father / Pita / abba / daddy

by bekarar on June 22, 2008, 06:57:03 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3971 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile

kuch alag se hote hain pita....humesha apne bachchon ke liye ek mazboot chat kee tarah se....har mausam se suraksha ka pakka wada hote hain pita...duniya kee har khushi apne bachchon ki jholi me daal dene ki khwahish rakhne wale.......maa ki mamta bhale hi duniya me bahoot mashhoor hai...lekin apne bachchon kee ankh me aansu dekh-kar..aankhen inki bhi chalak hi jaati hain..lekin badi safai se use chupa lete hain pita.....
ek kathorta ka sa mardana mukhouta odhe hote hain ye pita...lekin ander se bilkul narm.....
inka bhi man hota hai seene se chipka kar apne bachche ko dher sa pyar den....par kai baar chupa lete hain pita...aur fir sote hue bachche ko uske maasoom chehre ko chum lete hain pita..lekin koi dekh le to fir had-bada se jaate hain jaise koi chori karta hua pakada gaya ho.
office se jab sham ko ghar aate hain na jaane office ki kitani hi pereshaniyon ko liye...lekin ehsas nahi hone dete aur odh lete hain khush hone ka labada..
TO BE CONTINUED.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
PITA by mamta bajpai in Share:Devotional Poetry
MEINE PITA KO BADNAAM KIYA by ravneetpurohit in Shayari-e-Parastish
Pita ka beti ko sabse bada uphaar by Dineshkumarjonty in Chit - Chat & General Discussion
pita by aru12 in Shairi - E - Zindagi
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1 on: June 22, 2008, 08:04:44 AM »
Bohot khoob bekarar sahab padhte padhte aankh bhar aai, kya baat kahi aap ne, khas kar shairy men log "maa'n" ki baat likhte hen baap to bichara kam hi nazar aata he, bohot khoob janab bohot umda likha he aap ne....

Logged
palkhi
Guest
«Reply #2 on: June 22, 2008, 04:45:15 PM »
Wow................soooooooooooooooooo cuteeeeeeee Bhai.......


   Gosh Ajj Bhi Mein Ek Saal Ki Hothi,
     Tho Abbu Ki Goodh Mein Khail Thi,

    Gosh Woh Lamhe Pir Se Wapas Ahh Jayai,
      Jab Abbu Ki Ungli Pakar Kai Maine Chalna Seekha,

     Gosh Woh Pal Pir Se Wapas Ahh Jathai,
       Jab Abbu Nai Mujko Pehli Baar Cycle Chalana Sikhaya,

      Gosh Main Ithni Bhari Na Huyi Hothi,
        Tho Ajj Bhi Mein Abbu Ki Goodh Mein Khail Sakthi Thi.....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: June 22, 2008, 06:28:18 PM »
Maan ki tulana me pita hamesha bhula diye jaate hain. Door baithe bachche apne patron me maan ko pahla smbodhan dete hain. Patra me pita ke liye kuch hi pnktiyan likhi hoti hai. Halanki ve bhi pray aupcharik see hi hoti haipar pita apne bachchon ki chitthiyon me likhi in panktiyon ko akele me kai-kai baar padhte hue paaye jaate hain. Us samay inka chehra dekhen to bada dayneey, balki vidrup-sa lagata hai. Bhawukta ki lakeeron ko ve akele me bhi apne chehre par nahi aane dene kee jo asafal koshish karte hain, usase unka chehra katai na fabne wala aur kuch had tak kurup ho jata hai……
Apne office ya sarkar ka prshasan chalane bakhoobi chala lene ke bawzood  ghar ke prshasak ke roop me pita fissadi siddh hote hain. Inke nirnay aur niyam pray ghar ki kisi tak par pade hue dhool-dhusarit hote rahte hain. Jab kabhi patni akele hi rishte biradari me jaati hai tab ye jeejan se bachchon ke liye maan aur pita dono kee bhoomika nibhane me joot jaate hain. Ve rasoi me ghuskar naye pryog karne me sir khapate hain, bachchon kee kitabon-kapdon ko utsaah se vyavasthit karte hain. In kaamon ke karan pita un dino office hamesha hi deri se pahunchate hain aur boss kee dant khate hain. Par ghar aate hi ye sab kuch bhool kar fir se bachchon ke liye kuch achcha karne ki kawayad me joot jate hain.
Par jab patni ghar lautati hai tab bachche pita ki kai hasyaspad koshishon ki khoob mazak banate hue apni maa ko sunate hain aur kuch pal ke liya inhen bura bhi lagta hai to ye khud bhi hansi se hi use dho dalte hain.
Ghar ke bahar pita kai baar aahat, apmanit, aur parajit hote hain. Behad pareshan aur niraash bhi hote hain, lekin ghar ke bheetar kadam rakhte hi ye apne aap par ek khushdil insaan aur vijayi yoddha ka aawaran chada lete hain. Kabhi kabhar ye patni ke saath parajay ke in dukhon ko bantane ki koshish shuru karte hain par kuch hi samay baad ye patni dwara kee jane wali bachchon, saheliyon ya rishtedaron kee baton par han-hun karte hue paaye jaate hain. Patni ye baaten karte karte so jaati hai aur ye baaten sunte sunte jage rahte hain.

Ghar me jab kabhi kisi mudde par bahas chidti hai tab baaki sare log ek taraf aur pita akele khade dikhai dete hain…ghar aur bachchon se smbadhit tamam nirnayon me bhi inke saath kabhi-kabhar hi koi sahamat hota hai……bachchon ke bade nirnay se asahmat pita kheejate rahte hue bhi unki ichchaon ko poora karne me ve hi sabse jyada khatate hue dikhai dete hain…bachchon ke such sukun ke liye jo parishram karma padta hai..pita use chupana hi behtar mante hain…..
Prtykshtay ye ishwar ko nahi maante par apne bachchon ki safalta ke liye ye man hi man prarthnaen karte rahte hain…manoutiyan bhi manate hain


NM
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: June 22, 2008, 06:56:16 PM »
Pita pray sunder nahi hote……inka chehra inke seene aur peeth kit ulna me sanwala hota jata hai..inke unchahe pet bhi badh jaata hai..roz gym jaane ka nishchay karke bhi bamushkil do-chaar baar jaakar is bare me sochna hi chod dete hain…inke sir ke baal bahoot jaldi safed hone aur jhadne lagte hain….bahoot jaldi inke daadhi me bhi safedi jhankne lagti hai…….pita shuru shuru me har saptah baal rangte hain aur roz subah daadhi banate hain par ye sab unse jyada dino tak nahi nibhta aur tab do range baalon aur khichdi dadhi me ye aur bhi asunder dikhai dete hain.
Iske bawzood agar ye kisi din sheeshe ke samne ausat se jyada samay tak khade rah jaate hain to poora pariwar inhen khoji nigahon se ghoorane lagta hai……..
Beta bada hokar jab pahli baar naukari karne doosre shahar jaa raha hota hai tab upar se khoob khush, nishchint aur samany dikhai den eke bawzood pita bheetar hi bheetar bahoot udaas ho jaate hain ye bete ko thik se hidayat bhi nahi de paate hain…..apne swar ko sanyat rakhne ki koshish me ye vidai ke waqt bhi lagbhag chup bane rahte hain……..is chuppi ke karan pure pariwar me aksar nishthur aur aupcharik maan liye jaate hain
TO BE CONTINUED
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: June 23, 2008, 06:02:47 AM »
Bohot khoob bekarar sahab padhte padhte aankh bhar aai, kya baat kahi aap ne, khas kar shairy men log "maa'n" ki baat likhte hen baap to bichara kam hi nazar aata he, bohot khoob janab bohot umda likha he aap ne....



bahoot bahoot shukriya randeri sahab.....aapne shairy ko mahsoos kiya...

Wow................soooooooooooooooooo cuteeeeeeee Bhai.......


   Gosh Ajj Bhi Mein Ek Saal Ki Hothi,
     Tho Abbu Ki Goodh Mein Khail Thi,

    Gosh Woh Lamhe Pir Se Wapas Ahh Jayai,
      Jab Abbu Ki Ungli Pakar Kai Maine Chalna Seekha,

     Gosh Woh Pal Pir Se Wapas Ahh Jathai,
       Jab Abbu Nai Mujko Pehli Baar Cycle Chalana Sikhaya,

      Gosh Main Ithni Bhari Na Huyi Hothi,
        Tho Ajj Bhi Mein Abbu Ki Goodh Mein Khail Sakthi Thi.....

bahoot achcha reply hai chutaki...veri nice emotions..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: June 23, 2008, 07:32:37 AM »
par pita kisi din bhavoktavash bina kisi soochna ke akele hi bete ke shahar pahunch jaate hain…barson baad bete ko seene se lagakar nidhal ho jaate hain…..
Daiybities ke bawzood bet eke dwara lai gai ya banai gai chay ko bina kisi bhay ke anand se chuskiyan lekar lete hue peete hain….lekin us din ye bete ko naukari se aadhi ya poori chutti nahi lene dete hain.
Bete ke jaane ke baad ve uska avyavasthit karma thik karne ka anand lena chahte hain par kapdon ke peeche rakha whisky ka adda aur cigarette ka packet dekhane ke baad ve safai karne ka apna irada chod dete hain …………sham ko bet eke lautane par ve un cheeson ka zikra taq nahi karte…bet eke sath kuch der baatchit karne ke baad inhen karne ke liye baaten taq nahi sujhati aur tab bet eke saath khane ka anand lene ke baad bahoot zaroori meeting ki baat kahkar usi raat rawana ho jaate hain …..han rawangi ke waqt bet eke haathon me kuch bade note dabane ka such ye avashya lete hain …
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: June 23, 2008, 07:48:18 AM »
par jeevan ki is bhag-daud me pita ek din achanak gir jaate hain fir kabhi na uthne ke liye……poora privaar ach-kacha jaata hai…..unke na rahne ke dukh me unke hone ka mahatv ken aye arth samajh me aate hain……tab pita ghar ke kisi kamare ki deewar par mala pahan chitra banker saj jaate hain  fir bhi pita ke roop me ye itihaas kee kisi kitaab me nahi paye jaate.[/color][/font][/size][/size][/size] tearyeyed tearyeyed
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: June 23, 2008, 07:54:48 AM »
Hamen bhi kuchh kahna hai... Par dil kamzor hai...
Chalo kuchh saahas bana lun...
Apne to buhat kamaal ka thread start kia hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 23, 2008, 06:18:45 PM »
kuch alag se hote hain pita....humesha apne bachchon ke liye ek mazboot chat kee tarah se....har mausam se suraksha ka pakka wada hote hain pita...duniya kee har khushi apne bachchon ki jholi me daal dene ki khwahish rakhne wale.......maa ki mamta bhale hi duniya me bahoot mashhoor hai...lekin apne bachchon kee ankh me aansu dekh-kar..aankhen inki bhi chalak hi jaati hain..lekin badi safai se use chupa lete hain pita.....
ek kathorta ka sa mardana mukhouta odhe hote hain ye pita...lekin ander se bilkul narm.....
inka bhi man hota hai seene se chipka kar apne bachche ko dher sa pyar den....par kai baar chupa lete hain pita...aur fir sote hue bachche ko uske maasoom chehre ko chum lete hain pita..lekin koi dekh le to fir had-bada se jaate hain jaise koi chori karta hua pakada gaya ho.
office se jab sham ko ghar aate hain na jaane office ki kitani hi pereshaniyon ko liye...lekin ehsas nahi hone dete aur odh lete hain khush hone ka labada..
TO BE CONTINUED.........


This post was nice.....Jo bhi likha hai sach likha hai ! Applause

Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: June 23, 2008, 06:26:46 PM »
Though written in a very sentimental tone, I dont agree with following sentences:

Maan ki tulana me pita hamesha bhula diye jaate hain.

Zyadatar dekha gaya hai bachche Maa se zayaada attached hote hain...lekin ye bhi sach hai ki zyadatar bete maa se aur betiyaan baap se attached hoti hain.....


Apne office ya sarkar ka prshasan chalane bakhoobi chala lene ke bawzood  ghar ke prshasak ke roop me pita fissadi siddh hote hain. Inke nirnay aur niyam pray ghar ki kisi tak par pade hue dhool-dhusarit hote rahte hain.

Auron ka to nahin maaloom, maine apne ghar main maa-baap dono ko barabar ke level pe dekha hai...jahan koi bhi faisla dono ki aapsi salah mashware se hota tha/hai.....



Ghar me jab kabhi kisi mudde par bahas chidti hai tab baaki sare log ek taraf aur pita akele khade dikhai dete hain…ghar aur bachchon se smbadhit tamam nirnayon me bhi inke saath kabhi-kabhar hi koi sahamat hota hai……


Again, it never happened to us !!


Aapki ye post bohot sentimental hai..lekin bohot saari cheezain padh ke aisa laga ki jaise "pita" ko ek "bechara" ke roop main yahan laaya gaya.....I appreciate but dont agree with many things.....Sorry If I have hurt anyone with my views...par "Pita" ko itni bechaari si haalat main dekh na saki, isiliye likh diya !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: June 23, 2008, 06:37:11 PM »
Babul ek lafz jo jazbaat ka ek toofan khada kar de, aur shayad hi koi ho jiski aankhain nam na hon....Babul Pita ke liye kaha jaata hai....


Maa ke qadmon main jannat hai, kehte hain, magar sach ye bhi hai ki Baap ke pairon tale jannat ka darwaaza hota hai !
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #12 on: June 23, 2008, 06:45:59 PM »
talat ji,
aapne padha saraha aur sochne ke baad apne vichar rakhe...achcha laga....
bilkul sahi hai ye baat ki padhte padhte lagta hai ki pita ek bechare kee tarah se hai....lekin kisi had taq ye sach bhi hai....ek pita ko hamesha mazbooti ka labada odhe rakhna padta hai....kai baar ye khul-kar hans to lete hain par ro nahi paate.......shayad yahi karan hai bachche hamesha pita ko duniya ka sabse takatvar insan samjhte hain
yahan 
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: June 23, 2008, 06:49:20 PM »
ek pita ko hamesha mazbooti ka labada odhe rakhna padta hai....kai baar ye khul-kar hans to lete hain par ro nahi paate.......shayad yahi karan hai bachche hamesha pita ko duniya ka sabse takatvar insan samjhte hain
yahan 

Ye baat aapne bilkul sach kahi Bekarar....Pita ka dil bhi utna hi bachchon ke pyar se bhara aur unki khushian chahta hai jitna Maa ka..magar unhe apne jazbaat zyadatar chupaye hue dekha hai duniya ne
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: June 23, 2008, 07:00:16 PM »
BEKARAR JI,

Ajj subah atte he apki yah thread pardi!! likhne ki icha hote hue bhi nahi likha..wo waqat shayad alag tha jab Ma ek mamta ki murat hoti thi aor father ek taktwar insaan jis ki her kahin baat,maani jaani jaroori hai!!

Ajj waqat badal raha hai.. Bache khud dekhte hai, samjhate hai, mehsoos karte hai aor apki ek soch banate hai ki kon kaya hai!!

dil main bahoot kuch hai..is per likhne ko.. magar shayad ajj jayada nahi likh sakugi is vishay per..

Jaise ki Celmira ne kaha ki wo apki kuch baato se sehmat nahi hai... waise he apki posts padte waqat lag raha tha ki yaha father ko takwar batate hue bhi kitna ander se kamjor , bhawook aor bichara batlaya ja raha hai!!

MAine jahan father ko follad ki tarah bahoot sakhat dil dekha hai wahin kisi aor father ko phoot phoot kar sari dunia ke samne rota bhi dekha hai... yah nature hai aor depend karta hai ki kis father ki kis tarah ki nature hai.
issi tarah maine families dekhi hai jahan father apni wife ko koi ahmiyat nahi deta... choti se choti baat per jaleel karta hai, marta hai.... aor aise families bhi dekhin hai jahan father aor uski wife ki bahoot hi achi understanding hai..
again insaan ki nature per depend karta hai!!



Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:35:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer