Ak Lamha ak Dard ......masoom

by masoom shahjada on April 02, 2012, 09:18:42 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3153 times)
masoom shahjada
Guest
" m tumhara khoon pi jaogi"
rani shan pe chillayi thi. Jo uske gusse ka lutf utha rha tha.
.
" oh mujhe to aaj pta lga h ki tum ensaan nhi ho"
shan ne kha tha.
.
" kya matlab..."
rani shan ki baat samajh hi nhi payi thi.
.
" are bhai ensaan to khoon pite nhi.
Khoon to bhoot pite h.
Tum sayad bhoot...."

"shan meri najro se door ho jao warna me tumhara sar tor dungi"
rani shan ki baat sunkar bhut joor se chillayi thi.
.
Thori der me hi mammi un dono ke paas hajir thi.
.
" kya huaa rani chilla kiyo rahi ho"
mammi ne kha tha.
.
Or shan gardan jhukaye bilkul masoom banne ki kosis kr rha tha.
.
" ak ghante se ye bakwas kiye ja rha h."
rani ruhansi si jwab de rahi thi.
.
Use pta tha ab mammi uski class legi. Or aesa hi huaa mammi ne har bar ki trah use achchi khasi dant pila di thi.
Or wo bari makkari se muskura rha tha.
................................
.
.
.................................
" oh pholo se pyar ho rha h" agle din wo fir hazir tha.
.
Rani jo gulab ke phol ko honto se lgaye huye thi use sunkr rukh fer gayi.
.
"janeman ham to tera deedar karne 100 kadam chalke aaye h or tum ho ki chehra chupa ke baithi ho"
shan hamesha ki trah aate hi shuru ho chuka tha.
.
" dekho tum mujhse bat na karo to achcha hi hoga. Fir larai ho jayegi or mammi mujhe dategi"
rani uthkr andar jane lagi.
.
Shan wha aaya jha rani kuch der pahle khari thi or wo phol jo rani ne honto se lgaya hua tha wahi gir gaya tha.
.
Usne use uthaya or honto se lga liya. Or muskurane laga..
.
"aunty mujhe kuch shoping karne jaana h. Mere dost ki shadi h.
Mujhe uski wife ke liye koi gift lena h. Jiske liye rani ki madad chahiye."
shan ne andar dakhil hokr aunty se sabse pahli baat ye hi kahi thi.
.
.
"to beta le jao use" aunty ko kya aetraaj ho sakta tha.
.
"to aap use jaldi bhej de me bahar uska intizar kar rha hu." shan jaldi se kahta hua bahar nikal gaya
.
.
Or wo kuch der me sust kadmo se use aati huyi dikhayi de rahi.
.
Uski chaal dekhkr shan kya to koi bhi andaja lga sakta tha ki use jabardsti bheja gaya h.
.
Shan ne uske paas aate hi bina kuch kahe hi bike start kar li or uske baithne ka intizaar karne laga.
.
"ha to jaan kha chalna h" shan ne bike chalate huye kha tha.
.
"ye kaisa mjak h gift lene tum ja rahe ho or poch mujhse rahe ho ki jana kha h."
.
"rani shan ke kandhe pe hath rakhkr baithi thi." shan ke dil me khayal aaya ki kash puri umar rani aese hi uske paas baithi rahe.
.
Uske kande pe hath rakhke. Uske bahut kareeb . Uske bahut karib
...
....
:(Continue:)

.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
lamha lamha yeh dard.... by Manav Mehra in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ak Lamha ak Dard.....masoom by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
Ak Lamha Ak Dard.....masoom by masoom shahjada in General Stories
Ak Lamha ak Dard........masoom by masoom shahjada in General Stories
Ak Lamha ak Dard........masoom by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 02, 2012, 09:25:27 AM »
 Applause
Logged
dolly
Guest
«Reply #2 on: April 02, 2012, 12:24:26 PM »
nyyc....(continue)..Usual Smile
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: April 02, 2012, 03:07:42 PM »

" wo kitni haseen h.
Dil karta h ki sare din use samne baithake pyar karta rahu.
. Wo mujhe dekhti rahe .m use dekhta rahu.
Uski palko pe lab rakh du.
.
Jab bhi wo samne aati h dil mujhe bebas kar deta h.
.
M use dekhta hi rahta hu.
Wo aksar mujhse sikayat karti h ki m use es trah kiyo dekhta hu.
.
Agar m hosh hu to use es trah na dekhu.
Par kambkhat hosh to use dekhte hi ud jate h.
.
Dil karta h ki bas wo ho or m.
Or ham dono baate karte rahe or chaand apni jagah se hile na raat hi rat rahe.
.
Or wo ak raat jo kai saalo ki ho saniya or me pyar ke gav ki sair karte rahe.
.
Ye sirf meri hi chahat nhi h ye to saniya ki bhi chahat h balki uski to ye hasrat h.
.
"

rani use parne baithi to parti hi chali gayi jitna wo parti ja rahi thi utne aansu uske bahte ja rahe the.
.
Likha tha.
.
M uske bina mar jaoga.
M uske bina ak lamha nhi rah sakta.
M ....
"
ye parna tha ki rani ko jane kya hua ki wo chillane lagi
....
"shan tum aesa nhi kar sakte tum mere ho.
.
M tumhari hu wo chillati ja rahi thi or dairy ke tukre tukre karti jaa rahi thi.
......
Ki kisi ne pyar se uske maathe pe hath rakhkha.
..............
(countinue)

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2012, 04:59:02 PM »


Mathe pe hath ka lams pakr usne aankhe kholi..
.
Dekha to uski mammi uske mathe pe pyar se hath fer rahi thi.
.
"mammi wo shan......." rani kuch kahte kahte chup ho gayi.
.
" kya hua beta shan ko" mammi ne usse pocha tha
.
"wo sayad m koi khawab dekh rahi thi.." rani mammi ko kya btati
.
"mammi aap yha kya kar rahi h" rat ka ak baj rha tha rani ne clock pe najar parte hi mammi se sawal pocha tha.
.
" tum khawab me chilla rahi thi. Tumhari aawaj sunkr. M yha aayi thi,
chalo so jao.or ab chillane mat lag jana" mammi light band karke uske room se nikal gayi
.
Rani let gayi or khawab yaad karne lagi....
Usene jere lab duhraya saniya or neend ki gaud me jhula jhulne lagi.
.................
...
....
....................
" hello rani kya kr rahi ho" shan ne sayad pahli bar use sahi se pukara tha ya sayad use uska har trah se pukarna bura lagta tha.
.
" tumhara intizaar kar rahi thi" rani ki aankho me ak chamak thi
.
" kya hua koi kaam h kya"
shan ka intizaar rani tab hi karti thi jab koi kaam hota tha.
.
Esliye shan ke mind me ye hi aaya tha ki sayad rani ko usse kuch kam h tab hi to uska intizaar kr rahi h.
.
" shan me soch rahi thi ki" rani kuch kahne hi ja rahi thi ki shan bheech me hi bol utha.
.
"etni bari tabdeeli ho gayi or suraj aaj bhi porab se hi nikla h"
.
"kya ho gaya h" rani ko uski bat bilkul samajh nhi aayi thi.
Rani ne shan ka jwab sunne ke liye .
Shan ke chehre pe jo najar dali uska dil bhut jor se dharaka.
Usne ghabra kr akdam dil pe hath rakhkha.
.
Jaise dil ko chupa rahi ho .
.
Shan use dekh rha tha usne ghabrakr jo dil pe hath rakhkha to pareshan hokr bola tha.
.
"rani tum theek to ho na" uske lahje me pareshani ghuli huyi thi.
.
"ha m theek hu" rani ne khud ko samhalne ki kosis karte huye kha tha.
.
Par dil to etni tej dharak rha tha ki lagta tha ki seena cheerkr bahr nikal aayega.
.
" tumhe pasina bhi aa raha h" shan ne uske chehre se tapakne wale pasine ko dekhte huye kha tha.
.
Subah ka sadab mosam tha hawa chal rahi thi aese mosam me pasina aana nhi chahiye tha.
.
Par shan ko kya pata tha ki ye pyar ka pasina h.
.
Rani ghabra rahi thi jab uske dil ne jyada pareshan kiya to wo uthi or bare bare kadam uthati andar chali gayi.
.
Jabki shan bahar khada use ajeeb najro se jate huye dekhta rha.
..............
(countinue)

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: April 03, 2012, 03:47:00 AM »
bahut khoob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: April 03, 2012, 03:52:39 AM »
padhaa naheen gayaa pink color mat use karo
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: April 03, 2012, 04:04:24 AM »
achi story hai--
be continue
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #8 on: April 03, 2012, 06:12:10 AM »

Shan ne bilkul sahi kha tha ki ak nazar pyar se mujhe dekho dil palat jayega.
.
Uska dil sach me hi ulat gaya tha.
. Aaj se pahle usne shan ko dekha hi kha tha.
.
Wo uske chere ko dekhti hi nhi thi kyoki wo har wakat dil jlane wali muskurahat chehre pe rakhta tha.
.
Rat ke khawab ka asar tha ki wo us par pyar se ak nazar daal baithi.
.
Or ye jaan lewa hadsa ho gaya.
.
Dil ko dharkan mil gayi ya soyi huyi dharkan josh me aakr use pareshan karne lagi. Wo dil haar baithi thi.
.
Darkane sine me kohraam macha rahi thi.
.
Use shan se pyar ho gaya tha.
Ya sayad shan se pyar to use bachpana hi se tha.
.
Kal ke khawab ne use ahsas kra diya tha ki wo shan ke bina nhi rah sakti.
.
Agar shan use na mila to wo mar jayegi.
.
Use ahsas ho gaya tha ki shan hi uski duniya h.

Shan to uski sanso me basa huaa tha bas use pata hi na chal saka tha.
.
Or ab jo use pata chala to wo muskuraye ja rahi thi.
.
Apne room me baithi wo shan ke sapno me khoyi huyi thi.
................
.
.
....................
Udhar shan apne room me laita huaa tha.
.
Wo rani ke ajeeb bartav ke baare me soch raha tha.
.

.
Ki uske mobile pe ring hone lagi.
.
Usne mobile kan se lagaya or bola
........
" hi saniya jaan kaisi ho.. ,kasam se m tumhare baare me hi soch rha tha,  bhut bekrar hu yar ye judai kab tak rahegi.."
................
.

.
...........
(countinue)

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: April 03, 2012, 06:13:13 AM »
 Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #10 on: April 03, 2012, 08:27:40 AM »

" bas rahne de.
Agar hamari etni hi yaad aa rahi h to hamse milne kiyo nhi aaye."
saniya ki aawaj me ak fakr tha.
.
Chahe jaane ka ahsas ensaan ko bhut khush kar dete h. Or khusi uske lafjo se tapak tapak ke gir rahi thi.
.
" aa to jate aapse milne magar kya kare kambakhat bhut se kam hote h.
Jo mujhe aap ke paas jane se roke rahte h"
shan surkh aankhe liye labo pe mithas laane ki kosis kar rha tha.
.
" eska matlab aap hamse jyada apne kaam se pyar karte h." wo munh phula ke boli thi.
.
" agar me tuhari mammi se muskura ke milo or tumse bina muskuraye to eska matlab ye to nhi hoga ki m aapki mammi ko aapse jyada chahta hu"
shan uske sawal ka jwaab de rha tha ya use pra raha tha wo kuch samajh hi na payi
.
" are ye kya jawab huaa." saniya hanste huye malooom kr rahi thi.
.
" dear agar m tumhare ghar aao or tumhari mammi pahle mil jaye.
To jis tarah unse pahle baat karna jaroori h.
Un hi trah en kam ko bhi wakat pe pura karna jaroori h" shan ne use samjhaya tha
.
" oh bhaane bnana wo bhi smart tarike se koi aapse sikhe" saniya kah rahi thi.
.
" ak baat btao tum dilwali to ho na" shan hanesha ki trah usse ulte pulte sawal poch raha tha.
.
" are me dilwali hi nahi.
Dilo ko jeet lene waali bhi hu"
saniya ne josh me jawab diya diya. Saniye ab uske es trah ke sawaloo ki aadi ho gayi thi.
Pahle pahle use uske ye sawal ajeeb lagte the par ab aadat ho gayi thi.
.
" tab to tumhare dil me bhut se dil dharkate hoge" shan ne uspe tanj kiya tha.
.
" sirf ak wo bhi sirf or sirf aapka" saniya dilfareb andaaz me kah rahi thi.
.
" eska matlab tum choor ho" shan ne us pe ilzaam lagaya tha.
..............
.
.
.............
(countinue)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #11 on: April 03, 2012, 09:06:07 AM »

" mene tumhara dil churaya nhi cheena h or cheenne wale chor nhi lootere hote h m looteri hu"
saniya ne bhi usi ke andaaz me jawab diya tha.
.
" are yaar tum to kamini bhi ho dhire dhire tumhare feature samne aa rahe h" shan ne use chera tha.
.
" shan ab baad me bat karege maama bula rahi h.
Bye" saniya ne uska jawab sune bagair hi line kaat chuki thi.
.
.
Shan ne mobile table pe rakhkha or kisi gahri soch me gum ho gaya.
............
.
.
..........
Teen char din se shan nazar nhi aaya tha.
.
Rani roj uska intizaar karti.
Darwaje pe hone wali har dastak pe use shan ka gumaan stata.
Par jab shan ko aate na paati to bechain ho jati.
.
Jab se uske dil ki halat badli thi tab hi se shan usse nhi mila tha.
.
Wo soche jaati ki shan ka samna kaise karegi .
Ab use shan se sarm mahsoos hone lagi thi.
.
Par abhi tak uska saamna shan se nhi hua tha.
Aaj panchwa din tha or shan kabhi bhi etne dino tak usse bin mile na rah saka tha.
.
Jaane ab kya ho gaya tha. Rani ko shan ka dar jab jyada stane laga to wo shan ke ghar aa gayi...
.
Jha usne wo dekha jise dekh ke uske kadam jami pe chipak se gaye.
............
.
............
(countinue)




Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: April 03, 2012, 09:43:51 AM »
 Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #13 on: April 03, 2012, 09:45:52 AM »
 Applause Applause
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #14 on: April 03, 2012, 11:15:44 AM »

Use apni aankho pe yakin nhi aa rha tha.
.
Shan  apne aagan me gaas pe baitha aansu bha rha tha.
.
Usne shan  ko bachpan me bhi rote nhi dekha tha  wo to hamesha aoro ko rulata rahta tha.
Or jaane kiyo aaj khud ro raha tha.
.
Wo hole hole kadam uthati shan ke saamne ja kr baith gayi.
.
Shan abhi tak uski aamad se anjaan tha.
.
" shan kya huaaa kiyo ro rahe ho" rani bechain thi uske rone ki wajah janne ke liye.
.
Rani ki aawaj sunkr shan choka usne ak dam apne aansu saf kiye.
Par kuch bol nhi paaya.
.
" shan sab theek to h na" shan ki khamoosi uski pareshani me izafa kr rahi thi. Par shan kuch bol hi nhi rha tha.
.
" ha sab theek h" shan ne jab dekha ki poche bin nahi manegi to use jawab dena hi pra.
.
" to fir ro kiyo rahe the" rani ne uski nili aankho me chupe huye aansuao pe ak nazar daal ke kha tha.
.
" hansne ka karz ada kar raha tha" shan ke lahje me aaj ak bebasi sunai de rahi thi.
.
"kya matlab huaa eska" rani ne uske ajeeb garib jwab pe kha tha.
.
" jo log bhut haste h un pe aansu karz ban jaate h jinhe unhe kabhi na kabhi ada jaroor karna parta h. M bhi usi karz ko ada kar raha tha" shan ne tute huye lahje me kha tha.
.
" shan plz bta du na kya baat h" rani ne uski minnat karte huye kha.
.
"sab bate btane ki nhi hoti h. Bhut si baate hame dil me chupa ke rakhni parti h. " shan etna kahkr ghar se nikalta chala gaya.
.
Jabki rani wahi hairan pareshan si use jaate huye dekhti rahi.
.
Umar bhar usne khawahish ki thi ki wo shan ko rote huye dekhe.
.
Or jab usne use hasta dekhne ki khawahish ki thi.
Wo rota huaa mila.
Use maloom nhi tha ki rani uske aasuao me doob jayegi.
.
Rani bhut pareshan thi wo kisi trah shan ka gam maloom karke use door karna chahti thi. Par shan use mauka hi nhi de raha tha.
.
Wo hairan pareshan bhut dukhi si apne ghar aane ke liye palat gayi.
.........
.
...........
(countinue)
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:28:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer