Nishan assar kay sakhatyati mafaheem

by Dr Maqsood Hasni on October 09, 2009, 02:33:57 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1180 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
ASSAR

             Ki   ham   nafasoon   nay   assar-e-girya  pay  taqreer
             Achchay rahay aap es say, magar mujh ko dabo aa’ay

Assar ka ta’alaq “phirna” say hai. Jab yah kaha ja’ay ga “Mairi baat nay assar daikhaya” to es ka matlab yah ho ga kah sonnay wala zehni toor par pehli halat par na raha. Os ka rovaeya pehlay say mojood kay mokhalif phir giya. Assar tabdili  aa janay ya la’ay janay ka naam hai. Assar kargar honay ki surat main mazaaj aur mood badal jata hai. Mazaaj rovaeoon main tabdili lata hai. Ravaeoon par tarz-e-amal ostawar hota hai. Tarz-e-amal main tabdili say nishan ka madlool badal jata hai. Goya assar kay hawala say obhernay wala tasawar hi badal kar rekh daita hai. Dosti dushmani main aur dushmani dosti ki taraf phir jati hai ya dobara  say phirnay kay halaat paida ho jatay hain. Maslan maraz main dawae di gae aafaqa ho giya. Yah dawae ka assar ho ga. Assar olta bhi ho sakta hai. Es oltay ki kae suratain ho sakti hain. Maslan
1-   dawa mazaaj say mail na khati thi es liay assar olta howa
2-   Dawa mazaaj kay motabaq thi magar khali paiet di gae es liay assar olta howa
3-   Dawa mazaaj kay motabaq thi magar khali paiet daina thi bharay paiet di gae
4-   Assal kompni ki baja’ay matbadal kompni ki di gae
5-   Dawa to wohi thi magr zaed-ul-miad thi
6-   Dawa to wohi thi magar moqarra tadaad/miqdar say ziyada di gae
7-   Dawa to wohi thi likin es say pehlay koe aur dawa daina thi
8-   Dawa to wohi thi likin qabal az waqt/zarorat di gae
9-   Dawa nay mosbat ya manfi, kisi qissam ka assar nahain 
dikhya
Gharaz es qissam ki aur bohat sari suratain ho sakti hain. Her surat ka madlool alag say ho ga. Yah to teh hai kah dawa nay acha ya bora ya ommeed say kam ya bilkul hi nahain assar daikhya.
Assar olta hi kayoon na ho, es nishan say mota’alaq eak tasawar zaroor samay aa’ay ga. Dawa say mota’alaq doo batain teh ho gaein:
           
            A- Dawa dainay say pehlay dawa say motaalaq eak tasawar zaroor mojood tha.
            B- Dawa dainay kay baad, os tasawar ki tardeed ya tasdeeq ho jati hai
Dawa dainay kay baad dawa ka madlool manfi ya mosbat main bat jata hai.

Kehnay say pehlay ommeed hoti hai kah kaha rang la’ay ga. Kehnay kay kahay ka madlool samnay aata hai.

Agar es nishan ko mazeed deconstruct kartay hain to yah daikhna paray gal kah dawa dainay walay ki niat kiya thi mood kaisa tha. Naik niati aur achay mood ki surat main kotahi ki gonjaesh kam hoti hai. Baad niati aur boray mood ki surat main dawa ka olta assar hona fitri se batt hai. Es kay bavajood neak niati main assar-e-baad aur baad niaati main assar-e-khair nazar andaz nahain kiya ja sakta. Bonyadi toor par teh yah karna hota hai kah nishan assar ka koe na koe madlool samnay aana hi tha. Assar taak rasae, sakhtyati motaliaa hai. Kuch bhi assar na honay ki surat main es’say dawa ka madlool kaha ja’ay ga. Assar na hona moamlay ko aagay baharnay ka amal hai.

Kehnay, suonnay ya dainay kay mosbat ya manfi nataej na milnay ki surat main es bai’natija kaam ko kya naam deya ja’ay ga? Kya as’say assar naam diya ja sakay ga? Yah moamalah bara ehsas noeat ka hai. Es mamahy ko eak masal say wazay karnay ki koshesh karta hoon. Kisi ko dushmani kay silsalay may sumjhaya jata hai. Woh nahain sumjhta os kay zehhan ki pehli halat barqarar rehti hai to bhi yah dawa ka mudlool ho ga kah kis qissam aur kis tarah say kaha giya, bai’voqat ho ga.

Hum’nafass ba’zaher dost hain aurr hamderdi dikhatay howay doo fareqoon ki ranjush khatam karnay kay liay khafa fareeq  say kuch kehtay sontay hain. En kay kahay ka assar olta howa.
 
                           “Aap ashechy rahay”
Say zaher hota hai:

A-   Sullah ki koshesh karkay naiknami kama li
B-   Wazey ho giya ab dushmani dosti main na badal sakay gi

                            “Mujh ko dabo aa’ay”

es ammer ka ghamaz hai kah moamlah khatar’nak haad taak bigar giya hai. Aap ashechy rahay” ka mafhoom yah bhi banta hai kah oon ki khaesh bhi yahhi thi. Chonacheh assar ka madlool essi zaveya say teh karna ho ga. Essi tarah dil ka ahwal kholnay ka ta’alaq os kay kholay janay par hai. Jab tak yah maloom nahain parta kah kis tarah say kaha sonna giya, assar ka madlool teh  na ho pa sakay ga.     

Es nishan kay donoon serray amal aur raad-e-amal say joray howay hain. Amal kisi farad ki mansha aur zororat ka ghamaz nahain hota kayoonkah her amal un’ginnat korroon say wabasta hota hai. Yahhi surat-e-hal raad-e-amal kay sath dar’paish hoti hai. Es baat ko mose’er ki zoban main yoon kaha ja sakta hai:

           “ Dall aur madlool mil kar eak nishan banatay hain. Bolay howay alfaz ki
             rowaet likhay howay lafaz say bohat pehlay ki hai”

Nishan assar ko decode karnay kay liay amal aur raad-e-amal kay mutwazi chalna ho ga.Chand masalain malahzah hoon:
Sunnat-e-nabvi hadees ki qismoon main eak qsam taseer , nishan, zakham ka nishan, khandar, khoj nateja, faeda halaat motwaqo, hungami, (zamini-o-samae), hawades, mo’ashi, samaji, masharti, ashya,, dava khorak, nashah aawar, mukhtalif aamerja ka pani, seem thoor, badal, baresh, zameen, aasmani bijli, bandooq, talwar, zira, dhal, barood, dhaat waghera.

Bool:        Aawaaz, taqreer, khatabat, guftagu (talkh ho kah shereen), galeaan, dawaein,     baad dawaein,    jadoo mantar, Aasmani kitaboon ki talavat waghera

Jazbay:     Mohabbat, nafrat, hasad, rashak, ghussa, khushi, ghami, kadsha, shubbah, tazabzab, hairani waghera
Mosaam:  Khushk, bahaar, khizaan, barsaat, garma, sarma waghera 
                 Dukh,such, ameri garebi, dhais pardhais
Mawrae qoovatain:  Jin, bhoot, pari, charail ghandhili waghera
Karguzari:  Aas ommed, towaqoo, natija, faeda, noqsan, bai’samar, la’yani, yaqeeni, adhura, khush’boo, badd’boo
Arba aanasar: Thoss, maya, gass, para waghera
Arzaan:        Sasta), kam qimaat, bai’qadar
qadar-o-qimat main     bai’haqiqat
bai’wazan
Bila’mazahmat, bila’heel-o-hojjat, bila’daleel, kahay baghir, apna moaq’qaf paish kiay baghir, mehnat zayada faeda kam, faeda ziyada mehnaat kam, fori, kam qimat, bila’ zarorat, bai’qimat
Kamina, ghatya, nakamma, kamzoor, bai’woqqat, ba’hasiat
Gher’mashroot
Jo aasani say mayassar aa ja’ay, jis kay liay mehnat aur mashaqat na karna paray
Baad’nami ka baes, jis ki waja say ejjat main kami waqay ho
Wafar, kafi, ziyada, bohat
Jis ki qillat ho
Jis ki maang na ho, talab kam hona, talab girna
Talab bharna
Waghera waghera
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2009, 06:48:06 PM »
Khuch samjh mein nhi aaya BangHead BangHead BangHead
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2009, 04:01:40 AM »
plz thora mazeed ghoor farma lain.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2009, 05:45:38 AM »
Bahut bahut khoob Maqsood ji,bahut sachai aur gaherai hai aapke kavita mein,
sach kaha aapne insaan surat se aur kuch dhikta hai andhar se aur kuch hote hai,
excellent creation. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #4 on: October 11, 2009, 11:11:11 AM »
shukarreya janab,
Eshvar say aasha hai kah os ki kirpa aur diya aap par bani rahay.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:05:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer