never-ending story...

by sanya310 on June 03, 2005, 08:00:30 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 19
Print
Author  (Read 11746 times)
Friend_4uall
Guest
«Reply #30 on: June 04, 2005, 07:50:00 PM »
Achaanak beech raaste mein ek bhyankar magarmach saamne aajaata hai...itna daraauna ke koi bhi usse dekhkar dar jaaye...............actually wo magarmach nahi ........wahi witch hoti hai jo princess ke upar apna spell daalti hai.............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghazals Ending ate "GAin" by sp@rrow in Ghazals
Ending The Cycle by Pooja in Inspirational Stories and real life Incidences.
ING ending words game! by ehsaas chahat ka in The forum only for "Forum Gaming" « 1 2 3 4 5 »
march ending...jyuthika... by jyuthika in Gujarati
Happy Ending -2015 by Amit Singh Suryavanshi in Share Poetry You Like
Talat
Guest
«Reply #31 on: June 04, 2005, 07:51:57 PM »
shazaadi use dek kar darr jaati hai...magar rajkumar apni jaadui talwaar nikaalta hai...aur usse us magarmach se ladta hai....
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #32 on: June 04, 2005, 07:57:36 PM »
Ladte ladte magarmach zakhmi ho jaata hai.......aur zakhmi hote hi wo witch ban jaati hai.....aur apne jaadoo se rajkumaar ko andhaa kar deti hai.................
Logged
Talat
Guest
«Reply #33 on: June 04, 2005, 08:01:30 PM »
magar witch khud bhi ghayal ho gayi hoti hai aur uska jaadu bhi khatm hone waala hota hai...wo gayab ho jaati hai...aur zameen bhi qareeb hoti hai...rajkumari kisi tara use zameen pe laati hai..jahan use apne sipaahi milte hain..aur wo rajkumar ko aone mahal le jaati hai...
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #34 on: June 05, 2005, 04:44:38 AM »
....................fir kya hua?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh??
Logged
Talat
Guest
«Reply #35 on: June 05, 2005, 08:37:35 AM »
King daddy aur Queen mummy pehle to princess ko dekh kar bohot khush hote hain....magar ek sea prince ko saath dekh kar bohot hairaan ho jaate hain...princess unhe saari kahani batati hai...

Royal hakeem aa kar sea prince ka ilaaj karne ki bohot koshish karta hai...magar...
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #36 on: June 05, 2005, 08:59:26 AM »
Magar Royal hakeem ko ye maaloom nahi hota ke........rajkumaar ka ilaaaj sir aur sirf ek hi cheez se ho sakta hai...........................aur woh
Logged
Talat
Guest
«Reply #37 on: June 05, 2005, 09:02:05 AM »
ek jadibooti hai..jo bohot door ek aise jungle main hai...jise paar karne main saat din aur saat raatain lagti hain..wahan par ek jheel hai jiski beech main ek jazeere par ek ped hai...usi se uska ilaaj ho sakta hai..magar us ped ki hifaazat ek jaadoogar karta  hai....
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #38 on: June 05, 2005, 09:10:17 AM »
Jaadoogar inta powerful........ke chidi bhi us ped ke kareeb nahi jaa sakti......aur woh jaadoogar ki jaaan ek parinde mein hoti hai.......jo ussi witch ke khabze mein hota hai....jisne rajkumaari par apna spell daala thaa....................

actually rajkumar aur rajkumaari ke parents bahut puraane dost hote hain.............lekin ek earthquake aata hai aur rajkumar ke parents ki kingdom samundar mein chali jaati hai.....................
Logged
Talat
Guest
«Reply #39 on: June 05, 2005, 09:14:06 AM »
masla ye hota hai ki us jadibooti ko lene kaun jaayega....King bohot kamzor hota hai...aur apne raajkaaj main busy bhi hota hai...aur Princess apne maa baap ki ek hi aulaad hoti hai...magar princess khud faisa karti hai us jadibooti ko laane ka...

magar uske liye sabse pehle zaroori hota hai us witch ko maarna jiske kabze main jadoogar ki jaan wala parinda hai....actually witch ki jaan ek chote se ped main hoti hai jo usi jungle main hota hai..aur uski hifaazat 7 witches karti hain..magar raajkumari is lambe aur khatarnaak safar pe nikal padti hai.....
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #40 on: June 05, 2005, 09:17:30 AM »
Aur rajkumari ke saath ek good luck charm hota hai jo saat baar istemaal kiya jaa sakta hai..................jo wahi fakeer usse deta hai.....

Rajkumari ke saath ek rabbit saath jaata hai .. aur woh bhi fakeer usse deta hai......us kharghosh ki khaasiyat ye hoti hai ke agar aaap uske kaan ko modoge to woh itna badaa ho jaata hai... approximately 50 meters in height........lekin ek problem hoti hai.......................
Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: June 05, 2005, 09:21:43 AM »
Wo rabbit waise to kuch nahin khata magar use peene ke liye ek khaas qism ke paani ki zaroorat hoti hai jo kingdom se baayeen disha main do raat chalne ke baad ek laal jheel aati hai us main milta hai..

to princess ko sabse pehle laal jheel ki talash main jaana hota hai...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #42 on: June 05, 2005, 09:22:35 AM »
phir....kya hua......Huh??
.....
..........
...............
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #43 on: June 05, 2005, 09:24:59 AM »
Aur woh laal jheel tak wahi log pahunch sakte hain...jo kabhi kisi se pyaar na kiyaa ho........lekin rajkumaari to rajkumaar se pyaar karti hai...............isliye wo wahaan par nahi jaa sakti ..

Tab usse yaad aataa hai us fakeer ke baare mein.....aur woh fakeer ke paas jaati hai...........
Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: June 05, 2005, 09:29:20 AM »
Fakeer use batata hai ki wo jaa sakti hai laal jheel magar ek khaas qism ke shoes pahan kar...jo jaadu ke hain..aur unhe pahan kar insaan urh sakta hai.....wo shoes laal jheel se thodi door pehle fakeer ke bade bhai fakeer ke paas hain aur princess ko unse lene honge....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 19
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:28:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer