bahoot kash-m-kash me tha ki likhun ya nahi.....fir socha ki likh dun shayad meri ye baaten kisi ko sambal de saken sambhal saken.....
mai apni baat ek choti si sachchi kahani se shuru karna chahta hun....bhagwan budhdh ka prabhav pure desh me failne laga tha kuch log unhe bhagwan manane lage the....kisi gaon me unka pravachan tha aur wahan ek budhi aurat buri tarah rote hue aayi bhagwan ke charno me gir gayi....uske ekloute putra ka chand ghanton pahle hi nidhan hua tha ..wohi uska budhape ka sahara tha....wo bar bar bhagwan se rote hue kahti thi ki aap mere putra ko fir se jeevit kar do ......bhagwan budh ne kaha...thik hai mata mai aapke putra ko jivit kar dunga lekin usake liye mujhe ek muththi chawal chahiye......bas wo chawal us ghar se lana jahan koi mrityu na hui ho......budhi aurat turant chal di .....use apne gaon me to kya aas-paas ke dus gaon me bhi koi aisa ghar na mil saka.........lekin bhagwan use jo samjhana chahte the wo samajh gai..........
har vyakti-vishesh ka janm uparwale ke kisi khas pryojan ko sidhdh karne ke liye hota hai...aur jab uska kaam ho jaaye to use fir wapas jaana hi hota hai.......
lekin ye sachchai hote hue bhi ..apne ghar me mout ki kalpna kabhi koi nahi karta.....aur yakinan yoindia ke parivaar me shayad ye pahli baar aisi sthiti ka samana kiya hai...
bahoot hi kadvi sachchai ye bhi hai ki jindagi rukti nahi chalti rahti hai....jeene ki tamannna na hote hue bhi fir kisi aur karna se jeena padta hai......hansna bhi padta hai...rona bhi.........par jindagi rukti nahi chalti rahti hai....ek dusare ko dekh-kar housala banana padta hai.....ek dusare ka sahara banna padta hai.....sahara banana padta hai.............apne aapko sambhale aur jitna jaldi ho sake samany hone ki koshish karen aur dusre logon ko bhi santvana den sambhalen..........isi me unki aatma ko bhi sachchi shanti milegi.....
bas yahi hai jindagi.....
saari baaten mere apne niji anubhav hain sachchai hain aur yakeen maniye....thik aisi hi sthiti se 20 maheene pahle mai khud gujar chuka hun.....
bus
jindagi chalti rahti hai