DARK LOVE 3 - PYAAR KI AAKHRI JUNG...

by asif biswas on August 25, 2012, 12:46:56 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Author  (Read 28824 times)
asif biswas
Guest

JIS PYAAR KO DHUDHEY SADIYO SE AAJ HUM SAATH HAI FHIR EK BAAR..LEKIN KAALI NAZARO SE GHIRAA HAI HAMARA PYAAR...PYAAR KE KHAATIR AAJ DENI PAREGI MUJHE APNI JAAN KI KURBAAN...YAA KHATAM HO JAAYEGI YE PYAAR KI DAASTAN..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Aakhri Kaalaam Ek Aakhri Khitaab by Ghayal in Shayri for Dard -e- Judai
dark love - pyaar ki daastan by asif biswas in Inspirational Stories and real life Incidences.
dark love - pyaar ki daastan { 2} by asif biswas in General Stories « 1 2  All »
Dark Love Story Part-4 ( ek nayi suruwaat ) by anjali kapoor in General Stories « 1 2  All »
dark love story ( ek nayi suruwaat ) by princess anjali in General Stories « 1 2  All »
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: August 26, 2012, 01:06:18 AM »
Nice prolouge
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #2 on: August 26, 2012, 04:49:30 AM »
Nice prolouge

thanks masoom shazada i hope ki aapne meri dark love ki saari kahaniya padhi hongi aur main puri koshish karunga is kahani ko bhi behtar likhne ki...
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2012, 04:56:45 AM »
thanks masoom shazada i hope ki aapne meri dark love ki saari kahaniya padhi hongi aur main puri koshish karunga is kahani ko bhi behtar likhne ki...
HaaN   bhaai   mene   aapkee   es   story   ke   pahle   dono   part   read   kiye   hai.  Kahaanee   kaa   plot   bahoot   shaandaar  hai.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #4 on: August 26, 2012, 05:18:18 AM »
khuda kare aapkaa pyaar slaamat rahe
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #5 on: August 27, 2012, 08:04:38 AM »
khuda kare aapkaa pyaar slaamat rahe

Usual Smile
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #6 on: August 27, 2012, 08:19:21 AM »
ooty ye wohin sheher hai jahan se hamara pyaar shuru huyaa tha...aaj oosi jagah hamara pyaar waapis aa chuka hai...kohra jo ghane badal ko ghairkar simat chuka hai...hartaraf maano kitna akelapan hai yahan...aaj bhi wohin soch yaad aati hai toh sabkuch waapis hare patto ki tarah taaza ho jaata hai...

zayed aur main waapis hindustan aa chuke they...lekin ye hamare liye bahut hi hard decision tha..ki hum apni baat mere dad ke saamne rakhe..kyunki naa hi woh zayed se waaqif hai...aur dusri baat woh zayed ko pehchaante hai..ki woh ek insaan nahi balki ek insan ke bhais mein ek jinnat hai...

zayed auro jino mein se nahi tha...oosne apni jaan par khelkar mujhe harpal bachaaye rakha..koi bhi aafat aane se pehle woh khud saamne aa khara hota..lekin hamara pyaar woh bhi is dubti huyi kashti par ab bhi kharaa tha...zayed ne mujhse promise kiyaa ki woh apni baat mere dad ke saamne rakhega...

aur maine bhi faisla kar liya tha ki dad ko hamare rishte ko manna hi parega..warna main khud apni jaan dekar apni aatma ko hamesha hamesha ke liye zayed ke naam kar dungi...england mein mujhe zayed ke parivaar ka saamna karna para..pehle toh oonse darr laga...zayed bagawat par utar chuka tha...aur ooske ma bhi khush thi par ooske abba woh mujhe khush nahi lage...oonhein bas is baat ka darr sataa raha tha...ki kahin ye baat oonke kaum ke sardaar ko pata chal gayi toh wo yakeenan mujhe maar daalein..yaa zayed ko hamesha hamesha ke liye mujhse cheen le

zayed - sanaa kya soch rahi ho? sanaa
sanaa - dad ko maine sabkuch bataa diya hai..woh mujhse kaafi naraz hai even woh mujhe ek pagal samjhte hai
zayed - jo kuch bhi ooty mein hamare saath huyaa oosse yakenan koi bhi tumhe pagal hi samjhega...woh nahi chhate ki jinnat ke haatho mein oonki fhool jaisi beti ka haath jaaye...woh apni beti ki parwaah karte hai
sanaa - toh kya tum ye kehna chahte ho? ki tum mujhse dur ho jaoge
zayed - aisa nahi hai..sanaa..sirf main tumhare saath hoo...marte dum tak..main tumhe hamesha apni aankho se dur hone nahi dungaa...
sana - toh mujhse shaadi kar lo...
zayed - sanaa agar maine tumse shaadi ki ...toh jinnato ko pata chal jayega aur woh toh humpar tut parenge..waise hi abba ne mujhse munh modh liya hai..itni bari gustaakhi toh ki hai..aur agar tumhe apne saath le jaoo..toh duniya se tum mar jaogi...tumhare abba ye sadma bardaasht nahi kar paayenge..aur woh hamesha mujhe kosenge...behtar yahin hai ki hum ek dusre ko bhul jaaye
sanaa - aisa kabhi nahi hogaa zayed never never...

zayed - sanaa meri baat suno sanaa sanaa sanaaaaaaaaaaaa.....

sanaa zayed ko chodhkar jungle se niklakar apni car mein baith chuki thi...zayed bhi mazboor tha..woh sanaa ko aisi haalat mein nahi chodh sakta tha...
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #7 on: August 28, 2012, 12:16:51 AM »

Very  nice update..
Waiting for next update
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #8 on: August 28, 2012, 12:17:40 AM »
Where is next update sir
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #9 on: August 28, 2012, 05:16:36 AM »
Where is next update sir

update will come soon...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #10 on: August 28, 2012, 05:28:18 AM »
jis tarah kashti ke dubte hi...saari ummedein kho jaati hai...oosi tarah meri zindagi ki kashti bhi dubne ke kagaar par ho chuki thi...jo waade mujhse zayed ne kiye...aaj woh khud oon waado mein fass chukaa tha...oose mujhe bhi jawaab dena tha...aur hamare pyaar ko bhi...kya woh mujhse hamesha ke liye alag hona chahta tha?...agar aisa hogaa toh main khud apni jaan de dungi...agar hamare pyaar ke badle oonke sardaar bhi meri zindagi ki kurbaani maange...toh main khushi khushi apni jaan bhi oonhe de dungi...lekin khud ki aatma ko zayed se alag nahi hone dungi...

sanaa ke abba abhi kamre mein aaye hi they...ki apni soch mein dubi beti ko dekhkar...oonki maathey par ek shikar aayi..aur woh fhir pyar se apni beti ke paas gaye..aur ooske kareeb hi baith gaye...sana ka ab bhi dhyaan apne abba par nahi tha..jab ooske dad ne oose zor se jhinjhoda...sana ekdum se ghabra gayi...

sana - dad aap yahan ?
dad - haa sanaa kya huya tum itni chup chaap kyu baithi ho?
sanaa - dad main zayed se shaadi karna chahti hoo
dad - kya bak rahi ho tum? woh ek insaan nahi hai woh ek jin hai..tumhari zindagi barbaad kar degaa..
sana - oosi ki wajah se aapki beti aapke aankho ke saamne hai warna kitni baar main maut ke munh mein girte huye mar chuki hoti...
dad - tumhara matlab main samjhaa nahi? jaanta hoo oosne ek baar tumhari jaan bachayi iska ye matlab nahi ki tum oosse pyaar karne lago..woh ek insaan nahi hai...aur tum pagalo ki tarah aisi baatein karna chodh do
sana - kyu? kya aapne kabhi mere baarein mein socha hai ki mujhpar kya beeti hai bas saara waqt kaam kaam aur kaam..maa ke jaane ke baad aapne mere liye kabhi ek waqt ka time nikaala hai bas khud mein malin rehte hai aap

sana ke dad ne kuch nahi kaha aur woh chupchaap wahan se nikal gaye...aur sanaa chupchaap bistar par girkar rone lagin....

agli subah sanaa ne khud ko waqt ke saath chalne ke liye...ek art institute join kar liyaa tha...fhir shaam tak kaam karne ke baad woh jungle mein jati..aur zayed se milati...lekin kuch dino se zayed bhi oose ignore karne laga tha...woh veeraane jungle mein ghumkaar andhera hote hi wahan se waapis sheher ki or laut aati...to be contiuned...
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #11 on: August 28, 2012, 03:08:19 PM »

Ek  jin   aour  insaan  kee  saadee  ...  Wow  great  dekhte  hai  aage  kiyaa   hootaa  hai..   Jaroor   bahoot   see  muskile   aane  waalee  hai   en  dono  ko
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #12 on: August 29, 2012, 06:36:35 AM »
Sanaa ka mood kaafi kharab rehna laga…arts institute ke baad who akele hi ek café ke table par baithi rehti aur 4-5 cofee ke cup pee leti…ye sab shayad zayed ki duriyo ke wajah se huyaa tha…kyunki who harpal akele rehti…who dil se zayed ko yaad karti…par zayed oose kahin nazar nahi aata…kyunki zayed khud veeran pahado par baitha rehta…aur ghane badalo ko ghurrta…kabhi kabhar sanaa ko yaad karke who bas afsos kar sakta tha…jo waadein oosne sanaa se kiye they aaj wohin waadein who pura nahi kar paa raha tha..yakeenan sana ke dad ke khushi ke liye who sanaa se dur rehne laga…

Zayed – aakhir kaise aaoo tumhare paas sanaa..jo wadein kiye oonpar amal karna..tumhare abba ko nagawar guzarega..woh kabhi nahi chahenge ki oonki beti ki zindagi tabaah aur barbaad ho…

Udhar sanaa bhi apne purane dosto ko andhekaa karti sab osse baat karne ki koshish karte lekin who koi jawab oonhe nhai deti…sab oose rude aur arrogant samjhte…shayd uk se padhke aane ke baad…who ksii ko pasand nahi kar rahi..aisa kuch ooski saheliyaa samjhti…arts institute mein who harpal jo bhi pictures banati..yaa toh who zayed ke saath guzare huye palo mein se hota..yaa fhir oosi ka chehra…

Sanaa garden mein baithi huyi thi…tabhi ooske kandhe par kisi ne haath rakhaa…sana chaukkar ooski taraf dekhne ko mudi…toh ooski muskurhat udassi mein tabdil ho gayi…

Victor – hey sana…what you doing here? Akele akele tumhe kaafi notice karta hoo tum bilkul akele rehti ho..
Sanaa ne victor ko koi jawab nahi diyaa

Victor – hmm pyaar mein dhokhaa..yaa bewafaii…hmm…akela toh main bhi raha puri zindagi mein ab isi akelepan ko apni dost bana chukaa hoo..khambhakt pareshaan toh nahi karti…jab paida huyaa toh mere aage peeche koi nahi tha…kaun mujhe Hindustan mein le aaya pata hi nahi chala..aur ye jagah meri ghar ban gayi aaj bhi khud ko dhund raha hoo..

Sanaa ne ektak ooski taraf dekhaa aur waapis chup ho gayi

Sanaa – tum aisa kyu sochte ho?
Victor – chalo tum boli toh sahi..my name is victor…main waise toh convent chodhne ke baad orphanage home se sidha..hostel mein hi rehne laga hoo…apni pehchaan dhudh raha hoo…bas jisse bhi puchta hoo oonka yahin kehna hai ki I am orphan main anath hoo..aur meri zindagi mein koi nahi hai…shayad isi liye koi mujhe pasand nahi karta…but when I saw you mujhe lag raha hai..ki humari kashti kuch ek jaisi hi hai tum gum sum baithti ho kisi se baat nahi karti isn’t right? Aur main tumhe bata chukaa same as well…

Sana – toh phir apni pehchaan dhundhte kyu nahi ho..?
Victor – pata nahi …khair meri chodho tum batao why you so depressed.?
Sanaa – hahaha bas aise hi..tumhare sawaalo ka jawab dene ki himmat nahi hai meri
Victor – oh c’mon tell me..
Sanaa – sorry victor par tumse milke accha lagaa..
Victor – mujhe bhi….

victor ne ek smile di aur wahan se uthkar chala gaya….sanaa ko ooski bartaav se kuch alag sa lagaa who aur ooske udaasi chehre par ek muskurahat ki leher daud gayi….

Shaam ka waqt ho chukaa tha…aur paid hawao se takraa rahe they…bijliya khadhak rahi thi…aur who aadmi buri tarah cheekh raha tha…ooske kapre puri tarah se phat chuke they…oos shaks ke itni khaufnaak awaaz thi ki oosse pura jungle kaanp sa raha tha..jungli jaanwar bhaag rahe they…kutte ro rahe they…aur oos aadmi ke chehre par khaufnak tabdiliya hone lagin…ooske haatho ke baal badhne lage…aur who cheekhta huya ek jeeta jaagta insaani janawar banne laga ooski aankhen roshni ki tarah peeli padhne lagi…aur who zor zor se dahadhta huyaa jungle ki gehraaiyo mein dub gaya….

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #13 on: August 30, 2012, 07:37:59 AM »

Yaar etne bhayaanak  jaanwar se  mat  darao  wese  hee  aaj  baadal  ho  rahe  hai...
Wese   yaar  bechaaree   koo   4 6  coffee   akelee   ko  pilaa  rahe   ho   ek   do    hame   bhee  bhej   do   naa.   Sorry   majak   kar   raha   thaa.   Feel   mat   karnaa
By the  way... Waiting   for  next
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #14 on: August 30, 2012, 09:27:31 AM »
Yaar etne bhayaanak  jaanwar se  mat  darao  wese  hee  aaj  baadal  ho  rahe  hai...
Wese   yaar  bechaaree   koo   4 6  coffee   akelee   ko  pilaa  rahe   ho   ek   do    hame   bhee  bhej   do   naa.   Sorry   majak   kar   raha   thaa.   Feel   mat   karnaa
By the  way... Waiting   for  next

Usual Smile ismein feel karne waali baat hi nahi hai...sanaa ka akelapan oose sabse dur kar chuka hai...ek do coffee ke liye sath mein koi honi bhi tho chahiye...anyways..update will come in just few moments..
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:59:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer