Haan mene mehsoos kiya hai kuchh is tarah
Ek Maa ki khushi : > Maa kehti hai ki woh sari duniya mein sabse jyada khusnaseeb hai. Kyunki uske paas ek aulaad hai jo uski zindagi ko ek maksad deti hei. “ Maa „ is alfaz ko makbul darja sirf aulaad se hi mila hai. Agar uski aulad wafadaar nikli to uske paun jannat hain uski aulaad ke liye. Kyunki Khuda ne khud farmaya hai “““““ Yeh such hai ki meri nazar duniya ki har us chiz per hai jo ki sans leti hai or jo sans nahi leti hai – lekin insaan woh hai jisko anmol kaha gaya hai, kyunki usne har dour mein duniya ko jaisa chaha istemaal kiya hai – lekin uska dil hamesha apne khuda ke liye yaani mere liye bechain rehta hei or agar main chahun to har jagah uski zaroorat ke mutabik apne bande ko pyar de sakta hoon lekin mere or mere bande ke bich mein jo parda hei woh to uske nek or bure kaam per hi uthega yaani mout ke baad. Isliye maine maa ko banaya taaki insaan ya janvar jab bhi mujhe dekhna chahein, mujhe pyar karna chahein, woh sab kuchh apni maa se kar sakte hein. Yeh yaad rakho tumhare liye maa meri parchayee hai „„„„„„ ab aap mehsoos kar sakte hein jab ek jawan beta mout ke muh mein jayega to maa ke dil ka kya aalam hoga ? :::: Kya tumne mehsoos kiya hai ? ::: :
Ek Baap ka abhiman : > Jab aulad paida hoti hai to baap ka sina tan jata hai. Mera yakeen mano jitni khushi usko shadi karne par hoti hei us se kai so guna zyada khushi usko baap ban ne par hoti hai. Woh apne doston mein sina tan kar chalta hai. Aur agar uska bas chale to woh sari duniya ko chandni raat sa saza de. Jab aulad pehli baar baap ko ( baba ya papa ) pukarti hai to uske dil mein sari kaynaat apni aulad par nyochhavar karne ka jazba ubhar aata hei. Us waqt us se jo bhi mango agar uski haisiyat hai dene ki to woh bina soche samjhe de dega. Magar jab use ya maloom chale ki uski aulad ka sath ab jyada dinon tak nahi hai to uske dil ka aalam kya hoga ? :::: Kya tumne mehsoos kiya hai ? :::::
Ek behen ki umeed : > Har woh behen jiska bhai hota hai. Woh us se shirf yehi umeed rakhti hei ki shadi se pehle tak woh uski maryada ki raksha kare or shadi ke baad uski har khushi mein shariq ho .. lekin jab usi behen ka sath bhai se chhut jaye to ?? ::::: Kya tumne mehsoos kiya hai ? ::::
Ek bhai ka Pyar : > Ghar ka bada beta sabse sayana hota hei. Yeh aap bhi jante hain. Or woh apne chote bhaiyon se bahoot pyar karta hai ye bhi aap log jante hain. Kyunki apne chote bhaiyon ki galtiyon per unhe woh dost ban kar samjha sakta hei unhe dant sakta hai unki kharch mein har chiz ko pane mein madad kar sakta hai . agar uske chote bhai ne kuch galti ki to woh apne maa baap ko samjha bhi sakta hai. Jab itna pyar woh apne chote bhai se karta hai to socho ki jab use maloom parega ki ye pyar ab jyada dinon tak nahi rahega to
:::: Kya tumne mehsoos kiya hai ? :::::
Ek bivi ki aas : > Mayke se jab vidaa hoti hai tab sab kuchh yahan tak ki bhagwaan bhi uska pati hi hota hai. Jab sare naye rishton ke bich woh aati hei tab uska satha shirf uska pati hi deta hai. Saanton fero ke vachan woh nibhane ki kasam khata hai. Fir bivi usko apna sab kuch de deti hei. Usko sirf or sirf apne pati se hi umeed rehti hei har chiz ki. Usko kisi or pe majboor nahi hona parta hai . lekin jab uska pati use achanak chor kar mout se gale ja mile to
::::: Kya tumne mehsoos kiya hai ? :::
Ek aulaad ki farmaish : > Beta ya beti baap se kya chahte hain ? yahi na ki unhe woh sab kuchh mile jo unke dosto ko unke papa se milta hai . . tab unki farmaishon ka kya hoga jab farmaishein pura karne wala hi achanak zindagi se ruth jaye ? : : : Kya tumne mehsoos kiya hai ? : : : ::
Ek Dost ki taklif : > Dosti ko kisi bhi tarif ki zaroorat nahi hai . lekin mein sirf itna kehna chahunga ki : Dil mein khayal aaye or dost ko pata chal jaye : agar aisi dosti ko mout ki nazar lag jaye to ? : : : kya tumne mehsoos kiya hai ? ::::
Ek guru ki mahanta : > Har guru ki yeh tamanna rehti hei ki uska shishy or shishya uski di huyee shiksha ka sahi upyog karein. Lekin jab waqt aata hai us shiksha ke upyog ka to …kyun kisi shikshak ka dil mayoos ho jata hai ? :: : Kya tumne mehsoos kiya hai ? ::
Or ek khwahish zindagi ki mout se : > Zindagi mout ko un sare rishton ka vasita dekar kehti hei ki mujhe kuchh pal udhar dedo taki mein sabke liye kuchh kar sakun .. magar mout kehti hei ki ye namumkin hai or uski rooh ko apne sath le jati hai….
Jab zinda log mout ki rahon pe chal parein
To itna hanson ki aankh se aansoo nikal parein
Ab mein aapko ye batata hoon doon ki meine yeh sab mehsoos kiya hei…… kyunki
Har shakhsh ko mukammal jahan nahi milta
Kise zameen to kise aasmaan nahi milta