhaawik, antarwartee; Propel = Sanchaalit karnaa, to drive forward; Mercurial = erratic but actively changeable behavior, inconstant, fickle; Existence = to be alive, all that continues to live, jeewit rahney ki nirantartaa; Tsunamis = Sunaamiyaan, bahut hi khatarnaak ooncheen samudree lahroun kaa paidah honaa; Tempests = Sailaabee toofaan; Tornados = Chakrawaat, Khatarnaak bawandar; doldrums = Samudra key kisee bhaag mein lambey arsey tak warshhaa kaa na honaa.
Deykhiye janaab, is Website par ziyaadah kuchh English mein hi hotaa hai, is liye mehrabaanee kar English-Hindi/Urdu Lugat apney computer par 'load' karwaa leejiye, yaa khareed leejiye. Mein dobaarah  yah kaam naneen karoongaa!
                         -   abd bundeli

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #27 on: October 15, 2008, 10:19:37 AM »
Are kya hua Itne hot topic par sab Thande paRe haiN? Kuchh na kuchh sab ko kehna hai ! Jis ki samajh meN jitna aata hai.
Apne dil ki aawaaz suno aour likho jo dil kehta hai.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #28 on: October 15, 2008, 12:52:47 PM »
Ghulam Haider ji,
One of my published books, named 'Let Us Live' begins with 'An Introductory Address', where I have briefly spoken about 'LOVE'. As you have invited more views about love, I think that may be of some interest to you. The related passages are reproduced as under:
          “Life, love and lyric are synonymous for me. Love eternalizes life through endless throbbing of survivals. Lyrical throbs of human-hearts generate and regenerate endless streams of human-love to follow eternally. The Death hardly ends anybody. It rather acts like an insubstantial Dam with a highly substantial power that suddenly appears on the way of an individual, who otherwise stands immortalized through love. Even if we do not trust in human rebirths; we, almost all of us, survive through our progeny; and the progeny by their progeny. It is rather very-very rare that the Dam ends the flow of such a stream finally, and for ever. A leakage or an over-flow is almost an unavoidable certainty that shall further drive the stream towards the unfathomable sea of life.
Love, on the other side, is a natural instinct that drives all the living-beings, innate or not, to come closer and closer faithfully or faithlessly, to assist the Creator Almighty, to procreate further, and still further; and thus leading all of them towards, the so called, ecstatic reckoning; and thence, possibly, to the final seat of rest or the ‘Nirvana’, as claimed by many of our scriptures.
The life may end finally with death; or may not, leading us all to another life after death; but the life, any how, survives through the never-ending stream of love, that keeps on incarnating and reincarnating the individuals through their progenies, thus almost immortalizing us all,  in one form or the other. Hence, all the Love Gods, of all descriptions what ever: the Kamas, the Cupids, or many others of the same order: need to be thanked heartily by all of us, equally, severally and eternally. They all belong to those potent tools in the hands of the God Almighty, that He has so plentifully armed Himself with, that we all exist today, and may do so eternally.“
                               - abd bundeli

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #29 on: June 16, 2010, 03:42:00 PM »
Mujhe Lagta tha Ki Ye Sawaal Har Member Ke liye Dilchasp Aur Interested Hoga.
Lekin Itne Kam Log Is Mein Apna Interest Dikhayenge, Mujhe Ye Ummeed Na Thi.
Main Ne Web Par Sab Logon Ko Apna Khayaalaat,Apne Jazbaat, Apni Feelings Post Karne Ko Kaha Tha.
Phir Se Aik Baar Main Aap Sab Ko Da'wat Deta Hon Ke Apna Khayaal Ya Nazariya Pesh Karen. Ya Kam Se Kam Kisi Ke Khayaal Par Ittefaaq Ka Izhaar Farmaayen.
To Ho Jaye Phir Se Is Hot Topic Par Guftgu

 love9 What is love? love9
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:53:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer