MEDITATION.........SAPNE........

by Dineshkumarjonty on March 19, 2014, 04:49:36 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2848 times)
Dineshkumarjonty
Guest
Kali khil jati hai
Phool khil jata hai
mohobbat kya hai
kya samjh aata hai.......

hindi(sanskrit) language badi gyan se bhari language hai
jaroor sikhni chahiye.........



SAINI SIR mai Aapse kuchh kahna chahta hoo
mai bachpann main bhut galiya deta tha
par mere MUMY PAPA mujhe maaf kar dete the......

Mai mjhdaar main hoo mai doob sakta hoo
mujhe sahara chahiye jabki main janta hoo ki meri umar sahara dene ki hai........mera koi dost nahi hai jisse main kuchh share karta hoo bus yoindia par apne jajbaat likh deta hoo....mujhe to yaad bhi nahi ki pichli baar main jhagda kab kiya tha ar mai pahle hi janta tha ki mujhe is vayvahar ki maafi magni hogi............
Mai janta hoo Aap naye logo ko pahle reply dete ho mujhe bhi unko portshahit karte ho......mujhe nahi pata mai kaisa likhta hoo itna pata hai simple likhta hoo kuchh log kahte hai tumne aaj tak koi bhi shayri yaha nahi daali bus jo marji aaya likh diya..........shayad such ho tumhari nazar se ar mai galat hoo kripya samjha dena........

kirpya meri posto ko delete kar diya karo...........

thank u............


MEDITATION......DREAMS.......

Spane kya hai kyu aate hai kisliye aate hai....?


Sceince ne hume itna to bata diya ki sapne black and white hote hai parntoo ye nahi bataya ki vo kyu aate hai unka humari asli zindgi main kya matlab hai........

Kya deemak ka chalta rahna hi uski vajah hai agar sapne na aaye to kya hum mar jayege vajah kuchh bhi ho hume itna pata hai ki deemak humesha vayst rahta hai kabhi kahi humari marji se kaam karta hai kabhi khud hi kaam karta hai.......

darsal main ye batana chahta hoo ki sapne kya hai ar unka humari asli zindgi se kya sambhandh hai....iska ek seedha sa example deta hoo ek aadmi ek kaam roz karta hai matlab uski naokri vo usse tang hai ya tang aa gya hai ar vo koi dusra kaam karna chahta hai ar jayada samay use chhodne ke baare main sochta hai ar nye kaam ki sochta rahta hai to dekhna lajmi hai vo khud ko sapne main kuchh aisa karta dekhega ki use naya kaam mil gaya vo uski koshish kar raha hai ya purane kaam se pareshan hai......

Ab main dusri baat batata hoo ki Aap sab jante hai ki bhootkal main nahi jaya ja skta hai kya yah sapne main sambhav hai nahi tum sapne main bhi bhootkal main nahi ja sakte lekin jab hum kuchh yaad karte hai to vo bhootkal ka hota hai uska chitra bhi ban jata hai deemak main yadi humara deemak aisa kar leta hai to ek tarha se ye kaha ja skta hai ki humara sharir vartmaan main hai ar deemaak bhootkal ki yatra ya use dohra raha hai ye kuchh is taraha hota hai ki jab tum kuchh yaad karte ho to tumhari aankhe dekhna band kar deti hai kyaki vo vartmaan dekh rahi hai par jab hum yaad karte hai to deemak bhootkal main dekhta hai ya to tum aankho se vartmaan dekhoge ya deemak main bhootkal yaad karoge Aap sab shahmat ho na........

Lekin hum kuchh aisa bhi sochte hai jo bhavishaya hai jaise hum footbaal khel rahe hai ye humara aim hai kuchh bhi aisa....
Dhayan dene vali baat yah hai ke hum kabhi bhi vo chhez nahi bana sakte jo is duniya main nahi hai ya is duniya ki nahi hai ya isse related nahi hai.....darsal main ye batana chahta hoo ki humara sharir humesha vartmaan main rahta hai ar deemak bhootkal ya bhavishayakal main jata ya jhakta hai......

jab hum sote hai to humara deemak bhavishaya ki yojna banata hai vo batata hai kiase kya kiya jaye ye saaf hai ki normelly hum har baar naya spna dekhte hai isliye ye sabit hota hai ki vah sapno main bhavishaya se nipatne ka kaam karta hai..... ye meri pahli baat naokri badlne se ab sambhandhit hai vo hume batata hai kal kya kare ya kya karna chihiye vah humari asli zindgi ki uljhano ko suljhata hai......tumhe ek example deta hoo ki kabhi sunna hai ki koi kahe mujhe bhooto ke sapne aate hai adhiktar ar main bhooto se nahi darta hoo bilkul bhi........

such ye hai ke deemak ka ek kaam hai ki aap lambhi zindgi jeeyo par iski bhi apni limit hoti hai hum har sapne ka theek matlab nahi laga skte hai itna aasan nahi hai.........aasho ne bhi kaha hai duniya do cheezo se bani hai pardarth
ar samay jisme humara deemak samay se kahi zuda hai.............
maine ye un logo ke liye likha hai jo apne sapno se pareshaan hai..........sapno se darna nahi chahiye vo tumhare bhale ke liye aate hai..........



dinesh kumar........
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 19, 2014, 05:21:34 PM »
very nice
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: March 19, 2014, 07:23:48 PM »
v. Nice  icon_flower icon_flower
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: March 20, 2014, 02:04:02 AM »
Great Job.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:34:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer