pata nahi aapke sath hua hai ya nahi lekin maine mahsoos kiya hai jab koi atpati si baat manwani ho to maa kahti hai chalo thik hai mai tere papa ko mana lungi.........
yah bhi baat baat per depend karta hai Bekarar ji,
Kuch baatein aise hoti hai jo ma se kah kar Pita se manwaai jaati hai aor kuch aise jo Pita ko kah kar Ma se manwaai jaati hai..
magar jayadatar.. Ma se kah kar pita se hi manwaai jaati hai!!
her manushaye ke jeevan mai do baatein bahoot gahra asar karti hai.. us main achi bhawnaao ka hona aor apne kartvaye ka palan karna!!
Sdio se Ma apni bhawnaao se apne bacho ke komal man ko jeevit rakhati hai.. choti se choti baat ka khayal rakhate hue apne bacho ko bhawanaye samjhne layak banati hai.. wahin per Pita bacho ko kathor anushasan mai rakh kar unhe dunia dari aor unke kartvayo ka palan karna sikhata hai.. kaise bhi ardchan kyun na aaye.. agge badna sikhate hai
MA-BAAP dono bache ke sabse pahle teachar hote hai!! issi liye Pita ki tasveer aor MA ki tasveer mai jameen asmaan ka antar paaya jaata hai!!
Ab main wapis phir ajj ke zamane ki baat per atti hu: Ajj na jaane kitane single parents hai jo akele bacho ko paal rahe hai.. chahe wo father hai ya Mother
jayadtar kanoon bhi divorce mai bache Ma ko deta hai Pita ko nahi.. Kyun ki bacho ki growth ke liye unko life mai emotions ka rahna bahoot jaroori hai jo ki Pita ke pass kam paaye jaate hai!! kahin per jakar Pita apni life ke baare mai bhi sochta hai .. jahan shayd koi he ma hogi jo bacho se pahle apni zindagi ka sochein!!
Ajj na to Pita ki wo purani chavi hai na hi ma ki.. sab insaani nature per jakar khatam ho jaata hai aor bache apni najar se apne ma-baap ki chavi unki nature ke hisaab se banate hai!!
Again, agar meri kisi baat se kisi ka bhi dil dukha ho to main maafi chahti hu!!