Is kavita mai shayar ne mille julle zazbaato ko bayan kiya hai, jab wo palat kar life mai dekhta hai to
aaj zindagi ke panno ko ulat ker dekha to
<her taraf khushiyan hi khushiyan hai, kanto mai bhi phool khile najar atty hai>
her taraf besumaar khushiyaan nazar aayi
khiza ke mausam mein bhi bahaar nazar aayi.......
<her dil payaar ke sawan se bheega hua hai>
dil mein armaano ka sagar nazar aaya to
kahin pyaar mein bheega hua sawan nazar aaya......
<kudrat mai bhi her taraf bahaar hi bahar najar aa rahi hai, shayar ke khayal mai her dil mai, kudrat mai, duniya mai her kisi ki zindagi khush hai>
kahin phoolon per bhaithi hui shabnam gunguna rahi thi
to kahin oer jalti hui shama bhi muskura rahi thi........
<Yaha se shayar ke zazbaat duniya se uth kar ab khud per aa gaye hai aor wo apne baare mai bayaan kar kar raha/rahi hai, her pal mai uski yaandein basi hai, jo her tarah ke zazbaato ki khushbu se mehak rahi hai aor us yaad ke waqat mai shayar ka pal ruk gaya hai>
her ek pal tha jazbaaton ki khushbu se mehka hua
waqt yun lagta tha jaise hai kahin thehra hua........
<yaha per shayar ka dard uske khayalo mai akar use mahsoos kara raha hai aor usse lagta hai ki uske jeene ka sahara kahi choot gaya hai aor jiske bharose wo zindagi jee raha tha, wo bhi jaise usse rooth gaya hai >
par aaj yun lagta hai jaise jeene ka sahara choot gaya
khushiyo ka farishta bhi meri zindagi se jaise rooth gaya.......
<ab shayar ko zindagi mai ullahs, umeend aor armaan najar nahi atty, wo pahle jaisa waqat bhi nahi raha ab>
ab na woh bahar hai na jazbaaton se mehka hua samaa
na koi ummeed hai ab, na hai armaano ka jahaan........
<yaha per shayar bahoot hi hataash ho chuka hai aor sirf tanhaai uski sathi rah gai aor, jeene ki koi chahat na hone ki wajah se wo mout ka intzaar kar raha /rahi hai>
ab to bus tanhaaiyon ka saath hai or kuch nahi
maut ka intezaar hai ab jeene ki koi chah baki nahi........
Sadaf ji, agar apki kavita ko apki najar se na dekh saki hu to maafi chahti hu. Muje pad kar jo samjh mai ayya maine ussi tarah se yahan bayaan karne ki koshish ki hai!!!
shukriya pooja ji, aapne bilkul sahi likha hai bus thoda sa fark ye hai ki maine apni kavita mein apni zindagi mein aaye us fark ko bayaan kiya hai jo humne mehsoos ki jab meri zindagi mein pyaar tha tab hame her shay mein khushi or pyaar nazar aata tha lekin aaj jab woh pyaar mere saath nahi hai to jaise lagta hai ki duniya ki her cheez berang ho gayi hai or koi khushi baaki nahi reh gayi hai
aapka nazariya bhi galat nahi hai
bahot bahot shukriya
sadaf