Anjaan - A THRILL LOVE TALE

by ASIF on July 21, 2022, 05:39:35 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1764 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
Hello dosto,
kaise hai aap sab? main fhir haazir hoo apni ek nayi dilchasp kahani ke saath...isi saal ki meri horror story "Haavi" ke baad rubaru karaa raha hoo aapsabse another thriller love story jiska naam hai "anjaan".....hope aap sabko pasand aaye story padhke hamesha ki tarahvapne jawab zarur de thank u


Disclaimer : This short story is a work of fiction, any characters,places or events that involved into this story is just a part of fictional stuff if anything relates it may be co-incidence, not promoting any kind of superstition or reality thought only written for purely entertainment...this is 100% pure my own content not adapting or inspired work this story is purely written by it's writer asif biswas...so share it with orginal link but no right to cnp to other forums or social media posts...fake credits or stealing may lead to writer to take action and report against the culprit Winking thank u Usual Smile

story starts from next post

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #1 on: July 21, 2022, 05:42:35 AM »
"Dhundhlahat jaise meri nazaro par utarti gayi,
Waqt jaise thamta ja raha tha,
Andhere ki aagosh mein sama mahoul
Aur mera wajud kahin khota jaa raha tha"


Mujhe theek se yaad tha ki maine sirf aadhi botal hi pee thi club se jab aakhri alvida kehke main usse waha se nikla tha toh us waqt bhi mujhpar aisa nasha taari nahi tha….gaadi bhi main hosho hawas mein chalaa raha tha ki ektak is khubsurat nazare ko dekhne ke liye tehra...aakhri baar is sheher ko chodhne se pehle main kuch pal aur is haseen vaadiyo mein bitana chahta tha….main gaadi se utara aur darwaje pe hi sar rakhke us dubte suraj ko pahado ke kahi beech hasrat se dekh raha tha un baaton ko yaad kar raha tha jo pichle kuch waqt mere sath huye they aur theek tabhi mera sar chakraaya aur madhoshi mujhpe taari hone lagi mujhe aisi neend kabhi nahi lagi aur dekhte hi dekhte main wohi zameen par gir pada aankh band hone lagi palake bhaari aur theek usi waqt wo do taangein mujhe dikhe koi ladki thi jo mere kareb aa rahi thi uske aahista ahista aane se saaf tha oose mere haalat ka jaise pehle hi malumat tha jabtak meri nazare upar uthti main behosh ho chuka tha…

Jab mujhe dheere dheere hosh aaya toh main ekdum se kasmasake utha kahi koi tej horn si baji ye shorr to kisi samundra pe chalne waale steamer jaisa tha ab dheere dheere mera nasha utar chuka tha...main bhauklake apne haalat ka jayeza lene laga main uth nahi sakta isliye nahi ki nashe ka asar tha par isliye ki mere haath pao bandhe huye they mujhe kahi zabran laaya gaya tha kisi ne mujhe uthaa liya tha kamra aalishan table aur keemati cheezon se jaise saja tha main ek kone ke kursi par bandha baitha tha na jane kabse? tabhi kahi panchiyo ka shorr fhir kahi lehro ki awaz kahi dur kisi motorboat ki jaati awaz kamre ke charo taraf nazar fhairte huye saamne sheeshe aur lakdi ke bane us darwaje pe meri nigah uthi…..bahar ghana andhera tha itne mein jaise ghadd ghadd si awaz huyi aur pura kamra halka sa hil gaya main samajh chuka tha main kisi trawler jaisi boat par tha

maine fhir koshish ki apne piche bandhe haatho ko kholne ki lekin naakam….achanak se ek aadmi andar aaya wo koi shakal surat se keemati suit mein bhi badmash dikhai padh raha tha usne saqt nigaho se mujhe ghura aur fhir ek banawati muskurahat di.wo merr kareeb aaya aur meri rassiyo ko khol diya

"kyu laaye ho muje yaha?".....mere haath khulte hi main kursi se uth khada hua

"bahar jao".....usne saqt kathor awaz mein aise kaha jaise hukam diya ho

main uspe ek nigaah daudaaye hadbadaye kadmo se darwaje ko khole bahar aaya tab mujhe samundra se uthti hawa ka jhonka apne pure chehre pe mehsus hua...main ghabra gaya charo taraf andhera aur gehra samundra aur main theek ek waqayi bade se boat par tha main cabin se guzarte huye sirhe ke paas pahucha...achanak gungunati ki meethi awaz jiska picha karke maine paaya toh us ladki ki peeth meri taraf thi uske zulfein hawa se ud rahe they wo samundra ke theek saamne ki chakachaund jagmagati sheher ki taraf dekh rahi thi trawler ek taraf jaise tehra hua tha

"mohabbat hai kya cheez humko batao ye kisne shuru ki? humhe bhi sunaao"....main aahishte aahiste uske kareb pahucha meri mazudgi ka malumat chalte usne palatkar muje dekha maano jaise oose mera ahesaas hi nahi tha waha hone ka

"safa tum?".......main hairaan
"tum hosh mein aa gaye?".....usne muskurake pucha

"ye sab kya harqat hai? kyu uthaa laayi tum mujhe yaha ab main samjhaa wo sirf beer ka nasha nahi ho sakta kuch to milaaya tha tumne mere drink mein jawab do mujhe aise itni raat gaye yaha laane ki wajah main abtak sheher chodh chuka hota meri flight thi aajraat ki janti ho tumne kya kiya?"

"kitne sawaal karte ho tum? haan maine tumhare nigaho se bachakar tumhare drink mein kuch mix kiya tha flight miss ho gyi to hone do ab tumhe sheher chodhne ki zarurat nahi mere dad se sab baat ho chuki hai wo hamari shaadi ke liye raazi hai"

main aasman se gira ye wo safa nahi thi jiske chehre pe masumiyat maine hamesha dekha tha ye toh koi shaatir chaalak diwaani jaisi aurat thi uske abba ka zikar sunke main bahut zyada ghabra gaya tha kyunki ye baat untak pahuchna matlab thi meri zindagi ka faisla hona….

"main tumhe pehle hi bata chuka ki hamara koi saath nahi hai main ek gareeb mohtaaj hoo tumhare abba jaisa ameer businessman nahi do waqt ki roti aur kiraaye ke chatt ke liye mujhe din raat mehnat karna zaruri hai mera tumhara koi mel nahi koi haisiyat nahi"

"aur us raat ka kya? jo hamare beech hua kya tum sab bhul gaye? wo pehli mulaqat wo mujhe samjhana bas isliye mujhse dur ho rahe they ki main ek bahut hi powerful politicial aur smuggler ki beti hoo jiska sikka is sheher mein nahi pure nizaam mein chalta hai"

"dekho safa us raat jo hua wo hamare beech galti se hua main hosh mein hota toh waisi koi harqat"

"toh pyaar nahi karte mujhse? bolo bolo na"

"m.ain"

"pehle jawab do pyaar nahi karte na maje leke chodhna chahte they na mere baarein mein malum chala ki main kisi aise insaan ki beti hoo toh darr se bhaag rahe they na jawab do sab sach jaan chuki hoo main"

safa aise bolne lagi jaise koi khatarnak muzrim apne shikhar ko daraa raha ho uski nazare mila paana mujhmein kahan tha? main himmat samait raha tha safa ne mere kandhe se mujhe kasskar apni taraf kiya usne qeher bhari nigaho se dekha

"kal tak darr rahe they shouhar kya sochega? aur ab darr rahe ho ki abba kya karenge tumhare saath? karte main agar keh doo ki tumne mujhe kharab kiya aur inkar kar rahe ho toh sach janne ke bawjud tumhari laash paani mein tairte huye bhi nahi milegi tum nahi jante wo apne dushmano ka kya haal karte hai? katwaake faik denge ya zinda piranha machliyo ke jheel mein daal denge tumhe"

safa unhi nigaahi se daant peeste huye ek ek lavz mere chehre ke kareeb aakar kehne lagi aur main sihamte kaanpte sihar raha tha...hawaye bhi jaise mujhe aur sihar de rahi thi...usne mera gerebaan chodha

"main tayyar hoo safa jo chahogi so karunga".......main bebas hathyaar daalte huye jawab diya

"mujse mohabbat waaqayi karte ho ya darr se kaha?"....usne aur kareeb mere chehre ke paas apna chehra laate huye aahiste se par wohi sard nigaho se kaha

maine khaamoshi se uski nazaro ko dekha uske chehre ne rang badla aur wo fhir khushmizaaz maasum bacchi ki tarah khilkhilaake hass padi jaise abtak usne mujhse koi mazaak kiya ho

"faraq bhi nahi padta tumhare chahne se kyunki faisla meri zindagi ka hai jo hua so hua ab main bhi fhirse single hoo aur tum meri zindagi mein ab bahut jald hum ek honge"

safa mere seene se lagkar aise lipat gayi jaise wo kitni khush thi mujhe paakar...main safa se dur hona toh nahi chahta tha lekin jis safa se main ab waqif hua tha wo bholi maasum ladki nahi apni hi baap ki tarah shaatir khatarnak criminal minded muzrim thi...kaash main anjaan na hota toh aaj main is musibat mein na hota
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #2 on: July 21, 2022, 05:44:16 AM »
PAST

Taqreeban wo 2 mahine pehle ki baat thi jab main is desh mein aaya tha ek middle class family se belong karne wala jo aabudana ki talaash mein yaha aaya tha yakeenan wajah sirf kamaai nahi thi thi ki ek wajah aur apne tute huye armaan samaitke main nayi sirhe se zindagi jeene hi yaha aaya tha...mere gharwaale is faisle ke khilaaf they par mera dil janta tha unse juda hokar nayi zindagi talaashna mere liye kitna zaruri tha? main bachpan se akela raha tha gareebi toh aisi dekhi hai maine jaise shayad hi kisi ne jiya ho har sapne har armaan bachpan se hi mere kismat mein aakar chale jaaya karte they jaise badal aasman mein ghirr rahe ho aur palbhar mein wo aise chatt jaye jaise baarish hone hi nahi waali thi…

kisi se dil lagaake ek galti ki thi uska khaamiyaaja mujhe aajtak bughatna pad raha tha jab ek ladki se ishq ektarfa ho gaya aur baad mein uske wajud ko talaashne mein hi main mehrum ho gaya wo isi desh ki thi lekin main nahi janta tha kahan rehti thi? internet se huyi uski tasveer se mohabbat aisa anjaam legi socha nahi tha mili toh nahi par zariye ustak pahuchne ke kayi dafa mile ek zariya uske shouhar se guzarta tha jo baat baad mein mujhe malum huyi na hi sirf pehle usne ignore kiya lekin jab aaziz aakar kehdiya ki wo ab uske sath bhi nahi thi thi wo shadi shuda ab aur apne kisi aur jode ke saath greshti basa rahi thi uski khubsurati ki wajah se uske kayi diwaane uske piche pade aur main shayad unme se ek tha...aur kuch jaan nahi paaya lekin mera dil tut gaya jeene ki pehle hi iccha nahi thi aur ab kismat ke faisle ne mujhe aur tod daala bachpan mein khilona nahi milta tha toh ro leta tha lekin ye to jeeti jagti shaksiyat se mohabbat thi jise bhul paana itna aasan kahan tha? meri haalat ke wajah se maine usi ke desh mein aane ka faisla yahi sochke ki wo na sahi kam se kam uski yaadein toh aaspas hongi

is sheher mein mujhe badi mushkkat lagi aane mein par main pahuch gaya sahare ke taur pe mama they jinke paas aakar main rehne laga ek jagah naukri mere padhe likhe hone se mujhe mili thi par usmein sukoon haasil karna fizul tha raat gaye thak haarkar apna khaana ya toh khud banana padta tha ya fhir bahar se intejam karna ghar ke kaamkaaj mujhe akele karne padte they na jaane kyu mama hamesha ghar par nahi hote they khaaskarke aksar dair raat gaye aate they aur aate hi nashe mein churr so jaate they aajtak mujhe unke peshe ka malumat nahi tha parivaarwaale bhi mama ke kaamkaaj se puri tarike se waqif bhi nahi they lekin main janta tha ki mama koi gair kanooni kaam karta tha shayad kisi ke liye par kabhi kuch galat hota mujhe nahi dikha tha unka vyavhar bhi mere sath dosto jaisa tha…

ek din naukri jaha karta tha waha se mujhe nikaal diya gaya wajah thi zubaandaraazi haalaki meri manager se patri nahi khaa rahi thi fhr kya tha main gusse se naukri chodhkar ghar aa gaya….mama mere pareshani ko samjhe aur unhone kaha ki agar main chahu toh waapis jaa sakta hu lekin maine mana kar diya kaash main unki baat hi maan leta toh shayad aaj is musibat mein na hota

"mama mujhe tum apne yaha kaam par lagaa do main padha likha hoo koi bhi kaam kar lunga"

"arre main gawaar hoo gaadi chalata hu bare malik log ka aur mera kaam fielding wala hai tu nahi kar payega"
"accha baat toh kar sakte ho"

"theek hai main koshish karta hai mere malik sahab ke bare malik yaani unke abba bare neta hai yaha ke jaane maane rasukh untak meri kabhi kabhar bhait hoti hai main confidence mein leta hai unko reference deta hoo"

main kaafi khush ho gaya lekin mama na jaane kyu tayyar nahi they jaise wo meri zidd ke aage jhukkar hi meri baat maan rahe they….wo chutti ka din tha us shaam hum ek club pahuche main janta tha mama ko gala geela karna tha aur paisa unke paas kam tha meri madad ki badle mein wo mujhse treat maange they….hum dono sheher ke ek jaane maane club pahuche main waise toh nasha wagaira nahi karta tha par mama ke insist aur apna bhi dil behel jaaye ye sochke waha aaya tha

waha bahut bheedh aur music ka shorr tha club waaqayi rayizo ka tha ek moshtande guard ne hamari chaanbin aur kuch sawalat karke hi andar jaane ka permit diya….chalte chalte club ke galiyare mein mama ne kaha "ye mere malik ka club hai sirf members aur rayizo ko aane ka permission..maine yaha aane ka permission chote malik se liya tha aise kayi clubs is sheher mein mauzud hai jo un logo ki milkiyat hai"...club ke taraf ramp par jawan ladke ladkiya naach rahe they toh dusri taraf chhelkadmi karte kuch karamchaari waiter toh kahi kuch jode haath thaame bar ke sits par jaakar baith rahe they…"tu jaake baith waha bar ke paas main do min mein aaya".....main mama ko rokna chaha unke sath ana chaha lekin unhone mana kar diya

na jaane kyu mujhe gawara nahi ho raha tha waha par rehna main unke zidd pe hi aaya tha pehle to socha ki waqayi mujhe unke reference ka koi naukri aise maaliko ke under karna theek rahega ya fhir mukar jau aur kahi aur milati julati naukri hi talashu fhir mere zehan mein club aur unke rayizi ki baatein ghumi toh main bhi prabhavit huye reh na saka khair main ek kursi pe baithke mushkil se ek beer ka order diya botal haath mein lete hi ek ghuntt liya ki mera munh ka zaayka bigad gaya main peeta nahi tha aur ek aad baar hi piya tha jiski aadat bahut arse pehle chutt chuki thi achanak koi khilkhilaake hasaa saamne nazar uthaaya toh ek naujawan khubsurat ladki akeli baithi shayad mere harqat ko dekh hass rahi thi main sharminda sa ho gaya

uske aas paas koi nahi tha aur wo mere sit se kareeb 1 hath hi dur baithi huyi thi...wohi pehli mulaqat thi safa se meri maine pehli baar kisi dusri ladki ko apne zindagi mein itne gaur se dekha tha waaqayi bahut khubsurat thi wohh ek designing saree pehni thi pink saree ke upar chamakta kaala blouse maine apne nazaro ko jhatka sharminda dugna hote huye ek sip beer ka liya….fhir munh kadwa par is baar zazbat chupa liye they

wo mujhe ektak gaur se aise dekh rahi thi ki pehle to main oose galat aurat khyaal karne laga lekin waha sajidhaji har aurat thi jo kisi na kisi mard ke saath thi toh koi apni saheliyo ki hi jhund mein

"lagta hai pehli baar beer peeya hai tumne?"....usne ekdum se baat chedha maine muskurake naa mein sar hilaaya

"asal mein main peeta nahi wo toh club aaya socha khaali baithne se behtar kuch pee lu ab yaha cold drink toh mehez nahi mil sakta"

wo fhir hass padi jaam se bhara glass ka ek ghuntt usne piya shayad wo koi whiskey thi…..is tarah hamare beech baat us raat shuru huyi….aur kab hum gair se anjaan shaksiyato se dost jaise ho gaye pata nahi chala

"mera naam safa hai aur main aksar yaha aati rehti hoo tum yaha akele?"

"nahi nahi mere mama ke saath unka yaha koi jannewala hai aur wo drink karte hai so isliyr yaha aaya waise aap bhi akeli?"

"haan aksar akele hi aati hoo"
"yaha kayi tarah ke log aate hai aapko darr nahi lagta jaise koi force karne lage ya koi piche hi padh jaaye"

wo bhi khilkhilaake has padi main awaak oose dekhne laga…"waise keh toh sahi rahe ho lekin aisa kuch ho nahi sakta without my permission agar kisi ne himaqat ki bhi toh anjaam wo apna soch bhi nahi sakta"

mujhe laga shayad ameer gharaane se hai badi pahuch rakhti hogi isliye maine notice kiya ki kayi mard laar zarur uspar tapka rahe they dur se lekin koi paas waaqayi nahi aa raha tha shayad main hi galti uske kareeb baith gaya mujhe ahesas bhi hua jaise koi mujhe bhi notice kar raha hai lekin waha baar baar andhera hota aur fhir roshni huye jaa rahi thi samajh nahi aa raha tha

"apne baarein mein kuch batao"....usne toka to main hadbadake oose dekhke muskuraya

dusri galti wohi ki thi maine apne baarein mein kisi bhole bacche ki tarah sabkuch saaf saaf bata diya...usne sunkar jaise hamdardi di main khamosh ho gaya achanak itne mein mere mama waha pahuche safa unhe ghurrne lagi mama ne ek nazar unki taraf dekhi aur fhir mujhse rubaru huye…."chal adam kaam ho gaya"

"kiska? par kahan? abhi toh aapne kuch piya bhi nahi"....main ekdum se unke baat se hairat mein pada sawal kiya

"arre baba andar drink kar liya pantar logo ke saath waha chote maalik bhi they teri bhi baat ki kal bulaaye hai office mein subah jaldi pahuchna hai"

"kamaal hai acha theek hai chalo ye beer khatam kar lo mujhse piya nahi jaa raha"

mama ne bhi kuch ghuntt peeye aur oose waise hi table pe chodh diya maine kuch paise mama ko diye jise mama ne bartender ko deke adayegi ki aur hum dono waha se uthkar chalne lage achanak mera khyaal paas baithi safa pe gaya maine muskurake oosse vidaa liya mama aage badh chuka tha….wo hum dono ki baat sun chuki thi

"wo tumhare mama they?"
"haan wo mere mama they acha fhir chalta hun umeed hai fhir kabhi mulaqat hogi"

"jarur mulaqat hogi".....usne aise muskurake kaha jaise laga ki waqayi hum fhir milne waale hai

"goodnight"

"goodnight bye".....safa ne meethe awaz mein alvida kaha

main club se nikalte huye bhi aisa mehsus kar raha tha ki wo baithi mujhe hi jaate dekh rahi thi..main palatkar dekha aur oose muskurata dekhkar waha se ruksat ho gaya

Agli subaah main koi club ya company mein nahi kisi political office mein pahucha tha mama mere saath they darbaan ne darwaja khola toh hum ek daftar mein dakhil huye saamne kursi pe baithe ek vridh par raubdaar aadmi cigar ka kash liye kisi ke phone se abhi faarig hoke hamari mauzudgi ki taraf ruzu hua tha paas mein kuch aur political worker baithe huye they…mama ne hichkhichaake bare adab se mera parichay unse karaaya wo machini andaz mein sar hilaaye mera jaayeza le rahe they….fhir unhone kuch sawal kiye jiska jawab maine sihme par sahi sahi diya

"theek hai kaam mil jayega lekin baad mein muqarna nahi hai kyunki tumhare mama ke request pe hi tumhe rakh raha hu waise bhi ihumhe ek padhe likhe ladke ki zarurat hai"

"ji"
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #3 on: July 21, 2022, 05:45:47 AM »
Us din ki mulaqat ke baad mujhe naukri mil chuki thi main bahut khush tha us raat khaana khaate waqt nayi naukri lag jaane ki khushi aur tayyari mein main mama se baat hi kar raha tha ki eka ek unhone jo baat kahi wo mujhe sawalat mein daalne ke liye kafi thi mere mama ka kehna tha ki chahe kuch bhi ho idhar udhar dhyan mat dena apna kaam karna aur chalte banna sirf malik log jo kahe oose hi manna maine bhi kaha ki aisi to mujhe koi baat nahi lagi haan raubdar hai darr zarur lag sakta hai par koi aise galat insaan toh nahi jinka darr dil mein aa jaye...mama ne uske baad kuch nahi kaha maine kuch aur puchne ke liye un logo ke baarein mein munh khola par chupp rehna behtar samjha naukri ke baad toh dherre dheere un logo ke baarein mein muje sabkuch pata toh lag jana tha..

Naukri mujhe bare malik raj sahab ke ek bandargarh port waale godown ki mili jahan aksar maal aate they ship se waha mera kaam unka hisaab karna kaun sa maal aaya load hua uska jaankari likhkar baad mein hafte mein ek baar raj sahab ke manager ko dene unke office cum kothi jaana padta tha….raj sahab malik ke kothi pe mera fhaira 3 baar hi laga tha us din bhi main documents leke unke manager se milane gaya jo waha tha nahi isliye sidha raj sahab ko hi mujhe hisab kitaab dikhaana tha achanak darwaje pe dastak dene se pehle hi ek aadmi bahar nikla gusse mein mujhse takrate takrate bacha shakal surat aur pehnaave se wo koi rayiz hi lag raha tha usne mujhe ghuraa aur maine oose wo mujhe bina kuch kahe waha se gusse mein hi tej kadmo se chala gaya usi dauran raj sahab ka ek moshtanda bhi bahar nikla usne mujhe darwaje pe khada dekhke ghura maine oose raj sahab se milane ki iccha jatayi usne sirf andar jaane ka sidha ishara kiya uske baad wo paini nazaro se oosi disha mein badh gaya jis taraf se wo aadmi gaya tha aisa laga wo uske piche hi gaya tha

Main jab andar dakhil hua toh daftar ke kursi pe raj sahab apne chote malik ke sath baithe they chote malik jiske liye mama kaam karte they wo kisi keemati suit boot mein hamesha rehne wala koi gunda lagta tha chehre pe ghani dhaadhi thi aur aankho mein ek azib si gambhirta usse mujhe bahut darr sa lagta tha lekin wo hamesha mere sath narmi se pesh aata tha bandargaah ki milkiyat jaise usi ke naam thi jaha main kaam karta tha khair wo aapas mein kuch gambhir baatcheet kar rahe they unke chehre pe gehri pareshani aur gambhirta thi bas itna mujhe sunne mein laga ki wo kisi aadmi pe nazar rakhne aur oose sidha karne ki baat kar rahe they unke chehre ki pareshani aur gambhirta mujhe us insaan ko yaad karne pe mazbur kar rahi thi jo abhi yaha se gusse mein nikla tha mujhe dekhke wo log apne dhyaan se tute fhir raj sahab mere mukhatib huye

"sir wohh is baar ka hisaab dene aaya tha"....maine unka abhivadan karte huye file unke haatho mein di

"hmmm mujhe tumhare imaandari aur lagan se kaam karte dekh badi khushi huyi tum bahut mehnati ho isliye soch rahe hai tumhari tankhwah thodi aur badha de"

"arre sir aapne muje naukri pe rakha ye mere liye badi khushkismat ki baat hai"......raj sahab hass pade unke saamne baitha chota malik bhi

"theek hai tum abhi jao aur aage se daftar aane ki zarurat nahi inko hisab kitab wohi port pe dikha diya karna"....unhone chote malik ki taraf ishara karte huye kaha

maine sehmati mein sar hilaaya…..us din main bahut khush tha pehli baar meri tareef huyi thi main sochne lag gaya ki main khaamokah ulti sidhi baat soch raha tha mujhe kisi ke zyadti maamle mein kya padna? yahi sochke main us shaam apni khushi ka aur sukh haasil karne oosi club pahuch gaya….is baar main akele tha entry fees adaygi ke baad main sidha bar counter pahucha aaj bhi wohi shorgul wohi chehel pehel thi…..achanak kisi ne mere kandhe pe haath rakha main palatkar jab dekha toh safa khadi thi usne muskurate huye mujhe dekha

"arre aap yaha par? aaj bhi"
"kyu nahi aana tha mujhe?"

"arre mera matlab ittefaq dekhiye main aaj hi yaha aaya aur aap bhi waise kya aap yaha regular aati hai?"

"aksar"......maine oose baithne ka ishara kiya to usne muskurake baithte huye kaha

"kuch khaayengi?"

usne sehmati mein ishara kar diya main toh beer se zyada kuch peeta nahi tha usne bhi meri dekha dekhi wohi order diya saath mein 2 plate pasta hamare saamne serve ho chuki thi….beer ki chuskiya lete huye maine ek nivaala khaaya hi tha ki usne mere khush hone ka kaaran pahucha

maine oose bataya ki meri ek badhiya jagah naukri lag chuki thi aur tankhwah bhi achi thi oose sunke bhi jaise acha laga wo bhi meri tareef karne lagi hum hassi khushi baat karte huye khaa pee rahe they us raat main safa se jaise aur ghulmil gaya tha….usne baaton baaton mein kahi aur chalne ka faisla kiya main raazi ho gaya haalaki ek anjaan ladki ke saath raat gaye waqt bitaana mere liye pehli dafa tha...shayad main uski taraf zyada kheechta chala jaa raa tha beer aur khaane ki adaygi ke baad hum waha se 2 ghante ke andar bahar nikal gaye us dauran mujhe aisa laga kayi nazare is baar mera picha kar rahi thi par main bedhyan mein waha se safa ke sang nikal gya...safa ke paas kaali gaadi thi wo khud driving seat pe baithi aur mujhe bagal waali taraf baithne kaha main mor kaantke gaadi mein baith gaya….gaadi start karte huye safa ne gaadi ulti taraf ghuma di….aisa lag raha tha jaise koi gaadi hamare piche thi maine palatkar jayeza lena chaha to safa ne toka toh main hadbada gaya safa gaadi chalate huye mujse baat karne lagi

"k..kya hua? kya dekh rahe ho piche?"
"Aisa laga jaise koi hamara picha kar raha ho?"

safa hass padi main kuch keh nahi paaya sunsaan sadak aavajaahi kam hone se gupp ek khaamoshi aur upar se raat ki thandi tej hawaaye mere chehre par lagte huye guzar rahi thi….safa ne gaadi ek beach ke paas laakar roki….lehro ki awaz kareeb aata samundri paani jaise pao chuke waapis chala jaata hum rait par chalte huye samundra ke khaamosh fiza aur thandi hawao ka lutf us andheri raat mein le rahe they

"pehli dafa main aise gaye raat kisi ke sath waqt guzaar raha hoo khaaskarke ek khubsurat ladki ke saath"

"acha ji"......safa ka chehra laal ho gaya usne paini nigaho se mujhe dekha main sharam sa gaya

"waise sach kahu toh main yaha aksar akeli hi aaya karti thi par aaj tumhare saath yaha aayi hoo waqayi tum auro jaise nahi ho jo bas mauke ki taak mein rehte hai aur apna matlab nikaalte hai"

main khaamosh raha…..kuch waqt aur humne waha akele guzaara ki eka ek wo mere kareeb aane lagi main samajh nahi paa raha tha ki ye sabkuch itne jaldi kaise ho raha tha? achaanak usne mere kareeb apna chehra badhaaya hi tha ki uska phone baj utha main number nahi dekh paaya usne gambhir hoke phone kaan se lagaya aur mujhse thoda dur hatkar baat karne lagi….main waise hi khada samundra ki lehro ki taraf dekhne laga kuch dair baad wo phone se alag huyi aur waha se ghar ruksat hone ki baat ki

hum gaadi mein they safa gaadi chalate huye mujhe dekh baar baar muskura rahi thi…."chaliye fhir main yaha utarta hu fhir milenge raat bahut ho gayi hai aapke gharwale bhi pareshan honge".....maine baat chedhi

"main toh chahti hoo kuch waqt aur saath mein guzaare"

main kuch keh nahi paya safa ne aisi nigaho se mujhe dekha ki main kya kehta?....."kal phir kahi miloge?"........safa ne unhi nigaho se sawal kiya

"zarur".....safa ne bas muskuraya

meri zidd na maante huye usne mujhe ghar ke paas hi bus stand pe chodha raat koi 1 baje ke aaspaas tha main utarkar gaadi mein sar jhukaaye uska shukriyada kiya usne pyaar se mere chehre pe thappad maara….lekin wo phir milna chahti thi maine oose apna number de diya jise usne apne keemati iphone pe save kar liya oosse vidaa leke main apne raaste badh gaya aur uski gaadi teji se sidha raaste us waqt mera khyaal tha ki nahi lekin koi gaadi mera picha nahi kar rahi thi….
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #4 on: July 21, 2022, 05:47:03 AM »
Agle din hi kaun sa? Wo toh bas shuruwat thi uske baad mulaqato pe mulaqat hone laga hamare beech kabhi park kabhi kahin aur aisa laga jaise main na chahte huye bhi safa mein gehri dilchaspi le raha tha aksar hafte ke 3-4 din hamara kahi na kahi milne ka program ban jata tha aur safa bhi jaise isi taak mein rehti thi hum agar jis din na bhi milate toh us din ekdusre se phone pe ya chat pe baat karte rehte they…

Sabkuch acha guzar raha tha zindagi se koi mujhe shikayat nahi thi mere paas paisa tha waqt guzaarne aur dil behlaane ke liye safa jaisi ladki thi main jaise asliyat ko pehchaan nahi paa raha tha….lekin asliyat ko mujhe waqif karaana tha jo us dair raat ekdum se hua….main kaam khatam karke dairi se daftar se nikal raha tha shanivar ki raat thi mere mann mein kya aaya ki main us veeran bandargaah ka chakkar kaatne raat gaye us taraf pahucha jaha ship se maal sab rakha jata tha bare bare dabbo ke beech se guzarte huye jab main waha pahucha toh milkiyat ki naav steamer lagi paani mein pier ke paas tair rahi thi...dusri taraf achanak shorr suna shorr khule ilaake ke wajah se aapas mein dohrate huye takra raha tha maine dekha ek aadmi khoon khattar rassi se bandha cheekh raha tha aur kayi moshtande oose ghaire banduk ki naal se uspar vaar kar rahe they achanak itne mein ek gaadi dikhi jo bagal mein khadi thi cigarette ka kash lete huye chashma pehne chote malik beparwah se samundra ko ghurr rahe they main kuch samajh nahi pa raha tha wahan kya chal raha tha? main chupkar unki nazaro se dubka hua kaanp raha tha

"mana kiya tha tujhe? rishtwat bhi diya tab bhi raj sahab ke khilaaf jayega investigation bureau aur sarkar tak hamare khilaaf evidences pahuchaayega janta nahi yaha kiska sikka chalta hai bare raj sahab ka aur chote malik ka"

ek prachand ghussa chote malik ke aadmi ne us bandhe aadmi ke chehre pe de maara...wo nidhaal padh gaya….chote malik cigarette faike uske paas aaye uska baal haatho mein samaitte huye uski bujhal nigah apni taraf ki wo qeher bhari nigaho se oose ghurrne lagi

"m..ujhhe maanf kar do sahab main police ko kuch nahi bataunga"

"hahaha ye to pehle sochna tha".....usne bedhange taur se hassa fhir sard nigaho se kaha jo kisi ka bhi rooh kanpa deti

"ye bandargah meri milkiyat hai raj sahab toh dur mujh tak uthne ke liye gardan akad jayegi yaha har maal mein drugs sone ka biscuits ya gair kanooni hathyar aata hai wo hamare aadmi ke alawa koi nahi janta aur tu bahut kuch jaan chuka hamari malumat toh pata kar li ab asliyat bhi dekh le is samundri paani ke gehraiyo mein maans khaane waali bhooki machliya hai jinke liye chaara hum rozana tere jaise daalte rehte hai"

"nnnahiii sahab baksh dijiye maanf kar dijiye main apne peshe se istifa deke chala jaunga kisi ko kuch nahi kahunga mujhe mat maariye rehm kijiye nahii plss"

wo guhaar marta reh gaya chote malik ne mudkar bhi na dekha aur ek ishara apne aadmiyo ki taraf kiya….kuch hi dair mein un aadmiyo ne us ghayal officer ke haath pao patthar aur rassiyo ke sath baandh diye aur uske chehre ko kaale kapre se baandh diya fhir oose ghasitte huye bandargah ke aakhri sarzameen pe le gaye aur oose puri taqat se paani mein faikh diya….main ghabra gaya aisa bhayanak manzar maine kabhi nahi dekha tha kaanpte khud pe kaabu paaye unki nazaro mein aane se pehle hi main waha se bhaag nikla...us raat jab main ghar pahucha toh main bahut daraa hua tha ab mujhe mama ki baat yaad aa rahi thi wo kyu mujhe idhar udar dhyaan dene mana kar rahe they harpal aisa lag raha tha us aadmi ki tarah sach jaankar wo log mujhe bhi haath pao baandhkar us paani mein faikh denge mujhe baar baar wo manzar yaad aane laga mujhe ulti ho gayi us raat main kuch khaaya piya nahi mama se bhi kuch bola nahi bas yahi kaha meri tabiyat theek nahi hai aur main karwat badle so gaya

subah main jab bistar se jaaga toh safa ko saamne khada dekha wo ektak mujhe ghurr rahi thi usne muskurake mujhe dekha main hadbadake saqte mein aa gaya ki safa yaha kaise pahuchi? achaanak uske haath mein gun meri nazaro mein aayi usne gun meri or taan di usne sard muskurahat di aur mere kuch keh paane se pehle goli chala di dhacchhh meri ek ghuntti awaaz nikali aur goli mera bheja udaate huye sar mein kahi dhass gayi charo taraf khoon hi khoon fail gaya aur main waise hi bistar pe pada reh gaya…..main bhauklake uth baitha subah 10 baj raha tha main apne bistar pe pada na jane kabse so raha tha wo koi bura khwab tha achanak mere zehan mein kal raat huyi wo ghatna dobara guzar gai shayad ye bura khwab oosi dehshat ka natija tha main fhir ghabra sa gaya kya kisi ko mere waha hone ki kahi khabar toh lag nahi gayi kya raja sahab waqayi khoonkhar shaksiyat they chote malik ki tarah yakeeenan wo jis raubdaar aur peshe waale they unmein bahut kam log hi naik hote hai lekin muje kaisa darr? achanak mujhe hosh aaya somvaar ka din tha subah ke dus se upar ho chuke they aur main aaj daftar jaa hi nahi paaya kya koi mujhpe shaq? kya mujhe naukri pe jana chahiye? ya fhir anjaan hi rehke khaamosh rahu kisi ko mujhse kya matlab? jab kisi ne mujhe chote malik ka kaand karte huye range hatho pakda nahi ya dekh hi nahi liya fhir jaise fitoor mere dimaag mein haavi ho raha tha

main hosh sambhalte huye apne naukri sthan pe phone lagaya waha guard ne phone uthaya maine oose kaha ki main 2 din nahi aa sakta bimaar hoo chote malik ko bata dena ye sunkar guard ne sehmati mein haami bhar di maine phone cut kar diya..kuch halka mehsus kar raha tha main…

Shaam ko safa ka whatsapp aaya wo aaj bilkul free thi….in mulaqato mein maine jaana tha ki safa koi business woman thi aaj wo farig thi aur milna chahti thi ek taraf main mamuli si haisiyat ka naukri karne wala aur ek taraf wo ameerzaadi aisa lagta tha kabhi kabhi ki hamare beech koi haisiyat wala rishta hi nahi tha us shaam safa se milane main uske bataye ek restaurant pahucha safa pehle se hi table ke paas baithi mere intejar mein thi mujhe aata dekh wo muskurayi mujhe baithne kaha aur fhir khud baith gayi…

Usne baaton baaton mein notice kiya ki aaj main pehle jaisa khushmizaaz nahi balki sihma hua ghabraaya sa khamosh sirf usi ki baatein sun raha tha usne mera dhyaan toda main hadbadake oose dekh fiki muskurahat diya

"kya hua? koi baat hai tum itne khamosh kyu ho? koi wajah".....usne gambhirta se sawal kiya

"n..nahi toh wohh aise hi bas"

"yaani main tumhe bore kar rahi hoo"....usne aaahat bhaav se kaha toh main inkar mein sar hilaane laga

"aisa nahi hai safa darasal mind kuch upset hai bata nahi sakta kehne laayak baat nahi"

"mujhe apna maante ho na"

usne meri aankho mein jhaankte huye mere haath pe apna haath rakha…."toh fhir batao aakhir kya baat hai? tumhe kabhi aise daraa hua maine nahi dekha kya hua hai? bolo zara"

"dekho is baat ka zikar kisi se kabhi mat karna kyunki meri jaan aafat mein padh jayegi"

safa ne mujhe azib nazaro se ghuraa….maine oose batana shuru kiya us raat ki har ek baat….jab main khamosh hua toh safa sunke jaise kuch dair gambhir aur khamosh rahi….main khidki se bahar chalti gaadiyo ko dekhne laga

"relax unhe malum nahi hua na ki tum waha they?"
"nahi"

"toh meri baat maano jaise chal raha hai chalne do ab galti se bhi unke maamle mein nahi padna apna kaam karna aur ghar nikal jana"

safa ki baat ne mujhe hausla toh diya lekin waha jaane se zyada mujhe chote malik se rubaru hone ki himmat nahi ho rahi thi fhir bhi maine vaada kar liya safa us din kayi aur ghante mere saath guzaare apne ghar chali gayi uske bataye mutabik main ghar toh aa gaya lekin saari raat sochta raha ekdum se naukri chodh dena bewakufi thi jabki wo kaand huye mehez hafta hi guzara ho kisi ke nigah mein main aa sakta tha isliye main hamesha ki tarah naukri pe jaane laga lekin kuch hua nahi main us bandargaah ki taraf ek baar gaya tha lekin waha zyada dair teherne ki meri himmat nahi huyi us dauran chote malik se bhi mukhatab hua lekin unhone mujhpe jaise koi dhyaan hi nahi diya jaisa main umeed kar raha tha….ek din t.v par ek khabar dekhi jismein wohi officer ki tasveer aur naam headlines pe flash ho rahi thi wo gumnaam ho chuke they intelligence bureau se taluqat rakhte they aur kisi gambhir case pe kaam kar rahe they aakhri baar unhe port area ke paas dekha gaya uske baad unki gaadi sheher se bahar marina point pe mili bataya gaya main bahut ghabra gaya tha unki wo minnat cheekh unki body ko paani mein zinda faikh dena sab dimaag mein ghum raha tha…..lekin ganimat thi ki kisi ki bhi tawajjoh mujhpar nahi padi shayad mera wehem hi tha jo maine samjha

us dauran safa se jab main mila toh woh hamesha ki tarah idhar udhar ki baaton mein mujhe uljha deti thi aisa lagta tha jaise oos din jo kuch maine bataya wo usne suna hi nahi tha….main bhi in haalat se apna dhyaan hataakar safa ke saath zyada dene laga jisse mera dil behel jaaye…..sabkuch fhirse normal hone laga lekin ekdin achanak….
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #5 on: July 21, 2022, 05:48:52 AM »
Raja sahab ne mujhe apne office mein talab kiya main unse rubaru hua raja sahab phone se farig hoke mujhe baithne kahe main hichkichate huye baitha…"accha adam humne faisla kiya hai ki agli taaikh se tumhari tankhwah badhaa di jaaye"......is baar maine sirf muskuraya koi khushi nahi thi

kuch dair kaamkaaj ki baat se farig hoke main izazat leke nikalne hi wala tha ki unhone toka maine mudkar unhe dekha….na jaane kyu bechaini si lagne lagi thi?

"accha beta aaj hamari yaha party hai tumhe aana hai kyunki hamare sabhi karobaar ke bade se leke chote mulazim bhi invited hai isliye raat theek 9 baje pahuch jaana"

"ji sir"......maine fhir unse vida li aur waha se nikal gaya

na jaane kyu aaj mann bechain tha? mera mann tha aaj raat safa se mil lu lekin ye party ka nyota mujhe apne darr ko kisi pe ujagar nahi karna tha par tassali thi raja sahab nawaqif they mere raaz se...main na chahte huye bhi us raat raja sahab ke vishal kothi pe pahucha mama apne haisiyat ke wajah se na jaane kyu aane se mukar gaye? mujhe akele hi aana pada waha party rayiz intezamat se ho rahi thi har bade se bada shaksiyat us party mein mauzud tha main accha groom hoke waha pahucha tha ki ek baar sabki nigaah mujhpar se hoti guzari….raja sahab bade logo se baaton mein uljhe they aur chote malik kahi dikh nahi rahe they main ek taraf table pe jaake akele baith gaya toh mujhe ek waiter cold drink serve karke chala gaya main uski chuskiya lete huye ye soch raha tha ki kya in logo ko asliyat malum thi ya ye rayiz log bhi raja sahab se jaise peshewar criminal minded they aisa sochke hi rooh fanaa ho si rahi thi…

ki achanak announcement hua main nazar uthaaye us taraf dekhne laga jaha sabki nigah ghumi raja sahab apne naye business ke sisile mein kuch keh rahe they itne mein chote malik ko unke bagal mein khada dekha aur theek tabhi lehenga aur anarkali pehni keemati jevarato mein saji safa ko unke paas jaate  huye dekh main hairaan aur uske bagal mein ye toh wohi gussail aadmi tha jo daftar se nikalte huye mujhse lagbhag takraate huye chala gaya tha wohi magruriyat wohi rayizi lekin wo safa ka hath aise kasske pakde huye tha jaise wo uska shouhar ho !

safa mujhse anjaan raja sahab ke gale mili raja sahab sabse apni beti ko milaane lage yaani safa unki beti ! maine dekha wo aadmi gusse mein tha aise react kar raha tha jaise kisi ka uspar dhyan nahi wo sharaab pee raha tha aur jabran jaise safa ke sang sang sabse mil raha tha achanak ek udti nigah muskurati safa ki mujhpar huyi aur uski muskurahat gaayab main kuch samajh nahi paa raha tha main bina uspe nigaah daale ulte kadamo se waha se jaane lag gaya safa ne shayad mere piche aane ki koshish ki ho par bhaari bheedh aur parichit logo ke saamne wo kuch na kar saki….mera dil tut gaya tha yaani maine aisi aurat se dil lagaaya jo raja saheb jaise khatrnak aadmi ki beti thi aur wo bhi shadi shuda ye toh us khooni ghatna ko dekhne se zyada haulnaak gunaah maine kiya tha agar raja sahab ko ye malum ho jaaye ki main unki beti ke sath dosti kare ghum fhir raha tha toh! us waqt muje ek anjaan par bhaari khauff lagne laga main bahut darr gaya tha…

main bina kisi ko kuch kahe waha se nikalke taxi liye ghar pahucha main us raat so nahi paaya tha raat beraat mera phone bajne laga maine switch off kar diya dair raat jab phone on kiya toh usmein whatsapp pe kayi msgs aur voice calls aaye huye they aur wo sab safa ke they….main darr gaya tha ki ab main kya karu? main balcony ke paas aakar gehre soch mein dub gaya us din jo kuch chote malik ne kiya tha uske aage ye baat kehke maine sabse bari galti kar di thi mujhe kya malum tha? kis jis ke yaha main kaam kar raha hoo wo raja sahab us ladki safa ka baap tha aur wo chote malik shayad bhai lekin tension tab zyada huyi jab maine us gussail aadmi ka haath thaamein sang sang oose chalte dekha tha iska matlab woh raja sahab ka daamad tha...bahut bhaari musibat mein fas gaya tha main mujhe ek anjaan ladki se bina uske zyadti zindagi ko jaane fauran dosti nahi karni chahiye thi….achanak fhir phone baja safa toh mujhe dekh chuki thi ye call shayad oosi ka aa raha tha...tabhi phone aana band ho gaya aur fhir ek aur message….maine jab phone uthaake oose padha toh usmein safa ne likha tha "meet me tommorrow night at boat club" uske baad na koi call aaya na koi message kya usse milna theek tha? kya wo bhi anjaan thi ki main raja sahab ke yaha mulazim tha chalo agar yahi sahi toh usne apni shadi shuda baat kyu chupaai? kyu ek gair ladke ke kareeb aayi? ab main ye soch mein tha ki kal main jau ya nahi aur usse bhi zyada kya raja sahab ko mere aur apni beti ke babat sabkuch malum chal chuka tha yaa wo bhi anjaan they…

"kya hua soya nahi?".......maine hadbadake jagte apne mama ki baat suni wo maathe pe shikhar kiye mujhe soch mein duba ghurrte huye kahe

"n..nahii wo darasal'

"party mein kuch hua kya?"

"n..nahi toh main toh pehle hi waha se nikal gaya"

"kisliye?"......maine koi jawab nahi diya meri khamoshi dekhte huye wo kuch uljhan mein dikhne lage

"ek baat bata? tu raja sahab ki beti safa ke saath ghumta fhirta hai".......mama ki baat sunke main aasman se gira

"n..nahii tohh kau..n sa.fa mm.main kiske saath? main toh ye bhi nahi janta ki raja sahab ki koi beti hai bhi"

"dekh tu mujhse jhoot nahi chupa sakta kayi dafa dekha maine khud tujhe aur ye baat mere jannewaale ne bhi mujhe batayi ye baat tu janta hai ki wo shaadi shuda hai?"

"nahii par muje aaj hi malum chala"

"ohh"

"mama main jaanbhujkar uske kareeb nahi aaya balki wohi mujhse nazdeekiya badhaane lagi main toh oose janta bhi nahi tha wo to aaj maine oose raja sahab ki party mein dekha lekin ek shaadi shuda aurat hokar wo mujhse matlab kyu rakhna chahti hai? aur oosse bhi badhkar kya raja sahab ko malum chal chuka!"......main halklaate sihame mama se pucha

"bhala ye baat chup sakti hai raja sahab ke parivaar ka har ek sadasya unke aadmiyo ke nigah mein hota hai kahan jaate hai kisse milate hai ya ye bhi ki kaun piche?"

"toh kya isse unhe koi aitraaz nahi ki main unki beti! par yakeen maano maine uske sath kuch galat nahi kiya na hi maine uske marzi ke khilaf uske piche pada!"

"agar raja sahab ko kuch karna hota toh pehle kar chuke hote tu toh jaata hi mera bhi janaza uth jata ab toh tu jaan hi chuka hai ki raja sahab kitne powerful aadmi hai"

maine unki baaton ko sunkar zor se thook nigali ab kya hona tha? mama ne bhaari chinta prakat kiya unhein khauff tha ki main ek bahut hi bure mushkil mein fass chuka tha baaki unhone safa ke shouhar ke baarein mein itna hi bataya ki raja sahab oosse bahut aaziz aa chuke juye aur unke gair kanooni dhande mein shaamil reh chuka tha unka damad apni galat aadato se kayi baar police ke nishaane mein aake pure paivaar ko fasaa chuka tha kayi mauke aur sudharne ke kayi dhamkiya de chukne ke bwajud wo apni ayyashi aur juye ki aadato se baaz nahi aaya tha safa ke suhag ka khyal na hota toh abtak katwaake oose faikh diya hota raja sahab ne….ye sab baatein sunke main khauff se sihar gaya tha parivar ke aapsi zyadti maamle ke baarein mein mama zyada kuch keh nahi paaye par unhone mujhe agaah kiya ki ho sake toh safa se duriya bana le warna kuch bhi ho sakta tha...lekin main hairan tha jiski beti ek gair ladke ke sath ghum fhir rahi thi usse uske baap ko koi aitraaz kyu nahi tha? jabki main unhi ke yaha mamuli sa mulazim tha bahut azib fasaad mein fasste ja raha tha main…

Agle shaam waade ke mutaabik main taxi se ek beach pahucha jaha paas pier tha aur wohi boat ki qataare lagi huyi thi unmein ek lounge jagmaga raha tha aur uspar kaafi aawajahi thi thi lights ke aksharo mein bara sa banner pehle maale pe laga hua tha jispe likha tha boat club….main hichkichaate huye sawaar hua main safa ko talaash karne laga ki itne mein ek aadmi mere kareeb aaya usne mera jayeza liya aur sidiyo se chale jaane ka ishara kiya...main kuch samajh nahi paaya main sihamte huye upar pahucha waha railing ke ek kone mein safa khadi thi khamoshi se soch mein dubi samundra ki taraf dekhti huyi….wo aaj nai saree mein thi aur khubsurati saaf jhalak rahi thi usse...maine socha 10 min baat karke oose samjha bhujaa lunga saare sawalato ka jawab paake waha se chala jaunga

safa ne meri taraf dekha aur muskurayi main fiki muskurahat deke uske paas aake khada ho gaya...mujhe gambhir aur khamosh dekhke wo nazarein jhukaane lagi

"safa tumne itni badi baat chupai? wo bhi mujhse main raja sahab ka yaha naukri karta hun unka mamuli mulazim hoo agar unko pata chala toh tum janti ho mere saath kya hoga?"

"kuch nahi hoga sunaa tumne agar hona hota toh pehli mulaqat ke baad hi tumhare sath kuch bhi ghat sakta tha lekin aaj tum zinda ho jante ho kyu? kyunki main tumse pyaar karne lagi hoo aur main mehsus kar rahi hoo ki tum jaisa ladka mujhe kahi nahi mil sakta imaandar maasum aur usse bhi badhkar vaada nibhane wala"

"y..ye sab kya keh rahi ho tum? tum ek shaadi shuda aurat ho main tumhare sath kaise relationship rakh sakta hun aur toh aur hamari haisiyat dekho"

safa aise nazarein idhar udhar karne lagi maano wo sabkuch ansuna kar rahi thi…

"main tumhe dhokhe mein nahi rakhna chahti thi par main chahti thi ki main tumhein jaan lu dekho adam haisiyat se koi faraq nahi padta aur rahi baat mere shadi shuda hone ki toh wo rishta bahut jald khatam hone wala hai bahut hi jald"

"d..dekho safa!"......main bhauklaye oose samjhaane ki koshish karte huye kehne laga lekin wo kuch sunna hi nahi chahti thi aisa lag raha tha jaise main bahut bari musibat mein fassne wala tha itne mein lounge ne kinaara chodh diya aur paani mein teji se samundra ki taraf badhne lagi

main jaane ke liye palta toh usne mujhe thaam liya….."kahan jaa rahe ho mujje chodhke?".....wo kawadte huye boli

"mm..mujhe jaana hai sufai pls"

"ab kuch nahi ho sakta ye boat ab kuch ghante baad hi waapis kinaare pahuchegi"

main pareshan hone laga….safa ke chehre ka rang badla aur usne rokar mere chehre pe haath fhairane lagi…."kyu mujhe avoid kar rahe ho? sirf isliye ki main shadi shuda hoo ya isliye ki mere father bahut ucche rasukh waale hai unka is sheher mein dabdaba hai log unse darrte hai ya isliye ki wo tumhein maar denge dekho us raat maine unhein ye bhi bataya tha ki tumne khoon hote huye port pe dekha hai fhir maine hi unse kaha tumhe naukri pe rakhne ko jis raat tum mujhe club mein mile they maine unse saaf keh diya hai ki main tumse pyar karti hoo aur tumse shaadi karungi aur unhe isse koi aitraaz nahi naa bhai ko aitraaz hai balki wo toh meri har khushi ko pura karne ke liye zameen aasman ek kar dete hai aur ye toh meri zindagi ka sawaal hai"

safa apne aansu ponchte huye dusri taraf munh fhairkar dekhne lagi…"wo husband wo shaadi koi mayne nahi rakhti mere liye jo harpal aapko taqleef de aapki daulat pe jiski nazar ho aur jo ek number ka kameena ayyash aur juaari aur matlabprast ho ye dekho"

usne apne blouse ko halka sa niche kheech diya to maine aankhe band kar li...jab aankhe khola toh waha daanton ke nishaan they usne fhir blouse theek karte huye apne nange pao aur kalaiyo pe lage kuch nishaano ko dikhaaya….."bahut sapne sajaye they maine jiske baap ne apni iklauti beti ko kabhi ek daant tak nahi lagayi oose ek gair aadmi ne is qadr taqleef pahuchayi ki kya kahu? ye sab marpit ke nahi zulm ke wo nishaan hai jo us kameene ne mujhe harpal diye maine socha wo badal jaayega lekin waqt ke sath mujhe uski asliyat samajh aai paisa ka laalchi tha wohh daulat aur meri khubsurati mein andha hokar usne shaadi ki uske baba mere abba ke bahut acche dost they isi ka fayeda usne uthaya lekin apni aadato ke chalte apna business dubo diya aur fhir mere baap ke rehemo karam pe mere yaha ghar jamai banke rehne laga mere aur parivar ke sath….agar ye nishaan main apne abba ko dikha du toh uska kya hashr hoga koi nahi soch sakta?"....dehekti aankho se safa ne daant peeste hue ghinna aur nafrat bhare dono lehze se kaha

main ekdum chupchaap sihama hua khada sun raha tha…."par ab bas bahut ho gaya mujhe apne abba ki badnaami ka fikar nahi ab tum mil gye ho ab sab mere haatho mein hoga maine usse talaaq almost le hi liya hai wohi kameena maarein ghabrahat se mera picha nahi chodh raha uske paas mere abba ke khilaaf kuch sabut hai jis tak mera bhai bahut jald pahuch jaaye uske baad uska faisla ho jayega"
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #6 on: July 21, 2022, 05:50:04 AM »
safa ne apne bhai aur baap ki tarah oosi sard awaz mein kaha jab jab wo koi gunaah ko anjam dene waale hote hai...safa ne pyaar se mujhe dekha aur mere gale lag gayi tab mujhe ahesaas hua ki usne halka halka drink kiya hua tha…"aao mere saath"...main khud pe khud uske saath lounge ke luxurious bedroom mein pahucha

"darro nahi koi nahi aayega ye lounge hamari milkiyat hai aur aisi kayi lounge aas paas samundra mein mauzud hai jo hamari hai ab tum relax ho jao aur bas intejar karo ki jab hum ekdusre ke saath shaadi karenge sabkuch milega tumhe ab zindagi ke koi thokhar tumhe khaane ki naubat nahi aayegi is sheher mein wo izzat hogi tumhari jo hamare parivar ke har sadasya ko milti hai"

safa ne mujhe ek drink banake diya…."main peeta nahi safa"....main us waqt kuch keh paane ke haalat mein nahi tha aisa lag raha tha jaise main safa ke taqat ke aage hathyar daal chuka tha….safa zidd karne lagi

"aaj tumhe meri khaatir peena hoga piyo waada karti hoo fhir kabhi nahi"

main na chahte huye bhi uske haatho se jaam hontho se lagaaye peene laga ek baar munh meetha hua fhir kadwa main haafne laga...safa ne ek drink aur banaya aur ooske chote chote chuskiya lete huye meri taraf hawas bhari nigaho se dekha main khada hone laga toh dhamm se chakkar khaake sidha bistar pe lait gaya aisa lag raha tha nasha bahut bhaari tha...uske baad kya hua? mujhe theek se yaad nahi bas khilkhilaati safa ki hassi mere kaano mein gunz rahi thi...aankhe bhuj gayi aur sabkuch andhera !

Jab meri aankhe khuli toh main dang reh gaya pure kamre mein khooni nigaaho se ghur rahe raja sahab ke aadmi mauzud they aur theek unke beech khud raja sahab mujhe qeher bhari nigaho se ghurr rahe they main kaanpte huye dusri taraf dekha toh safa adhnagan halat mein mere bagal mein soyi huyi thi yaani sabkuch raja sahab ne dekh liya tha main kuch samajh nahi paa raha tha main toh mehez behosh! fhir ye sab kaise? achanak kamre mein chote malik bhi daakhil huye aur gerebaan se pakde mere mama unke geraft mein mama bhauchakka aur darr se mujhe dekhne lage aur chote malik bhi mujhe gusse se ghurr rahe they achanak garazti wo raja sahab ki awaz …."chote banduk de"......uske baad dusre haath mein ek gun maine chote sahab ke dekhi chote sahab ne gun haath mein liya mujhe ghurrte huye sidha gun mere mama ki taraf taan di mama ghabraane lage minnat karne lage jaise wo officer marrne se pehle us raat kar raha tha…..aur mere kuch keh paane se pehle dhacchh ek zordaar goli ki chalti awaz huyi aur mama ka bheja khoon ki bauchaar ke saath charo taraf diwaar aur zameen pe bikhar gaya…


"nahiiiiiii"....main cheekhta hua utha pasine pasine ahesas hua ki kamre mein bahar ki khidki se ujaala aa raha tha suraj ka tej ujaala

main charo taraf dekhne laga battiya bhuji huyi thi koi mauzud nahi tha aur naa hi waha koi laash! main mama ka zehan karte huye kaanp utha ye dusra bura khwab tha maine palatkar bagal ki taraf jaise dekha manzar kuch haqeeqat mein dhalta laga safa mere bagal mein gehri neend mein soyi huyi thi main na chahte huye bhi chadar se utha to muje apni halat ka ahesaas hua maine kaanpte huye safa ki taraf jab dekha toh chadar uske badan se bhi alag thi aur uske badan par ek bhi kapra nahi tha….main bhaukla gaya sar ghumne laga ye kya ho gaya? y..ye maine yaad aya kal safa ka diya wo drink uffante zazbaat fhir mera behosh ho jaana….shayad safa bhi nashe mein thi isliye oose meri cheekh sunaai hi nahi di thi warna wo bhi abtak hosh mein hoti...maine chadar hadbadake ooske badan par odha diya aur sochne lga ki ek musibat se nikalne aaya tha aur dusri musibat mein pad gaya agar raja sahab ko waqayi sab malum hai toh ye bhi malum hoga ki is band lounge ke ek kamre mein hamare beech kya hua tha? aise mein is sheher se bhaag jana maut ko daawat dena tha safa toh ro rokar sab keh degi aur main bemaut apne mama ke saath maara jaunga...main us waqt ko kosne laga jab main safa se mila tha….nasha utar chuka tha waqt kam tha mujhe isi darmiyaan kuch faisla karna tha

maine jaldi jaldi apne kapre pehne aur safa ke hosh mein aane se pehle ye kaagaz pe likhke waha bistar pe chodh diya ki mujhe ghar se koi urgent call aaya tha...main waha ruka nahi hamare beech waqayi kuch hua tha is baat ka jaayeza lena aasan nahi tha khwab toh aise hi daraa chuka tha aur haqeeqat mein apne aur safa ke haalaat ko dekhne ke baad kuch gunzaish hi nahi bachi thi…

main girta padta lounge se bahar aaya ganimat ki hum waapis aa chuke they main bhaagta hua lounge se paar hote huye beach se fhir main road pahucha waha se jaa rahi ek bus mein sawaar ho gaya pure raaste sit pe baitha main bahut zyada ghabraya hua tha…

 
"kya tu kehna chahta hai? ye desh chodh dega sheher se chala jaayega arre pagal ho gaya kya tu?"

"haan mama main pagal ho gaya ab meri baat dhyan se suno ye baat sirf tum jante ho aur main raja sahab ya unke kisi bhi aadmi ko malum nahi chalega maine office mein letter pahucha diya hai kuch din ka aur ek baar apne desh pahuch gaya to matter khatam dhundhte rehne do unhe"

"saale dimaag kharab hai tera ye uska sheher hai unka nizaam hi aisa hai ki tu kahi bhi bhaage pakda jayega meri maan aisi bachkaani harqat chodh aur jo hua oose hone de"

main bag mein kapra tayy laga raha tha maine kapre ko faikte huye narazgi se mama ki taraf dekha…."ye meri zindagi ka sawaal hai?"

"wohi toh keh raha hoo teri zindagi khatre mein pad jayegi tu un logo ko jaanta nahi hai bahut khatarnak log hai isi din ke liye main teri naukri lagaane mein hichkicha raha tha pata nahi kaise unhe malum chala aur khud hi mujhe kehne lage ki tera bhaanja aaya hai madad ki imdaad mein hai oose mere yahan bhejo aur main samajh nahi paaya raja sahab ne aisa kyu kaha?"

"kyunki maamla unki beti ka tha aur uske dil ka tha safa ne mujhe bataya tha bachpan se koi bhi zidd puri karne mein uske abba koi rasta nahi chodhte they i am just an object of her desire isi liye uske abba apni beti ke pehle shouhar ko thikaana lagayenge aur uske baad fhir apni beti se mera niqah karayenge"

"toh tune kya faisla kiya? shaadi se bhaag jayega wo log tujhe dhudh nahi payenge acha apni chodh mera socha mujhe toh goliyo se challi kar denge tu unki narazgi unse gaddari karne ki saza nahi janta maine dekha hai samajh tu"

"maine samajh liya mama main jaa raha hoo hamesha ke liye un logo ko ye kehke ki meri maa bahut bimaar hai aur fauran mujhe unke paas jaana hoga 7-8 din ke liye usi dauran tum bhi khisak lena"

"acha tere saath main bhi shariq hoke unke liye itne waqt se kaam karne ke baad dhokha du matlab khudkhushi karu aur tune ye kaise soch liya ki tu bach jayega patal se bhi dhundh le aisi pahuch rakhte hai wo"

"toh kya darr jau un logo se khuda maanu unhe? ya khud hi khudkhushi kar lu maine safa se nazdeekiya nahi badhana chaha tha maine toh oose ek bholi bhaali shareef ladki samjha tha mujhe kya pata tha? ki raaz itna gehra niklega ki mujhe dubna hi padega"

mama mere zazbat ko kaabu mein karne ke liye muje samjhaane lage...lekin main waha rehne ko tayyar nahi tha...mama isi baat pe ade rahe ki koi fayeda nahi tha agar main bhaagta hu toh aafat unpe bhi aani thi main mama ko samjha nahi saka...aur maine faisla kar liya ki main chala jaunga maine oosi din flight bari mushkil se book kar li aisa darr sata raha tha ki har taraf meri nigah bani ho rahi thi….ganimat tha ki maine letter mama ke taraf se daftar bheja toh chote malik ne koi sawal nahi kiya raja sahab election ki wajah busy they ab ek aur mulaqat jo mere liye aakhri thi safa ke saath…

us din safa ko lounge mein waise halat mein chodh jab main ghar lauta tha toh maine dobara oose contact nahi kiya tha haalaki agle hi roz uska call aa gaya ki main kahan tha? aur office bhi nahi gaya tha...maine plan ke mutaabik oose wohi jhoot kaha jo bahana maine leaving application mein likhkar bheja tha khud isliye nahi aaya ki main jaane ki tayyari mein tha aur upset tha….safa ko maine message kiya ki main urgent tumse milna chahta hoo wohi club pahucho…

main waha mama ki di gaadi se pahucha tabtak whatsapp pe uska message aaya ki wo waha aa chuki thi din dhal raha tha...main galiyaare se guzarta bar counter ke paas waale table pe pahucha safa baithi jaise mera hi intejar kar rahi thi...maine oose muskurake dekha aur safa ne bhi mujhe…

"kya baat hai? us subah lounge mein mujhe akela chodhkar kahan chale gaye they?"

itne mein do botal beer ki waiter ne hamare saamne rakhi maine peene ka upkaram nahi kiya…"darasal ghar mein maa bahut bimaar hai aur unhe dekhne jaana hai main kuch hi hafto mein waapis aa jaunga"

"7-8 din mein? yahi likha tha na tumnne leaving application pe mujhe bhai ne dikhaya tha keh rahe they tum aaye bhi nahi mama se hi paigam pahuchaaye kya exactly hua kya unhe? agar zyada koi prob hai to yaha bula sakte ho yaha acche doctors bhi hai"

main samajh nahi paa raha tha kya kahu? safa mere chale jaane se aise pareshan thi jaise ek bacche ke haath se uska khilona fisalte jaa raha ho….maine hontho pe zubaan fhairi halat pe kabu kiye aur apne abhinay ko jaari rakha…."nahi nahi safa aisi baat nahi waha unka ilaaj ho raha hai koi pareshani ki baat nahi bas 7-8 din ki baat hai main aa jaunga".....main kehke pehlu badalne laga lekin safa aise mujhe ghurr rahi thi ki jaise oose shaq ho

safa ekdum se hass padi mujhe samjhaane lagi fhir usne mujhe beer peene ko kaha main aise hi daraa hua tha hadbadaye botal uthaaye ek saans mein zarurat se zyada pee liya jis wajah se mujhe khassi uth gayi...safa fikarmand hokar mere peeth ko uthke sehlaane lagi..maine oose kaha ki wo baith jaaye main theek hoo

safa baithi muskurayi main nazare idhar udhar fhairne laga…."adam mere bas mein hota to tumhe apni nazaro se dur nahi hone deti"

main kuch nahi bola bas banawati muskurahat deta raha main uske obsession ko samajh raha tha….hum kuch dair aur normally baat karte rahe fhir main eka ek uth khada hua wo mere waha se ruksat ka waqt tha...safa mere gale lagi main muskuraya oose apna khyaal rakhne kaha aur waha se jaane laga ek pal ko aisa lag raha tha jaise safa mujhe thaam legi aur jaane nahi degi….lekin main relax tha ki mera kaam aasani se ho raha tha ab bas baaki tha toh mera is desh se nikal jaana jo mehez kuch ghante ki baat thi…

main gaadi mein baitha aur speed se club se dur hota main sadak pe pahucha fhir apni manzil ki taraf aaj raat tak mujhe nikal jaana tha...sab tayyari ho chuki thi main aadhe raaste hi pahucha ki maine phone switch off kar diya tabhi wo khubsurat ghaati nazaro mein guzari aur main waha ekpal ke liye tehra gaadi se nikla aur uske baad wo hua jo meri soch se pare tha bhaari chakkar aaya mera sar gol ghuma aur main sab pichle waqye aur baaton ko yaad karte huye wohi dhair...tabhi ek gaadi ruki koi bahar aaya do taangein mujhe apni taraf aate huye dikhe aur uske baad aankho ke aage andhera cha gaya !
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #7 on: July 21, 2022, 05:52:00 AM »
PRESENT

"mujhse dur bhagne ka yaha se chale jaane ka toh bas bahana tha main pehle hi malum kar chuki hoo ki tumhare ghar mein sab khariyat hai aur ab jhoot kyu bola iska bhi malumat chal chuka hai tumhare mama ne bhai ko sabkuch pehle hi bata diya kaaran tum toh jante ho mere bhai se kuch chupa toh nahi reh sakta"

"theek hi toh kaha usne chupa rehta bhi kaise? chote malik ka khauff jo mama ko tha ab main ye bhi samajh chuka tha kisi honi ke umeed se unhone sabkuch sach sach bata diya tha"......main mann hi mann khud se kaha

itne mein 2-3 motorboat ki awaz nazdeek hoti ayi...safa jo mere seene se lipati thi sawali nigaho se charo taraf jhaankti huyi mujhse alag hokar dekhne lagi….main bhi samajh nahi paa raha tha ki itne mein goli chalne ki awaz huyi fhir kisi ki cheekh safa ghabra gayi usne kasske mera haath pakda maine maale se niche jhaaka charo taraf motorboat pe 2-3 bande sawaar they aur upar hi jhaank rahe they maine paaya jisne mere haath khole they wo raja sahab ka aadmi boat pe maraa pada tha wo log raja sahab ke aadmi bilkul nahi lag rahe they….itne mein boat pe chadhte kadmo ki dhamm dhamm awaz huyi safa mujhe kheechte huye ek taraf bhaagi..tabhi ek aadmi saamne aaya uske haath mein banduk thi

"aapa aap sahab ko leke kahi chup jaaye kuch logo ne trawler ko ghair liya hai koi 7-8 log hai hamare aadmi kam hai main chote malik ko phone kar chuka hoo jaiye jaldi bhaagiye hum inhe sambhaalte hai"

safa ne bina piche mude dekhe mujhe liye ek darwaje ki taraf badhi...piche goli chalne ki awaaz aane lagi pure trawler pe shoot out chal raha tha...kahi kisi aadmi ke cheekhne ki awaz kahi koi gusse se fire kehne keh raha tha toh kahi goli ki bhaari lagti awaz main bahut ghabra gaya tha safa aur main bhaagte huye kamre ko band kiye sidiyo se niche waale basement ke ek room pahuche wo koi gupt kamra tha lakdi ka...usne darwaja hum dono ke dakhil hote hi dhamm se band kiya aur kaanpte huye apne walid ko phone lagane lagi….main uski ghabrahat saaf mehsus kar sakta tha main pareshan tha ki ek aur nayi behad khatarnak musibat mere gale pad gayi thi koi humhe jaan se maarne waha pahucha tha

"baba sheher mein nahi hai shayad bahar gye huye hai bhai phone nahi uthaa rahe kya karu?"

"police ko phone karo safa ye sab kya ho raha hai? kaun hai ye log?"

"mujhe bhi samajh nahi aa raha ho sakta hai koi abba ka dushman ho mujhe agwa karne aaya ho taaki abba ko pressure deke election mein khada na hone de dushman toh bahut hai par kisi ki itni majaal nahi ho sakti jo hamare khilaaf khada ho kisi ko malum chuka tha hum yaha hai"

tabhi golibaari ki awaz tham gayi koi paani mein gira ya yun keh lo shayad ghuspaithiyo ne raja sahab ke sabhi aadmi ko maar giraaya tha…."bhai ek baar pahuch jaaye toh insab ki khabar le lenge".....maine safa ke andar dehekte badle ki aag ko dekha main toh bas dua kar raha tha ki par kisliye agar bach bhi jaane ki koi umeed thi toh zindagi bhar ke liye fass jaana toh mamuli baat thi…

achanak awazein aani shuru huyi safa munh pe ungli rakhke mera haath pakde table ke niche chupne kehne lagi…."bachkar jayegi kahan? akeli nahi hai ek ladka hai uske saath yahi kahi chupe hai tu udhar dhudh main idhar".....safa gaur karne lagi un awaazon mein koi jani pehchani surat dhundhne ki

achanak dhadaass se ek taraf ka darwaja khula aur fhr koi hamare darwaje pe aake dastak dene laga safa ne aur kasske mujhe pakad liya darwaja andar se band dekhkar wo log darwaje ko todne lage "aye darwaja khol main kehta hoo darwaja khol"....maut kisi bhi pal andar dakhil hone waali thi….achanak maine safa ke haath mein gun dekha aur theek tabhi mera dhyaan lights ki taraf ke switch par hua...darwaja dhakka deke todne mein jab nakam hone lage toh ek baar fhir goli chali darwaje ka lock lakdi sahit tuta aur do gunde andar ghus aaye wo charo taraf dekhne lage lekin unke aagman se pehle main light band kar chuka tha gupp andhera tha dono khabardar they unhone dabi kadmo se mobile ki torch jalayi hi thi ki itne mein hamari upar waali table safa ne taqat se unke aage faikhi ek goli sidha diwaar ko lagi andhere mein unhe kuch sayad dikha nahi tabhi bhaagni ki tarah safa ne trigger kheecha do goli dhadha dhadh dono pe lagi….ek dahadh utha aur ek wohi gir pada maine furati se uthte dusre gunde pe chalang laga di aur kasske uske banduk thame haath ko pakad liya….safa ne aage badhke lights on kar di roshni mein main oose dekhke darr gaya qeher bhari nigaho se goli taane wo mere pakde huye aadmi ko dekh rahi thi ek goli khaake mara pada tha aur dusra ghayal tha jiska khoon mere astin pe lag raha tha wo ghayal tha lekin taqat badastur laga raha tha

itne mein safa ne bina jhijhake ek goli sidha uske kanpatti pe de maari main hadbadake oosse dur ho gaya kuch khoon ke cheethe mere chehre aur gale pe pade woh meri zindagi ka behad daravana anubhav tha safa do khoon kar chuki thi aur main oose shamil tha….

maine kaanpte huye uski lash ki taraf dekha wo teheri aankho se ek taraf pada hua tha…..safa ne dusre marre gunde ka muana kiya uska gun uthaaya aur mujhe sard nigaho se dete hue kaha "koi bhi aaye maar dena dono banduk le lo"

main safa ka ye naya roop dekhkar shocked tha maano kaanto to khoon nahi...hum dono laasho ko piche chodh bahar ahetiyat se kadam rakhte huye nikle….goli ki awaz se aur aadmi niche pahuchne waale they ki tabhi ek aadmi goli liye sidi pe aa khada hua isse pehle wo goli maarta maine uspe firing kar di wo aaundhe munh sidiyo pe girte huye hamare kadmo mein aa laga main aur safa upar aaye….achanak kisi ne goli chalaai mere kaan se jaise koi garam cheez guzri main jhuk gaya safa aur main piche ki taraf dekhne lage banduk liye ek aadmi aage badh raha tha safa ne mauka nahi gawaya aur usne shoot kar diya wo taang pakde wohi gir pada hum bhaage….itne mein do aur log waha pahuche aur apne gire goli khaaye tangon mein aadmi ka jayeza lene lage ki tabhi safa ke sath maine un sabko shoot kar diya palbhar ka mauka bhi nahi laga ki wo kuch samajh paate...mujhe malum nahi tha aur kitne aadmi they waha?

hum trawler ke khule jagah pahuche ki tabhi koi chillaya aur fhir ek goli chali hum kaanpte huye khade ho gaye….koi niche utara fhir gun taane koi hamare piche aaya "haath upar gun faiko chupchap"....maine banduk ek or faik di tabhi gun ki muth ka prahar mere sar par hua aur main dard ki sirhan se wohi ghutne mode baith gaya safa mujhe thaamne lagi toh us aadmi ne oose laat maarte huye ek or gira diya….safa ne mudke oose qeher bhari nigaho se dekha toh wo dang reh gai uske sochne samajhne se pehle ek thappad ghinna bhari narzo uski taraf dekhte huye us aadmi ne maari….safa ka nichla honth kant gaya aur dard se ankho mein aansu ghul gaye…

usne ek baar palatke meri taraf dekha….maine apne charo taraf chaar aadmi ko gun thaame khade paaya aur hairani tab huyi jab maine dekha wo aadmi koi aur nahi wohi us din party mein safa ke sath aur us din office se nikalta mujhse takrata wo gussail bigadail safa ka shouhar aur raja sahab ka damad tha uske bhi haath mein gun thi aur uske iraade saaf bata rahe they ki aaj safa aur mere sath kuch bahut bura hone wala tha shayad wo mujhe pehchan chuka tha ki mere aur safa ke beech kya rishta hone wala tha?

"tum? deepak ye sab kya harqat hai? jante ho tumhara kya hashr hoga?"......safa ke kehte hi deepak ne palatkar uski taraf dekha

"hahahaha toh ek shouhar hone ke bawjud tu saali ek gair mard ke sath munh kaala kar rahi hai woh bada naaz ka kaam hai soch jab sheher mein ye baat aam hogi ki itne bare rasukh raja sahab ki beti ka ek mamuli haisiyat ke ladke ke sath affair hai to kitni thu thu hogi haha".....deepak ne gandi hassi hasste huye ghyal safa ko dekhte huye kaha

"apni gandi zubaan se mere baap ka naam mat le kutte".....nafrat bhari nigah se safa ne kaha

"kutta toh tere khaandan ko main banaunga aaj pata chal jayega kaun kutta kaun sher? jab teri laash tere bhai aur baap ko milegi aur tere baap ke saare kaale kartut se bhare sabut jab sarkar tak pahuch jayenge tab dekhta hu kitna bara sher rahega wo is sheher ka mujhe bezzat kiya mujhe aukwad dikhai aur tu mujhe talaaq deke jayejad se bedakhal karegi kar ab shouk se main tujhe aaj zindagi se bedhakal kar dunga"

safa ne nam nigaho se mujhe dekha aur fhir bina darre apne shouhar ki taraf…"tum dono ko finish karne ke baad main isi samundra se aaj raat desh chodh dunga hahaha sab intezamat ho chuka aur kal subah tak tere baap ke khilaf sabut sarkar ke haath mein hahaha kutta na ghar ka na ghaat ka".......deepak ne gun sidha safa ki taraf taan di

tabhi goli ki dhadha dhadh awaz huyi aur wo itni tej thi ki sab bhaukla gaye ek toh goli khaake sidha paani mein deepak ko samajhne ka mauka nahi mila ki itne mein oose speaker pe police ki awaz sunai di…"deepak apne aadmi ke sath fauran haath khade karke khade ho jao warna ek ek karke sabko shoot kar denge tumhara pardafash ho chuka"

"goli chalate raho".....deepak ne kadakte huye kaha aur goli viprit disha mein hala di..dono taraf firing shuru ho gayi apne se dhyan hatte dekh maine paas uthi gun uthaayi toh itne mein ek gunde ne mujhpe nishana banana chaha lekin safa ne uspar goli chala di..wo paid ke tane ki tarah dhair ho gaya…

deepak police ke hamle se bawjud safa ki taraf dhyaan dete huye ooske haath pe goli chala di...safa dum saade baith gayi uska agla nishana hone se pehle maine furati se kohni ka vaar uske kanpatti pe kiya….deepak aur main zameen pe gir pade..police paas aane lagi...deepak ne hathapayi shuru karte huye fauran piche ki taraf bhaagne ki koshish ki main uske piche tabhi ek gunda mere kandhe ko apni geraft mein liye mujhpar havi hone laga itne mein maine uske aankho mein ungli ghusaa di jisse wo cheekhte huye mujhse alag ho gaya maine puri taqat se daaya ghusaa uske jabde pe de maara wo aundhe munh gira maine bhaagte deepak ko samundra mein kud jaane se pehle thaam liya usne mujhpe hamla kar diya..mera sar pipe se takraya aur main sidha farsh pe usne gun ko reload karni chahi toh safa waha pahuch gayi maine paaya ki dusri tarf goli se bachte huye apni gun sidha safa ki taraf taan raha tha maine dusri gun jeb se nikaali jo us gunde ko maarke maine haasil ki thi…

aur bina soche trigger daba diya wo goli sidha uske chaati ke aar paar ho gayi khoon ka fawaara farsh pe bikhar gaya wo waise hi dhair gaya….deepak ne ulte haath ka thappad safa ke chehre pe maara aur uska baal pakde railing pe uske sar ko maarne ki koshish karne laga...main gusse mein aate huye uska naam liye chilaaya deepak ne palakar meri taraf dekha ek goli uski taangon pe lagi...aur wo dard se bilbilata hua wohi gir pada...uski gun paani mein gir gayi…"shoot kar do ise maar do kill this bastard adam just kill him"....safa ne mujhe josh dilaate huye uksaya

main gun taane uske kareeb aaya wo mujhe kisi ashaaye ki tarah dekhne laga...maine oose dobara goli nahi maari maine gun safa ki or badha di….safa ne gun lete huye oose ek baar qeher bhari nazro se ghuraa tabtalak vardidhaari police ki puri team trawler pe chadh aa chuki thi kuch gunde dhair ho chuke they kuch surrender hote huye geraftar kiye jaa rahe they...tabtalak ek policewala safa ke halat ka jayeza lete huye oose shaant karne laga

"humhe khabar dene wale chote malik they raja sahab ka aadmi ne unhein marrne se pehle yaha ke halat ke baarein mein bataya isliye hum mauke pe pahuche aapke abba bahut fikarmand hai chote malik bhi aate hi honge aap log intezar kijiye trawler kinaare pe pahuch jayegi"

"le jaiye ise sir isne aur iske aadmi ne safa aur mera khoon karna chaha ye aaj samundra raaste se cooch karne wala tha ise geraftar kar lijiye"

deepak kuch keh nahi paya wo dum saande ghayal baitha hua tha policewaale ne oose gereban se uthaya aur ghassitte huye waha se le gaya...safa tab bhi oose qeher bhari nazro se ghurr rahi thi...usne fhir meri taraf dekha maine apne rumaal se uske zakhmi haath ko baandh diya usne kuch kaha nahi na main kuch keh pane ke halat mein tha…

Trawler kinaare jab pahuchi toh main safa ke sath police ke kuch jawano ke beech chalta hua pier pe pahucha waha raat gaye bhi achi khaasi bheedh lagi thi ek toh shootout ki ghatna dusra police ki team waha aana aur sheher ke rayiz jaanemaane rasukh raja sahab jaisi shaksiyat ki iklauti beti ka us ghatna mein shamil hona logo mein aur halchal paida kar rahi thi….maine dekha chote maalik aur uske kuch aadmi hamari raah ki dekhte huye waha jame khade they...hamari marham patti ki ja chuki thi chote malik ki nigah mujhse huyi aur fhir usne apni behan ke hath pe lagi patti aur maathe pe kharoch ke nishan ko dekha….gusse se wo daant pees raha tha bas mein uske oosi waqt sabke saamne geraftar deepak aur uske aadmi ko usne jaan se maar diya hota...usne behan se aahiste se gadi mein baith jaane kaha aur uski peeth pe haath rakhke oose gaadi ka darwaja khol andar baitha diya….uski nigah mujhse mili mujhe darr tha unhe sab malum chal chuka tha main mama ke liye fikarmand tha…

"aao gaadi mein baitho safa ke sath".....mere kehne se pehle hi uske aadmi ne aage wala fatak khola aur wo saamne ki bagal waali seat pe jaake baith gaya main uske kahe mutabik modh kaantke gaadi ke dusre sirhe ke piche pahucha aur safa ke bagal mein aake baith gaya

gaadi ghatna sthal se ruksat huyi…..beech raaste mein chote malik ne kehna shuru kiya meri khamoshi tab hi tuti thi…."bare diler nikle yaar tum toh akele sabhi gundo se jhujh pade daad deni padegi"

main khamosh hi raha safa muskurane lagi…."humhe toh jamshed ne khabar ki kya chal raha tha? bechara apni jaan de gaya uski laash samundra mein hi gir gai police chaanbin karke uski laash baramad kar le fhir uske gharwalo ko pahucha denge"

wo sab baatein mujhmein aur ghabrahat paida kar rahi thi…"sabkuch deepak ka kiya dhara tha usne toh saanp se bhi zyada ghatak vaar kiya chodhna nahi bhai usko".......safa ne chote malik se sard lavzo mein kaha

"tu fikar mat choti sabmujhpe chodh abba ka call aaya tha bahut pareshan they raat tak kothi aa jayenge keh rahe hai ab shaadi se pehle tu kahi akele aayegi jayegi nahi kothi mein rahegi"

achaanak phone baja chote malik ne phone uthaya…."hmmm theek hai badhiya"......kuch dair baad phone se farig hoke chote malik ne mudkar meri taraf dekha

"saare sabut jala diye gaye hai bahut bara game khela harami ne toh acha hua sahi waqt pe sab kaam ho gaya"

"haan woh sabut ki baat kar raha tha humhe maar dene se pehle sarkar ko tumhari aur raja sahab ki sabhi raaz reveal kar dena chahta tha ki kaise tum log apni kaali kartoot chupakar is sheher mein apna huqam chalate ho sabkuch"

"hahaha choti ab oose bhul jaa kyu sahi kaha na adam humne?"

main hadbadakar chote malik ki taraf dekhne laga…."ab sab khariyat hai chinta mat karo humse darrne ka koi zarurat nahi sab malum hai hum log ko ki hamari behan tumhe dil de baithi hai aur kaise tum duty ke baad hamari behan ke sath sair sapate jaate they hahaha bas ab abba ne razamand de di hai tum dono ki sagaai kal parso tak uske baad sidha niqaah kyu?"

main khamosh hi raha safa muskurakar sharmaane lagi….."acha ek baat batao jhoota bahana banake kahan bhaag rahe they? ek baat yad rakhiyega damad ji agar aap duniya ki aakhrat mein bhi pahuch jate na toh hum waha se bhi tumko dhundh nikaalte hamari behan ki khushiyo ka aakhir sawal hai dekh rahe hai jisne hamari behan ko dukh diya uska kya anjaam karenge? yaad rakhiyega hum bakashte nahi"

chote malik ki baaton mein ek ahetiyat ek agaah tha jisne mere shareer mein sirhan paida kar di...us raat officer ka jo anjaam hua usse baddtar mera anjam ho sakta tha waqayi mama sahi they

"aapke mama aakhir hamara kaam karte hai kuch chupaane ki taqat nahi rakh sakte puchne ki zarurat bhi nahi padi khud humhe request karne lage sabkuch sach sach bataye tum darr gaye aur safa ke asliyat ko jaane bhai darrne ki wajah bhi hai bhala itne bare rasukh ki beti se koi aashiqui farmaye anjaan hokar uske rutbe se toh darr toh banta hai hum toh maarke faikwa dete hahaha"

wo baatein kis qadr mera khoon sukha rahi thi main hi janta tha "raja sahab bhi bahut khush hai aakhir aisa himmatwala damaad paane waale hai akele itne gundo se bachke nikal gaye aur safa ko bhi bacha liye"

"safa agar saath nahi hoti toh main bach nahi pata"......maine dheme se kaha safa mujhe dekh muskurayi chote malik hass pade

achanak mujhe ahesas hua ki mujhe kamzori chaa rahi hai kuch hi dair mein meri aankhe bojhal hone lagi aur main behosh

"aadat pad jayegi pehli dafa khoon kharaba dekha hai na aadat pad jayegi".......chote malik ne mujhe behosh hote dekha

safa mere sar par haath phairne lagi aisa lag raha tha koi bura khwab chal raha ho is baar ye bura khwab nahi haqeeqat tha…
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #8 on: July 21, 2022, 05:54:09 AM »
Neend agli din khuli main chaar diwaari ke apne kohli jaise kamre mein nahi aalishan kisi kothe ke bedroom mein ek keemati bistar par laita tha wo jagah mere liye anjaan thi lekin zyada dair nahi laga janne mein kyunki nazar uthaate hi sangmarmar jaisi rangeem diwaaro ke charo taraf keemati saajosaman ke theek upar bari bari tasveere thi jismein safa bare adaygi se mauzud thi har tasveer mein safa kisi naye andaaz mein dikh rahi thi….main raja sahab ke kothi mein tha maine uthkar apne badan ko tatola marham patti huyi thi maathe pe ek patti aur jaha jaha chotein aayi thi waha par bhi kayi jagah laal nishaan pad chuke they ganimat thi maut ko chuke main wapis aaya tha raat ka saara manzar dimag mein ghum gaya lekin safa kahan thi? main jhijhakte huye bistar se utha hi tha ki achanak meri nazar bhar paani ke glass ki taraf huyi main oose uthane laga hi tha ki itne mein adhkhule daraaz ki taraf meri nazar huyi..

mera gala sukh raha tha maine pehle kuch ghuntt paani ka peeya fhir daraaz khole usmein bikhre pade kitaabe aur files ko dekhne laga jispe dhul ki parat jami huyi thi...shayad daraaz ka darwaja bhari cheezon ko samait nahi paaya jis wajah se khula hi reh gaya yaa ho sakta hai safa ki nigaah daraaz pe na padi ho….main kitaabein ulatne palatne laga usmein kuch magazines par safa ki bhi modelling tasveere thi safa model bhi thi muje malum nahi tha...kahi dulhan bani to kahi kisi western dress pehne photoshoot mein safa ki khubsurati kitaab se jhaank rahi thi...maine kitaab ko jaise taise daraaz mein rakh diya ki achanak kuch files gire main unse dhul jhaadhte huye ek baar kholke dekhne laga kuch medical reports they...toh kahi doctor ki prescribed medicines aur test…..main bade dhyaan se un files ko padhne laga aur meri dilchaspi tab zyada badh gayi jab mareez ke naam ki jagah safa ka naam dekha saare files usi ke medical reports ke they…..safa koi mansik bimaari se grast thi jo kaafi arse se chal rahi thi uski kishore awastha se leke abtak ki saari reports mauzud thi…..main janta tha safa ka yun mere kareeb aana uski badhti diwangi sirf khata khaaye uske shouhar ke diye se nahi tha….safa ek sociopath thi wo manorogi jo kuch bhi kar guzarne mein hichkichaate nahi hai uske abba aur bhai bhi toh kuch waise hi nature ke they….main musibat mein jaise fassta jaa raha tha

achanak koi aahat si huyi maine saari kitaabein aur saare files daraaz mein thusste huye darwaja lagaya aur haath pao jhaadhkar uth khada hua safa muskurate huye haatho mein chai aur kuch khaane ko laaye thi main hairan ho utha aisa laga nahi jaise kal raat kuch uspar guzari ho itna kuch hone ke bawjud wo ekdum hassti khelti normal dikh rahi thi..

"uth gaye tum? abhi aaram karte na?"
"nahi main theek hoo mujhe ghar jana chahiye"

"kaun se ghar? ab yahi rehna hai tumhe shaadi ke baad bhi"

"p..par mere mama"

"arre baba woh chale gaye"

"kahan? mujhe bina bataye?"......meri fikar isliye badhi ki wo bura khwab mere zehan mein ghumne laga kahi chote malik ne waqayi unhein kuch!

"arre relax wo hamari shaadi ki baat bataane tumhare gharwalo se milane gaye aur ab tum jahan rehte they waha rehne ki zarurat nahi kyunki tumhe ab mere saath rehna hai mere paas"

main kaafi darr gaya tha mujhe bahut azib lag raha tha jo kuch ghat raha tha...safa ne meri chuppi todi aur mujhe nashta karne kaha main palang par baithkar uske saath kisi tarah nashta karne laga halaki icha bilkul nahi ho rahi thi...maine safa ke haath ko dekha safa ne apne patti lage haatho ko dekh muskuraya

"khaas gambhir kuch nahi hua hai 1-2 mahine mein theek ho jayega goli chuke nikli hai lagi nahi thi"

main kuch aur nahi keh paaya…"abhi tum theek ho na? tabiyat wagaira"......safa ne mere badan ko chute huye kaha

"haan theek hoo".....maine jhijhakte huye kaha

"ohh ek baat toh batana bhul gayi abba kal raat ko yaha aa gaye they tum soye huye they isliye tumhe jagaya nahi bahut fikar huyi unhe mera toh ghar se aana jana band aur tumara bhi".......main chupchaap safa ko azib nigaho se dekhne laga

"anyway wo milna chahte hai tumse lawn mein hai jao mil aao"

"theek hai"......main uthkar apna shirt pehente huye darwaja ki or badha safa muskurakar muje dekhne lagi

main ek baar uski taraf dekhkar darwaje se bahar nikla...lawn dhundhne mein mushkil nahi hua bas farq itna tha aaj kisi mulazim ke haisiyat se nahi raja sahab jaise bare rasukh ke hone waale damad ke taur par main unke mukhatib hone wala tha….lawn bara sa hara bhara ghaaso mein samaita bari bari ucchi compound se ghaira hua tha….ek naukar paido ko paani de raha tha aur raja sahab ek sofey pe aise pasht baithe huye they jaise wo aaram kar rahe ho…

main unke saamne aa khada hua unka abhivadan kiya...raja sahab ne mujhe dekha main bahut sihma hua tha har ek baat unke aage khul chuki thi...lekin gusse aur qeher bhari nazaro ki jagah mujhe apne liye mulaymiyat aur pyar dikkha….unhone mujhe baitne ka ishara kiya

"aur kaise ho? adam".....unhone bhari awaz mein pucha

"ji..ji theek hoo"....meri nazar unse mila paane ki himmat nahi ho rahi thi

"Mujhe sabkuch malum chala main waqayi badkismat tha jo sheher mein nahi tha mere bete ne jab mujhe inform kiya ki safa musibat mein hai aandhi tufaan ki tarah main yaha raat gaye pahucha police ko khabar kiya apne aadmiyo ko kaam mein lagaya lekin khuda ke rehem se meri beti sahi salamat waapis aa gayi mujhe bataya gaya ki tum uske saath they aur tumne hi uski jaan bachayi bina apni parwah kiye dekho darro nahi mujhe sabkuch malum hai tum ab mere liye koi mamuli aadmi ya gair nahi rahe ho ab tum mere apne bete jaise ho gaye ho tumhari wajah se meri bikharti safa ko zindagi mil hai meri toh samajh nahi aata deepak itna bara zurrat karega police ka mehekma nahi hota toh oose kaant diya hota khair uske paas mere khilaf kuch sabut they jo mauka paake sarkar se pehle mere aadmiyo tak pahuch gaye uski gandi nazar meri daulat pe thi aur usse bhi zyada mujhe nicha dikhaane ki khair main shubh mauke pe koi manhus baat aur nahi karna chahta jabki ek bura waqt kal raat hi guzara hai"


main khaamosh raha raja sahab sabkuch jaan chuke they fhir unhone jo kehna shuru kiya wo mere liye koi haqeeqat malum nahi ho raha tha
"safa ke hi kehne pe maine tumhe tatola parkha aur naukri pe rakha aur tum waqayi bade imaandar sabit huye mujhe pata hai ki tum hamare dhandhe se waqif ho chuke ho tumne yahi darr safa se zaahir kiya tha jabki tumhr khud uski asliyat malum nahi thi us raat party se bhi tum hadbadake jo bhaage wo bhi baad mein mujhe malum chala aur tumne kal fhir koshish ki thi leaving application bhejkar lekin tumhare mama bechare bara parwah karte hai apne ho na bhalaai ka to sochenge apne chote malik ko sabkuch sach sach bata diya tumhare mama ne khair koi bat nahi ab ye ghar bhi tumhara yaha ke log bhi tumhare apne honge isliye apne dil mein darr waali koi baat nahi rakhna maine tumhe tumhari bhaagne ki saza ke liye maanf kiya"

jaise mere dil ka koi darr kam hua tha unke kehne se….raja sahab kehke hass pade aur tabhi gambhir hokar fhir kehne lage…."magar yaad rakhna ki jitne hum pyaar de sakte hai utni chot bhi pahucha sakte hai aur aisi chot ki dushman ko saas ginne tak ka waqt nahi milta hum yaha ke jaane maane rasukh hai isliye koi hamari izzat ke saath khele humhe kattayi bardasht nahi aur yaha toh baat apno ke hurt hone ki hai toh bakshaish ki toh koi wajah nahi maut se bhi badtar saza deta hu main"

main chupchaap hi raha….kuch dair meri nazaro ko ghurrte huye raja sahab fhir sofey pe sar rakhke narmi se kehne lage…."tum jante ho tumhare mama hamare liye kaam karte hai dhandhe ka chaukas supervisor hai woh port ka maal sheher mein aane ke baad oose theke pe pahuchana uska zimma hai par ab fikar mat karo tum uske sage ho aur ab hamare apne toh is haisiyat se aaj se unhe mere yahan kaam karne ki koi zarurat nahi unhe maine naukri se nikaal diya hai unki fikar mat karo hum tab bhi unhe paise tumhare jariye bhejwa denge jabtak wo chahe"

"main aapse ek baat kehna chahta hu"....maine bare darrte darrte beech mein unki baat jaise kaanti

"kaho"

"ye jante huye ki mere mama aapke aadmi they aur main bhi aapke dhandhe mein chota sa mulazim tha toh fhir aap mere jaise ladke ko apni beti ke liye kaise pasand kar sakte hai mera toh koi future nahi tha na main acche ameer parivar se belong karta hu"

"tumne apni imandari ka sabut ye kehke hi de diya waqayi humhe safa ke pasand pe naaz hai dekho bhai aisa hai tum clean background ke ho jurm se koi nata nahi kabhi jail nahi gaye acche izzatdar parivar se ho padhe likhe ho bas gareeb ho is baat ko hum accept karne ko tayyar hai rahi baat hamari izzat ki hamari beti ki khushi mere rutbe se kayi zyada hai wo toh bikhar hi chuki thi mujhe darr tha koi uske akelepan ka najayez fayda na utha le lekin ab kal jo kuch bhi hua uske baad mere nazar mein tum hi bhaa gaye ho meri safa ke liye kal parso tak sagaai ki rasm ada kar di jayegi uske baad sidha niqaah tumhare mama aaj hi sheher se jaa rahe hai tumhare gharwalo ko bataane shaadi ke din sab mauzud honge"

Aisa lagta tha sabkuch pehle se tayy ho chuka tha main waha se unke izazat dene ke baad waha se chala aaya….kuch hi ghante baad mama mujhse milane aaye ek darr aur mera kam hua ki unhe kuch hua nahi tha aur raja sahab sach hi keh rahe they….mama ne mujhse manfi mangi aur mujhe safa se shaadi karne ko raazi karne lage naa bhi karte toh main kaun sa bach sakta tha? waha se nikal jana hi mere liye bahut badi baat thi charo taraf pehra tha aur sabki nazar mujhpar !
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #9 on: July 21, 2022, 05:56:22 AM »
Khair wo din bhi aa gaya jab kothi ko mehel ki tarah saja diya gaya aaj sagaai ki shaam thi aur main apne kamre mein na chahte huye bhi tayyar ho raha tha main nahi janta tha gharwaale aake kya sochenge? jinhe kal tak ye lagta tha ki main kabhi shaadi nahi karne wala tha unhe kya pata is sheher mein aane ke baad mujhpar kya beeti thi?....

Main apne kaale coat ko theek kar raha tha aur safa se huyi pehli mulaqat se leke abtak ki saari ghatnao ka tassavur kya ye sagaai roki ja nahi sakti thi? kaise befikar se raja sahab apni shadi shuda beti ka niqah mujhse karwa rahe they? kya aage chalke mera bhi wohi anjaam hoga jo uske pehle shouhar ka ! nahi nahi ye kaisi fitoor baat main soch raha tha...safa toh mere liye pagal hai aur yaha na kehne ka haq to mujhe hai hi nahi is sagaai se anjaan hai mere gharwale jinhe yahi lagta hai ki main khud chahkar bari betabi se jaane maane rasukh ki iklauti ameer rayizzaadi se niqah kar raha hoo unhe toh safa ke pehle shadi ka bhi malumat nahi hoga !

Achanak ek aadmi andar aya usne mujhe jaise soch se uthaya…"damad babu chaliye sagaai ki rasm ke liye parivar waale aapko bula rahe hai".....main bina piche mude bhari mann se oose aane ka kehke khamosh ho gaya wo chala gaya

Na chahte huye bhi main hall pahucha mere saath chote malik khade they jo kaltak mere malik they aur main unka mulazim har koi tayyar saja dhaja keemati libas pehne khada tha chahe wo mard ho ya waha shariq aurat...main sidiyo se niche utara hamari tasveer kheechi jaane lagi ek aadmi camera liye mere kareeb aaya mujhe uspal aisa laga ki wo goli daagne aa raha ho...raja sahab keemati sherwani pehne khade they wo muskuraye aur mere kandhe pe hath rakhkar mujhe dekhne lage achanak sabki nazarein saamne uthi safa ek keemati lehenge aur jevrat mein saji sidiyo se niche kuch chand aurato ke saath utar rahi thi….aisa lag nahi raha tha ki wo mehez sagaai thi safa sharam se sabse nazare jhukaye muskuraye mere paas aake khadi huyi….raja sahab ne apni beti ke sar par hath rakhke oose dua diya

Jald hi sagaai ki rasm shuru kar di gayi anguthiya ek dusre ke haatho mein pehna di gayi...mere na chahte huye bhi taaliyo ki gunz charo taraf se shuru ho gayi us khushaal pal mein main hi gambhir tha aur safa mujhe nihaar rahi thi...uske baad daawatein shuru huyi ek ek karke raja sahab ne bade se bade neta rayiz businessman unke jannewaale unke ristedar sabse mujhe rubaru karaaya har koi mujhe bhi dua diye jaa raha tha mujhe bhi lagne laga ki jo ho raha hai hone do shayad kismat ko yahi manzur agar safa ki diwangi se khauff na bhi khau toh uske parivar ki pahuch unki taqat ke aage mera tik paana namumkin hi hota

Kayi ghari tak wo jashnn se bhara mahoul guzara uske baad dheere dheere sab log vidaai leke jaane lage sagaai puri ho chuki thi...kuch dair baad main sidiyo se apne rehne waale kamre ki taraf jaa hi raha tha ki raja sahab ne toka main ghumkar niche utara...safa bhi waha pahuchi raja sahab gambhir they chote malik bhi…

"chalo adam aaj ek adhura kaam pura karna hai tumhe jo ki safa ki aanewali zindagi ke liye bahut zaruri hai"
"par abba woh bhi aaj ke din itni raat gaye?".....safa ne mera sawal hi shayad keh diya meri toh himmat nahi thi

"arre abba jo bol rahe hai unhe maano aur adam ke saath chalo sab samajh aa jayega aao adam"....chote malik ne beech mein safa ko toka aur fhir humhe sath chalne kaha

main safa ka chehra dekhne laga hum dono sawali nigaho se raja sahab aur chote malik ke piche piche bahar aaye….raja sahab beech mein baith gaye aur safa unke paas aur main theke bagal mein aage chote malik aur driver….hamare sang sang unke aadmiyo ki gaadi bhi sath thi….mera dil ek anchahe baat se ghabra raha tha aakhir itni raat gaye majhra kya tha?

kuch dair baad hum kothi se dur sunsan andhere main road se guzarte huye kuch dair mein humari gaadi ek bridge ki upar thi….is beech harkoi chup tha kuch aadhe ghante baad do nehro ke beech ek purana minaar tha jiske neeche ek sunsan sadak charo taraf sheher ki dikhti roshni hum ek sunsan jagah pe they gaadi ruki aur raja sahab ne bahar utarne kaha...hum bahar aaye tez samundra ki sard hawa us raat badan ko sirhan de rahi thi safa bhi ek shawl odhey bahar aayi...raja sahab aur chote malik minaar ke kareeb pahuche waha par kuch aur aadmi they aur ek kursi pe koi aadmi khoon se lathpath bandha hua tha jise reh rehkar wo log maar rahe they...main ghabrake safa ke saath sath chalne laga safa oose gaur se dekhne lagi chehra gambhir...chote malik kareeb aake apne jeb se ek banduk nikaalke uska muana karne lage

"hosh mein toh hai na kutta"....chote malik ne saqti se apne aadmiyo se pucha

kisi ne haan mein jawab diya toh kisi ne usko kitni baar torture kiya ye bataane laga….raja sahab ka sab abhivadan karne lage raja sahab ghinna bhari nazaro se oose dekhte huye paas jhuke wo adhkhuli aankho se raja sahab ko yun dekhne laga jaise unhe pehchan raha ho

"kahe they tumse maut se badtar saza denge harami abtak tumko isliye zinda rakkha kyunki beti ki sagaai karni thi dekh un dono ko police arrest toh bahana tha wo bhi hamare huqam se tujhe hamare hi aadmi ke paas pahucha gai jail ki faansi choti si saza hai hum apne dushmano ko aisi maut dete hai ki rooh fana ho jaye marrne waale ki"

pehli dafa raja sahab ko maine hinsak roop mein dekha us waqt wo koi peshewar muzrim zyada lag rahe they….raja sahab ne kheechkar oose thappad jadh diya jiski awaz charo taraf gunz uthi main kanp utha

"safa beti yaha aao aur adam tum bhi".....unhone jaise aadesh diya

hum kareeb aaye...safa ghinna bhari nazaro se apne shouhar deepak ko ghur rahi thi aur main hairan tha ki police ki custody mein hone ke bajaay woh raja sahab ke geraft mein itne waqt se zinda tha par shaayad ab aur dair ke liye nahi shayad isliye raja sahab ne mujse us waqt zaruri hai kehke itni raat gaye humhe yaha laaya tha…

"banduk do oose".....raja sahab ke kehne pe chote malik ne banduk mere hath mein di wo loaded thi aur bhaari bhi

"adam safa ke naye shouhar hone ke naate main chahta hun safa ki zindagi se ise hamesha hamesha ke liye nikal faiko us raat isne tumhe aur safa ko jaan se marne mein koi kasar nahi chodhi thi main chahta hun aaj tum badla lo"

rassiya khol di gayi deepak dehshat se us zakhmi halat mein bhi kaanp raha tha uske munh par kapra bandha hua tha oose dhakka dekar aadmiyo ne bridge ke kinaare neher ke upar khada kar diya wo larkhara raha tha aur dehshat se hamari taraf dekh raha tha

"goli chalao".....mere haath kaanp rahe they jabki pehle main goli kitni dafa us raat safa ko bachane mein chala chuka tha lekin wo khoon kar paana jaise mere liye mumkin nahi tha

main banduk aahiste aahiste raja sahb aur baaki ke ghurrti nigaho se mazbur hokar deepak ki taraf taan diya...us waqt deepak ke aankho mein bebasi aur rehem ke aansu mujhe dikh rahe they main janta tha us raat usne bhi mujhe maar dene mein koi rehem nahi kiya tha safa mere paas khadi mere kaanpte haath ko ghur rahi thi...achanak main trigger dabaya aur goli chali lekin goli chuk gayi maine hath niche kar liya aur apne ghutne ghabrahat se kaanpte mehsus karne laga

"mujhse nahi hoga"

"kya kaha tumne?"....chote malik ne garza hi tha ki achanak safa ne unhe hath dikhaya

"manta hun ye saza ka bhaagidaar hai lekin saza dene ka haq oose zyada hai jispar beeti hai mujhse zyada haq toh safa ka bhi hai toh fhir main kyu?"......na jaane kaise wo baat main apneaap kehte chala gaya

raja sahab kuch kehne ko munh khole hi they ki achanak safa ne kehna shuru kiya….."sahi to kaha adam ne saza dene ka haq oosse zyada mujhe hai aur ho bhi kyu na? har ghadi toh main sahi ye jante huye ki main chahti toh ise kuch karne nahi deti meri sabse badi bhul jab maine isse shaadi ki ye sochke ki yeh wafadar niklega lekin main galat thi isne jayejad paane ke liye kya kuch nahi kara pehle mujhe torture karna emotionally blackmail karna aur jab usse nahi hua toh mere walid aur bhai ke khilaf sabut ikhatte kiya aur us raat toh had tab guzari iski jab isne mujhe jaan se maar dene ka mauka nahi chodha tha".......safa ne qeher bhari nigaho se saamne kaanpte deepak ko khada dekh kaha

har koi khamosh sun raha tha…"isliye saza main dungi".....safa ne haath aage kiya maine na chahte huye bhi banduk oose de diya….safa ne banduk ko ghura aur oose ek taraf faik diya koi kuch samajh nahi paaya….wo apne baap ke kareeb aayi aur hath failaya uske walid ne jeb se ek nokdaar tez patli churi uske haath mein di oose haath mein lete huye wo deepak ke kareeb badhne lagi...deepak ne dehshat se piche palatkar dekha gehre behte ubaal khaate neher mein kudne ki himmat usmein nahi thi...usne fhati nigaho se safa ko apne kareeb aate dekha wo bandhe haath jodne laga aur ghutno pe baith gaya main nahi janta tha ki wo waqayi itni berehem ho sakti thi ya shayad main aajtak oose jaan hi nahi paya

safa usse ek inch dur khadi rahi….churi ko wo palatti rahi usne sard nigaho se apne jaan ki bheekh maangte shouhar ki taraf dekha aur ek azib si muskurahat di….kuch samajhne se pehle hi safa ne wo nokdaar churi ka vaar sidha uske gale pe kiya khacch se khoon ke cheentein safa ke chehre pe laga ek ghuntti dardnak awaz deepak ke munh se nikali aur wo dohra ke 80ft us bridge sidha niche neher ke gehraaiyo mein jaa gira….us manzar ne mujhe ulti kar dene pe mazbur kar diya...main wohi haafke gir pada….safa khoon lage chaku liye ulte pao mere paas aayi ek aadmi ne uske haath se chaaku le liya…..safa ne us shawl se hi apne khoon lage haath ponche raja sahab chote malik har aadmi oose khamoshi se ghur raha tha wo mere kareeb aayi fhir usne jhukkar mujhe masumiyat se dekh muskuraya uske chehre pe khoon ke cheetein they aur oose dekhke mujhe uske medical reports mein likhi wo baat yaad aayi "sociopath"......

"i love you adam i love u a lot".....usne diwangi se aahiste se wo baat kahi main uska khooni muskurata chehra sihamte huye dekhne laga…

achanak Tez sireno ki awaz gunzi ek ke baad ek kayi police ki gaadiya bridge ko dono taraf se ghairne lagi….raja sahab chote malik aur unka har aadmi bhauklaaye un gaadi se hathyaro se less vardidhaari police waalo ko apne kareeb aate dekhne laga un logo ne banduk jaise unke aadmiyo par taan di...raja sahab hakka bakka chote malik ka bhi kuch wohi haal...safa kuch samajh nahi paa rahi thi...tabhi kuch bare officer aur unke beech commissioner saamne aaye

"y..ye sab kya ho raha hai?"......raja sahab ne apne ucche rasukh hone wale andaaz mein pucha

"you are under arrest raja sahab aur aapke sath apke bete aur aapki beti bhi geraftar ki ja rahi hai abhi abhi aap logo ne ek khoon aur anjam diya badkismati hum pehle hi nahi pahuch paaye lekin faraq nahi padta kyunki cctv footage is baat ko clear kar degi aur waise bhi rajdhani mein sarkar ke paas aapke khilaf ache khaase sabut pahuchaaye ja chuke hai aapne toh hamare mehekme ke kuch corrupt officer se wo sabut yakeenan jalwa diye they unhein riswat dekar lekin kuch sabut sarkar ke haatho mein jaane dene se rok nahi paaye aur ye sab hamare department ke kaabil aur imandar officer ki wajah se mumkin hua ab sarkar ke diye orders ko sheher ke ucche rasukh bhi nahi deny kar sakte"

raja sahab dahadne lage unhein dhamki dene lage lekin koi bhi faraq policewalo ko na pada kyunki unke paas tagde sabut jo haath lag gaye they chote malik aur baaki aadmiyo ki jama talashi mein gair kanooni hathyar baramad huye aur mauka eai vardat par abhi kuch waqt pehle jo kuch hua tha woh police walo se chupe na reh sake…..safa ko bhi hiraasat mein le liya gaya baap ke kaale dhandho ke wajah se naa sahi par apne shouhar ke iradatan katal mein geraftar kar li gayi...mujhe bhi saath mein le jaaya gaya police bahut pehle se sabut ikhatte karne ke baad se gupt roop se raja sahab aur uske aadmiyo ke piche lagi thi..sagaai ki raat eka ek kothi se yun parivar ka kahi dair raat jaana unhein khatka tha agar unka imaandar officer comssioner ko ikhtila kar mauka-e-vardat par saath nahi laaya hota toh deepak bhi dhara jaa sakta tha lekin ab uski khuleaam maut ne raja sahab se jude asliyat ko khol daala tha…

Kayi waqt tak case chala tagdi puchtaach aur sabut mein saaf saaf raja sahab ke kaale dhandhe aur kayi wardato ke pushti se raja sahab ko ghutne taikne pade, unke aadmiyo aur chote malik par kadai dabaav dene ke baad unke iqbal-e-jurm ka byaan le liya gaya, chote malik aur raja sahab ko na hi sirf unke politics aaude se nikaal diya gaya balki unki party bhi band karne ke baad unke saare dhandho ko bhi band karwa diya gaya kayi jagah unke karobaari thikaano aur khaaskarke port se illegal smuggling se aayi sone ki biscuit,charas ganja hafeem yaha tak gair kanooni hathyar baramad kar liye gaye unke niji kothi se hi arabo rupya aur kayi gair kanooni dakhal zameen ke kaagzaat arabo ka paisa smuggling se jude naami logo ke naam aur kayi aur sabut police aur income tax officers ko sealing ke waqt mile...gawahi meri bhi li gayi main chashmadid gawah tha unke kayi raaz se waqif tha jo maine bina darre byaan kar diya yaha tak port mein us raat huye officer ke murder jaise kitne vardat ko raja sahab ke kehne pe chote malik aur unke aadmiyo ne anjam diya tha ye bhi maine byaan kar diya baaki police ne chanbin karke bandargah ke ilaako mein pata laga hi liya hoga...mera byan mere zyadti khauf se gupt rup se court ki peshi mein na hi sirf laaya gaya balki raja sahab ke hatho ek victim ke taur par mere sath kya hua tha? wo byaan bhi mera liya gaya meri hi tarah raja sahab aur uske bete ke jurm ke shikar huye sheher ke kayi logo ne ek ke baad ek sunwai mein aake byaan diya saare sabut aur gawah ke madday nazar raja sahab chote malik aur unke aadmiyo ko court ki orders mutabik saza ke liye jail bhej diya gaya aur shouhar ki laash baramad ho jaane ke baad aur safa ke bhi confess kar dene ke baad court ne oose bhi saza sunaai lekin uske pehle hi main waha se chala gaya berehaal mera waha koi kaam nahi tha naa hi unke maamlo mein janne mein meri koi aur dilchaspi thi main azaad tha musibat se faarig tha…..us ghatna ke kuch waqt guzarte hi main waha se hamesha hamesha ke liye waapis apne desh laut aaya...

Khatam huyi wo dastan,
jisse anjan tha main,
namumkin sa tha bach nikalna,
par khudai madad se
anjaan tha main



THE END….
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #10 on: October 09, 2022, 07:07:12 PM »
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 51 minutes.
Posts: 187
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #11 on: March 24, 2024, 04:26:39 AM »
Is kahani ke dusre bhaag ko padhne ke liye  pls read "Geraft" which is also posted on yoindia at 2024 ✍️

http://www.yoindia.com/shayariadab/inspirational-stories-and-real-life-incidences/geraft-sequel-to-bedard-anjaan-and-firaaq-love-crime-thriller-story-t132748.0.html
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:52:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.174 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer