kaun kitna emotional !!!

by sarfira on March 30, 2012, 06:59:50 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1518 times)
sarfira
Guest
dostoN--
chlie aaj kuch aisi baatin ka pata lagaya jaaye
jin baatoN se ek Patthar dil Insaan ki bhi AankheN num ho jaati hongi--

yun to bahot se log kehte hain ki woh kabhi rotey nahi--
mai bhi yahi kahta hoon khud ke baare me--!!!

par mai janta hoon ki aansoo bhale na nikle par kisi na kisi baat par har kisi ka dil ro uthta hai--

to chalie aaj apne Unn anchue pehlu ko saamne laate hain--

kin baaton par aap sabka dil bht jada tadap uthta hai unko share karie--
(love wale topic not allowed)

kaun kitna E
Logged
dolly
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2012, 07:15:17 AM »
ek chota bacha red light par khaane k liy ek rupaya mangta hua
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2012, 07:24:02 AM »
icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Logged
dolly
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2012, 07:30:29 AM »
mandir k bahar...chote bache...mangalwar ka din...aur boondi ke prasad ki bajaye agar rakh do unki hatheli par burfi....jo muskaan aati hai unke chehre par....aur ek dossre ko kehte hain.....Burfi hai burfi......bs...sunte hi kuch alag hi mehsoos hota hai.....
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: March 30, 2012, 07:55:10 AM »

aap ki yahi feel to jaanne ka thread hai ye--
kuch aise ehsaas jo aapko bilkul alg sa ehsaas dilae--
chahe gam ho ya fir chahe khushi--
bas share karie yunhi--
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 30, 2012, 08:17:18 AM »
dostoN--
chlie aaj kuch aisi baatin ka pata lagaya jaaye
jin baatoN se ek Patthar dil Insaan ki bhi AankheN num ho jaati hongi--

yun to bahot se log kehte hain ki woh kabhi rotey nahi--
mai bhi yahi kahta hoon khud ke baare me--!!!

par mai janta hoon ki aansoo bhale na nikle par kisi na kisi baat par har kisi ka dil ro uthta hai--

to chalie aaj apne Unn anchue pehlu ko saamne laate hain--

kin baaton par aap sabka dil bht jada tadap uthta hai unko share karie--
(love wale topic not allowed)

kaun kitna E


Bachpan Se Main Mere Ghar mein Sabse Emotional
 Banda bankar Raha Hoon..Sirf Roz-aana Zindagi Se Juudi baaton se Nahi,
Waise Hi har Bat mein..For Example..Hum Jab bache Hua karte The..
Agar Koi Achi Movie Mil baithkar dekte The Aur Utne Mein
Koi Emotional Scene Aa jaaye To Sab Ki nazar mere Upar Rehti Thi..
Ke Iski Aankhein Ab Nam Hogi Yab Tab..
Aur Main Yehi Koshish Karta Rehta Tha Ke
Meri Aankhein Bilkul Bhi Nam Naa Ho Kyonki Phir
 Didi AUr Chote Bhai ko Bahana Mil Jaata Mujhe Chidaane Ka..
Jaise Jaise Badhe Hue Aur Bhi Duniya Ke rang-Roop Ko Dekhkar,
Swabhaavik Hota Gaya..Aur Shayad Isliye Kayi Baar yeh jazbaat
 Lafzon mein Utaarta Reh Gaya..
Par Ab Mujhe Koi Afsos nahi Hota yeh Kehne Ko Ke
 Haan Main Emotional Hoon, Kyonki Jo Emotional Hote Hai
 Woh Zindagi Ko Aur Kareeb se Dekh Paate Hai
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #6 on: March 30, 2012, 08:18:42 AM »
 Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: March 30, 2012, 11:54:25 AM »

Bachpan Se Main Mere Ghar mein Sabse Emotional
 Banda bankar Raha Hoon..Sirf Roz-aana Zindagi Se Juudi baaton se Nahi,
Waise Hi har Bat mein..For Example..Hum Jab bache Hua karte The..
Agar Koi Achi Movie Mil baithkar dekte The Aur Utne Mein
Koi Emotional Scene Aa jaaye To Sab Ki nazar mere Upar Rehti Thi..
Ke Iski Aankhein Ab Nam Hogi Yab Tab..
Aur Main Yehi Koshish Karta Rehta Tha Ke
Meri Aankhein Bilkul Bhi Nam Naa Ho Kyonki Phir
 Didi AUr Chote Bhai ko Bahana Mil Jaata Mujhe Chidaane Ka..
Jaise Jaise Badhe Hue Aur Bhi Duniya Ke rang-Roop Ko Dekhkar,
Swabhaavik Hota Gaya..Aur Shayad Isliye Kayi Baar yeh jazbaat
 Lafzon mein Utaarta Reh Gaya..
Par Ab Mujhe Koi Afsos nahi Hota yeh Kehne Ko Ke
 Haan Main Emotional Hoon, Kyonki Jo Emotional Hote Hai
 Woh Zindagi Ko Aur Kareeb se Dekh Paate Hai

Khwaish dost,
Apki baatein gehri hai..bahaut dil ko choo jati hai..
Khoob kaha apne..!
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: March 30, 2012, 11:58:46 AM »
Dost,
Apne love ka issue nahin uthane ko kaha hai isiliye nahin uthaunga..
Toh kis baat se mera maan, dukhta hai..udaas hota hai..

Dolly jee ne bahaut achi baat kahi kay bachon ko roti mangte hue dekhna, bahaut dukh deta hai..

Main jab kisi ko kisi ki qadar karte hue nahin dekhta hoon, toh bada dukh hota hai kay zindagi ne jinhe diya hai, unhe qadar nahin..kitni sharmindagi ki baat hai..!

Khush rahiye..!
Logged
Kohinoor
Guest
«Reply #9 on: March 30, 2012, 01:04:05 PM »
Jub kisi se hum bhavnaatmak roop se jud jayen to uska bicharna bahut tkleef deta hai...
Vo koi b ho skta hai...
Jaise mere NCC camp me mai kuch bahar ki ldkiyon se mili thi...10 din sath rehte,khelte koodte , khana khate,ek doosre ki mdad krte..kb gujar gye pta hi nhi chla...
Aur bichrne ka din aa gya..mera to last camp tha...
Mere aansu ruk hi nhi rhe they...kbhi ek ko gle lgati..kbhi doosre ko...ajeeb halat thi.
First time mera ghar lautne ka mn nhi ho rha tha...
Mere grup k sar ne kaha...
"Caption...tu royega to bahut maarunga..smjha"
unki aankhon me b aasu they..
Mai 9 ghante k safar me lgataar roti rhi thi.
Ek aur baat btati hoon.
Deshbhakti wale picture b mujhe khoob rulate hain..jaise '1971'

Logged
dolly
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2012, 06:35:19 AM »
nice sharing alllz....Usual Smile

ek temple jahan frequently visit krti hu...vahaan par ek teen chaar saal ka bachha gaur varn ka(gora sa)....dhoti pehne hue....eur shirt par kanaha ki painting bani hui.....harmonium aur kartaal ki dhun par Bhagwaan ki murti ke aage uchaltaa...naachta ..girta..fr uth kr naachta hua aksar nazar aata hai....chehre pr masoom si muskkaraahat.....jise dekh kar sb attract ho jaayein.....har guzarte isnaan ke mukh par hansi bikhar aati hai...dekhkar apna bachpan yaad aa jata hai...Usual Smile
Logged
sarfira
Guest
«Reply #11 on: March 31, 2012, 01:31:09 PM »
bahot achi sharing ki hai sabne--
very nice sharings by aal members Usual Smile

iss tarah ki zazbaati ehsaason se rubaru karwate rahen
khud ko aur dusron ko apne inn ehsaason aur anchue pahluon se do-chaar krwate rahen

thanx Usual Smile
be continue------
Logged
sarfira
Guest
«Reply #12 on: March 31, 2012, 01:32:30 PM »
bahot achi sharing ki hai sabne--
very nice sharings by aal members Usual Smile

iss tarah ki zazbaati ehsaason se rubaru karwate rahen
khud ko aur dusron ko apne inn ehsaason aur anchue pahluon se do-chaar krwate rahen

thanx Usual Smile
be continue------
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #13 on: March 31, 2012, 01:35:24 PM »
dostoN--
chlie aaj kuch aisi baatin ka pata lagaya jaaye
jin baatoN se ek Patthar dil Insaan ki bhi AankheN num ho jaati hongi--

yun to bahot se log kehte hain ki woh kabhi rotey nahi--
mai bhi yahi kahta hoon khud ke baare me--!!!

par mai janta hoon ki aansoo bhale na nikle par kisi na kisi baat par har kisi ka dil ro uthta hai--

to chalie aaj apne Unn anchue pehlu ko saamne laate hain--

kin baaton par aap sabka dil bht jada tadap uthta hai unko share karie--
(love wale topic not allowed)

kaun kitna E


sarfira ji,


apni to saari zindagi ka motion electronics ke hawaale ho gaya hai. short mein main
 aur bahut se log aaj ke zamaane mein E-MOTIONAL ho chuke hain
Logged
sarfira
Guest
«Reply #14 on: March 31, 2012, 01:59:53 PM »

sarfira ji,


apni to saari zindagi ka motion electronics ke hawaale ho gaya hai. short mein main
 aur bahut se log aaj ke zamaane mein E-MOTIONAL ho chuke hain

Ustaad ji--
chahe jitna bhi E-Motional ho jayen hum lekin--
kuch baatoN par ye E kaam me nhi aata Usual Smile

aapka to comnt sbse jada Emotional raha tongue3
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 02:39:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer