Nishan bagh'bani kay sakhtyati mafaheem

by Dr Maqsood Hasni on October 11, 2009, 04:39:47 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1915 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest
BAGHBANI

Likht-e-jigar say hai rag her khar-e-shakh-e-gul
Ta’chand ?   Baghbani  - e - sehra     karay    koe

Baghbani kay liay kuch cheezain lazam qarar pati hai:

1-   Pehlay say mojood podoon ko mehnat-o-kawash say sencha ja’ay
2-   Na’ay poday laga’ay jaein
3-   Bagh ko mahdood say la’mahdood ki taraf iqdam kiya ja’ay
4-   Na’ay aur poranay podoon ki hafazat ki  ja’ay
5-   Bagh ki tazein aur aaraesh par towajah di ja’ay
6-   Sabza-e-begana ko okhar phaonka ja’ay

Baghban ki mehnat-o-kawash kay  sath mosam, aab-o-hawa aur zameini ki qowat daitay hain. En main koe bhi cheez mayassar na aa’ay to bagh phal phul nain sakta. Ostaad tulba par es liay mehnat karta hai kah os kay talab alam insani samaaj ko koobsurat aur taraqi yafta bana dain. Os ki mehnat bhi bagh’bani say mamasal hoti hai. Dosri taraf talab ilam ka zehni lagao aur towajo na ho to ustaad ki mehnat rang na la sakay gi.

Moashrat sudhar, insan ko emrani asoloon ki pabandi karnay ko kehtay hain. Boraeoon ko chon chon kar katam karnay ki koshesh kartay hain. Agar moashra aazadi, moqablay ka zajba aur emrani asoloon say na’bald ho to es surat main moashrat sudhar kiya kar sakain gay.

Doctor mareez ko bachanay kay liay her harba tariqa ehktiyar karta hai. Agar mareez main jinay ki tamanna, moot say mohlat aur assal adviyaat mayassar na hoon gi, wahaan doctor ki doctorri kiya karay gi.

Qaidi ki rehae kay liay wokala aur worasa her mumkin koshesh kartay hain agar qaydi qaid say manoos ho giya ho, rehae ka talab na ho ya phir iqbal-e-juram kar lay aisay main wokala aur worasa ki kosheshoon ka natija kiya baramad ho sakay ga.

Daraj-e-bala morozaat ka matlab yah hai kah baghbani kay mafaheem ki daryaft kay liay bagh kay motalqaat ko nazar andaz nahain kiya ja sakta. Bagh hi nahain to baghbani kaisi? Bagh kisi qudrati kaji ka shakar hai to baghban ki baghbani kay mafaheem wazay na ho sakain gay.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Nishan aawara kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan afsurdgi kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan agla waqt kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan badla kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
Nishan partou kay sakhtyati mafaheem by Dr Maqsood Hasni in Critics and Review only Forum
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2009, 07:46:56 PM »
Bahut bahut khoob Maqsood ji,very beautiful creation,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: October 12, 2009, 08:33:39 AM »
shukarreya janab,
Eshvar aap par aaghi kay darwazay khulay rakhay.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 03:58:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer