गरचे जिगर ना हो beqrar

by bekarar on August 08, 2011, 06:44:22 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2506 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
muflison, yateemon pe jiski najar na ho
wo adhoora doulatmand hai jisme sabar na ho,

doulat ko aata dekh kar imaandaari ne kaha
shayad ab is dar pe kabhi meri kadar na ho,

waqif-e-halat hun, tabhi to chot lagti hai
sajishen aisi ho teri ke mujhko khabar na ho,

roj boodhi aankho se raste ko takta hai
roji ki khatir koi beta dar-badar na ho,

rawan hosale rahe to kuch kar jaoge "beqrar"
fouladi jism bhi bekar hai garche jigar na ho,

मफलिसो, यतीमों पे जिसकी नज़र ना हो
वो अधूरा दौलतमंद है जिसमे सबर ना हो,

दौलत को आता देख कर ईमानदारी ने कहा
शायद अब इस दर पे कभी मेरी कदर ना हो,

वाक़िफ़-ए-हालत हूँ, तभी तो चोट लगती है
साजिशें ऐसी हो तेरी के मुझको खबर ना हो,

रोज बूढ़ी आँखो से रास्ते को तकता है
रोज़ी की खातिर कोई बेटा दर-बदर ना हो,

रवाँ होसले रहे तो कुछ कर जाओगे "बेक़रार"
फौलादी जिस्म भी बेकार है गरचे जिगर ना हो,

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
थाम लिया होता Beqrar by bekarar in Shayari-e-Parastish
बे-बहर हूँ मैं beqrar by bekarar in Ghazals « 1 2  All »
TUJE MILNE KO BEQRAR HAI DIL by Asghr in Shayri for Khumar -e- Ishq
Beqrar Rahte Hain by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #1 on: August 08, 2011, 06:52:10 PM »

Bahut Khoob Beqrar ji... Usual Smile
 Applause Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

roj budhi aankhon se raste ko takta hai koi..
roji ki khatir koi beta dar-ba-dar na ho...
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: August 08, 2011, 06:53:51 PM »
muflison, yateemon pe jiski najar na ho
wo adhoora doulatmand hai jisme sabar na ho,

doulat ko aata dekh kar imaandaari ne kaha
shayad ab is dar pe kabhi meri kadar na ho,

waqif-e-halat hun, tabhi to chot lagti hai
sajishen aisi ho teri ke mujhko khabar na ho,

roj boodhi aankho se raste ko takta hai
roji ki khatir koi beta dar-badar na ho,

rawan hosale rahe to kuch kar jaoge "beqrar"
fouladi jism bhi bekar hai garche jigar na ho,

मफलिसो, यतीमों पे जिसकी नज़र ना हो
वो अधूरा दौलतमंद है जिसमे सबर ना हो,

दौलत को आता देख कर ईमानदारी ने कहा
शायद अब इस दर पे कभी मेरी कदर ना हो,

वाक़िफ़-ए-हालत हूँ, तभी तो चोट लगती है
साजिशें ऐसी हो तेरी के मुझको खबर ना हो,

रोज बूढ़ी आँखो से रास्ते को तकता है
रोज़ी की खातिर कोई बेटा दर-बदर ना हो,

रवाँ होसले रहे तो कुछ कर जाओगे "बेक़रार"
फौलादी जिस्म भी बेकार है गरचे जिगर ना हो,



bahut bahut khoob
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 08, 2011, 07:06:21 PM »
Bekaraar Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab Masha Allah kia kahne aapke
andaaz e bayaan aur gehre ahsaas O khayaal ke..

Behad umdaa tareeke se aapne tanziyaa ashaaroN
ko lafzi jamaa pehnaaya hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad fikramand aur dilfareb rahe.. Usual Smile
Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

          



muflison, yateemon pe jiski najar na ho
wo adhoora doulatmand hai jisme sabar na ho,

Kia kahne janab bahut umdaa ... badi
gehri soch ka muzahera kiya hai.. kuch aisa hi khayaal
humare zaheN meiN bhi Parwaaz kar gaya tha jise humne
aise dhaala Usual Smile
          


Jinke paas kharch karne ka salikha nahi hai
WoH ameer e shahar hoNge par khalifa nahi hai    



doulat ko aata dekh kar imaandaari ne kaha
shayad ab is dar pe kabhi meri kadar na ho,

Waah janab waah Masha Allah kia
Gazb ka khayaal kalam baNd kiya janab dil baaG
Baag ho gaya... is umdaa ashaar par dil se
hazaroN daad Hazir hai janab daad daad daad ..
Aikdum master stroke hai yeH sher ..  Applause Applause Applause
        


waqif-e-halat hun, tabhi to chot lagti hai
sajishen aisi ho teri ke mujhko khabar na ho,

Achcha khayaal hai janab daad Usual Smile
Sher ki bayani kuch asardaar nahi huyi.. Kisi
aur surat meiN fir se likhiyeNga Usual Smile          


roj boodhi aankho se raste ko takta hai
roji ki khatir koi beta dar-badar na ho,

Waah waah waah janab aapke khayaaloN
ke kia kaheN bus bahut khoob daad Usual Smile          


rawan hosale rahe to kuch kar jaoge "beqrar"
fouladi jism bhi bekar hai garche jigar na ho,

Masha Allah Masha Allah kia kaheN
janab behad umdaa shayari kar rahe haiN aap.. Usual Smile
is umdaa Maqte par dil se daad Usual Smile          





Janab Bekaraar Sahaab .... Aisi umdaa
kalaam pesh karne ke liye hum aapke tahe dil se shukra-
guzaar haiN Usual Smile

Aise hi umdaa aur dilkash kalaamoN ke saath bazm meiN
aate rahiye... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile          

Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: August 08, 2011, 07:15:08 PM »
Bekaraar Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab Masha Allah kia kahne aapke
andaaz e bayaan aur gehre ahsaas O khayaal ke..

Behad umdaa tareeke se aapne tanziyaa ashaaroN
ko lafzi jamaa pehnaaya hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad fikramand aur dilfareb rahe.. Usual Smile
Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

         



Janab Bekaraar Sahaab .... Aisi umdaa
kalaam pesh karne ke liye hum aapke tahe dil se shukra-
guzaar haiN Usual Smile

Aise hi umdaa aur dilkash kalaamoN ke saath bazm meiN
aate rahiye... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         


Bekaraar Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab Masha Allah kia kahne aapke
andaaz e bayaan aur gehre ahsaas O khayaal ke..

Behad umdaa tareeke se aapne tanziyaa ashaaroN
ko lafzi jamaa pehnaaya hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad fikramand aur dilfareb rahe.. Usual Smile
Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

         



Janab Bekaraar Sahaab .... Aisi umdaa
kalaam pesh karne ke liye hum aapke tahe dil se shukra-
guzaar haiN Usual Smile

Aise hi umdaa aur dilkash kalaamoN ke saath bazm meiN
aate rahiye... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         




jiske paas kharch kare ka saliqa nahin hai,
woh ameer-e-shahar hoga per khalifa nahin hai


waah parwaaz khan sahab kya khoob kaha hai


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 10, 2011, 01:47:33 PM »
muflison, yateemon pe jiski najar na ho
wo adhoora doulatmand hai jisme sabar na ho,

doulat ko aata dekh kar imaandaari ne kaha
shayad ab is dar pe kabhi meri kadar na ho,

waqif-e-halat hun, tabhi to chot lagti hai
sajishen aisi ho teri ke mujhko khabar na ho,

roj boodhi aankho se raste ko takta hai
roji ki khatir koi beta dar-badar na ho,

rawan hosale rahe to kuch kar jaoge "beqrar"
fouladi jism bhi bekar hai garche jigar na ho,

मफलिसो, यतीमों पे जिसकी नज़र ना हो
वो अधूरा दौलतमंद है जिसमे सबर ना हो,

दौलत को आता देख कर ईमानदारी ने कहा
शायद अब इस दर पे कभी मेरी कदर ना हो,

वाक़िफ़-ए-हालत हूँ, तभी तो चोट लगती है
साजिशें ऐसी हो तेरी के मुझको खबर ना हो,

रोज बूढ़ी आँखो से रास्ते को तकता है
रोज़ी की खातिर कोई बेटा दर-बदर ना हो,

रवाँ होसले रहे तो कुछ कर जाओगे "बेक़रार"
फौलादी जिस्म भी बेकार है गरचे जिगर ना हो,



Sanjeev Bhai Kya Kehne Aapke...

Iss Ghazal Ke Har Ek Sher Par Hazaron Daad!!!!! Naa Jaane Main Kitni Baar Yeh Ghazal padh Chuka Hoon...Har ek Sher Zindagi Ki haqeeqat Bayaan Karta Hua..Kya Kahoon, yeh Zaroor Keh Sakta Hoon Ke Maine Iss Bahut Kareeb Se mehsoos Kiya..

Bahut Bahut Bahut Khoob Mere Bhai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 10, 2011, 01:54:30 PM »
Bekaraar Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab Masha Allah kia kahne aapke
andaaz e bayaan aur gehre ahsaas O khayaal ke..

Behad umdaa tareeke se aapne tanziyaa ashaaroN
ko lafzi jamaa pehnaaya hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad fikramand aur dilfareb rahe.. Usual Smile
Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

         



Janab Bekaraar Sahaab .... Aisi umdaa
kalaam pesh karne ke liye hum aapke tahe dil se shukra-
guzaar haiN Usual Smile

Aise hi umdaa aur dilkash kalaamoN ke saath bazm meiN
aate rahiye... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         



Waah waah Waah!!! bahut Khoob parwaaz ji..

Jaandar Sher Arz Kiya Hai Aapne Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: August 10, 2011, 01:57:27 PM »
bekaraar ji…
aapki post padha aur nishabd ho gaya…

kamaal ke alfaazo me aapne hakikat me piroya…
janaab hats off…
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: August 12, 2011, 06:21:12 PM »

Bahut Khoob Beqrar ji... Usual Smile
 Applause Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

roj budhi aankhon se raste ko takta hai koi..
roji ki khatir koi beta dar-ba-dar na ho...


touhid sahab...is mamuli si koshish ko sarahne aur waqt dene ke liye sukriya...janab
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: August 12, 2011, 06:22:46 PM »

bahut bahut khoob


tah-e-dil se shukriya sheba ji......aapne is koshish ko saraha
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: August 12, 2011, 06:39:14 PM »
Bekaraar Sahaab Aadaab!

Masha Allah janab Masha Allah kia kahne aapke
andaaz e bayaan aur gehre ahsaas O khayaal ke..

Behad umdaa tareeke se aapne tanziyaa ashaaroN
ko lafzi jamaa pehnaaya hai... Usual Smile

Sabhi ashaar behad fikramand aur dilfareb rahe.. Usual Smile
Humari daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

         



Janab Bekaraar Sahaab .... Aisi umdaa
kalaam pesh karne ke liye hum aapke tahe dil se shukra-
guzaar haiN Usual Smile

Aise hi umdaa aur dilkash kalaamoN ke saath bazm meiN
aate rahiye... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         



parwaz sahab...ek bar fir se housalon ko char chand lagane ke liye aapka dil ke har kone se shukriya........


jiske paas kharch kare ka saliqa nahin hai,
woh ameer-e-shahar hoga per khalifa nahin hai



aapne jo sher kaha...... alfazon ki satik adaygi se sher bahoot hi wazandaar aur pur-asar ban pada hai....besakhta hi labon pe chad jaata hai......bahoot khoob...

waqif-e-halat hun, tabhi to chot lagti hai
sajishen aisi ho teri ke mujhko khabar na ho,


is sher me shayar ne un doston ka jikr kiya hai jo dost ban kar dushmano ki tarah sajishen karne me lage rahte hain........aur taqleef tab hoti jab hame ye pata bhi lag jata hai jise hum dost samjhe the ....wo hi log sajishen karne me lage hue hain.....
to ..shayar aise logon ko salah de raha hai ki.....sajishen bhale karo....lekin is tarah ki mujhe pata na chale.......pata chal jata hai to bharose ko dil ko gahri chot lagti hai ......
is khayal ko agar aap apne shabdon me likh saken to mujhe khushi hogi............

 Usual Smile Usual Smile
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: August 12, 2011, 06:44:15 PM »
Sanjeev Bhai Kya Kehne Aapke...

Iss Ghazal Ke Har Ek Sher Par Hazaron Daad!!!!! Naa Jaane Main Kitni Baar Yeh Ghazal padh Chuka Hoon...Har ek Sher Zindagi Ki haqeeqat Bayaan Karta Hua..Kya Kahoon, yeh Zaroor Keh Sakta Hoon Ke Maine Iss Bahut Kareeb Se mehsoos Kiya..

Bahut Bahut Bahut Khoob Mere Bhai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


khwaish bro,
itni sanjidagi se aapne ghazal ko padha....aur mahsoos kiya....bas yun samjho k mera likhna kamyab raha....shukriya bhai
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #12 on: August 12, 2011, 06:46:37 PM »
bekaraar ji…
aapki post padha aur nishabd ho gaya…

kamaal ke alfaazo me aapne hakikat me piroya…
janaab hats off…


sarfira ji,
aapne waqt diya...aapka shukrgujar hun....sath banaye rakhen
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: January 15, 2012, 07:21:27 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
WAH WAH WAH.. EK EK SHABAD MOTI SE PIROYA HUA..

WAH
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: January 16, 2012, 07:35:08 PM »
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
WAH WAH WAH.. EK EK SHABAD MOTI SE PIROYA HUA..

WAH

muddaton ke baad aapki daad haasil hui, yakeen maniye yoindia pe aapki moujudagi se badi khushi hui........aate rahen aur hame bhi padhne ka mouka den
 Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 04:14:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer