DARK LOVE 3 - PYAAR KI AAKHRI JUNG...

by asif biswas on August 25, 2012, 12:46:56 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Author  (Read 28822 times)
asif biswas
Guest
«Reply #30 on: September 19, 2012, 02:00:46 PM »
aakhir woh ghari aa chuki thi jis din ka mujhe aur zayed ko intezaar tha khuli waadiyo ke bich hamari shaadi ka mandap saj chukaa tha...aur main tayyar baithi zayed ka intezaar kar rahi thi...mere charo taraf ajgaybi log baithey they jinhe main jaanti tak nahi thi shayad ye ek maaya tha hamari shaadi ko pura karne mein zayed ka baraa haath hai tabhi meri nazar ke saamne zayed ke mom dad ko dekhkar mere aankho ko wishwas nahi huyaa...

zayed ke dad - mujhe naaz hai ki meri bete ki pasand koi aisi larki nahi balki tum jaisi khaas larki se mili....hamari khush hamare bete mein hai...jitna oose tumse pyaar hai utna humhe ooske cheezon se

sanaa - aap aaye mujhe behad khushi huyi kaash mere dad bhi yahan aate

zayed ki maa - woh zarur aayenge...

sanaa - i hope so

sanaa ki nazar abhi zayed ki maa se alag huyi thi ki kaali sherwani mein apne sherwani dupatta ko peeth par rakhte huye zayed par nazar pari..zayed behad haseen aur khubsurat dikh raha tha sabki nazar oosi par thi...zayed ke muskurate we honth dekhkar sanaa toh jaise mar mitti thi

zayed sanaa ke paas aaya

zayed - tum aaj kaafi haseen lag rahi ho
sanaa - aur tum behad haseen aur prince charming

zayed ne apne maa baap par nazar daudaayi fhir ooske chehre par shikar daudh aayi lekin woh zyadadair tak nahi rahi jab zayed ke abba ne ooske peeth par haath rakhaa jo oose relax karne ke liye kaafi tha

kuch der baad zayed aur sanaa ki shaadi shuru ho chuki thi...zayed ne apna kabulnaama diyaa ooske baad baari aayi sanaa ki...kabulnama ke baad jashnn ka mahoul banaa lekin sanaa ki aankhe apne dad ko dekhne ke liye taras rahi thi

tabhi zayed aur sanaa ke ring pehante hi dono ka niqaah aur bhi pakka ho gaya...jis ammanat ko kaafi ghanto se chupaake rakhhe they aaj dono ek ho chuke they

sana ki nazar tab ek shaks par parii ye koi aur nahi ooske papa they...zayed toh jaise sanaa ko dekhke khush sa ho gaya

sanaa ke dad paas aaye

sanaa ke dad - main aaj khush hoo kehna toh nahi chhaiye ki main woh letter padhke kaisa feel kar raha tha lekin mujhe apni beti ke payar par pura bharosa hai oosne jo bhi pasand kiyaa woh kaafi naaz dene waali baat hai...sanaa beta mujhe tumse koi gila shikwa nahi

sanaa - thank you dad

sana ke dad - aur zayed tum meri beti ka dhyaan rakhnaa

zayed - hamesha rakhungaa sir...aapki beti ka dhyaan ab main rakhungaa woh ab meri zimmedaari bhi hai..aur aap fikar naa kare

sanaa ke abba - i hope so accha zayed beta apne abba ammi se nahi milwaunge

zayed - bilkul sir aaiye

udhar jashn mahoul se dur kisi ne apna kadam ooty mein rakh liaa tha ye koi aur nahi sant jacob tha...

sant jacob - apne khoye huye bete ko dhudhne ke liye ooty mein hi mujhe wo dono milenge

zayed chupchaap ek kone mein kuch soch raha tha
sana- kya huyaa zayed tum chup chup ho hamari shadi ho gayi hai par ufff ye awaaz kaisi

zayed - jo bhi hai woh ek naya kohram leke aayegi sanaa hamare tumhare pyaar ke khilaaf chidhi is jung ke dushman paas aa rahe hai...shayad ye waqt jung ladhne ka ek paigaam hai ek bari kohraam kaa

sanaa sawaalo bhari nazro se zayed ko dekhti hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Aakhri Kaalaam Ek Aakhri Khitaab by Ghayal in Shayri for Dard -e- Judai
dark love - pyaar ki daastan by asif biswas in Inspirational Stories and real life Incidences.
dark love - pyaar ki daastan { 2} by asif biswas in General Stories « 1 2  All »
Dark Love Story Part-4 ( ek nayi suruwaat ) by anjali kapoor in General Stories « 1 2  All »
dark love story ( ek nayi suruwaat ) by princess anjali in General Stories « 1 2  All »
masoom shahjada
Guest
«Reply #31 on: September 22, 2012, 04:23:37 AM »
Kahani bahut achchi ja rahi hai.
Sana aur Jayed ki shadi ho chuki hai.
Aur sana Victor ko un shapit aatmao se chukara dilwana chahti hai. Dekhte hai Jayed Victor ke liye kuch kar pata hai ya nahee.
Agle update ka intizar hai.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #32 on: September 22, 2012, 10:38:00 AM »
Niqaah pura ho chukka tha sanaa zayed ki ho chuki thi dono ab ek shadhi shudhaa jode ban chuke they…par sanaa ke dad ke aankho mein aansuyo ke saath kaafi sawaal they…kyunki oonhein ye pata tha ki zayed insaan nahi hai oonhone apni beti ka haath ek jinnat ko diyaa hai jo alag hi duniya se hai…kya zayed bhi sanaa ko maar daalegaa aur ooski aatma ko hamesha hamesha ke liye is duniya se le jaayega..sanaa ke dad ka dimaag kaam nahi kar raha tha bas oonhone ek muskurahat apne chehre par de rakhi thi ki agar sanaa oonki taraf dekhe toh oonka mizaaz kaisa ho?

Sanaaa zayed ka haath thaamkar oose apne saath le jaane lagaa…sanaa apne dad ko dekh rahi thi jo ek kone mein khare bas oose haath dikhaa rahe they..sanaa zayed ke saath chali gayi…apne aankho mein aansu liye wahan se jaa chuki thi

Zayed sanaa ko lekar apni car mein baith chukaa tha dono wahan se jaa chuke they…sanaa zayed ki taraf dekh rahi thi zayed ke chehre par khushi toh thi par shayad ek anchaha darr oose baar baar sataa raha tha

Sanaa – zayed main shaadi ke mahoul se dekh rahi hoo tum kis kohraam ki baat kar rahe they?

Zayed – sanaa tumhe yaad toh hogaa ki jab waheshi ne tumhe mujhse cheenna chaha tha toh oosne kya kaha tha?

Sanaa – mujhe yaad nahi

Zayed – oosne marte dam tak ye dhamki di thi ki agar main tumhe apne se dur naa karoo toh who ye baat hamare kaum ke sardaar ko bataa degaa aur agar oonhein pata chal gaya toh is dharti par ek kohraam hi aa jaayegaa

Sanaa – to..toh fh.ir hum kya kare?

Zayed – waheshi bataa naa sakaa maine oose aehem mauke par khatam kar diyaa tha kyunki agar main chodh deta toh who tumhe hassil kar leta aur tumhare saath bahut bura karta…isi wajah se main tumse judaa ho gaya shayad hamara pyaar ek dusre ko khatre mein daal de

Sanaa – main aane waale aafato se nahi darti hoo zayed hamara pyaar sachcha hai ek din ye pyaar itihaas banegaa..tum chaho toh main khushi khushi apni jaan tumhare hateli mein de dungi

Zayed – nahi sanaa maine tumhare dad ko waada kiyaa hai chahe mujhe jo kuch bhi ho jaaye is duniya mein tumhara zinda rehna zaruri hai..tumhe pura haq hai tumhari zindagi jeene kaa aur ye haq chennne wala main kaun hota hoo? Tum darro mat main oonhe jawab dungaa chahe ooske liye mujeh apna kaum bhi kyu na chodhna parey?

Sanaa zayed ke kandhe par sar rakhkar aankhen band kar liye…abhi dono ki baatein khatam hi huyi thi ki badalon mein zor ka garaz barsaa..zayed ne jhat se aankhen kholi aur car ko rukne kaha

Sanaa uth chuki thi…zayed ne sanaa ko car mein bithaya…aur car se bahar nikal gayaa….sanaa hairaani se zayed ko dekh rahi thi..
Badal garazte jaa rahe they tabhi ek kaali paghdi pehne khan dress jaisi kaali libaas mein teen jinnat zameen par aa dhamke

Oonki aankho mein kajal tha..aur aur chehre par ek bahayank berehem si shakal …oonki aankhen safed huyi jaa rahi thi aur who car ke bilkul saamne aake khare ho chuke they…

Zayed – aap log yahan kar rahe hai?
Pehla shaks – tumhare itni jurrat ki hamare kaum ki izzat ko aise utaaroge…tumhe is bari galti ka zara sa bhi ilam hai ki tumne kitna bharaa gunaah kiya hai

Zayed – main jaanta hoo maine kya kiya hai? Behtar isi mein hai ki sardaar ko ye baat pata chalni chahiye maine koi gunaah nahi kiyaa saccha pyaar kiya hai main ek sachcha aashiq hoo aur hamare pyaar ko kisi ki nazar nahi lag sakti

Dusra shaks  - naa muraad jin tujhe zara sa bhi ilam hai ki tune ek insaan se niqaah kar hamare kaum ki bezzati karayi hai..tujhe aur Is insaan ko sardaar ke yahan bulaaya gaya hai..

Zayed – dekho sanaa ko beech mein mat ghasito is bechari ka koi kasoor nahi….galti maine ki hai sazaa ke laayak main hoo…ye maasum hai…main sardaar se zarur milna chahungaa…lekin aaj nahi

Teesra shaks – bhaiyo apne gusse ko kaabu kariye zayed humhe tumahra intezaar rahegaa..itni bari gunaah ki hai tumne sardaar tumse milna chahte hai..woh katayi nahi chahenge ki hamare kaum mein koi aisi galti kare…kal kaali pahadi par aa jaana…wahan tumhe ek kaalin milegaa..woh tumhe hamare paas pahucha dega..ab humhe jaana hai is zameen par hamara dum gutt raha hai..aur yad rahe ye larki bhi aani chahiye

Zayed – meri baat suniye rukiyyeeeee

Zayed ke laakh kehne par bhi koi asar nahi huyaa aur who hawaa mein jaise gayaab ho gaye….zayed chupchaap wohin kharaa raha

Sanaa ne zayed kandhe par haath rakhaaa

Sanaa – are you okay ? zayed
Zayed – main theek hoo sanaa jis baat ka darr tha wohin huaa sardaar ko baat pata chal chuki hai aur woh humse milna chahte hai
Sanaa – main jaungi
Zayed – sanaa tum samajh nahi rahi ho who tumhe maar daalenge…main hamare pyaar ko aise tabaah hote nahi dekh sakta
Sanaa – humne pyaar kiya hai koi gunaah nahi oonhe main jawaab dungi
Zayed – sanaa main tumhare dad ko kya jawaab dungaa..kya pata hum waapis naa mile tab
Sanaa – hum hamesha ek dusre ko yaad rakhenge…humara niqaah ho chukaa hai ab hum ek dusre ke ho chuke hai
Zayed – main tehdil se maafi mangta hoo sanaa main tumhara muzrim hoo meri wajah se tumhari zindagi khatre mein padh gayi
Sanaa – zayed kya keh rahe ho tum? Tum aise tut nahi sakte jab main tumse pehli baat isi jagah ooty mein mili thi tumne aisa hi bartaav kiyaa kya oos waqt mer ijaan khatre mein nahi thi tumne mujhe oos darinde se bachaya tha…fhir oos shaitan waheshi ne meri zindagi tabaah karni chahi tab tum hi they jo mere sath waqt chahta toh humhe oosi pal judaa kar sakta tha par hamara pyaar jeeta


Zayed sana ko dekhke muskuraya…aur dono ek dusre ka haath pakre…wahan se aage badhne lage…
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #33 on: September 22, 2012, 10:52:47 AM »
Asif Sahaab Aadaab!


janab aapki yeH story bhi hum zaroor padheNge, waise
yeH bhi khoob story raheNgi hume ummid hai... Usual Smile

Is story ki shuruaat toH hum aaj padh chuke haiN baki
bhi Insha Allaah aage bhi puri story padheNge... Usual Smile

Abhi toH ijazat chahte haiN... Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
asif biswas
Guest
«Reply #34 on: September 23, 2012, 04:57:22 AM »
Asif Sahaab Aadaab!


janab aapki yeH story bhi hum zaroor padheNge, waise
yeH bhi khoob story raheNgi hume ummid hai... Usual Smile

Is story ki shuruaat toH hum aaj padh chuke haiN baki
bhi Insha Allaah aage bhi puri story padheNge... Usual Smile

Abhi toH ijazat chahte haiN... Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile



aapne itni bari baat keh di aur mujhe kuch nahi kehna aapke aane ka hi mujhe intezaar tha...kyunki aap aur skitears pehle shaks they jinhone yoindia ke shuruwaat se hi mujhe support kiya bhale hi meri kahaniyaa kharaab hi kyu naa bani? thanks for your support ummeed hai ki aapko meri ye kahani bhi pasand aaye...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #35 on: September 23, 2012, 06:05:15 PM »
aapne itni bari baat keh di aur mujhe kuch nahi kehna aapke aane ka hi mujhe intezaar tha...kyunki aap aur skitears pehle shaks they jinhone yoindia ke shuruwaat se hi mujhe support kiya bhale hi meri kahaniyaa kharaab hi kyu naa bani? thanks for your support ummeed hai ki aapko meri ye kahani bhi pasand aaye...


Asif Sahaab Aadaab!


janaab aaj pahleli baar humne aapki profil click kii.... and
realy hume yaqeen nahi ho raha hai ke aap just 16 ke ho.. icon_scratch
Coz your stories are just mindbwoling dear.... Usual Smile
Just like a very good writter...

Dear aapki likhi kahaaniyaaN bhi yakeenan picturise hoNgi
isliye aap unhe pahle register karwa lijiye.... May be aap
ki aik kahaani pictureise bhi ho gayi hai... Usual Smile

 
aur ab kia kahuN aap yaqeenan behad khoob likhte ho abbas-
mastaan ki koi movie aaye toH gaur karna kahiN unhone aapki
kahaani toH nahi chura lii... Usual Smile

Aise hi likhate rahiye,... Hume jaise waqt mileNga hum padhte
raheNge ... Usual Smile

Shaad O aabad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile

                    

Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #36 on: September 23, 2012, 06:19:36 PM »
Jin ke sardar ne Sana aur jayed ko bulaya  hai. Eska matlab agla update rocking hoga.
Waiting for next update...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #37 on: September 24, 2012, 10:08:48 AM »

Asif Sahaab Aadaab!


janaab aaj pahleli baar humne aapki profil click kii.... and
realy hume yaqeen nahi ho raha hai ke aap just 16 ke ho.. icon_scratch
Coz your stories are just mindbwoling dear.... Usual Smile
Just like a very good writter...

Dear aapki likhi kahaaniyaaN bhi yakeenan picturise hoNgi
isliye aap unhe pahle register karwa lijiye.... May be aap
ki aik kahaani pictureise bhi ho gayi hai... Usual Smile

 
aur ab kia kahuN aap yaqeenan behad khoob likhte ho abbas-
mastaan ki koi movie aaye toH gaur karna kahiN unhone aapki
kahaani toH nahi chura lii... Usual Smile

Aise hi likhate rahiye,... Hume jaise waqt mileNga hum padhte
raheNge ... Usual Smile

Shaad O aabad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile

                    



sir main 17 saal ka is waqt hoo aur ab 18 ka hone wala hoo...aur rahi baat meri kahani ko agar pictursize bhi kiya hogaa toh bahut bari baat hai mere liye lekin itni taareefein karne ka shurkiya aur yahin mere liye sabse bari baat rahegi ki meri kahaniyo ka kisi ke liye toh kaam aayi...aur rahi baat mujhe ek picture mein daut lagta hai woh ek haunted agar aapne gaur farmaya ho toh haunted movie ki kahani bhi hubahu meri fear a disloyal love se milti julti hai khair..thank you for repling...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #38 on: September 24, 2012, 10:10:51 AM »
Jin ke sardar ne Sana aur jayed ko bulaya  hai. Eska matlab agla update rocking hoga.
Waiting for next update...

rocking update will be rock soon....just wait dear...
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #39 on: September 25, 2012, 10:51:17 AM »
raat ke khadhakti woh bijliyaa baarish pure ooty ke waaidyo mein ho rahi thi aur idhar sheher mein thand ki woh raat jahan sana aur zayed aaj ek hi ghar ke niche saath they...par itni bari khushi milne ke baad bhi zayed ka munh latka sa huyaa tha..woh udaasi sa balcony se bahar jhaank raha tha aur baahar ki haseen waadiyo ko dekh raha tha...shehero ki jalti battiya..aur baarisho ke bundein..sana piche bistar par bathi zayed ko gumsum dekh rahi thi

sana dheere se bistar se uthi aur zayed ke paas gayi

sanaa - zayed is everything alright? tum itna chup kyu ho? aaj hamari shaadi huyi hai..hum dono ek ho chuke hai..aur is haseen lamhein ko chodh tum gumsum khare ho

zayed - sana mujhe yahin baat khal rahi hai ki main aur tumhe lekar agar jin ke sardaar ke paas gaya toh woh humhe jeete ji maar daalenge..

sanaa - zayed meri taraf dekho kya tum apne pyaar ko paane se itna ghabra rahe ho in beete saalo ka kya? jo waqt hamne saath bitaaye....

zayed ke aankho mein aansu they..aur oosne sanaa ke gaalo ko haatho mein bhara...

zayed - chahkar bhi main tumhe apne se alag nahi kar sakta..aur mujhe darr is baat ka hai ki kahin woh tumhare saath kuchhh

sanaa - mujhe fakr hoga ki main tumhare liye marungi...tumhari baahon mein tumhare pyaar ko main paa chuki hoo ab mujhe kuch aur nahi chahiye

zayed - main martedum tak tumhe khatam nahi hone dungaa sana..chahe ooske liye mujhe apna kaum hi kyu na chodhna pare

sana - toh fhir kal ka intezaar karo..agar pyar par bharosa hai toh humhe kuch nahi hongaa

zayed ko ek wishwaas jag chuka tha...sanaa zayed ke gale lag gayi zayed sanaa ko leke bistar par oose rakh deta hai...sanaa zayed ke kareeb aati hai dono ek dusre ko chummne lagte hai...zayed sabkuch bhulaakar ooske saath bistar ki aagosh mein dub jaata hai...aur khadhkti bijli aur tez baarish se raat tham jaati hai

agli subah zayed ke saath utha..dono ne ek dusre ko dekha...aur tayyar hokar ghumne ke liye nikal pare...dono aaj chup chup they..sanaa bas khush si dikh rahi thi udhar zayed chup chup sa gum mein dubaaa

tabhi sana ki nazar victor par pari...victor paas aaya

victor - so guys happy married life
zayed - sukriya victor..kya tum ab sahi ho?
victor - haaan so sanaa have you left the art class?
sanaa - nahi bas kuch classess reh gaye hai ooske baad hi
victor - ab toh tum dono ko time ek dusre ke saath hi guzrega khair i gotta go..

sanaa - main jaanti hoo victor zayed ko sacchai ka pata chal chuka hai
victor - what?
zayed - haan sana sahi keh rahi hai...tum is darindagi bhari zindagi se nikal sakte ho...lekin ooske liye tumhe meri madad ki zarurat paregi
victor - chodho na zayed kya fark padhta hai? agar kisi ke goli ka shikaar ho jaunga toh koi fikar nahi apna toh pehle se tha hi nahi..aur ab jo apna tha woh bhi nahi raha
zayed - tumhari bhalaayi ke liye keh raha hoo warna aage chalkar tumhe hi khatra hogaa
victor - mujhe madad chahiye hongi main keh dungaa...bye guys

sanaa piche mudhkar victor ko dekhne lagin...aur fhir dono wahan se chale gaye..victor piche mura aur ooske aankho se aansu behne lage

victor - kaash kaash sanaa mujhe ek pal ka mauka diya hota...main tumhari zindagi sawaar deta tumhe aaj khokar main kitna akelaa khud ko mehsus kar raha hoo i am sorry sanaa ab main tumhe kabhi apni shakal bhi nahi dikha apaungaa...i am sorry.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #40 on: September 26, 2012, 11:43:07 AM »
sanaa chupchaap zayed ke saath waqt guzaar rahi thi dhoop bhi madham hone lagaa tha...har taraf shaam ki andhera aaagosh mein le raha tha...zayed sanaa ko baar baar aankhen mund kar dekh raha tha...zayed sanaa ke baarein mein hi woh fikar kar raha tha...jahan dusri taraf sanaa sheeshe se bahar sirf aur sirf victor ke darindagi ke baarein mein soch rahi thi aur apne pyaar ke baarein mein bhi

aaj sabkuch chup tha tabhi bijliyo ki garazti woh awaaaz ne zayed aur sanaa dono ko chaukhaa daala...aur car ke breaks lagte huye badal se ek neeli roshini aayi...zayed tezi se car bahar nikla aur sanaaa ka haath pakre piche ho gaya...

sanaa is baat se bekhabar thi ki tabhi zayed aur sana dono ko ek kaalin dikhaa...

sanaa - zayed ye kaalin kaisi?
zayed - zarur ye sardaar tak humhe pahuchayega?
sanaa - mujhe azib sa darr lag raha hai
zayed - ssshhh kuch nahi hogaa bas mera haath pakri rakho

zayed sanaa ko lekar oos kaalin ke upar kharaa ho gaya...aur fhir tezi se woh kaalin hawaa mein lehraane lagaa...sanaa jaisi hi larkhaayi zayed ne oose apne baahon ki giraft mein le liya...sanaa ne zayed ko kaske pakra...aur aankhen band kar li...kaalin tezi se oos neeli roshni ki taraf jaane lagaa...aur ooski zoro ki roshni se dono ki aankhen band ho gayi

jab sana ki aankhen khuli toh kaalin oose ek thandi badal par laakar kharaa ho chukaa tha...charo taraf dhuaa sa uth raha tha...aur sanaa ko kuch samajh nahi aa raha tha

zayed - sanaa hum pahuch gaye hai dekho tum darna mat bas sar jhukaaye rehnaa..aur mere paas hi rehnaa

tabhi ek shaks saamne se aaya

shaks - sardar bahut deri se aap dono ka intezaar kar rahe hai....chaliye oonke yahan tashreef rakhiye

zayed aur sanaa dheere dheere oos haweli jaisi imaarat mein chale gaye jahan ek baraa saa hall jaisa banaa huya tha aur charo taraf sangmarmar jaisi sheesho ki woh khidhikiya..sheeshe se chamakti woh zameen...sana sach mein hairaan hi thi

tabhi saamne ek gaddi par ek lambe se shaks ko baithaa paaya..sanaa ne zayed ka baazu ko kaske pakadke rakhaa tha

sardaar ke theek dono taraf kuch log they...jo behad bhayanak aankho se sanaa ko ghurr rahe they....zayed ne oon sabko ghurraa...aur tabhi oon mein se ek jinnat bahar nikaala..aur oosne zayed ke haatho se sanaa ke haatho ko alag kar diya..ooske jhatke se sanaa zayed se kuch duri par khari ho gayi..sanaa ka dil zor zor se dhadhak raha tha

sardaar - hmmm toh aapki itni bari gushtaakhi ne haamara sir jhukaa diyaa hai...aapki sirf aur sirf aapki ek bhool ne hamare kaum ko kya dikha dala hai? jaante bhi hai jis se aapne dil lagaya hai woh ek insaan hai jo ek mitti se tabdil ki huyi putla hai

zayed - pyaar mitti kaum aur farak ko nahi dekhta..pyaar dil ko dekhta hai

sardaar - aapki zubaan par ye lavz katayi humhe pasand nahi....ye aap keh rahe hai jisne itne barso se hamare kaum ki laaj aur izzat bachaayi...aapke abbu aur aami ko zara bhi sharamindagi nahi mehsus huyi ki woh apne dilojaan bete ko ek bari bhool karne ko de jawab dijiye kya kare hum aap ke saath aur is insaan ke saath

zayed - dekhiye bhul maine ki hai agar saza deni hai toh mujhe dijiye is maasum ko nahi ye toh bas pyaar karna jaanti hai ye maasum hai aur humne koi galti nahi ki jisse aapka sar jhuke

sardaar - basss aapki itni bagawat ek baaghi ko paidaa kar rahi hai aapko sazaa mein agar aap inse saccha hi pyaar karte hai toh inki jaan le aur inki aatma ko hamesha hamesha ke liye apne giraft mein kar le

zayed - nahiiiii ye naainsaafi hongi maine saccha pyaar kiya hai kisi masum ki jaan lena nahi ye toh sarasar pyaar ka gala ghotna hoga

sardaar - aap bahut bol chuke toh theek hai aap ko apni jaan ki kurbaani dekar ise bachana hogaa warna mujhe is insaan ko khatam karna hogaa

zayed - nahinnn oose jaane dijiye maut chahte hai meri main apni kurbaani khud dungaaa

sanaa - zayed nahinnnnn....sanaa ko dono jinnato ne jakad liyaa...sanaa hil dul bhi nahi paa rahi thi aur ooske aankho se aansu behne lage

zayed - nahi sanaa agar tumhari jaan ki keemat mere kurbaani se hongi toh mujhe manzur hai bas sanaa tum apna khyaal rakhna tumhi ne toh sikhaya ahi pyaar hamara pura hochuka hai toh ye zindagi kis kaam ki?

sanaa - nahi sardaar aap inhe chodh de galti meri hai mujhe maut de...dekhiye agar hamari gushtaakhi ki ye ek wajah hai toh aap beshak humhe alag kar de ek dusre se lekin itna bari galti naa kare

sardaar - tehro oose chodh do

sana tezi se sardaar ke thodhe kareeb gayi

sana - dekhiye aap sab insaano se taqatwar hai aur main khud aap se wada karti hoo ki main is duniya se jaisi hi khatam ho jaungi main apni aatma zayed ke naam kar dungi..

sardaar - tumhara kehna sahi hai lekin itni bari gustaakhi jo tumne ki hai ooski saza toh tumhe milke hi rahegi ya toh tumhe ya is zayed ko

sana - theek hai aap mujhe chahe toh khatam kar sakte hai mujhe koi farak nahi padhta main zayed ki hoo aur hamesha rahungi

zayed - sana nahiiii sanaaa

sardaar ne thodha gaur farmayaa aur fhir ek pal sana ko dekhaa jiski aankho mein darr nahi marr mittne ke aansu they

sardaar - theek hai main sana ko isliye nahi khatam kar sakta kyunki sanaa ke zindagi mein tumhari hone waala ek baccha hai main sanaa ki zindagi padh sakta hoo jao chale jao hamari nazro se dur par yaad rakhnaa tumhara is kaum se koi naata nahi bachaa..ab jao chale jao

sardaar ke kareeb khare oon jinnato ko itna gussa tha ki woh chahte toh dono ko oosi pal khatam kar dete....zayed ne sana ko bahon mein bhara..aur fhir sana beshosh si ho gayi aankhen dhundli huyi aur jab woh uthi ooske chehre par paani tha..sana nadi mein giri huyi thi zayed ne oose baahon mein bharaa aur chodhi huyi car ke paas laakar oose utara

snaaa - kya huya tha zayed?
zayed - kuch nahi sana kuch bhi toh nahi huya tha

sana ki yaadaash gum ho chuki thi oose palbhar ki baatein ekdum yaad nahi thi.
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #41 on: September 28, 2012, 10:12:24 AM »
sanaa ki aankhen jab dheere dheere khuli toh zayed ko apne bagal mein laita paaya...ooski surat kitani nihayti haseen lag rahi thi jo sana ko ek kashish mein kheenche jaa raha tha...zayed ko aheshass huyaa aur oosne apni aankhe dheere dheere kholi

sanaa - kal raat kya huyaa tha zayed? main nadi mein thi main dubb rahi thi tumne mujhe sahara dekar paani se bahar nikaala...kal raat aakhir huya kya tha?

zayed chup tha bas woh kuch bari soch mein dubaa sa huyaa tha oosne apni aankhen sana ki taraf ki aur tassali se ooski taraf dekhte huye

zayed - kuch bhi toh nahi jaan sabkuch toh theek tha
sanaa - toh fhir tum itna chup kyu ho?
zayed - sanaa humari sardaar se mulaqat ho chuki hai
sanaa - kya ? mujhe kuch yaad kyu nahi aa raha
zayed - tum darr jo gayi thi
sanaa - lekin jahan tak mujhe yaad hai hum kal shaam ko gadhi mein they
zayed - tum nahi samajh paogi sanaa chodho woh sab...ab hum ek ho chuke hai isse bari khushi ki baat kya hai

sanaa - kya? i mean kya woh raazi ho gaye they?
zayed - aisa hi samajh lo
sanaa - nahi mujhe lag raha hai tum ab bhi mujshe kuch chupaa rahe ho?
zayed - oonhone mujhe kaum se nikaal diyaa hai ab main chahkar bhi oonke duniya mein waapis nahi jaa sakta
sanaa - kyu? oonhone aisa kyu kiya ?
zayed - woh hamare rishte ke khilaaf they bas.

sana bas chup si ho gayi...aur uthkar bistar se chali gayi

subah ke 10 baj chuke they...sanaa ki nazar victor par parri jo talaab ke kinaare patthar maar raha tha...sanaa bhi ooske paas gayi...victor chupchaap wahan se jaane lagaa

sanaa - hey victor ruko
victor - ab kya chahie tumhein?
sanaa - tum mujhe ignore kyu kar rahe ho?
victor - kyu ? nahi kar sakta ab tumhe apni puri zindagi zayed ke sath bitaani hai toh main beech mein kyu aayu?
sanaa - aur tumhari ilaaj ka kya ?
victor - bhaadh mein gaya main aur meri ye shaitani taqat...main jo bhi hoo theek hoo..otherwise kisi ko fark toh nahi hai naa ki main jee bhi raha hoo ya nahin
sanaa - tumhe aakhir huya kya hai?
victor - tanhaaii yahin huyaa mujhe
sanaa - main zayed se kehkar tumhe theek karaa sakti hoo bas tumhe mera saath dena hogaa
victor - agar theek bhi ho jaunga toh kya khush reh paunga main? naa meri pichle 20 saalo se kisi ne chinta naa ki aur ab kar raha hai behtar yahin hai sanaa ki tum mujhe bhi auro ki tarah ignore karo
sanaa - itna aasan tha toh meri zindagi mein aaye kyu? main jaanti hoo tum aisa kyu keh rahe ho? tum mujhse pyaar karne lage ho am i right?

victor ke paas koi jawaab nahi tha..aur woh chupchaap wahan se chala gaya...sanaa bhi afsos ke siwaaye aur kuch nahi kar sakti thi

udhar ek alag hi duniyaa mein khare woh teeno jinnat bas zayed aur sanaa ki baatein keh rahe they

malkan - jo bhi huaya galat huya bhaijaan oos insaan ka bachna aur oos naamuraad jinnat ke saath chodh dena hamare kaum par ek baraa nishaan chodhta chala jaa raha hai kisi ko toh saaf karna hi parega
riyat - main samajhta hoo bhaijaan lekin hamare paas koi intezaam bhi toh nahi ki hum oon dono ka kuch kar sake...
magsur - aap dono ki baat bilkul sehmati bhari baatein hai main jaanta hoo humhein kya karna hogaa

malkan - kahin sardaar ko pata chalaa toh?
magsur - oonhein katayi nhai pata chalegaa hum oon dono ko in duniaya se saaf kar denge aur naa hi rahenga ye kalank aur naa hi rahegaa koi sitam hmmm oonhein kya lagta hai sardaar ke faisale se oonhe nijaat mil gayi abhi oonhein hum nahi mile jab milenge tab dekhnaa keher barsegi oon par rooh fanaa jayegi oonki..bas humhe sahi mauke ka intezaar karna hai ooske baad sanaa aur zayed khatam hahahahahahaha hahahahahah haahahahhahaaaaa hahahaha

aur fhir gunzti chali gayi oonki thahaako bhari woh awaazein jinsein badal bhi garaj rahe they....
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #42 on: October 01, 2012, 02:34:45 PM »
sanaa aur zayed subah ek table par baithey ek dusre ko dekh rahe they..oonke niqaah ko 2 din ho chukaa tha..lekin kuch baatein aisi thi jisse woh puri tarah khush nahi they...zayed chupchaap saib khaa raha tha aur dusri taraf sanaa coffee pee rahi thi...tabhi ghar ki ghanti baji

zayed ne sanaa ko ghurra..sanaa ne zayed ko dekhaa..aur jhat se table se uthkar darwaje ke kareeb gayi oosne darwaja jaisa kholaa saamne ke shaks ko dekh woh thodhi hairaan thi

sanaa - ji kahiye?
sant jacob - main sanaa aur zayed se milna chahta tha
sanaa - main sana hoo..aur zayed andar hai ji kahiye kya kaam hai??
sant jacob - woh toh andar hi bataa paungaa

sanaa aur zayed ke saamne st jacob baith chukaa tha...zayed bas hairaani se sana ko dekhta toh kabhi jacob ko ghurrta

sant jacob ne chupp todhi

st jacob - jaanta hoo sunkar thodha azeeb lage par yahin sacchai hai main aap dono ko jaanta hoo...aur zayed ke baarein mein bhi darasal meri india mein aane ki wajah mujhe aapki madad chahiye apne khoye huye bete ko dhudhne mein

zayed - ismein hum aapke kya madad kar sakte hai?
jacob - zayed darasal ye sab uk se hi shuru huya tha...meri biwi ke pait mein ek bachcha tha...hum ek raat haweli se guzar rahe they pahadiyo mein landslides hone ki wajah se hum wohin teher gaye..meri beti ko jo baccha huyaa woh ek shaitani pisacch..tha kyunki woh haweli charo taraf se shaitani taqato se ghiri huyi thi...humhe ek nun ne kafi manaa kiyaa lekin dhookh aur lachari ke aage maine ghutne takdiye aur apne hi haatho apni family ka gala ghont daala oos manhus rat ke baad main apne parivaar ko kho baitha lekin meri mulaqat jab ek baba se huyi oonhone bataya ki woh hindustan mein hai yahin iss ghane waaidyo mein ooty ke

sanaa - ek minute ye kahani maine pehle bhi suni hai
zayed ko thodhi hairaani huyi fhir oose bhi samajhne mein diari naa lagin
zayed - aap bahut khushnaseeb hai jis bete ki aap talaash mein hai woh yahin ooty mein mauzud hai bilkul sahi salamat
sanaa - lekin Huh?
st jacob ki khushi ka thikaana nahi tha lekin sana ke kehte hi woh bhi sawaalo bhari nazro se sanaa ko dekhne lagaa

st jacob - lekin kya?
sanaa - aapka beta ek shaitani rooh mein daba chukaa hai woh ek haivaan darinda ban gaya hai jise roka nahi jaa sakta lekin aap fikar mat karo..aapke bete victor ko hum oos shaitani taqato se rihaa karenge
st jacob - kya? tum dono sach keh rahe ho god bless you pls mujhe jaldi se oosse milna hai
sanaa - lekin jo dard aapne oose diya hai oosse agar woh naa kare toh
st jacob - beta main apni biwi isi shaitani aur apne gurroor ke wajah se kho chukaa hoo..aur ab main apne bete ko pehle hi kho chukaa tha jab kudrat oosse mere itne kareeb hai toh main oose waapis paa sakungaa

zayed - theek hai sir...aap mere saath chaliye main aapko oosse milwata hoon
st jacob - theek hai beta

zayed jacob ko leke wahan se nikal gaya aur sana bhi khush thi ki aaj oose victo ki fikar karne ki zarurat nahi thi

udhar victor bas hairaan aur baauchakka hokar apne baap ko dekh raha tha

st jacob - beta pehchaana mujhe?
victor - ab kyu aaye ho? jab sabkuch khatam kar diyaa mujhe apne judaa kiyaa...mera bachapan kaise kin haalato mein huyaa kya aapne zara si bhi parwaah ki thi
st jacob - beta i am sorry i was mistake at that moment main tumhe dekhkar darr gaya tha agar tumhe apne paas rakh bhi leta toh tumhari maa ki mujhe harpal yaad aati
victor - haan kyunki oonki maut mere hi wajah se huyi thi?
st jacob - beta beeti baatein bhulaakar mere paas waapis aa jao hum saath rahenge
victor - no dad main pehle bhi bahut kuch kho chukaa ab dobara paakar bhi kya haaisl hogaa? dil ke zakhm ka kya? behtar isi mein hai aap waapis chale jaaiye

zayed - victor ek baar soch ke dekho jis parivaar ke liye tum tarse they woh tumhe waapis mil chuka hai..ye apni galti maafi bhi maang rahe hai
victor - kaise bhulaa doo woh yaadein? kya beeti thi mujhpar ab bhi oos shaitani haiviaaniyat se kahan chutkaara milaa hai mujhe?
zayed - tum ooski fikar mat karo sabkuch sahin hogaaa victor main tumhe theek karungaa...
victor kuch dair waise chupp raha tha..aur chaati phaadke rone laga aur apne dad ke gale lag gaya...

victor - maine apako kitna miss kiya hai dad?
st jacob - maine bhi beta

zayed bhi khush tha...tabhi ek gargarahat ke saath zayed ke sar chimkaa...victor aur jacob dono hi zayed ko ghurrne lage

zayed - oh god sana musibat mein hai?
victor - kya huyaa sanaa ko?
zayed - oh nahi mujhe jaana hogaa victor
victor - nahi zayed kaho baat kya hai??
zayed - jinnato ne oose pakad liya hai
victor - tab toh mujhe bhi tumhari madad karni hai
zayed - tum ladh nahi paaoge victor ye meri laraai hai
victor - kuch dair ke liye hi sahi main oonse bheedh toh sakta hoo ise meri choti madad samjho tumne meri help ki sana ne mujhe itna samajhaaya ab baari meri hai madad karne ki
zayed - agar tumhe kuch ho gaya toh..
victor - jabtak main hoo tabtak sana kuch nahi hogaa meri fikar mat karo let's go

jacob bas wohin kharaa rhaa..aur zayed aur victor tezi se junglo ki taraf bhaag gaye....
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #43 on: October 03, 2012, 05:46:02 AM »
Awesome updates
Logged
asif biswas
Guest
«Reply #44 on: October 03, 2012, 03:05:41 PM »
zayed aur victor jab oos sunsaan maidaan par pahuche toh oonki aankhen sana ko dhudhne ke liye talaash rahi thi badal chadh chukaa tha badal garaz rahe they...aur paido paudhe hawaa se lehraa rahe they ek gehri hawaa ki awaaz charo taraf gunz rahi thi jo sunne mein itni bhayank thi ki rountey khare ho jaye...

zayed - huhhhh woh yahin kahin hai
victor - kya matlab??? sanaa kaisi hai?

zayed ne aankhen band karte huye kahaa ohhhh lagta hai kahin paas mein samajh nahi aa raha....

victor ki aankhen peeli padhne lagin...tabhi jaise woh piche mudhaa aur oose ek zor ka thappad lagaa jiske lagte hi woh kareeb 2 m piche giraa tha ghass par girne se woh thoda behosh ho chukaa tha...zayed ne jaise hi oos shaks ki or palta

woh saamne aake khara ho gaya woh aur koi nahi riyat hi tha

zayed - sanaa kahan hai??? kyu kar rahe ho aisa sardaar ka faislaa sunna hi tum logo ne??
riyat - hmmm oonki hukumat sirf aur sirf hamare kaum tak hai lekin hum hai apne kaum ke sipaahi aur galat honaa humhe katayi bardaasht nahi
zayed - toh theek hai jaisi aapki marzi lekin mujhe meri sana chahiye
riyat - kaafir ho tum jo ek mamuli insana ke liye itna tadap rahe ho dekho khud ko dekho ek jinnat hone ke bawjud tum humse bheekh maang rahe ho kaum se gaddari karne ki sazaa tumhari maut hi hongi aaahhhhh

riyat ki awaaz mein gargarahat thaa...

zayed - theek hai lekin sardaar ko jab pata chalegaa tab shayad tumhare naseeb mein dard aur maut hongi

riyat daudhta huyaa zayed se takrayaa zayed ne ose hawa mein dhakel diyaa aur ooske chehre par lat marne ki koshish ki riyat ne zayed ko uchaalkar ek paid par patak diyaa paid ke tehni par lagte hi zayed ke saath paidh bhi gir gaya...zayed palata aur oosne ek neeli roshni riyat par faikhi riyat ne oos neeli roshni ko apne haatho mein dabake jalaa dalaa tha

riyat - shayad ye tum bhul rahe ho ki hum tumse bare hai hamare mein dugni taqat hai
zayed - hmmm shayad tum ye bhul rahe ho ki main zayed nabi sabse taqatwar hai aur meri taqat dugni hoti hai mere pyaar se

zayed zor se cheekha aur ooske cheekhte hi hawaye toh jaise tufaan ki tarah tez ho gayi aur ooske tufaan mein riyat bhi ojhal hone lagaa...riyat ne apni aankhen band ki aur dhuye mein badal gaya..zayed ek roshni ki tarah gayab huyaa aur roshni mein badalkar sidhe dhool mein jaa takraya....riyat waapis apne roop mein aakar zameen par giraa tha...zayed ne khud par kaabu kiya aur zameen par utar aaya

zayed isse pehle piche mudh paata magsur ne khanjar ko zayed ke jism mein ghussa daala tha...zayed ke haatho par khoon lag gaya aur woh behekta huya zameen par gir gaya

magsur - aap theek toh hai bhaijaan? hmmm mamauli jin ho tum humse larne ki ghustakhi ki gaddar ab tu bhi nahi bachegaa lekin tujhe hamesha hamesha ke liye mitaane se pehle oos insaan ko kaant daalo

zayed ki aankhen dhudnli padh rahi thi aur woh tab talak behosh ho chukaa tha..

to be continued......
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:25:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer