JANNAT KAY DARWAZAY
Hadees Paak Ki Roshani Mein KHAWATEEN Kay Liyay Nawiday JANNAT.
NABI-E-PAAK (s) Ki Zubani
1) Ek neik ba amal aourat sattar(70) aouliya-e-karaam say behtar hai..
2) Bad aourat ek hazaar bad mardoon say badtar hai..
3) Hamila aourat ki 2 rakaat namaaz aam aourat ki aasi(80) rakaat namaaz say behtar hai..
4) Duud day nay wali aourat koe ek ek buund kay badlay ek neiki milti hai..
5) Shohar pareshaan ghar aayay toe bewi us say khush aamdeid kahay aur tasalli day toe us aourat koe aadhi jehaad ka sawaab milta hai..
6) Joe aourat apnay bachay kay ronay ki wajah say soo nah sakay toe us koe beis(20) gulaam azaad karnay ka sawaab milta hai..
7) Khawan apni bewi koe aur bewi apnay khawan koe mahabbat ki nigaah say dekhay toe ALLAH paak dono koe mahabbat ki nigaah say dekhta hai..
8 ) Joe aourat apnay shohar koe allah k raah may bejay aur khud apni hifazat karte huwe ghar may rahe toe yeh aourat mard say paach(5) saw saal phele jannat may jaayay gi woh sattar(70) hazaar Farishton wa huuron ki sardar hogi – us aourat koe jannat may gussul diya jayay ga aur yakuut kay goray par sawaar hoe kar khawan ka intayzaar kare gi..
9) Joe aourat apnay bachay ki bimaari ki wajah say bay aaraam rahay aur bachay koe aaraam pouncha nay ki koshish kare ALLAH us kay tamaam gunah maaf farma day tay hai – bara saal ki makbuul eibadat ka sawaab attwa farma tay hai..
10) Joe aourat apnay janawar ka duud nikaal tay waqt BISMILLAH ka zikir kare toe janawar us k liyay ALLAH say duua`in maangta hai..
11) Joe aourat aanta guunttay waqt BISMILLAH ka zikir kare toe us ki roozi may barkat daal di jaati hai..
12) Joe aourat geir marad koe dekh nay jaati hai allah paak us aourat par laanat beaj ta hai – jis tarah geir mard ka aourat koe dekh na haraam hai usi tarah aourat k liyay geir mard keo dkeh na haraam hai..
13) Joe aourat apne ghar may jharuu day tay huwe allah ka zikir kare toe usse khana kaaba may jharuu day nay ka sawaab aur darja mil ta hai..
14) Joe paak daman aourat namaaz wa roza ki paband hoe aur apne khawan ki khidmat guzaar hoe us k liyay jannat k aathun darwaze khool diyay jaatay hai..
15) Apne khawan ki nafarmaan aourat ki namaaz aur eibadat aasmaan par nahi jaati..
16) Hamila aourat ki har raat eibadat may aur din roza may shumaar hoe ta hai..
17) Ek bacha peida karnay par aourat koe sattar(70) saal ka namaaz wa roze ka sawaab likha jata hai – Peidaish k waqt har har rak kay dard par ek haj ka sawaab likha jata hai..
18) Agar aourat bacha peida hone kay chaalees(40) din kay andar intekaal kar jayay toe allah paak us koe shahadat ka darja attwa farma tay hai..
19) Jab raat koe bacha rooyay aur maa begeir badwa kay duud day toe us koe ek saal ki namaaz aur ek saal kay roze kay barabar ka sawaab diya jata hai..
20) Jab bacha apnay duud pinay ki umar puri karta hai toe ek farishta aa kar aourat koe khush khabri day ta hai keh allah nay tuj par jannat wajib kardi hai..
21) Jab shohar safar say ghar wapas aayay aur bewi us koe khana khilayay aur us nay koi khayanat nah ki hoe toe us aourat keo allah paak barah saal nafal namaaz ka sawaab attwa farma tay hai..
22) Jis nay apne shohar keo us kay kahay begeir peir dabayay toe us say saat(7) tolah sona sawdaka day nay ka sawaab milta hai – aur khawan k kehnay par dabayay toe saat tolah chandi sawdaka kar nay ka sawaab milta hai..
23) Jis aourat ka khawan raazi hoe aur woh intaykaal kar jayay toe us par jannat wajib heo jati hai..
24) Khawan ka apni bewi koe ek masalah sikhana assi(80) saal ki eibadat kay barabar hai..
25) Bariek kapra pehenay wali, mardoon may khawaish peida kar nay wali, geir mardoon say mil nay wali, sir-aam banao sangaar karnay wali aur bay pardah aouratin kabhi jannat may dakhil nahi hongi aur us koe jannat ki khushbuu bhi sunganay koe nahi milay gi..
26) Jannat may loog ALLAH PAAK ka deedaar karnay jaayin gay laykin joe aouratin duniya may pardah ki haalat may rahi hoe un ka deedaar allah paak khud kar nay jayin gay..
27) Duniya may sab say zayada takleef bardaash karnay wali aourat maanand HAZARAT AASIYAH zaozah-e-firaon hai..
~~~***~~~***~~~***~~~***~~~***~~~***
MASHALLAH SKY BLUE AAPNE BAHUT ACHCHI BAATEIN HADIS KE HAWAALE SE BATAAYA ....ALLAH SAARI AURATUN KO ISS BAAT KO SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE JO HUZUR (S.A.W) NE BAYAAN KIYA HAI....AAMIN...AUR AAP KO JAZAQALLAH KHAIR..!!
KHUSH RAHEIN...DOAGO ...AAP KA BHAI