Yoindia pe 5 saal ho jaayenge is saal....Pata hi nahin chala ye safar !
Yoindia jaise humesha se zindagi ka ek behad aham hissa raha hai ! Student thi jab Yoindia join kiya tha...Hostel main rehti thi...phir job..apna ghar to chhoot gaya tha...but Yoindia has always been A HOME AWAY FROM HOME !! Yoindia na koi site hai aur na hi sirf shayari ko ubhaarne ka zariya mere liye ! Main to shayari likhti bhi nahin thi, sirf padhne ka shauq tha......aur agar aaj thoda bohot likh paati hoon, to iska credit Yoindia ko jaata hai, Un doston ko jaata hai jinhone humesha hausla badhaya....!
Aaj as a senior member bohot achcga lagta hai naye logon ko aata dekh, likhta dekh....waqt ki kami se shayad sab ko humesha jawab nahin de paati par jab bhi time milta hai padhti zaroor hoon.....!
Aaj iss thread ke zariye mujhe mauqa mila hai Yoindia ke har us member ko thanks kehne ka jisne bhi Yoindia pe apne jazbaat, apni soch, apni shayari ko hum sabse share kiya !
Jaise Eent ki deewaaron aur chhat ko khada kar ke, ek makaan se GHAR badi mehnat banaya jata hai, usi tarah se Yoindia ko iAdmin, monitors aur har ek member ne badi koshishon se sanwara hai.......Allah se yahi dua hai ki ye khoobsurat gulshan humesha baharon se ghira rahe, kabhi khiazaan ka daur na aaye...humesha is ke phool muskurate rahen, khilte rahen, apni khushbu bikherte rahen......! Khuda humare Yoindia ko har buri nazar se bacha ke rakhe !
Bahut khoob Celmira Ji
Aapke vichar padhe. Wakai 5 saal se aap is munch per apna yogdaan de rahi hain ye jaankar behad khushi hui. Meri dua hai ki aap salo-saal literature ko isi tarah apna contribution deti rahen. Aur vaise bhi -
Kar gujarane ki tamanna jab tumhare dil me hai
Phir zamin se aasman tak sabhi kuchh hasil me hai
All the Best
SARVESH RASTOGI