Nishan afsurdgi kay sakhtyati mafaheem

by Dr Maqsood Hasni on October 11, 2009, 03:55:17 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1481 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
AFSURDGI

                       Afsurdgi  nahain  tarab-e-ensha-e-eltafaat
                       Haan, darad ban kay dil main ja karay koe

Afsurdgi, mood ki eak kaifiat ka naaam hai aur yah manfi halat  say ebarat hai. Sukh qaeem bilzat nahain hain. Jab sukh ki halat khatam hoti hai to afsurdgi par pehla laiti hai. Socha jata hai kash sukh kay lumhay daemi hotay. Aisi halat main afsurda hona fitri se baat hai. Ghalib bara ajeeb hai os nay sukh kay sath dukh ko rekh diya hai. Darad kisi haad tak mustaqel rehnay wali cheez hai. Kisi ka darad bhi lutaf daita hai. Es noeat ka darad qaeem bilzaat ho to yah eltfat kehla’ay ga. Es eltafat main nashaat mukhfi hai.

Es nishan ka dosra part nikali’ay to yah baat wazay ho gi kah afsurdgi asaab shikni ka sabab banti hai jis say kuch kar guzarna ki salahetain matasar hoti hain. Dusri taraf yah ammer bhi nazar andaz nahain kiya ja sakta kah darad alert rakhta hai. Darad ki halat “harkat” main azafay ka mujab banti hai. Pehli surat main mausi to dusri surat main ommeed jag othti hai. Tisra pert nakaliay, afsurdgi sakoot ka naam hai jabkah darad harkat say ebaratt hai. Chotha pert batata hai kah afsurdgi main pehlao hota hai likin darad kay hawala say mehdood rehta hai. Panchwaan  pert othaein , afsurdgi ka hasil sifar hai jab’kah darad ka hasil sefar nahain. Chata pert hatanay say maloom hota hai kah afsurdgi tahi daman hoti hai likin darad ka daman khali nahain hota.
Goya afsurdgi ka tehshuda ya hatmi madlool mojood nahain. Afsurdgi nahi say wabasta hai es say koe bhi mufroza wabasta karkay planning ki ja sakti hi taham os mafrozay kay hawala say os ki haqiqi qadar ka taeyan kiya ja sakta hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nishan aawara kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan agla waqt kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan bagh'bani kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan badla kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan partou kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2009, 05:37:54 AM »
Bahut bahut khoob Maqsood ji,bahut gaherai hai aapke kavita mein.par mujhe Afsurdgi ka matlab samajh mein nahi aayee.wonderful creation,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2009, 08:13:32 AM »
Nice and beautifuil creation Applause Applause Applause
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2009, 11:18:11 AM »
ap donoon dostoon ka mamnoon aur es mohabat k liay ehsan'mand hoon.
Allah Ta'ala say dua hai k aaghi k saray darwazay aap par hamaisha khulay rahain.
Afsurda say afsurdgi tashkeel paya hai.
afsus ki kaifiat k liay lafz afsurdgi mostamal hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:20:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer