Mityu ar navjeevan ke bich ke chhan........

by Dineshkumarjonty on March 21, 2014, 03:31:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 744 times)
Dineshkumarjonty
Guest
Meditation......

Mityu ar navjeevan ke bich ke chhan........

Jab insaan marta hai jab vah ek ajeeb si smell pata hai vo kaisi hai vo kuchh aisi hai jo mare huye sharir se aati hai ar khile huye phool se (matlab navjeevan) aati hai.....

Jab insaan marta hai to ek dhoon sunta hai jis ke baare main shayad Aapne suna ho vo dhoon sabse nimn stara ki hai jise hum sunn nahi pate ya concentraite nahi kar pate hai jaise ek aavaz gunj gunj kar antim ho jo pure barhmaand main hai vo hume isliye sunti hai kyoki humare sunne ki sbase kam kshamta par hum hote hai ar vo dhoon bhi nimn stra ki hai.....

Safed ar kaale ka mix jo ki pure barhmaand main hai jo ki t.v chennel par network na hone par dikhayi deta hai vo vahi dhoon ka sor hai ye safed roshni jo kendra main atydhik hai ar vahi se nikal rahi hai ye Aapne suna bhi hoga shayed......

vo dard mahsoos hona jise darad nahi kah sakte hai aatma humare sharir se niklegi ar navjeevan main parvesh karegi uske bich ka samay vahi hai jo chalta nahi hai kyoki ye humara vaham hai ki samay chal raha hai kevel cheeze ek roop se doosre roop main dhal rahi hai......

ek se shoonay ke parbhaav main jana fir shoonay se ek ke parbhaav main jana ye tumhari samaj aa sakta hai par long note ho jayega......

6 indriyo ka  apne level ke hisaab se badal jana jeevan main tumne jis indri par sabse jayada niyantarn paya uska sabse niche chale jana...isi hesaab se sari indriya badal jati hai vo isliye ki agle jeevan main indri ka chetna ke us stra ke paas hona jaha us par niyantarn paya gaya hai aisa isliye hota hai kyoki har hal main indriyo par pura niyantran ek sath sab par hoga.....isliye koi kam lalchi ar koi jayada lalchi hota hai.......aisa nahi hota ki kisi insaan ki do indriya jaag jaye ar baki rah jaye sab ek saath jagegi purn roop se vo vahi pal hai jo MAHATMA BOODH KO MILA JISE BOODHTATV KO PANA BHI KAHTE HAI.......

divya shakti main parvesh karna yah bhi batana theek nahi hai.....fir bhi aap janna chahe to batana......

nark ki saja pana jis par main post kar chooka hoo ki vah kyu milti hai......

Aabha tatav main ho jana ye vo tatav hai jo panch tatavo ko parbhavit kar sakta hai par panch tatav ise nahi.....arthart bhoot yoniyo main jana hum unhe nahi dekh sakte par vo dekh  sakte hai.....ye kinhi do indrio teen indriyo ka ek satra par hone ke karan hota hai kaha u jata hai ki koi adhoora kaam rah jane ke karn par asli main inriyo ka ek satra par ho jana hai tutumhe pata hoga indriyo ke sthan kya hai jab sari indriya jag jati hai to doosra janam naho hota hai vo sab ek sathan par aa jati hai ar koondli jag jati hai.....

ye sab maine isliye likha hai ki MAHATMA BHOODH aadi sab such kahte hai Jeevit mariye bhav jal tariye books main such likha hai......BHGVAAN HAI PARM SHAKTI HAI......

AGAR AAP sub meri aadhyatamik post main intersted ho to plz jaroor batye......main janta hoo log in cheezo ko bakvaas mante hai par vo ye bhi nahi jante bechare ki vo jis safar par chal rahe hai vo isi ka sfasr hai aakhir main vahi pahuchana hai.....agar aap log kuchh puchhna chahe to puchh sakte hai....

DINESH KUMAR.......
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hamare bich ek bahut bada shayar by janu_anu in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Jo Bich Bhwar me Ruk Jaye Vo . by pawan16 in Shairi - E - Zindagi
Rishton Ke Bich... Saavan... by Saavan in Shairi - E - Zindagi
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:04:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer