Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta

by Dr Maqsood Hasni on December 13, 2014, 04:55:23 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1171 times)
Dr Maqsood Hasni
Guest

Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta


Baray kamray kay qalein par eak chonti kabhi idher aur kabhi odher bhagay phirti thi. Mein nay ghoor kiya, wo shadeed parishan thi. Prishani kay alam main wo la'hasil mashaqat ka shakar ho gaee thi. Mujhy os ki prishani ki tein vajo samjh main aaein:
• Qalein zamein nahain thi aur wo zamein par chalnay ki adi thi.
• Na'ay mahol aur halaat nay ossay parishan kar rakha tha.
• Os ki mahdood basarat aur basirat nay qalein ko la'mahdood qarar day diya tha.

Jab soch basarat aur basirat kalein se kay daeray main mahdood ho jatay hain to insan ki haisiat os chonti say ziyada nahain rehti aur insan mahdood daeray say bahar nikal nahain pata. Jab nikalnay ki koshesh karta hai to idher odher bhatakta phirta hai aur prishanioon main ghir jata hai. Ossay kuch sojhaee nahain daita kah kiya karay aur kiya na'karay. Kaenaat main karnay ko to bohat kuch hai laikin aankh ki mahdood kar'gozari kay sabab woh kuch nahain kar pata jo hona chahiay.

Basarat kay faislay kay motabaq digar hawas apni kar'gozari samnay latay hain laikin jab kisi hawala say daera tornay main kam'yaab ho jata hai to ossay pehlay say behtar kar'gozari kay un'gint mowaqay mayassar aatay hain. Goya woh pehlay say behtar aur bohat kuch kar gozarta hai. Warna os daeray main bahar ki kar'gozari momkin hi na thi.

Allah Karim nay Insan kay andar 1,64,0000 saktiaan (powers) rakh di hain jin main say meaz chand eak ka istamal ho pata hai. Moqadas Kotab main ghoor karnay ki bar bar takeed aati hai. Tadabar kay natija main
"La"
ko vajood mayasar aa jata hai. Ta'hum yah baat teh hai kah ghoor karnay kay natija main hi korray tabdeel hotay hain.
Insan mokhtalif korroon ki sair karta hai. Is say os kay ilm aur moshahiday main vosat aati hai. Dosri taraf yah bhi hota hai kah korroon ki tabdili say woh la'madood nahain ho jata. Jab'kah adyan khasosan Islam insan ko mahdood, mahtaj aur ghulam nahain daikhna chahta. Mahdood aur ghulam honay ki surat main insan apnay khaliq tak rasaee hasil nahain kar pata. Haqiqi Khaliq-o-Malik la'mahdood hai is liay os say qareeb honay kay liay la'mahdood honay ki zarorat hoti hai.
Ulma Karam Koshesh main rahay hain kah intahaee qareeb aur intahaee door kay mafaheim tak rasaee hasil kar lain. Ulma Karam nay ahkamaat ki tashrehaat aur tafheim kay hawala say daftar kay daftar bhar diay hain. Oon ki masaee jamila apni jaga laikin wo tafheim-o-tashree jo qaem baz'zat aur her kisi kay liay qabal-e-qabool ho, abhi tak insan kay hath nahain lag saki. Her mafhoom her tashree raad ho jati hai ya her kisi kay haan sharaf-e-qaboliat hasil nahain kar saki balkah in ki mokhalfat main kahein pur'zoor dalael samnay aa'ay hain. Jinhain parh kar:
• Pehla mostard ho jata hai.
• Tazabzab janam laita hai.
• Pehlay main tabdiliaan laee jati hain.
• Tashrihaat ki mazeed tashrihaat ho gaee hain. Jis kay sabab oljhao paida ho gi giya hai.
 
Foqara la'mahdood honay kay liay apni zaat ki nafi karkay Allah ya kisi aur ko jo oon kay khayaal main la'mahdood hota hai, ko asbaat daitay hain aur keh othtay hain:
Toon hain tana toon hain bana, sabh kojh maira toon
Kahay Hussain faqeer namana mein nahein, sabh toon (Shah Hussain Lahori)

Bhula, Sho hain dohein jahani
Koee na wasda gher (Bulle Shah Kasuri)

Ab baat zara aagay bharti hai to Mansoor keh othta hai:
"Mein hi haq hoon"
Bulle Shah ka yah kehna bhi qabal-e-tovajo hai:
Haji lok makkay noon janday
maira mahi makka
mein kamli haan
Bulla Sho asaan marna nahein
Disay mar giya koee hoor

Sawal paida hota hai kah yah sab ghoor-o-tadabar kay natija main hasil hota hai ya hadsati toor par waqo main aata hai ya ishq is manzal tak lata hai ya is ki koee aur vaja ho sakti hai.
Ustad Ghalib bilkul alag say jawaaz latay hain:
Kuch na tha to Khuda tha kuch na hota to Khuda hota
Doboya mujh ko honay nay na hota mein to kiya hota

Moamla yah hai kah aaghi jab mosbat rastoon par chalti hoee janoon ki shakal ikhtyar kar laiti hai to hi la'mahdood honay ki taraf safar ka aaghaz hota hai. Is tara daeroon ki qaid say aazadi hasil ho jati hai. Mahdood-o-makhsus hona aur ossi ko sab kuch samjh laina hi Shirk hai. Insan kisi daeray ka mahtaj ya ghulam ho giya to os nay Shirk kiya.
Insan aazad paida howa hai. Allah insan ki ghulami pasand nahain karta. Insan siraf aur siraf Allah hi ka hai aur Allah hi kay liay hai. Allah chahta hai kah insan her midan main kamyabi-o-kamrani hasil karay. Jab bandgi kay sab darwazay band ho jaein gay to siraf aur siraf Allah ki bandgi ka darwaza khola reh ja'ay ga. Is tara woh apnay Khaliq-o-Malik ki tara bai'karan ho ja'ay ga. Woh ossi nehj par sochay ga jis par os ki takhleeq hoee. Jein aur gosht kay cells ka pass-word/code daryaft kar sakay ga. Pass-word/Code ki daryaft say hi la'mahdood hona momkin hai. Yah la'mahdodiat kaenati ho gi jab’kah Khaliq kay liay woh meaz os ki khob'surat takhleeq hi rahay ga.

Kaliq apni takhleeq kay mafaheem khoob khoob janta hota hai. Auroon par yah mafaheem nahain kholtay aur na’hi khol saktay hain.
Modabar ishq dosroon par foqiat hasil kar laita hai to:
• Khaliq kay qareeb ho jata hai.
• Khaliq ko os ki sifaat kay hawala say jan aur pehchan laita hai.
• Khaliq os say aur woh Khaliq say razi ho jata hai.
• Insan Khud ko jan aur pehchan laita hai.
• Woh ashya ki haiat, mahait, istamalaat, jowahar aur mafaheen say aaghi  hasil kar laita hai.
• Woh apnay andar kay korroon aur shaktioon par tasalat hasil kar laita hai.
Ghoor karnay aur na'karnay waloon main farq aa jata hai. Ashq-e-modabar (moman/motaqi) Khalifa ban kar zindagi kay kanvas par namo'dar hota hai.Woh jan jata hai aur na'jannay waloon kay liay Allah ki naimat sabat hota hai. Ulma Karam lafz kay maeni talashtay hain jab’kah yah lafz ki rooh par garift hasil kar laita hai. Donoon main yahi bonyadi farq hai. Is Ashq-e-modabar ko Peer keh lain, Bazorg ka naam day dain, Darvaish, faqeer, Sufi, Bhagat, Amam, Khalifa ya Guru kay naam say mansoob karain eak hi baat hai.


 You were found spamming posting links. Your new posts will be visible only after Monitors check them.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Biwi ki ghulami by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
EH VAZ DA MOSAM NAHAIN by Dr Maqsood Hasni in Miscellaneous Poetry in Punjabi
ghulami ki saza by dead heart in Shayari-e-Parastish
For The Holy Month Of Ramadan - Dil Ye Pukaare Allah Allah,Allah Hu Akbar, Allah Allah by @kaash in Shayari-e-Parastish
Insan Kutta Nahain by Dr Maqsood Hasni in General Stories
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: December 14, 2014, 01:41:53 AM »
bahut khoobsurat ehsaas hai.
Logged
Dr Maqsood Hasni
Guest
«Reply #2 on: December 14, 2014, 08:23:37 AM »
aap ki mohabat aur tovajo ke liay ehsan'mand hoon. aap par hamaisha Bhagwan ki kirpa bani rahe
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:03:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer