Thank you and Goodbye.......Quateel

by Quateel Ahmad on June 24, 2012, 07:47:35 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1505 times)
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #15 on: July 05, 2012, 07:44:19 PM »
Nidhi_yaadein ji, aap bilkul bajaa farmaa rahi hai. Mujhe to koi bhi nafrat wala mila hi nahin...aur dost bhi ek se ek badh kar paaye...main Rau ka talabgaar nahin hoon. Yeh baat aap ko aage padhne par pataa chal jaayegi. Aapne mere pichle topic ko padha hota to bhi pataa chal jaata. Mera koi jhagda hua hota kisi doosre member se to main kabhi nahin jaata. Lekin admin ke attitude se hai. Is soorat mein yahaan tike rehna theek nahin.  Agar admin ke behaviour se problem hai to uske chalaye hue site ka fayda uthaate rehna ghalat hoga.

Sarfira ji thank you very much for your wishes. God bless you and you may always be the same. As regards your very nice lines, they are only too true. But I too don't wait for the world, and when I leave a world, I do not cry for it! But look upon relatinships and friendships found here with fondness.


Iftikhar Bhai, mujhe ilm nahin hai ki aapne mere jaane ke peeche ki wajuhaat ko samjha hai ya nahin. Aam ghalat fehmi yeh hai ki mujhe apni RAU khone ka is kadar malal hua ki maine yo chhod diya. Sachchai isse bahot door hai. RAU mujhe kabhi aap logon ke comments se badh kar nahin thi. Na hi main uske peeche pada tha. Lekin muidda admin ki ghalat harkat ka hai. Jo ki unhone iktarfa faisla liya aur bina ijaazat liye, bina kahe sabki rau kharij kar di. AUR KISI NE KUCH kAHa hI Nahin!!!! Isse zyada taajub mujhe kabhi nahin hua is site par. Main zyaada maslon per nahin bolta lekin zinda to hoon aur apne huqooq ki baat thi so admin ke saamne rakh si. Aur na is baat ka iqbal ki haan baat to ghalat hui, na kisi tarah ka pachtaava....bus do took jawab ki ....pressure bahut tha, aap cooperate kijiye...meri post ko sahi forum mein shift karne ke baad bhi usse ye keh ke lock kar diya gaya ki is baat par discussion kahin aur ho raha hai. Jab ki us topic per rau dene ke naye tareekon ka discussion ho raha hai, na ki admin ke kaq ki seema ka. Main aise mahaul mein nahin paaya jaata. Sirf 6 mahine se yahaan active tha...to sirf isliye ki aap jaise dost qadrdaan aur paayedaar shayaron ki sohbat mili. Achcha lagta hai...lekin mere liye azaadi shayari se badhkar hai...aur in rishton ki keemat agar saans ki ghutan hai to main nahin adaa kar paaunga. Maayusi bhi hui ki kisi aur ne kuch bhi nahin kaha. Kya parvaah nahin hai? darr hai? Aur hai to kyun?  Main samajh nahin paaya...Khair sabka apna nazariya hota hai.

Yoindia ke sabhi saathiyon ko dhaer saari duaaein aur salaam.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
GoodBye by myheart_ursonly in Chit - Chat & General Discussion
GOODBYE by main_aisa_hi_hoon in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
GOODBYE by indian_groom in English
hello everyone... goodbye everyone.. :D by VIPAL in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction « 1 2  All »
**Goodbye** by dead heart in English
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:32:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer