REVIEW:
Bahut khoob likha hai aapne Pooja ji...
Isme bahut hi khoobsurti se aapne apne dil ka haal kaha hai. Bas ise samajhne waala chahiye. Aur Ricky ji ne bahut aasaan shabdo me ise samjha bhi diya hai....
Last k do lines sabse achche lage mujhe...
"Tujh bin yun banjar na banti zindagi meri,
Kamse kam tumko jo baharon me dekha hota"
Poori kavita ka matlab is tarah se bhi liya ja sakta hai...
"Tum se hi main hoon. Tumhaare ghamon ko main samajhti hoon. Aur mujhse tumhaara dard dekha nahi jaata . Kaash ek baar tumne apne dil ki baat mujhse kahi hoti to main tumpe sab kuch apna nyochhawar kar deti. Bas ek baar tumne mujhse kaha hota tumhaare saare dard mai khud pi leti. Har wo koshish karti jisse tumhe khushi mile. Main to tumhe hi sab kuch maanti hoon. Tumse hi judi hai meri zindagi ki har subah har shaam. Aaj meri zindagi me koi rang nahi hai. Sukhi banjar bhoomi ki tarah hai. Isme koi bhi khushi ka kaaran nahi hai. Agar tumne mujhe sweekar kiya hota ya mere pyaar ko samjha hota to main tumhe itni khushiyaan deti , itna pyaar deti ki tumko dekh k hi meri zindagi me bahaar aa jata. Khushiyaan hi khushiyaan hoti meri zindagi me. Tumse hi to meri har khushi hai. Agar tum khush hote to apne aap meri bhi zindagi me khushiyon k mele lag jaate..."
Ye bas mera ek khayal hai... baaki kisi k dil ki baat koi aur kaise jaan sakta hai. Likhne waala hi bata sakta hai ki usne kya soch k likha hai. Maine to bas apni samajh k anusaar varnan kar diya. Kuch galat lage to maafi chahunga.
CRITICS :
Itni achchi rachna me criics ki jagah nahi hoti. Bas mujhe laga ek chhoti si kami hai. Baaki manna na manna aap par hai. Mujhe kaunsa kavita likhna aata hai sau galtiyaan mil jayengi meri kavita me. Last k do lines me aapne ek jagah "Tujh bin" aur dusri jagah "Tumko" likha hai. Mujhe laga kuch mel nahi kha rahi. "Tujh Bin" k saath "Tujhko"... aur "Tum bin" k saath "Tumko" shayad aur behtar lagta. Main apni soch me galat bhi ho sakta hoon. Maafi chahunga agar aapko bura laga ho to.
Bahut achcha likhte hain aap... likhte rahiye taaki hume bhi aapke lekh padhne ka mauka mil sake...
Tumhara haal e dil aankhon se bhi padh lete hum,
ek bar palake utha kar jo hume dekha hota!!
jahar sara teri zindagi ka pi jaty hansty hansty
Nigah utha kar, jo ek bar "han" kaha hota!!!
Tujh bin un banjar na banati zindagi meri
kam se kam tumko jo baharo mai dekha hota!!!!