fFatima Ahmed
New Member
Rau: 0
Offline
Waqt Bitaya:6 hours and 21 minutes.
Posts: 11 Member Since: Jun 2017
|
Ashiyana meri mohabbat ka Assalamulaikum main aaplogo ke liye ek kahani layi hoon jo ke turkey se hai, main is kahani ko janne ke baad isse itni obssed hogayi ke jab yeh kahani khatam hui toh mujhe apni daily life khali khali lagne lagi in short main is kahani me kho gayi. yeh kahani mujhe jitni pasand ayi hai umeed hai aaplogon ko bhi utni hi pasand ayegi. aap logon ke comments ka wait rahega… story sarts from kahani shuru hoti hai ek night club se jahan ek aurat(nevin) red gown pehan kar gana gaa rahi thi aur sab uska gaana enjoy kar rahe the, do admi (Hassan nevin’s husband) and club manager apas me paiso ka len-den karte hai aur club manager paise de kar wahan se chala jata hai aur hassan nevin ko ishara kar kehta hai paise mil gaye hai. Aur club ke out door ke pass jata hai aur show piece ke piche chhup kar dekhta hai do ladke(kenan and yaman nevin’s sons) bahar khade hain kenan guards se andar ane ke liye jhagad raha hai yeh dekh kar who andar chala jata hai. Entry per kenan gaurds se kehta hai mujhe andar jane do aaj mera birthday hai aaj main apni mom se gaana sunna chahta hoon, guard kehta hai tum kyun baar baar yahan chale ate ho jab ke tumhari maa nhi chahti ke tum yahan aao aur yaad hai na last time tumne kya kiya tha, kenan kehta hai main as costumer andar jana chahta hun abh bhi nhi jane doge toh guard yaman se kehta hai apne bhai ko lekar jao yahan se. kenan gusse me puchta hai ke iska matlab tum mujhe andar jane nhi doge toh guard na me sar hilata hai yaman kehta hai bhai plz chalo yahan se baat ko mat badhao. Kenan maan jata hai aur guards se kehta hai andar sab ko mera salam kehna aur door ki taraf dekh kar chilla kar kehta hai Hassan(step-father) chhupne ki zaroorat nhi hai abh tum bahar aa sakte ho yahan sab save hai yeh keh kar who log chale jate hai, Hassan phir se show piece ke piche chhupa hua hota hai jaise hi woh log jaate hai woh bahar aa kar guards ko thanks kehta hai… Scene change: party scene Asim shekip kaya ki party chal rahi hai jo ke sheher ka bohat hi bada businessman hai woh stage per speech de raha hai ke asim shekip kaya foundation ki yeh 80th saalgirah hai jise ke aap log ask(love in Turkish) ke naam se bhi jante hai main aap sab ka welcome karta hoon meri aur meri beti ender kaya serez mere damad selim serez, mere grandson aur humare foundation ke future president mert asim serez ki taraf se, have a good evening. Sab log taliyan bajate hai aur smile kar rahe hote hai. ASK(asim shekip kaya) kehte hai aur haan donations dene me kanjoosi na Karen auction me haath uthaye rakhein….
Speech ke baad Sab apne apne me ho jate. Do ladkiyan(mira and eylul bestfriends) table ke pass khadi hoti hai mert unlogo ko ghoorte hue stage se niche utharta hai aur thoda sa slip ho jata hai aur embarrassed bhi. eylul usey mira ke samne idiot kehti hai aur mira kehti hai aise mat kaho eylul, dono thoda sa haste hai… dusre table per mira ki mom (sude) mira ke dad se kehti hai faruk chalo baithte hai aur unka haath pakad kar chalne lagti hai piche se mira ki behen(beren) awaz deti hai mom kya mera mascara kharab hua hai ? sude kehti hai nahi beta perfect hai, mira ko awaz lagati hai chalo mira, mira kehti ayi mom. Eylul mert ki taraf ishara karte hue mira se kehti hai us ladke ko puri tarha se makeover ki zaroorat hai, uske baal ek dog brush se comb karne ke baad abs aur biceps lagayen toh thoda sa acha lage shayad. Mert undono ko hi dekh raha hota hai aur nervous ho jata hai piche muda toh ek waitress se takra jata hai aur drink us per gir jati hai aur uska suit kharab hojata hai waitress maafi mangti hai.. Yeh dekh kar eylul haste hue mira se kehti hai per iski bewakufi ka ilaaj nhi hai. Mira kehti hai eylul tum bohat mean ho dono haste hai… Ender mert per gire drink ko handkey se clean karti hai mert kehta mom bas per woh nhi rukhti woh thoda forcefully kehta hai mom bas, ender kehti hai tum ja ke change kyun nhi kar lete, mert acha thik hai keh kar jaane ke liye step leta hai per selim usey rok leta hai, yeh keh kar ke yeh ghar gaya toh wapas nhi ayega. mert upset hojata yeh dekh kar selim smile karta hai aur kehta hai hum dono jake change kar lete hai. mert haan kehta hai your jane hi wale hote hai ke ender dono ko rok leti hai yeh keh kar ke dono hi kahin nhi jaa rahe Tum dono chup chap party me mere saath khade rahoge. Mert aur selim muh bana lete hai, ender kehti hai selim yeh sirf saal me ek hi baar ata hai, selim ender aur mert ko dekh kar kehta “saal me ek baar”(sarcasm). Mert kehta hai mom kasam khao aap mujhe phir kabhi stage per ane ko nhi kahoge promise me, ender aur selim hans ke taal dete hai. Faruk mira ko bulata hai mira kehti hai ayi dad faruk chala jata hai. Eylul kehti hai mira orkun aur friends aa rahe hai mira ghehri saans leti hai, eylul orkun ko welcome kaise ho kehte hue greet karti hai. Mira ati hai greet karte hue kehti hai tum late ho, orkun kehta hai tumhe toh pata hai na kya chal raha hai. Unlogon ko dekh kar mert nervous ho jata hai aur phir se wohi waitress se takrane wala hota hai ki selim kehta hai mert sambhal ke aur hadsa tal jata hai waitress tray mert ki taraf badati hai, mert waitress se puchta hai oh for me thanks waitress usey drink de kar chali jati hai. Orkun aur mira haath me haath dale auction hall ki taraf chale jate hai…
Scene change Bakery scene yaman bakery per saman kharid raha hota hai kenan shop ke bahar khada hai. Yaman shopkeeper se puchta hai kya apke pass small cakes hai? shopkeeper muffins ki taraf ishara karta hai who wahan hai ek red car ake rukti hai fuel station per jo ke bakery se laga hua hi hai. owner bahar ata hai wahan khada worker aur car owner dono baatein karte hue wahan se bakery ki taraf badhte hai, kenan car owner ko checkout karta hai utne me yaman piche se happy birthday brother- birthday brother chillate hue uski Or badhta hai, kenan puchta hai yeh kya hai toh yaman muffin dikhate hue kehta hai main itna hi afford kar sakta hoon. kenan kehta hai tune soncha wohi bohat hai aur usey gale lagata hai muffins dono baant kar khate hain… yaman kehta hai chalo bhai ghar jake tv dekhte hai. Kenan car owner ko dekhta hai woh bakery ke ander jata hai, Yeh dekh kar Kenan yaman se kehta hai kuch bada hai mere mind me, chal. yaman puchta hai kahan? kenan car ke pass jate hue kehta hai agar tu yeh sab mujhse nhi sikhega toh kabhi nhi sikh payega, Chal ander baith jaa. yaman pareshan ho kar kehta hai tu pagal hai kya, kenan kehta hai hum sirf ek trip lenge maze ke liye aur wapas de denge, aur car ownr ki nazar un per pad jati hai yaman darte hue chillata hai car owner aa raha hai. kenan kehta hai ander baith ja aur yaman ke pas koi aur choice nhi hoti car me baithne ka alwa, car owner chillata hai ruko ruko per kenan car bhaga kar nikal jata hai yaman chillate hue kehta hai tera dimagh kharab hogya hai kya? car rok kenan car rok, gusse se kehta hai kenan maine kaha car rok tu ne car churayi hai. kenan kehta hai yeh moment enjoy kar kya tu ne aisi car pehle drive ki hai yaman?. Car rok mujhe car se utarna hai plz rok kenan. Kenan bohat rough driving kar raha tha aur yaman bohat dara hua tha police ki cars ki awaaz sun ke yaman chilata hai abh kya chahta hai tu haan ? akhir kya chahta hai ? kenan car aur tez drive karne lagta hai yaman ke chehre per dar ka saya chha jata hai. Yaman chillata hai bhai police police samne se bhi police aa rahi hoti hai kenan car dusri taraf mod leta hai yaman chillata hai bhaiiiiiiiiiiiiiiii kenan car ko ek glass wall me thokh deta hai aur accident hojata hai…
Apne apna keemti time nikal kar is kahani ko padha main aap sab ka dil se shukriya ada karti hoon I hope aap sab ko kahani pasand ayi… Yaman aur kenan ke saath agey kya hua who kaise bache aur unki life me unki khwabon ki pariyan kaise ayi aur kya hua yeh janne ke liye next part zaroor padhe…
Aur plz comments kare aur it’s a humble request share karein allah hafiz aap sab se agle part me mulaqat hogi
|