Balaatkaar 2 - Balaatkaari khwahish bhi rakhta hai balaatkaar ki kyunki vichaar hi hai balaatkaar ka

by @Kaash on October 23, 2013, 03:11:12 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1163 times)
@Kaash
Guest

Balaatkaar ki maansikta hi samaaj me balaatkaar ke badhne ka pramukh kaaran hai
Maansik balaatkaar pehle ho jaate hain insaan se uske vichaaron ke dwaara
iske peechhe bahut se manovaigyanik tathya chhupe hue hote hain
uska bachpan kaise beeta parvarish kis tarah hui
kis samaaj me utha baitha uske sanskaar kaise pade
aur tab jaake aise vyakti ke mastishk me hi balaatkaar baith jaata hai
aur sahi maayne me wo ek balaatkaari ban jaata hai
Balaatkaar ki is tarah sookshmata se use aadat pad jaati hai
ki use iska bhaan hi nahi hota
Balaatkaari khwahish bhi rakhta hai balaatkaar ki kyunki
vichaaron me hi balaatkaar bhar chukka hota hai
Aise balaatkaari ko apne ahankaar aur hawas ke
siwa kuchh bhi nahi soojhta hai
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #1 on: October 23, 2013, 03:56:00 PM »
beshak...
sharafat nafs may hogi to insaan paarsa hoga
lebas'e'parsaai se sharafat aa nahi jaati...
hamara mashera badal gaya hai, tarbiyat ka tareeqha badal gaya hai, pahle gharon may madarson may ladkon ko sikhaya jaata tha ke saari ladkyon ko apni bahnen samjho - par ab koi ladkon ko ye sab nahi seekhata bas kahte hain to ladkiyon ko hi ke zamane se(balatkariyon se) bach kar raha karo - jab ke har mazhab mardon se kaheta hai ke apni nazren neechi rakho aur ghaer aurton ko mat dekho - par ham hain ke shaetan ki paerwi karte hain... aur bas baten karte hain ke balatkariyon ko maar do kaat do... par marega/kaatega kaon??? ye kaam ham apne haton kyon nahi lete??? kyon badh kar balatkariyon ko maut ke ghaat nahi utarte??? kyon us dhile dhale qhanoon se umiden lagaye baethte hain jo khud dalali karta hai...

Apne kaabe ki hifazat tumhen khud karni hai
Ab ababilon ka lashkar nahi aane wala......
Logged
Dineshkumarjonty
Guest
«Reply #2 on: October 23, 2013, 05:12:19 PM »
hasi aati hai kyoki hum jante hai aur balatkari bhi janta hai....

ke vo kisi ki masoomiyat chheen raha hai kisi ke pyar ke ahsaas ko chheen raha hai...kisi ki aatma ko chheen raha hai.....

par use inme se koi cheez na to milti hai aur na to kisi ki khoti hai........

ha sawal rah jate hai jo dono ko ta umar tang karte hai ek ko hakikat bankar ek ko khawab bankar.........

jisko hakikat vo so jaata hai jisko khwab bankar vo jag jata hai.....

par aisa nahi hona chahiye matlab hakikat vala jag jata hai khawab vala so jaata hai......

tention lene ki koi baat hai hi nahi kaash jee zindgi bhut khoobsurat hai......

jo mujhse banega vaise hi aap ke saath hoo

keep it on ....... ye humari duniya hai aap jaise logo se hi iski khoobsurti badhti hai aur jitni badhti hai fir kam nahi hoti..........
 
i also keep it on

Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: October 23, 2013, 05:53:46 PM »
beshak...
sharafat nafs may hogi to insaan paarsa hoga
lebas'e'parsaai se sharafat aa nahi jaati...
hamara mashera badal gaya hai, tarbiyat ka tareeqha badal gaya hai, pahle gharon may madarson may ladkon ko sikhaya jaata tha ke saari ladkyon ko apni bahnen samjho - par ab koi ladkon ko ye sab nahi seekhata bas kahte hain to ladkiyon ko hi ke zamane se(balatkariyon se) bach kar raha karo - jab ke har mazhab mardon se kaheta hai ke apni nazren neechi rakho aur ghaer aurton ko mat dekho - par ham hain ke shaetan ki paerwi karte hain... aur bas baten karte hain ke balatkariyon ko maar do kaat do... par marega/kaatega kaon??? ye kaam ham apne haton kyon nahi lete??? kyon badh kar balatkariyon ko maut ke ghaat nahi utarte??? kyon us dhile dhale qhanoon se umiden lagaye baethte hain jo khud dalali karta hai...

Apne kaabe ki hifazat tumhen khud karni hai
Ab ababilon ka lashkar nahi aane wala......
Iqtedar bro! aisa bahut kum hota hai ki Yoindia par achhe topics par koi
achhi tarah reply de, mujhe achha laga ki aapne itni himmat dikhayi.
I agree with your views aur mujhe yahi kahna hai ki hum saza nahi de sakte i mean saza dena haath pair kaatna paryaapt nahi hai kyunki balaatkaar ki maansikta is tarah se khatm nahi honi hai.
Ise satat jaagran ke dwaara logon me ye baat anubhav me aani chahiye ki balaatkaar ko maansik roop se hi khatm kiya jaaye.
Agar hum apne ahankaar ko kum tavajjo den aur khud ko sirf shareer hi na maane to hum auron ki rooh ke prati bhi sammaan se bharenge aur swayam ke vichaaron ko bhi kalushit karne se rokenge aur is tarah se balaatkaar ki maansik pravatti ko jad se hi khatm kar sakenge.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #4 on: October 23, 2013, 05:55:14 PM »
hasi aati hai kyoki hum jante hai aur balatkari bhi janta hai....

ke vo kisi ki masoomiyat chheen raha hai kisi ke pyar ke ahsaas ko chheen raha hai...kisi ki aatma ko chheen raha hai.....

par use inme se koi cheez na to milti hai aur na to kisi ki khoti hai........

ha sawal rah jate hai jo dono ko ta umar tang karte hai ek ko hakikat bankar ek ko khawab bankar.........

jisko hakikat vo so jaata hai jisko khwab bankar vo jag jata hai.....

par aisa nahi hona chahiye matlab hakikat vala jag jata hai khawab vala so jaata hai......

tention lene ki koi baat hai hi nahi kaash jee zindgi bhut khoobsurat hai......

jo mujhse banega vaise hi aap ke saath hoo

keep it on ....... ye humari duniya hai aap jaise logo se hi iski khoobsurti badhti hai aur jitni badhti hai fir kam nahi hoti..........
 
i also keep it on



tumhari baaten padh kar to mujhe hansi aati hai aur sach kahon to taras aata hai tum par ke kab aqhal aayegi tumhen!!!
aur tension na leney ka kahete huwe sharm nahi aati??? jab phategi na tab pata chalega ke zindagi kitni khoobsurat hai - lanat ho tum par Dineshkumarjonty...
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #5 on: October 23, 2013, 06:05:48 PM »
tumhari baaten padh kar to mujhe hansi aati hai aur sach kahon to taras aata hai tum par ke kab aqhal aayegi tumhen!!!
aur tension na leney ka kahete huwe sharm nahi aati??? jab phategi na tab pata chalega ke zindagi kitni khoobsurat hai - lanat ho tum par Dineshkumarjonty...

Iqtedar bro! i agree with you!
Aise kuch members hain jo mujhe lagta hai admin ya yahan ke kisi ke jaan pehchaan ke hain aur inka kaam hi hai yahan par sabse badtameezi karna.
Ye itne besharm hain ki inhe apne ahankaar ke siwa kuch dikhayi nahi deta aur yahan ke admin aur mods aise logon ki khidmat ke liye hi rakhe gaye hain lagta hai.  
Tabhi to aise logon par ye lagaam nahi laga paate ya nahi lagaana chahte aur aise logon ko nahi rokna aise logon ko protsahan dena hi hai.
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #6 on: October 23, 2013, 06:18:12 PM »
Yoindia Shayariadab is for poetry , such topics and subjects are not appreciated here by members, as per complaints received, topic is now locked. I request you to keep such topics on other General Discussion Forums but Yoindia Shayariadab.

--Admin
Yoindia Shayariadab
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:09:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer