TAKHNA CHUPANA HARAAM KUN???

by HBK on August 16, 2010, 03:50:49 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1412 times)
HBK
Guest
HADESAY PAAK MAY AATA HAI KEH "TAKHNA KA JITNA  HISSA EI-ZAAR SAY CHUPAY GA JAHANNAM MAY JAYEA GA"

Toa muhtaram dostoa! takhna chupana haraam  honay ki 4 wujuhaat ek mufassiray hadees nay batayea hain.

1)aouratoan say mushabahat hoti hai.

2)takabbur(apnay ko  bara aur dusray ko kam samajna)karnay waloan ki surat say mushaba hai. 

3)fuzool kharchi hai.

4)latka huwa pajama najasat say lagjata hai.

toa yahan hum poochna yeh chahtay hain keh "ab kay zamanay may toa aksar larkiyan takhnay say upar pehanrahi hain.toa ab unsay muhabahat kaisay  hogi? aur phir phir koi kahay keh hum loog toa takhna takabbur ki wajah say nahi chupatay toa?? aur phir 1,2 inch ziyada hojanay par konsa kharch hojayea ga???aur sab say bari baat yeh keh takhna chupana haraam hona QURANAY PAAK say sabit nahi hai.QURAAN may kahi bhi is kay haraam honay ki aayat nahi.toa ab kay waqt may takhna chupana haraam kaisay rahay ga????agar aap hazraat kay dimaag may koi wajah aayea toa zaruur REPLY kijiyea ga.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghum chupana ki by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
~~~Chupana Pada~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Sheikh farmaatey hain, "may hai haraam": waajib hai! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
Sky Blue
Guest
«Reply #1 on: August 16, 2010, 04:28:43 AM »
Jawaab ka teo soch na pare g a.. par bohout mehnat k saat  icon_scratch
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2010, 09:36:54 PM »
As Salamwalekum W.R.W.B

Janab Takhna chupana Haram kyuN hai yeh to aapne khud bhi farmaya ke Hadiss e Paak meiN aaya hai.....

Waise hum koi aaleem o mufti nahi per baat din aur imaan ki chaal rahi hai to ..... Hume apne ilm se batana bhi waze hai..

Hadiss woh hai..... Jo Aap( SWA) se releted hai...
Aapne jaisi zindagi guzari aapne jo karne aur na karne ko kaha aapne jin baatoN per amal kiya use Hadiss kahte hai...
Aur Aap (SAW) ne kabhi apne takhane nahi chupaye, woh jo bhi pahente the humesha apne takhano ke uper hota... per sirf takhno ke uper na ki ghutno ke uper ..... Satar ka chupana har mard aurat per farz hai.... jo ki ghutno tak chupana hai...

Ab jab Hadiss meiN aaya hai to Aap(SAW) ki baat hai isliye aaya.... Hum ise mane na mane yeh apni apni baat aur yakidaa hai....

Waise humne kisi Aaleem sahab se suna hai woh bhi bata dete hai.... Unka bayaaN
"Ho sake utna ahtiyaat kijiye.... agar paint lambi silwayi hai to mod lijiye .... Per aisa aap(tum) per wajib nahi ke aap(tum) aisa hi kareN. " Ab koi Aaleem aisa kahte hai to kuch soch kar hi kahe hoge aur unki baat maan lete hai.....

Per dil humare paas bhi hai aur dimaag bhi diya hai Allah tala ne to hum humare dil se puche aur dimag se soche ke kya sahiN hai aur hume kis per amal karna chahiye....

Baki aapni apni yakeedat hai....
Ummid hai aap humare jawaab se mutmeen hoge...
Agar nahi huye to hume bhi ilm deN, Kisi Aaleem wa Mufti sahab se jaankar hume PM kar dijiyega......

Agar kuch galat kahne meiN aaya ho to muafi ka talabgaar huN Allah aapko aur hume gunaahoN se bachaye.... AameeN


Allah Khair farmaye..
JazakallaH Khair..
Allah Hafez..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 02:09:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer