Nishan agla waqt kay sakhtyati mafaheem

by Dr Maqsood Hasni on October 11, 2009, 03:59:11 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1217 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
AGLA WAQT

                                   Aglay waqtoon kay hain yah log enhain kuch na kaho
                                   Jo   may -o- nagma   ko  andoh -e- raba   kehtay   hain

“Agla waqat” ko guzray waqt kay maenoon main liya jata hai. Guzra waqat , mojooda waqt say zayida taraqqi yafta nahain hota. Aglay waqt kay liay nazariyaat main tabdeli aa jati hai. Essay bosida khasta aur ghalt qarar diya jata hai. Aaj kay liay agla waqt mar chucka hota hai. Yah sab darusat sahi, likin agla waqt, mojoda waqat kay liay eak tajarba zaroor hota hai. Guzray waqt kay log, halaat, mamlaat aur hawadass eak mufroza hi to hain. Es nishan kay pas-e- sakhat yah haqiqat khari hai kah agla waqt es liya galat hai kah wo apni puri haqiqat kay sath khul giya hai kah wo galat kayoon hai.

Log guzray waqt ko kayoon yaad kartay hain?
Es liay kah oon ki os kay sath jazbati wabastgi mojood hoti hai. Aglay waqt ka apna life set up tha. Es life set up maim adjust  shakhas mojooda waqt say ossi waqat haz hasil kar say ga jab mojooda ko aglay main mad-e-gham kar day gay ya mojooda ko aglay main malahzah karay ga. Ghalib bhi yahhi keh rahay hain kah wo aglay waqt main hi reh rahay hain. Nagmah-o-meh, andho bherhatay hain. Ashaq kayoon’kar chahay ga kah os kay eshaq main kami aa’ay. Haan albatta yah zaroor hai kah ab (Mojooda) nagmah-o-meh hasab-e-zaroorat yaeni hasab-e-hajat andho main azafay ka sabab nahain bantay kah ashaq ko andho bharnay say farhat ka ehsass ho. Manzoor Abasi ka kehna hai:
                 
“ Meh-o-nagma ki andho rabae ka sha’ir khud qa’el maloom hota hai
                  likin khullam khulla kehna nahain chahta  lehaza mana mazammat kay
                  liay yah asloob ekhtayar kiya kah meh-o-nagma ki andho rabae kay qa’el
                  aglay zamanay kay loog hain. Ehtaraman enhain bura na kaho.”

Pas-e-sakhat yahhi haqiqat wazay hoti hai kah agla waqt aaj bhi (ba’toor tajarba) ehtaraam ka haq’dar hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nishan aawara kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan afsurdgi kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan bagh'bani kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan badla kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan partou kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2009, 08:14:28 AM »
Nice and excellent Applause Applause Applause
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2009, 11:21:33 AM »
es tovajo k liay ehsan'mand hoon.
Eshvar ki kirpa say aap ki yah mohabat aur tovajo mairay liay bani ray.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:21:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer