Dr Maqsood Hasni
Guest
|
AAWARA
Yah nishan la’yaniat aur bai’maenivat say monsalik hai. Es ka (mamba) hasal hamaisha sifar raha hai. Es ka aaghz (Starting point) madoom rehta hai. Mukhtalif korroon main mukhtalif hawaloon say es nishan ki survival barqarar rehti hai. Bikhraoo aur entashar es ki fitrat ka hissa rehtay hain. En anasar kay zair-e-assar mafaheem motayun hotay rehtay hain. Maslan:
Bai’huda, perrishan, kharaab-o-khasta, obash, baad challan, shouda Bai’ghairat Bai’thikana, tapriwans, jipsi Bai’maqsad ghomanay phernay wala Jo eak maqam par aqamat ekhtayar na karay. Bar bar karaia ka makan badalnay wala, eak jagah par na teknay wala, la’yaeni saeer sapatay ka shoqeen Kanwara, shadi shuda lekin ortoon say taalaqat ostawar karta rehta ho, therki, jiss ka kerdar ashsha na ho, larkioon kay peshay phernay wala, ortoon ka shoqeen, aashaq, aashaq tabaa Jiss ka koe khasam saein na ho Baykar,nakamma, jiss ko koe kaam kaj karnay ki aadat na ho Bay’roozgar Gashti, fahshah, Paishawar’oorat, oortoon say dhanda karwanay wali/wala, khawand kay elava mardoon say ta’alaq rekhnay wali Bai’tarteeb, bikhra howa La’parwah, Jo apni seat par na milta ho Baad’maash, ghonda, mowali, juram paisha, choor ochka Mehwar say door/baher ho janay wala, jis ka koe mobda na ho, control say baher, jo dastaras main na raha ho Raat ko bilawaja daiar say ghar aanay wala Jis ki zarorat rehti ho likin dastyab na hota ho Jo konbay ki hefazatt or kafalat na karta ho, jo kamae kha pi ja’ay Jowari, sharabi, zana’kar Hamdardiaan badalnay wala, ostawar na rehta ho, na maloom kab mukar ja’ay Lota, parteaan tabdeal karta rehta ho, jahaan ziyada churi ki offer ho , odhar phir janay wala
|