Shikayat.... By "Aarish"

by Aarish on July 20, 2012, 01:33:52 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2093 times)
Aarish
Guest
AAj Hasan sahab ka post pada aur padkar bohut afsos hua ki unki ek nek koshish ko koi kaise comment ya tanz ka naam de sakta hai, aur to aur unka naam lekar unhe galia de sakta hai.

 main puchna chahta hun admin se kya ye thik hai, agar is site par koi kisi ko apna samajhkar koi advise deta he to kya uske saath yahi hona chahiye, main kabhi mila nahiN huN hasan sir se lekin sirf unka kalaam padhkar hi unke waqar ka andaza ho jata hai, ki kitna Aalaa waqar hai hasan sahab ka, is site par kuch hi log hain jo is Noiyyat ki shayri karte hain jiske baare main hum soch bhi nahi sakte, aur Un naamon Me ek naam saini sir ka bhi hai.

 aur abhi unke sath bhi wahi hua jo hasan sir ke sath hua , to ab main puchna chahta hun un logoN se jinhe bahr main shayri karne wali baat pasand nahi aayi, kya wo log apne school ya colleges me bhi yahi karte the apne teachers ke sath jab unke teachers unko kisi kaam ko theek se karne ka tariqa batate the, aur teachers hi kyu apne parents ya guardians ke sath bhi yahi bartao hota tha Unka kya unko bhi wo log galiya dete the.

 agar nahi to phir hum Kuch naya sikhne me kyuN itna hichkichate hain,

 agar  un logo ne wo post thik se padhi hoti to usme likha tha jo log bahr me likhna chahte hain wo in baton ko dhyan me rakhkar likhe, to jo log nahi likhna chahte wo na likhe kisi ko koi farq nahi padne wala, log login karenge padenge aur do taliya bajakar chalen JaeNge.

 isme kisi ko galiyaan dene ki kya zaroorat hai, aur rahi baat hasan Sir aur saini sir ki to mujhe nahi lagta unheN is baat se koi farq padega kyunki unka waqar kya hai ye wo log jaante hain jinhe shayri ki ratti bhar bhi samajh hai.

bade afsos ki baat hai ki hum hain to shayar aur shayri me pehli cheez hai adab aur adab hi hum logon me nahiN Hai.. aur last me yahi kehna chahunga ki hum khusnaseeb hain jo hameN koi hamari galtiyan batane wala hai, warna yahan kis ke pass waqt hai koi kisi ki galtiyaN sudhare.

 yahaN sagi aulad ke liye waqt nahi hai logo pass aajkal hum to phir bhi gair hain unke liye..

bas yahi kahunga ki apni soch ko thoda broad kare aur sahi aur galat ko pehchane Aakhir me maiN salaam karna chahNga In azeem shaksiyaton ko.

aur shayad wo log muafi na manNge jinhone aapka dil dukhaya hai , main un sabhi logo ki taraf se aap se muafi chahta hun aur bas itna hi kahunga ki aap yunhi hamari sarparasti karte raheN  aur hamen yuNhi apni duaoN se nawazte raheN....

.. afsos ke sath " Aarish"
Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: July 20, 2012, 02:08:49 AM »
Aarish bhai.. Main aapki baaton se puri tarah sehmat hoon... Mujhe bht dukh hua jab kal hasan sar ne behr mein shayari ek galti post ki aur use padha to...... Yahan badi mushkil se 3 ya 4 member hi aise hai jo naye puarane sabhi memer ko apna maan kr un ka housla badhate hai unki galtiyan sudhar kr aage badhne ki prerna dete hai...... Saini sir aur hasan sir parwaz ji inme se hi hain jo sbko apne bacho bhai bahin aur dosto ki trh sneh bhi dete hai aur gyan bhi....par shayd kuch samjhdhr log na to gyan chahte ha  na bado se mila sneh wo khud mein hi sab kuch h.....net par aur is ya kisi bhi site parr mafi mangne k liye to nahi kkkaha ja sakta kisi ko jab tak use khud apni galti feel na ho.....

 Lekin un logo se yahi reqest krunga ki agar aap kisi ko respect nahi de sakte to aap kam se kam unka apman to na karein..... Agr aapko unk hasan sir saini sir ka samjhana achha nahi lagta to aap unke topic read hi na karein bajaye iske ki aap unhe katu vachan kahein...........

Hasan sir aur saini sir se bhi kehna chahunga.... Jaise samaj mein hr trh ke log hai waise hi yahan bhi shayad aisa hone laga hai.... Aap buri baaton ko ignore kr hum sab par sneh aur gyan ki barish karte rahe........
HASAN SIR behr me shayri ek galti nahi aapki trh se samast members ko ek paath padhaya gya tha jo shayri walon ki madad ke liye tha jo ek utkrsth udharan hai aapki udharta ka......aapko mere hajaro salaam......

Soudagar
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: July 20, 2012, 03:37:24 AM »
Thanks Arish and Soudagar betaa
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: July 20, 2012, 05:12:02 AM »
Aarish bhai
Aapki ‘shikayat’ post padhee. Aapki bhaavnaayen bilkul jaayaj hai. aapne dil se dard mahsoos kiya iske liye aapka ehsaanmand hun. Kyoki aaj ek nihayat nek insaan ka dil dukha hai.
Abhi ya agar aage kuch aisa hota hai to vo vaqt pe awaaj na uthane ka nateeja hoga..Padosee ke ghar aag lagee to dekh kar hame khush nahee hona chahiye. Vaqt par madad karni chahiye.
jyada kuch nahi kahunga bas itna ki kal Hasan sir ki post par mere alava kisi ne reply nahi kiya..Is sawaal ke javaab me hi hi unka dard chipa hai..
Mujhe as a monitor aur personally jo bhi karna tha mai kar chukka hun.
Aapse bhi request hai ki ye thread open karne ke baad bhi aap admin tak apni baat alag se jaroor pahuchaaye.
Saudagar jee appka bahut bahut shukriya..is nek prayas me haath bataane ke liye.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #4 on: July 20, 2012, 12:41:15 PM »
Ye Hasan saheb ki nek dili hai k wo logo.n ke liye itna waqt nikaalte hain, aur logo.n ko itni badi ta'aleem muft mein muhaiyya kara rahe hai.n. Warna aaj kaun kiska hai.

Agar Hasan saheb ki post ka kisi ne mazaq udaya aur indirectly gaali galauj ki, to main kahunga ke ye- "Shaitaniyat"hai.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:18:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer