meri kalpanik duniya....,

by Dineshkumarjonty on March 03, 2014, 10:01:02 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1003 times)
Dineshkumarjonty
Guest
 meri kalpanik duniya............


Mujhe nahi pata bharshtachaar kaise khatam kiya jaaye meri soch kuchh aisi hai bura mat manna agar main yaha kuchh galat likh do to mai ek alag duniya ki kalpana karta hoo jo ki is tarah ki hai..........

paiso ka chalan khatam kar diya gaya partayek insaan apni pasand ka karya karta  hai ar saptaah main 4-5 din hi karta hai jo kaam atyant zaroori hai shift main kiya jate hai agar koi insaan koi bhi kaarya nahi karna chahta to koi baat nahi bus use samjhaya jata hai ki ye bahut zaroori hai zabrdasti nahi hoti char din saptah ke koi bhi ho sakte hai partayek insaan kaarya apni partibha ar pasand se karta hai achhe kaam par avard diye jate hai.........

Partayek insaan ko ghar ki zaroorto ke saaman lene ka haq hai par zaroorat se jayada nahi vah achhe se achha v kaam chalaoo saaman le sakta hai paise jaisi koi cheez n hai koi insaan zaroorat se jayada saaman nahi rakhta iska dhayan rakha jata hai likhit main ghar mani jeene ki sab cheeze hoti hai  aaram ki bhi jaise car aadi koi jayada saaman rakhega to vo vapas le liya jata hai iski saja nahi hoti bus use samjhaya jata hai......

Jail jaisi jagah bhi hoti par aaj kal ke jail jaisi nahi..yadi koi kisi ko maar deta  rape kare atayant dukh pahuchaye to hi use jail main daala jata hai  Aadmi ar Aaorat ke jail alag hoti hai matlab striling ar pulling se hai kyoki rape ar ashlil vardato ki bhi saza deni hai.....

Jail do parkaar ke huye ! maarpit, katal, rape ar atayant dhukh pahuchane valo ko alag alag rakha jata hai  jail main sab suvidhaye hoti hai parntoo kisi se v bahar ki duniya se usnhe door rahna hota hai 3 mahine mai vah kevel ek insaan se mil sakta hai pure 12 ghanto ke liye saza 5 saal se 25 saal tak ki hi hoti ar vo bhi umar ke hisaab se hoti 15 se 18 saal ke inssan ko t.v dekhne diya jata hai din main ghoomne ke liye ground main 3 ghante ka vakt diya jata hai  baki sab keval 1 ghanta hi ground main ja sakete hai baki sab vahi suvidhaye hoti jo aam ghar main hoti ek insaan ke liye ek kamra hota theek thak  toilate alag bane honge jaha jaane ke liye pahle bataya jata jisse ki c c tv on karke use dekha jayega toilatae ke andar nahi.......

katal karne valo ki saza hoti hai 15 se 20 saal vale ke liye 10 saal 20 se 25 ke liye 20 saal isse upar ke liye bhi 20 saal.... maar pit  v ashalil karne valo ke liye 15 se 20 saal vale ke liye 5 saal 20 se 25 saal ke liye 10 saal thappad maar pit main galiya bhi isme shamil nahi hoti hai.....

Aatayant bure karne vale ko vahi saza di jati hai jo maar pit main shamil hai atayant bure se matlab hai ki koi kisi ko    aatmhatya par mazboor kar de ya doosre ki karne par mazboor kare......

Rape karne valo ki saza katal karne vali saza jaisi hogi parntoo use apni beti bahan ya maa se milne ki anoomati nahi hoti ha kisi dost se mil sakta hai....milne ke doran salako ityadi jaisi vayvasta hoti taki vah nooksaan na phoovha sake ye har kisi ke liye hai.....

Yadi rape ya ashalil striling ki tarf se huaa hai to uski saza kam hoti 15 se 20 saal tak keval 2 saal va 20 se 25 ke liye 5 saal......

Agar Maa Baap shitayat karte hai ki unka beta ya beti unhe saath nahi rakh rahe to 1 saal ki saza di jati beta ya beti ki umar 15 saal honi zaroori hoti hai varna koi saza nahi hoti.......

Insaan ke 15 saal ke ho jane par use 200 gaj zagah di jati jab bhi vo chahe iklote hone par use Maa Baap ki zammen milti hai agar Maa Baap ar santaan razi ho to koi akele rahna chahe to vah rah sakta hai koi paabandi nahi hoti jaise pati patni parntoo unkki santaan kam se kam 15 saal ki ho chuki ho.....

Apang va lachar logo de zabrdasti koi kaam nahi karvaya jata vo kar bhi nahi pate....

Paagal khane bhi hote hai......

18 saal tak kevel padhayi karni aavashayk hoti hai......



Ye Vayavastha ek sabse amir ar garib desh se shuru hoti ar isi hissab se lagu hoti aage bhi ar ise puri Dharti Maata par lagoo hoti hai jaha tak sambhav ho......


Saal main 2 mahine chhooti ke hote jo kisi desh ki garmi ar sardi ke hisaab se hote kisi desh ka naagrik doosre desh ka nagrik nahi ban sakta jabtak ki uske liye uske desh main zameen na bache koi desh iske liye mana nahi kar sakta agar uske paas jagah hai to! zaroori kaam ke liye vah doosre desh main rahta jabtak kaam khatam na ho vo bhi apni family se saath iska bhi likhit dhyan rakha jata hai ki vah kaam kitan ar kabtak karta....

Puri DHarti Maa ker liye  ek Insaan ko rakh jata hai ar uske saath partaeke desh ke 25 vaykti kaam karte hai chunaav nahi hote hai  iski bhi padhayi hoti ar 1st ar 10nth position ke hisaab se hi ye chune jate exam main ! inko koi bhi ye bhi ar insaano ke jaise hi honge inko bhee 200 gaj ityaadi hi mileti hai yah exam saal main hote ar har baar nye log is kaam ko shambhalete hai inka ek vishesh adhikaar hota ki ye apne saath apni pasand ke kisi exam paas insaan ko rakh sakte hai taki ye milkar kaam kare jhagda na kare !  ye kisi karya ko kare jo ki purre desh ko parbhavit karta hai to uske liye matdaan hota ar matdaan yes ar no main nahi hota har koi vichar batayega jo ki 1 se 2 page ka ho sakta hai vah khud hisaab lagayenge ki yes hai ya no ar pahle iska bhi matdaan hota ki ye pure desh ko parbahvit karta hai ya nahi matdaan internet par hoga agar ho sake to ! matdaan 15 se 20 saal ka insaan de sakta hai dusro se slah laker achhe kaam karne vale insaan ko exam main 5% ank jyaada diye jayege jaise kisi ki z
jaan bachana.......exam main ek nibhand hoga jo keval achhi bato par likha jayega jiske numbar sabse jayada rakhe jate.............


Sabse Aakhir main ashlil kya hota hai us duniya main do premi agar park main ya kisi bhi zagah kiss karte hai paas baithte hai ya gale milte hai to vo ashlil nahi hota kyoki ek pita apni 5 ya 6 saal bachche ko kiss karta tha to vo ashlil nahi mana jata kyoki vo use pyar karta hai to ladka ladki ka pyar usse kayi bada mana jata ......ha parke aadi jaisi jagah par ye likhna aavshyak tha ki ashlil n ho.....vaise sachhe premi apni maryada jante the.........


Ye thi meri kalpanik duniya dosto Aap bhi mujhe bata sakte hai ki Aap ki kalpanik duniya kaisi hai....

Thanks to all my FRIENDS

Dinesh kumar
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yeh hi meri duniya hai!!! by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
meri duniya.....sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Meri duniya by neha verma in Shayri for Khumar -e- Ishq
meri kalpanik duniya.... by Dineshkumarjonty in Chit - Chat & General Discussion
Meri kalpanik duniya...ki kuchh ar baate..... by Dineshkumarjonty in Chit - Chat & General Discussion
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: March 03, 2014, 10:08:28 PM »
Great Work.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: March 03, 2014, 11:25:10 PM »
kyaa baat bhai itnaa lambaa mat likha karo padhne ke liye sabr chahiye
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:30:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.088 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer