**Beautifull Girl**

by honeyrose on February 18, 2009, 07:43:26 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1492 times)
honeyrose
Guest
(This is a Real story)

 
Hum shopping mall gaye aur dekha ke bohat bheed thi aur car rakhne tak
jagah nahi thi phir mayus hokar humne socha ke wapas chale jayen ghar

Ke achanak se ek choti si bachi ne hello kaha aur mein usse dekh kar muskurai
phir unke papa ne parking se ghadi nikali to .. tab jaake yaqeen hua

ke aaj shopping ho jayegi humari ..car parking karke hum ander chale gaye
wahan kafi bheed thi ..hamesha se zyda ..aur kuch door chalte chalte meri

nazar main hall mein padee jahan bohat rush tha aur log magic show dekh rahethe ke sab ne zidd ki hum bhi dekhenge so mein bhi baith gaye...

Bohat maza aaya magic show dekh kar aur phir meri nazar ek choti si ladki
pe thi joh ek dam khoobsurat ,,masoom aur haste khilte chehra ..mano ke

duniya ke sabse khoobsurat ladki thi woh ...mere liye ..meine bhi usey dekh kar muskuraye aur uski umar shayad 20 saal ki hogi ...aur woh chair pe
Baithi thi...mein uski taraf gaye aur salam bolke ...meine usey tareef ki

ke tum bohat sunder ho aur woh sharmake boli "thanks"
Phir as usall mujhe bhook lagi aur mein chips khane lagi thi

Ke uss ladki ke rishte daar aaye uske paas aur usey chair se
utta kar wheel chair pe le jaa rahe the ..mein shock hogaye

ek dam se mujhe bohat gussa aaya ...
Meine mann hi mann socha ke kya hai ye
Zindagi kyun taqdeer ne uss ladki ke saath

aise kiya aur woh handicap kyun ki lakon saval mere dil pe
uss waqt mein sirf yahi soch rahi thi ke ....uss ladki mein

shayad aur chalne firne ki umeed chord di hai aur woh
bohat dukhon se guzar rahi hai fir bhi uske chehre pe

Meine duniya bhar ki khushi dekhi ...aur woh ladki
mere liye duniya ki sabse khoobsurat ladki thi..

Mein dua karti hoon ke jaldi se woh bachi
teek ho jaye aur fir haste khelte chalte aapni
zindagi ko aur khush banaye
Bhagwaan se meri prathna hai ke ussey zindagi ke

saare sukh mile ..doston aap bhi mere saath uss bachi ke liye
dua karo ke woh bhi phir se chalne firne lage..

Kya aap meri dua mein shamil hai doston

Aapki dost

**Honeyrose**
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 18, 2009, 11:00:40 AM »
Allah Us Lardki Ko Jald Hi theek Karein,.
Use Apne Khadmon Pe Khardne Ki Taakhat Dein,.

Aameen,.

Thank For Sharing This Story With Us Jaya Sis,.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: February 18, 2009, 11:56:58 AM »
May GOD bless Her!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2009, 01:17:23 PM »
Thank you BhaiJaan..

Thank you Sophi

Thank you jagdish...
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: February 21, 2009, 01:21:47 PM »
May God Bless Her. Felt very sad while reading.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: February 21, 2009, 01:24:25 PM »
May God give her strength
Meri dua hai ki woh theek ho jaye

A good sharing Honey
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: February 21, 2009, 01:25:40 PM »
May God give her strength
Meri dua hai ki woh theek ho jaye

A good sharing Honey

Shukriya Rajesh ji...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:07:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer