jawaab ummat ejaabat(jannate aur dauzakhi hoga to bus a'a maal se)

by muna massood on June 29, 2008, 02:17:56 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1036 times)
muna massood
Guest
Aap nejo zimmadaari hum pe daale hai janaab
   Aap apni zindagi ka apne dil se lein hisaab
Aap ki es nazm se khud aap hi kar lein sawaal
   Aap ke ash'aar shaahid hain ke khud khush maqaal
farq hum aur aap mein bhi hai bahut shankar dayaal
   mil gaye es nazm se hum naseehat bemisaal
sajda'a aadam na karna yeh tha shataan ka ghuroor
   tauq la'nat daal kar us ko kiya jannat se door
es wajah se ho gaya dushman har ek ensaan ka
   shirk se jhukwaaya sar ek bhuddhiwaan ka
aakhirash aa hi gaya hum par bhi sohbat ka asar
   Aap ki sohbat se muslim ne na chodi kuch kasar
shirk se badtar nahin duniya mein koi bhi amal
   gher muslim ho ya ke muslim us ko mile naare suqar
shirk o bidat aur dalalat ka na choda raasta
   us ka khliq se qayamat mein na hoga waasta
ye hai eblees laeen ke waaste darbul masal
   darhaqeeqat sach haimaar aasteen karg baghal
yun to duniya mein har ek samajhta hai khud ko jannati
   kya pata roz e awwal se likh diyaho dauzakhi
rad ko matlab hi nahin shankar se aur iqbaal se
   jannate aur dauzakhi hoga to bus a'maal se
algharaz duniya mein jo samjhana apne aap ko
   Aakhresh har gis nahin samjhega pun aur paap ko
sadq dil se tauba aur estighfaar jo kar le bashar
   shirk ho yaa kufr mein dooba raha ho umr bhar
bakhshna us ki hai sunnat wo hai rahman o rahim
   ya afuw ya ghafoor o ya haleem o ya kareem
hoon azal se khaak paaye har nabi o har wali
   naam mera mohtarem hai hoon ghulaamane ali
                                       (qaari syyed mohtarem Ali rizwi)


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sawaal ummat e daawat(jannati tum dauzakhi hum yeh koi ensaaf hai) by muna massood in Shayari-e-Parastish
Maut Mera Jawaab Hoga...... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Jannate-Ishq by Shayaries_King in Share:Love Poetry
Yaadon se maal-maal ho gaye... .. . /annu/ by annu_genis in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Sonia01
Guest
«Reply #1 on: June 29, 2008, 02:24:03 PM »
Mast likha hai jee.. accha laga padkar
Logged
muna massood
Guest
«Reply #2 on: June 29, 2008, 06:59:37 PM »
thanx for read my poetry. I will improve more.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:59:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer