|
|
Rishi Agarwal
Guest
|
|
«Reply #1 on: November 27, 2009, 01:45:13 PM » |
|
U R Right Bro
|
|
|
Logged
|
|
|
|
brokenbyluv
Guest
|
|
«Reply #2 on: November 27, 2009, 01:53:16 PM » |
|
Maine aap sabhi k reply padhe aur mujhe bahut hi khushi hui ki koyal aur madhuji ne merra sath diya hamesha ki tarah..luv u both...panki ji aapki baato se main poori tarah se sehmat hu yahan har kisi ko apna opinian dene ka poora haq hai phir chahe vo naya member ho ya purana....rishi ji aur s.k ji main aap dono se sirrf ek hi baat kahungi ki aap log pehle baat ko padhiye phir apni raaye dijiye..madhuji ne sahi kaha merra kehne ka matlab ye tha ki jab main yo pe aayi tou madhuji k comments se mujhe itna hausla milta tha aur aaj bhi milta hai aur hamesha milta rahega..rishiji apki baat bilkul galat hai ki purane members ki post pe hi comments diye jate hai aesa kuch nhi hai jo post kabil-e-tarif hoti hai un pe comments hote hai aur main bhi yahan koi bahut purani nhi hu..main yahan isliye post nhi karti ki sab mujhe comments kare...shayari merra junoon hai aur khuda ka diya hua ek tohfa bhi aur bus main apne alfaz aap sab k beech share karti hu..aur jahan tak baat apki ya sk ji ki post pe comment karne ki hai main kisi ki posts pe comment nhi karti hu..baaki main kuch nhi kehna chahti hu kisi ko bhi ab..plzz agar ab koi bhi yahan reply kare tou main yahan koi jawab nhi dungi..thnx alot madhuji n koyal once again janti hu hamari dosti mein thnx nhi hai per is waqt aur kuch keh bhi nhi skti hu..luv u alot...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rishi Agarwal
Guest
|
|
«Reply #3 on: November 27, 2009, 02:00:28 PM » |
|
Mujhe Aapse Kuch Nahi Kahna Geet JI Mein Khud Nahi Chahta Ki Aapko Aur Kisi KO Mere Karan Heart HO Isliye MEin Jald Hi yaha se Chala Jayunga Dont Worry Khus Raho Sab Kyuki Mein Aaya Tha Apna Dard Bantne Per Dard Kam Hi Bata Aur Dard Milte Gaye Koi Motivate Kar Dard Dene Lag Gya Koi Dost Ban Kar Pta Nahi Kya Kya Kah Jata Hai Aur Aap Kya Yaha Pe Sab Sahi Hai Kitni Safai Se Kya Kya Kah Jate Hai Aur Uff Tak Ki Aawaj Nahi HOti Mein Jab Jayunga To Sabke Bare Mein Batake Jayunga Kyuki Bahut Se Aise Person Hai Jo Is Sweet Site Ko Badnaam Kar Rhe Hai Aur Aane Wale New User Ki Himmat TOd Rhe Hai Sorry Geet Ji Aapse Tahe DIl Se Sorry Bol Rha Hu Aaj KE Bad Mein Promise Karta Hu Ki Na To Aapke Ya PHir Kisi Aur Ke Rashte Mein Nahi Aayunga Aur EK Shaksh Hai Yaha Pe Bus Mujhe Usse Kuch Jawab Mangne Hai Aur WO Mein Lekar Rahunga Geet Ji Shayad Yahi Tak Ka Safar Tha Mera Aap Logo Ke Sath Yo Mujhe Bahut Pyara Hai Aur Humesha Rahega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankshivam
Guest
|
|
«Reply #4 on: November 27, 2009, 04:33:51 PM » |
|
Ye sb kya ho raha hai Geet ji and Rishi bhai kisi ko kahi jane ki jarurat nahi hai oki main ye post general discussion ke liye shuru ki hai na ki jhagarne ke liye oki
So behtar hoga ki is jhagare ka yahin pe The End kijiye Thik Hai Rishi Bhai Yahan Koi nai Chahta ki Aapme se koi bhi yahan se jaye So Dubara Mat Kahna Bro Chalo Mera Bhi Ek Discussion Baki Tha Mai Use bhi Karunga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
pankshivam
Guest
|
|
«Reply #5 on: November 27, 2009, 05:06:37 PM » |
|
Madhu Ji aur Pank Ji, Aapko meri baat achhi nahin lagi, iska dukh hai mujhe. Madhu ji sabhi ki tareef karti hain wo bahut achhi baat hai, mujhe kya etraaz ho sakta hai. Mera matlab sirf itna tha ki Madhu Ji bajaye baar baar typing se bachne ke liye copy paste kar deti hain.Pank Ji ki baat bhi sahi hai ke ghaltiyan nikalne ke liye qabil teacher ki zaroorat, tabhi sahi margdarshan ho sakta hai. Albatta achhi shayari ke liye sub ko koshish karni chahiye. Iske liye mash-hoor shayaron ka kalam padhna fayedemand ho sakta hai, wahi hamare teacher hain jaise Waseem Barelvi, Firaq Gorakpuri, Bashir Badr, Manzar Bhopali, Raahat Indori, Bekal Utsahi, Sahir Ludhyanvi etc.etc. Shayari ki jo bunyadi zarooraten hain, achha shayar banne ke liye,unka pura karna zaroori hai aur wo seekhna chahiye. Thank to all.
Baat achhi ya buri lagne ki nahi hai Riyaj Bhai baat sirf itni hai ki aap jo likh rahe hain un words me ek tanj nazar aata hai, aur rahi baat post me sudhar ke liye logo ko samjhane ki uske liye beshaq Kabil Teachers hain Magar kya ham me se kitne log koi post karne ke pahle unse discuss karte hain.... Main In sab Teachers ki aapki hi tarah Respect karta hun Personaly agar kahe to mujhe shayari nahi aati Kuch bhi likh deta hun Logo ko achha lagta hai to mera bhi hausla badhta hai aur likh likhke boar karta hun Sikhne ke liye kuch mile iska hamesha hi intezar rahta hai dost aur abhi to shuruaat hai sikhane ki duaa hai achha likhne lagunga
Post pe criticism ki to behtar hoga jinhe kisi shayari pe doubt ho use likhe wale ko pm karke use sudharne ka mauka den hame naye poets ko appreciate karna chahiye aur unki posts pe waqt hone par apna contribution bhi dena chahiye magar itni hi request hai ki unko sudharne ka mauka dena hai ya koi mashwara dena hai to unhe pm kijiye aur agar aapko lagta hai ki sabko isse wakif hone jaruri hai to unki post pe bhi apne mashvare ke sath reply karen
mai aapki baat manta hun Koyal ji but Poem ka criticism karne ke pahle hame uske poet se ye bhi puch lena chahiye ki vo kya kahna chah rahe the aur is line ka unhone kya matlab nikala hai ye behtar hi rahega ki aap unhe PM kare aur fir kisi decision pe pahuche se pahle unse ek baar jarur baat ho jaye Meri bhi kayi post pe Sajid Gyala sahab jo yahan pe bahoot hi achhe shayar rahe hain unhone padhne ke baad PM karke hi bataya tha ki is line me ye khami hai sudharne ki jarurat hai aur kahi kuch confusion tha to PM hi karte the Hope meri baate aap sb tak pahuch rahin hain
Rahi baat us post ki jisme guhar ji ne likha hai uspe koi aur hi topic shuru ho gaya tha oki ji Criticism hona bhi achhi baat hai aur jaruri nai ki chat pe ho post pe ho to bhi chalega but baat kahi aur na chali jaye isliye ye post shuru ki hai
Ye Mera apna opinion tha.... Sorry agar meri baaton se kisi ko bura laga ho ya hurt huye hain to kabhi kabhi hame bhi soch samjh kar public me kuch kahna chahiye Becoz may bhi aap us feeling ke sath na kah rahe ho magar aapke words hurt bhi kar sakte hain So Ek baar fir se aap sab ko Sorry
~Pank~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
brokenbyluv
Guest
|
|
«Reply #6 on: November 27, 2009, 05:51:24 PM » |
|
nikhaar ji main har yoindian ki izzat karti hu isliye aapne kaha mujhse tou main apko jawab dena chahti hu ki maine baat ko nhi badhaya hai maine sirrf ek dost k naate madhuji ka sath diya tha baat ko badhaya kisi aur ne hai aur vo sab k saamne hai..main isse zyada kuch nhi kahungi,pank ji ne bahut hi smjhdaari se baat ko smjhaya hai aur main unse bhi poori tarah sehmat hu,apko agar main galat lagti hu tou aap zarur mujhe kahe main apni har galti ko manungi...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
poppoetry
Guest
|
|
«Reply #7 on: November 27, 2009, 06:01:53 PM » |
|
teh dil se shukriya bbl ji.....Galat aap nahi hai bbl ji...aapne kha k aap unme se ek hai jinka hausla bdha madhu di k comments se...aur rishi ji ne iska opposite samjha....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #8 on: November 27, 2009, 06:05:06 PM » |
|
Meri uss baat mein aapko tanz nazar aaya,ye alag baat hai lekin maine tanz ke irade se kuchh nahi likha. Aap jaante hain ke Yoindia par aapas mein kitni hansi mazaq chalti rahti hai, isko usi tarah bhi liya ja sakta tha. Madhu ji ke har ek post ke reply mein wahi 4-5 words ek hi serial mein likhne se kya shayaron ko aisa nahi lagta hoga ke wo ek formality si nibha rahi hain. Halanke wo aisa is niyat se nahin karti, ye main jaanta hun magar koi aisa samajh sakta hai.
Jo log poetry ka shauq rakhte hain wo kuchh na kuchh likhte rahte hain lekin wo yun hi likhte rahen aur wah wahi loote rahen isse unmein ghalat fahmi bhi paida ho sakti hai ki wo bahut bade shayar ban gaye aur bahut achha likhte. Agar unme sudhar ki zaroorat hai to wo kaise hoga. Is mamle mein aapki rai bahut achhi hai ki hausla afzai ki jaye aur saath saath ek dusre ko PM ke zariye pyar ke saath is tarah salah di jaye ke usko bura bhi na lage kyonki har kisi mein koi na koi khubi zaroor hoti hai. Aakhri mein itna kah kar baat khatm karta hun ke achha shayar banne ke liye kisi na kisi tariqe se sikhna zaruri hai. Shayari ek samandar hai, iske seekhne ki koi had nahin ho sakti. Thanks.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rajesh Harish
Guest
|
|
«Reply #9 on: November 27, 2009, 06:35:41 PM » |
|
Arre waah guhar ji kya khoob apni feelings ko lafzo mein utara hai apne...verry impressive..Applause Applause..
madhuji aap bahut hi ache ho aur bahut hi acha karte ho apke aesa karne se kaafi logo ko hausla milta hai unme se ek main bhi hu...
Kya baat thi aur kahan pahunch gayi Ab choro is bahas ko koi faida nahi
Main ne bahut achchhi tarah dono thread ko padha Geet ne jo likha usko samjhe bina aap logon ne Baal ki khaal nikalna shuru kar diya Insaan ko phele baat ko achchhi tarah taulna chahiye Phir us par kuch bolna chahiye Agar koi kahe ki kauaa tumhara kaan le gaya To tumhe kauaa ke peeche daurne se pehle Apna kaan dekhna chahiye na ki kauaa ko daurana
Asha hai mere in baaton ko koi bura nahi manega
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
poppoetry
Guest
|
|
«Reply #11 on: November 27, 2009, 06:46:22 PM » |
|
aapne bilkul sahi kha rajesh ji.......
agree with you Pank ji......
Dekha Doston....galatfehmiya badh jaaye toh kya hota hai..... Hamein aasha hai k ab aisa discussion yha nahi hoga.....insaan toh galtiyon ka putla hai...aur jisse waqt rehte apni galti ka aehsaas ho jaaye wo maafi ka bhi adhikaari hai.....
Haste rahiye doston...aur hamesha saath rahiye.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
brokenbyluv
Guest
|
|
«Reply #12 on: November 27, 2009, 06:59:40 PM » |
|
Main aap sab se sehmat hu aur maafi mangti hu agar kuch galat kiya ho tou...apne sahi kaha pooja ji ki ek galti kya se kya kar deti hai..isliye kehte hai samjhdaari bhi honi chahiye har insaan mein umar se hi koi bada nhi banta....bus in sab baato se ek baat ka pata tou chal gaya ki kaun dil mein kaisi bawnaye rakhta hai plzz merri iss baat ko galat na le aap log...apne paraye ki pehchaan bure waqt mein hi hoti hai aur aap sab ne mujhe iss baat ko smjhne mein bahut help ki hai dil se main aap sab ko shukriya kehti hu..khuda kare ki yo mein yu hi ekta bani rahe aur har koi ek dusre ko yu hi protect karta rahe....merri taraf se mujhe maaf kar dena aur ab mujhe kisi se koi shikwa nhi hai..LOVE U ALL...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
KOYAL46
Guest
|
|
«Reply #13 on: November 27, 2009, 08:36:17 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rishi Agarwal
Guest
|
|
«Reply #14 on: November 28, 2009, 08:24:35 AM » |
|
teh dil se shukriya bbl ji.....Galat aap nahi hai bbl ji...aapne kha k aap unme se ek hai jinka hausla bdha madhu di k comments se...aur rishi ji ne iska opposite samjha....
Ek Dum Sahi Kaha Nikhaar Ji and thnx a lot Nikhar Ji Us Line Ke Do Pehlu nikalte The Aur Mein Us pehlu Ko Kahi Aur Le Gaya Meri galti Ki wajah se ye sub hua per agar us samay hi mujhe ye kisi ne kaha hota to bat hi nahi badhti per kahte hai na ki tark pe tark milta hai to bat badhti chali jati hai aur koi samjhaye us samay to hum usse bhi galat samjh beith the hai mein shukriya karta hu pank ji aapka aur nikhar ji aapka bhi........Geet Ji Shayad Mere Karan Aapka Dil Dukha Isliye Mein Mafi Ke layak Nahi Hu Agar Ho Sake to Maf Kar Dena I say only Sory wo bhi dilse Sory sory Sory Sory sory Sory sory Sory Sory sory Sory Sory Sory Sorry Ab Mujhe Kisi Se Ab Na Kabhi Koi Shikayat Hogi Na Kisi Se Gila Na Kabhi Kisi Se Karenge Ab Discuss yaha...............Rishi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|