Very nice Poem Toshu.... Mai kuchh try karti hu samajhne ki
Yeh kavita ek shikwa sa lagti hai .. jo kavitri apne premi se kar rahi hai ... woh apna pyar jata rahi hai aur us ka premi apne me magan hai ....
teri yeh mayusi meri bechaini ban jaati hai
zindgi se tera khafa hona, meri zindgi ka khafa hona hai
teri saason se main khud saas leti hun
tera yeh udaas chera, mejhe apni haar sa lagta hai
In lines me Premi to mayus dikhaya hai ... aur us par kavitri ki pratikriya kya hoti hai ... woh usey is tarah dekh kar bohat bechain aur pareshan ho jati hai aur us ki himmat bandhati hai. Woh usey kehti hai ke woh us ke sath hai aur us ki jeet me kavitri ki jeet aur haar me haar hai ...
mere liye kya chand kya suraj kya tare
tu saath ho to sab laghe hai apne pyare
par tu rutha hai iskadar khud se hi
mujhe mitane ko aaya tufan sa lagta hai
Yaha zahir ho raha hai k us ke premi k bina us k liye duniya ki kisi cheez kisi khushi ka koi matlab nahi ... us ki hansi us ke liye khas hai aur us ka roothne par kavitri ki jaan par ban aati hai ... aur ab jo woh khud se hi pareshan hai aur mayus hai ... yeh dekh kar usey mehsoos ho raha hai ke uski zindagi bhi bas mitne wali hai
teri hasi pe ghayal hue the, nirali teri har ada
teri mohabbat ko aapna samajh jee rahe the
tu aab na jaa chod ke, na ho mujhse juda
laut ke aaja, aaja, tere bin har rang phika lagta hai
Yaha sari situation change ho rahi hai ... Premi us se duur ho gaya/ho raha hai ... woh usey bula rahi hai aur keh rahi hai ke us ke bina woh jee na payegi ... uski mohabbat hi zindagi hai isliye woh na jaye ... us se duur na ho ....
hope mai theek samajh paayi hu ... Tosha if i made any mistake let me know