Ab likha nahi jaata...

by ASIF on February 01, 2023, 09:45:31 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 791 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
"Maana hunar se bezaar hoo,
 Par lekh ki kabiliyat se nahi

Kabiliyat se bhi ab bekaar hoo,
Kyunki isse koi Sahara haasil nahi"

Pichle 12 saal se likhte aaya hoo yaha "thriller", "horror", "love drama" inhi genres pe likhta aaya hoo lekin ab typing ka dil nahi karta wo daur badal chuka jab likhne ke liye kalam uthana padhta tha par ab daur bahut hi alag hai jab Bina type kiye koi official kaam bhi nahi banta...

Main ek waqt tha bahut kahaniya likhta rehta tha....Naya Naya computer jo mila tha bachpan se hi likhne ka shouk tha lekin maine socha nahi tha ki likhne ka ek naya moqam main tayy kar lunga....novels toh kabhi chape nahi lekin forum writing ne meri kabiliyat ko chuttne nahi diya...main yaha likhta raha aur bas likhta raha aaj yaha taqreeban kayi kahaniya aur chuninda shayariya likh chuka hoo...

Par ab saal mein ek kahani toh kya ek saal mein ek plot bhi sochna bhaari lagta hai Ghar ke haalat aur zindagi ke ek sadme ne puri tarah Tod diya hai ki comeback karne ki iccha nahi hoti....erotica bhi likha hoo lekin owner ke ekdum se website shut down hone se meri anginyat kahaniya aadhi adhuri chori huyi aur saari ki saari rachnaaye delete...unhone mujhe is qadr Tod diya ki aur likhne ka mann nahi hua

Lekin yoindia ne hamesha Sahara diya yaha likhta raha halaki Mann nahi hota tha kamyabi bhi bahut waqt baad haasil huyi lekin ab un jaise readers bhi yoindia chodh gayab ho chuke...

Plot dus dimag mein ghumta hai aur jab type karne ke baithta hoo toh ho nahi paata isi mushkil se do kahani "haavi" aur "anjaan abtak likh paaya.....ek waqt Aisa tha ki ek ke baad ek stories main post karta tha ab ek bhi sahi se likh bhi lu ho nahi paata...

Ek wajah aur bhi hai wo hai mera computer ka kharab ho jana aamtaur par hamesha aksar hota tha lekin Ghar ke haalat aur khud ke gussail mizaaz ke wajah se maine computer bhi waapis na liya aur na theek kar paaya...mera data jismein kahaniya bhi thi jinhe maine future ke liye store kiya tha ki kabhi re-post karunga wo bhi chali gayi...dil tut gaya aisa laga apaahij ho gaya hoo itni mehnat ek jhatke mein agar hath se chali jaaye to kya kahe?

Badnaseebi badkismati ne mera picha kabhi nahi chodha haalat aise baddtar maine jhele hai ki mujhe iccha hi nahi hoti thi ki main motivate hoo aur kuch kar pau..ab baaki hai toh bas khud ki saasein jo jald hi thame to mujhe is faani duniya se azadi mile...log kehte hai uparwale ko yaad karo ibadat Karo lekin jitni pabandiya aur kaayde khud ki kaum mein hai shayad kisi aur dharam mein ho...savr karna maine sikha nahi aur bhulaana kisi ko mere liye aasan nahi

"Wo zindagi hi cheen liye,
Aur kehte hai sukoon dhundho"

Kabhi kabhi toh aisa lagta hai insan hi insaan ko janbhujkar aisi dharmik baaton se gumrah karta hai kisi depressed tute insaan ke problems ko nivaran karne ki jagah aise aise cheezo mein dil lagane kaha jata hai jaha chahkar bhi wo dil na lagaye...

Khair baat lekhni ki ho rahi thi ek hi baat yoindia admin aur baaki sadasyo ko kahunga ki main keh nahi sakta ki main aage likh paunga ki nahi aur is liye pehli dafa maine Aisa kuch likha hai taaki aap log samjhe yoindia admin samjhe aur bewajah mere na login kayi mahino tak na karne se meri id blacklisted na ki jaaye baaki main yoindia platform ka shukraguzar jisne mujhe ye platform mein jagah di

Mujhe avsar diya apni kabiliyat ko yaha likhne ka thank u so much yoindia admin and yoindian family members  notworthy

Regards

Asif biswas

Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #1 on: February 02, 2023, 08:05:20 AM »
Asif ji salam arz hai - ji Once Upon A Time wali baat hogai sach me ke kabhi yahan kuch likhte they to comments ke zariye acahiyon aur kotahiyon ko bataya jaata tha jis se hamen himmat milti thi aur seekhne ko bhi bahot kuch milta tha - ab to lagta hai sab Gandhi Ji Ke Bandar bane hain Na Bolo Na Dekho Na Suno - khair, aapki story dekha wo kya kahte hain Wo Jawani Jawani Nahi Jis Me Koi Kahani Na Ho so aapke ranj aapki takleefen zindagi se bezargi ye lag bhag sabhi ki zindagi me aata hai aur yaaden chod kar chala bhi jaata hain aur hamen bhi sab bhulakar aage ko badhna hi padta hai so khush raho Himmat E Mardan Madad E Khuda - koshish se hi kamiyabi milti hai aur na,ummidi se to naam'o'nishan mit jaata hai - Allah aapko khush rakhe aameen.
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 1 hours and 20 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: February 02, 2023, 03:45:34 PM »
Asif ji salam arz hai - ji Once Upon A Time wali baat hogai sach me ke kabhi yahan kuch likhte they to comments ke zariye acahiyon aur kotahiyon ko bataya jaata tha jis se hamen himmat milti thi aur seekhne ko bhi bahot kuch milta tha - ab to lagta hai sab Gandhi Ji Ke Bandar bane hain Na Bolo Na Dekho Na Suno - khair, aapki story dekha wo kya kahte hain Wo Jawani Jawani Nahi Jis Me Koi Kahani Na Ho so aapke ranj aapki takleefen zindagi se bezargi ye lag bhag sabhi ki zindagi me aata hai aur yaaden chod kar chala bhi jaata hain aur hamen bhi sab bhulakar aage ko badhna hi padta hai so khush raho Himmat E Mardan Madad E Khuda - koshish se hi kamiyabi milti hai aur na,ummidi se to naam'o'nishan mit jaata hai - Allah aapko khush rakhe aameen.

Aapke hausala mand lavzo ko dil se salaam
Aur hum bhi dua karte hai ki allah aappar apni rehmat aur barqat banaye rakhe

Thanks for concerned
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:22:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer