jinke labon par hota thaa naam hamara
ab un par hamari wafao ka asar nahi hota
jaane kya baat hai zikar mera ab unke labon per nahi hota
kaha thaa unhone nibhayenge jindagi bhar ka saath
par chal na sake do kadam bhi mere saath
ab toh tanaha jinadgi ka safar yun nahi katata
maaus hun apne dile a halat se main
par meri tabahai ka bhi un par asar nahi hota
jaane kya baat hai ab zikar mera unke labon per nahi hota
Well Iss Poem me dard ko Saaf saaf lafzon ka roop dia gaya hai......First pehera me Poetess ne Apne Naam ko kisi ke Labon se sunna Chaha hai.......Aur second me unhone bataya hai ki kisi ne kuch Wada kar Dil ko thess Pahunchayi hai....unhone badi Khubsurti se bayan kia hai ki Mahobbat me akele nahi chala jata par koi Saath bhi nahi deta......and she also Describe that ki unhone Mahobbat me apni Tabhai bhi Manjoor ki hai.....Very nice lines....
dekhe toh they jo kahawab sunahere
woh khawab haqikat bante hi tut gaye
ulajh si gayi hai jindagi meri ajab se hadaso mein
kyu yeh uljhan bhara safar ab jindagi ka khatam nahi hota
jaane kya baat hai zikar mera ...........
chippaya thaa unko apne haato ko lakeeron mein
ab un haatho ki laakeeron mein bhi unka basar nahi hota
taamam raat yaad kiya unko hamne
lete rahe honge woh bhi hichkiyaan
kya anke khawabo mein ab hamara rah gujar nahi hota
jaane kya baat hai zikar mera..............
Third Pehra me unhone bataya hai ki Khawaab bante hee aksar toot jaya karte hai....or Jindagi kuch Ulajh see gayi hai...aur woh ab iss Safar ko Khatam karna chahati hai.....but main yahan kuch kahunga ki agar Khawaab Band aankhon se dekhe jaye toh toote hai ya poore nahi hote....agar Khawab poore karne hai toh Vishwaas apne par or Khuli aankhon se khawab dekhne chayie.....aur haan Ranju Jindagi me kayi maud aate hai but harr koi Aisa nahi hota......
banaye they maine shayad rait mehal
jo waqt ki aandhi mein kahi tut gaye
kyu yeh uljhan bhara safar meri jindagi ka khatam nahi nahi hota
jaane kya baat hai ab zikar mera..........
Last pehra kaafi acchi ending dee hai poem ko.....Isme bhi unhone yahin bayan kia hai ki kuch Sapne Rait Mehel ki tarah toot jaya karte hai.....but i say agar Vishwaas or Humrahi accha ho toh Rait me kya Hawa me bhi mehel banaye gaye or banaye jaate hai.......Very nice and My Favourote one Ranju..... :wink: