Very nice thread and a good suggestion Bekarar.
A request to all the users:
Please avoid unnecessary chit-chat here so that when people recommend some good poems, their posts dont get lost in the crowd.
Also, I am making the thread sticky, so that its always there when we need it. great thread..!! really a nice input by you bekarar.
i hope people take this thread seriously and we all may get good poetries to read.. shukriya talat ji , khwahish ji aap logon ne kam se kam wohi samjha jo mai kahna chahta tha......
kai baar mere saath aisa hua hai ke maine kisi yoindian shayar ka kalam padha aur mujhe thik nahi laga ya fir mujhe samajh me nahi aa paya to uske baad fir maine kabhi uska kalam padhne kee koshish nahi kee ya aisa socha ke chlo baad me dekhte hain...
aur fir jab kabhi usi shayar ki koi poetry dekhi to laga wah kya likha hai.....
lekin uske beech us shayar ne jo bhi likha tha wo mai nahi pad paya....
iska ulta bhi bilkul sach hai..yani maine pahli baar jis shayar ko achcha likhte paya baad me jab bhi usane koi post kee maine zaroor padhi chaahi wo itanee achchi na ho....
aur ek baat to sabhi maante honge kee koi bhi hamesha sirf bahoot achcha hi nahi likh sakta...
lekin kai baar kalam par dil ki baaton aur shabdon ka aisa satik mail mil jaata hai ki khud ko bhi bahoot surprise hota hai ke ye itna achcha maine likh hai?
aur fir aap wo poetry yahan post kar dete hain. kyonki yahan sab hum jaise hi log hain jo apane-apne profession me masroof hone ke bawzood apne shouk ko aaps me baant rahe hai.
lekin wo khoobsurat kavita jo aapne post ki, use sirf kuch logon ne padh aur sirf 4-5 reply mile bas aapko kuch choobhan si kuch tees si rah jati hai.....
aur sabse aashchrya ki baat ye hai ke yadi kisi ne aapki poem ko notice nahi kiya to aisa nahi hai ki poem me dum nahi tha balki aisa is liye bhi ho sakta hai ki aapne jis forum me wo post ki hai wahan par jyada log nahi jaate ho. jaisa ke maine issi thread ki pahli post me kaha hai
sou baat ki ek baat ye hai ki sabhi ko ye maaloom hona chahiye ki achchi post kahan par hai......Ek baar fir ise kisi ko khush karne se ya naraz karne se jodkar na dekhen
thanks friends