aisa kyun hota hai

by indian_groom on March 14, 2006, 07:05:03 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3111 times)
indian_groom
Guest
friends aaj mai aap logo se ek baat pe rai chahta hoon ke sabhi log kehte hain ki har insaan selfish hota hai

lekin jab kisi ko kise se mohabbat hoti hai aur wo agar aap ke sath bewafi kar de lekin fir bhi aap use chahate rahe ..............aap chahe janate hoo ke usme aap ke koi galti nahi lekin phir bhi dil nahi manta uske liye tadrapta hai .....roota hai..........

bahot log kehte hai ke ladke bewafi se jaldi ubar jate hai lekin ladkiya hamesa  apne bewafa lover ko nahi bhulti kya wakai mai aisa hota hai gives ur suggestion
         
                      AISA KYUN HOTA HAI ?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~aisa kyun hota hai~ by Naya_Daur in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kyun Aisa Hota hai,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aisa kyun hota hai... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
aisa kyun hota hai by SairaKhan in Shayri for Dard -e- Judai
aisa kyun hota hai by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
urs4evasomdev
Guest
«Reply #1 on: March 14, 2006, 07:48:41 AM »
well indian groom............( sorry don know ur name!)

well i believe that ofcourse ladkiyaan unke beawafai bf's ko nahi bhultey.......... kaise bhule hum kitna dard diya hai......... kaise bhuley wafai k badle mein jo bewafai mila........... aur aagar ladki sacha pyaar karti thi..........

tho kabhi kabhi us ladke k liye tab bhi feelings rehti hai!
use pyaar karti hai!

lekin agar yuhi bewafai ka mala tha and the gal just got to know the guy!
tab tho nafrat aati hai us ladke pe.......... aur use tho bhula dete hai! par usk bewafai ko nahi!

hope i helped!
Logged
desikuri
Guest
«Reply #2 on: March 14, 2006, 08:08:08 AM »
well indian groom.... mera experience kehta hai ki hum ladkiyan jis ladke ko dilo jaan se pyar karti hai, jiske bina reh nahin sakti... agar wohi ladka bewafai kar de, to hum us ladke ko kabhi bhool nahin sakti.... yeh sab mere saath ho chuka hai.. aur yeh bahut mushkil hai apne bf ko bhulana.......
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: March 14, 2006, 09:27:13 AM »
Well dear

bhula pana apne lover ko mushkil hi nahi namumkin hota hai saari umar.

kabhi payar mai dhokha mat khana yeh meri advice hai. Warna meri tarh deewano jaisi haalat ho jaygi.

Sota bhi hun to aaj bhi good nite Swt Hrt kehta hun.

aur every morning uska naam hi aata hai labon pe.

sach kehta hun. Always take care.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #4 on: March 14, 2006, 10:01:25 PM »
i must say .....this is a nice topic indian groom!!!!!
waise to humari love guru minu hai but aaj main bhi kuch boldoon!!!!!!!!!

i think k yeh uske upar nirbhar karta hai k aap usse kitna pyar karte ho
chahe wo ladki ho ya ladka....sache pyar ko khoke dil to zaroor dukhta hai !!!!
aab agar ladka apni gf se beshumar pyar karta hai aur wo bewafaai karti hai to usse usse bhulne main ek saadi lagegi ...................
agar wo usse sirf timepass k liye pyar karta tha to usse shayad ek ghanta o kya ek min bhi na lage usse bhulane main

aab hum ya aap aisa nahi kehsakte k kon jaldi bewaffa ko bhula pata ai !!!!!!!!!
Puzzled ! Puzzled !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: March 14, 2006, 10:39:41 PM »
Bahoot hi acha topic hai yah. Mere khayal se larka ho ya larki, jisne bhi dil se payaar kiya, uske liye apne payaar ko bhulana mushkil hota hai. Magar larkiyion mai mafi dene ka amda larko se kahi jayada hota hai. Wo jaladi hi apne premi ki bari se bari galati ko maaf kar deti hai. Magar larko ke liye apni premika ki galati maaf karna bahoot hi mushkil hota hai.

Shayad issi difference ki wajah se, larki apne bewafa premi ko kabhi nahi bhool paati aor emotionally hamesha attach jurri rahti hai. jabaki larka apni bewafa premika ko hamesha gusse ya nafarat ki nigah se hi dekhta hai aor koi emotions nahi rahty!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: March 15, 2006, 08:43:51 AM »
Wow ek se ek Love Consultant

Dulhe RaJa Dard to harr taraf Hota hai Jahan Sacha pyar ho, par lakde chuki Aapne jobs par busy ho jaatein hain aaur fhir ladke se Ek mature Insaan bann jatein hain aapni Family ko sambhalna hota hai, iss karke ye ladkon ke liye ye bhulna aaasan ho jaata hai, parr ladkiyan agar busy ho bhi jayein kuch Zimedarian bhi agar unke upar ho to fhir bhi wo kiski ko itni Jaldi bhula nahi sakti. . . . . .Kyun ye mujhe bhi nahi malum barobar se. . . . . .But aapne Request kee thi aaur maine Padd liye bolke maine bhi contruibute kar diya apne thoughts.
:D
Logged
sunny_bunny
Guest
«Reply #7 on: March 15, 2006, 03:38:54 PM »
hay bro this is sunny.....
yaar jahan tak mera experience hai yaar its in human nature.kisi bhi cheez se bahoot jaldi dil laga baithte hai,chahe wo ladka hai ya ladki.aur agar kuch problem ho to aisa haal bana lete hai ki naa jane kya ho gaya hai.magar aisa temporary hota hai,agar koi aur aap ki life mey aa jaye to sabh theek ho jaata hai.pehle to aap usse 2nd person ko itni ehmiyat nahin dete but u know samaye k sath sabh badal jaata hai.this is a big truth.meri he example le lo bhai,maine jisse pyar kiya uss ne mujhse kabhi pyar nahin kiya.but life is to move on.
as my darling said "hope i helped" u too...........!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #8 on: March 15, 2006, 08:03:51 PM »
lolz man sunny!
very true! very true!


vaise mein love guru kabse ban gayi rosh!
chal sabne bauhat achi opinions di hai!

SABKA KITNA EXPERIENCE HAI YAAR! :lol:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #9 on: March 16, 2006, 08:45:05 AM »
Quote from: "Pooja"
Bahoot hi acha topic hai yah. Mere khayal se larka ho ya larki, jisne bhi dil se payaar kiya, uske liye apne payaar ko bhulana mushkil hota hai. Magar larkiyion mai mafi dene ka amda larko se kahi jayada hota hai. Wo jaladi hi apne premi ki bari se bari galati ko maaf kar deti hai. Magar larko ke liye apni premika ki galati maaf karna bahoot hi mushkil hota hai.

Shayad issi difference ki wajah se, larki apne bewafa premi ko kabhi nahi bhool paati aor emotionally hamesha attach jurri rahti hai. jabaki larka apni bewafa premika ko hamesha gusse ya nafarat ki nigah se hi dekhta hai aor koi emotions nahi rahty!!!


excellent Pooja sis  :oops:

zayda thar mujhe aise lagta hai apki soch meri soch se milti julti hai  :oops:


waise hum kabhi apne mohabbat ko bewafa nahi maante chaiye o pathar

dil kyun na ho...hum usko itna had tak mohabbat karne lagte hain ki

unki narazgi aur bewafai pe bhi pyaar aata hai..agar sachi mohabbat

hui ho to ...khaas kar ladki apne sach pyaar ko bewafa ka naam bhi

nahi deti hai chaiye o usko kitni bhi taklif de ya dhoka

arey jo ladki usko be-pana pyaar karti hai usse kaise apne mohabbat

ko badnaam karenge bewafa keh kar haan ladki bahut emotional hoti hai issliye o kabhi usko bhulti nahi hai chaiye waqt badle ya mod  :oops:
Logged
natural
Guest
«Reply #10 on: March 16, 2006, 11:30:28 AM »
Wow very Well Said Salma.....

Tum aur itni samajhdar baatein..... :D  :D
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2006, 12:07:54 PM »
he he natwarlal

kyun be nahi kar sakti kya aise baatein

aur haan

kabhi kabhi soote huve dimag ko use kar lena padhta hai ..u know he he

o kya hai na ...samajdhar log aksar soch mein rehte hain ..isliye zayda apna muh nahi khulte hai samajdhari baaton mein :wink:
Logged
natural
Guest
«Reply #12 on: March 16, 2006, 12:16:02 PM »
Abe o...... Pehley to apni tapori language ko change kar.... :D  aur subah se shaam tak bolti rehti hai tujhey sochney ka time kab milta hai..... :D

Sotey sotey bhi tu yoindia par post karti hai....... Puzzled !  Puzzled !
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2006, 07:02:22 AM »
theek hai theek hai janab
abhi hum theek tharike se baath karte hain

sochne k liye humare pass waqt ki kami hai he he
dimag sote huve bola hain..aap nahi samjhe kya janab he he
Logged
natural
Guest
«Reply #14 on: March 17, 2006, 07:11:35 AM »
:D  :D  Arrey Salma bura maan gayi kya.... arrey yaar tum tapori language mein hi achhi lagti ho..... :D

Aur waisey bhi tumhari samajhdari waali baaton ko samajhna merey bas ki baat nahi hai...... :lol:
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 05:44:04 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer