Heart touching Scene From Aashiqui 2....Dialogues

by khwaish on April 30, 2013, 09:52:38 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 117711 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Yeh Ek scene mujhe iss movie mein  behad, Bahut Zyaada pasand aaya, ek "Undying Love" Jab Ki Woh Ladki Jaanti hai ke ladka galat Hai,Galat aadaton mein fas gaya hai par woh usse chodd kar nahi jaati balki uska har kadam par saath dene ko Tayaar Rehti hai..Jo Shayad Aaj Ke Daur mein bahut Kam Dekhne ko milta hai...woh ek scene kuch Iss Kadar Hai...
Yeh Scene Aarohi(Actress name In Da Movie Aur Uss hero ke Uncle Ke Beech Hai...)


Aarohi: Hum Yahan se Kaheen door chale Jayenge jahaan humein koi Nahi Jaanta Ho

Main Kuch Banna Zaroor Chaahti thi Par Itni Badi Keemat Dekar Nahi Ke Main Usse Hi Kho Doon..

Character: Par Ek Beemar ke saath koi Beemar Nahi Ho Jaata...
Agar Tumhara Pyaar Hi Iska Ilaaj Tha Naa,To Phir Ab Tak Asar kyun Nahi Hua??
woh Mohtaaj Hai Apni Aadaton ka,Uss Zehar ka,
Woh kaheen Pahunchna Hi Nahi Chaahta To phir
kahaa le jaogi usse aur Aakhir Kab Tak......


Aarohi: Main Nahi, Woh Le jayega mujhe uskee Duniya mein,
Jahaan woh Rehta Hai Din Raat Jahaan Woh Khush Hai,
uski Aadat Meri hogi, Uska Nasha Mera Hoga,
woh Unhe Nahi Chod Sakta Lekin Main Inhe Apna Sakti Hoon
Agar yeh Zehar hi Uska Pehla Pyaar Hai To Main Apnaungi
Iss pyaar ko, Nashe mein girte padhte rahungi uske saath phir kaheen
kis mod par woh mujhe Mil jaaye, ubhh Jaaye Inn Aadaton se
Daud Ke mujhse aakar Kahe ke Aarohi  Ab Main Thak Gaya Hoon.
phir main usse kahungi ke chalo ab ghar chalte hai phir woh aayega
Aur hum vaapas Zaroor Aayenge..

Character: Paagal ho Gayi  Ho tum bilkul hosh nahi ke tum tum kya boli jaa rahi ho...Uskee Aashiqui ne Tumhe Paagal Hi Kar Diya............
Logged
aqsh
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2013, 12:36:38 AM »
Really heart touching khwaish ji. wish to see the movie. thnx for sharing it...
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: May 03, 2013, 02:23:14 PM »
really heart touching
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 14, 2013, 05:09:16 PM »
Really heart touching khwaish ji. wish to see the movie. thnx for sharing it...

yes its one of da most beautiful Scene i have seen after a very Long time..Touches Your Heart like anything
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:45:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.083 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer